Jump to content

mohd

اراکین
  • کل پوسٹس

    3
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About mohd

Previous Fields

  • فقہ
    Shia

mohd's Achievements

Newbie

Newbie (1/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Assalam Alaikum MOHD I HAVE READ ABOUT EMAN E ABU TALIB ABU TALIB .I M IMMENSELY DELIGHTED GOD HAS CHOOSEN U TO BE MUSLIM & ISLAM UR RELIGION.YOUR EXCERPTS & ARGUMENT REARDING ABOVE MENTIONED TOPIC ARE ULTIMATE . NOW I TELL U ABOUT MYSELF I M FROM BAREILLY AND BIG FAN OF DR TAHIR SB BECAUSE OF HIS SERVICE TOWORDS PROPOGATION OF ISLAM TO A GENERATION ARSHAD

  2. Ammar

    Assalam Alaikum

    Hope u r doing good....

    Plz find time to Listen this Speech on Rights of Parents... Thanks

    Take care

    Allah hafiz!

    http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7952&pid=50650&start=0&#entry50650

  3. Nice Sharing, Baqi ka hissa bhi jaldi post karein
  4. Salam alaikum, janab jad dul mukhtar sb. Aap ka jawab dene se pehle mai ye wazeh kar doon ki is forum par meri amad ittefaaq se hui maine youtube par dr. tahir qadri sb ka ek video dekha jisme unhone diwaan-e-abu talib ka zikr kara aur majme ko dikhaya bhi taqreer sunne ke baad maine google par "diwan-e-abu talib search kara jo mujhe forum ke is topic par le aaya yahan maine dekha ki jis mauzo par maine dr. tahir qadri sb ki taqreer suni hai uspar bahes chiri hui hai lehaza maine us taqreer ke link yahan daal diye taki jo log bahes kar rahe hai wo bhi us taqreer ko dekh lein mujhe is baat ka eteraaf karne me koi muzaeqa nahi ki mai dr. Tahir qadri sb se kafi mutassir hoon forum me mera maqsad kisi se seengh larana hargiz nahi. doosre agar aisi bahes se hamari jannat ya jahannum tai hota ho to bahes ka faeda bhi hai jahan tak mera tajurba hai in mubahiso ka koi hal nahi nikalta aur khamakha baradraan me doori barh jati hai mai aap ka jawab dena zaroori nahi samajhta lekin kyon ki aaj mere pass waqt hai is liye jawab de raha hoon. Jawab:- Aap ne apne hisab se 10 batein kahi hai jo dar haqiqat 8 hain Pehli baat me aap ne farmaya ki mere nick ke meaning sahi nahi hain. Aap ki baat se mujhe dili sukoon mila aur laga ki mai apne maqsad me kaamyaab hoon. Apni doosri baat me aap ne mujhe nick change karne ki salah di hai aur saath hi do sujjestion aur de diye To thora sa mai apne naam ke bare me aap ko bata doon1983 me peri paidaesh par maa baap ne mera naam HANUMAAN ........... rakha tha jo islam qabool karne ke baad kaheen to HUMAYON................ (yahan maine kisi maslahet ki bina par apna hindu aur muslim name poora nahi likha hai ) ho gaya aur kaheen aaj bhi HANUMAAN ............... hi darj hai jaise hamare khandani pandit jo banaras me hain unki patriyoon aur hamari wanshawali (shajra) me aaj bhi mera naam Hanuman ............. hi hai "Mohammad" naam mujhe un imam sb. ne diya jinhone kalma parhaya aur saath hi is naam ki fazilat aur martaba bhi bataya aaj wo is duniya me nahi hain lekin unke alfaaz meri yaad dasht me mehfooz hain (Beta ye jo naam maine tumko diya hai ye koi mamooli naam nahi hai ye hamare sab se bare nabi ka naam hai iski laaj hamesha baqi rakhna aur ek behtireen insaan banna kyonki ek achha insaan hi sachha musalmaan hota hai) iske alawa bhi unhone bahot kuch bataya jiska zikr yahan be maani hai. Janab cyber space ki is duniya me chat room se lekar forums tak hamara waasta badtareen aur behtareen insano se parta hai lehaza mai "mohammad" ke bajaye "mohd" ka istemaal karta hoon taki agar koi mujhe bura bhala kahe to baat "mohd" tak hi rahe aur mai "mohammad" jaise azeem aur mubarak naam ki tawheen ka sabab na banoo. Yahan ek sawaal aur paida hota hai ki jab mujhe is naam ke ehteraam ki itni fikar hai to kisi aur naam ka intekhaab kyon nahi kara taki koi jhagra hi na rahe to uski wajah ye hai ki ye mera pasandeeda naam hai lehaza apni naqis aqal ke hisaab se mujhe yahi option munasib laga jisme ehteraam bhi rahe aur meri chahat bhi poori ho jaye.isko aap meri nadani kam aqli jo chahe kahen.mai nick change nahi karoonga aap chahein to mujhe ban kar dein baharhaal aap moderator hain. rahi baat aapke sujjestion ki to uska mai shukar guzaar hoon. Apni teesri baat me aap ne dr. tahir qadri sb. par nishana sadha isme aap ki neyat unka mazaq urane ki rahi ho ya be izzati karne ki mujhe aap ke dil ka haal nahi maloom. Jitna mai dr. tahir qadri sb. ke bare me janta hoon wo ye ki unki 1000 ya isse zyada kitabein manzar-e-aam par aa chuki hain iske alawa unhone islami uloom par saikroon lectures diye hai jiska dil chahe dekh ya sun le rozana Q tv par bhi unke lectures ka mushaheda kiya ja sakta hai. Unki shakhsiyat jaisi bhi hai sabke saamne hai lehaza is par is se zyada kuch nahi kahoonga Chauthi baat me aap ne apni doosri baat ki takraar ki hai shayad aap ko apni hi baat me wazn kam lag raha hoga Mera jawab upar likha hai phir se parh lein. Paanchwi baat me aap ne mujse mera mazhab daryaft kara hai aur saath hi ek mashwara aur enayat farmaya hai Janab mai bata doon ki mai pushtaini musalmaan nahi hoon mera talluq hindustaan ke rajput gharane se raha hai aur kuch hi arsa huwa hai ki maine islam qabool kara hai. Yahan mai is baat ki wazahat karna zaroori samajhta hoon ki maine tahir qadri sb. ke luctures sunkar ya unki kitabein parh kar islam qabool nahi kara hai balki islam qabool karne ki wajah quraan aur zaat-e-rasool(saw)hai.jo aaj bhi zehen-e-insani par apni amit chaap chorti hai. 2005 yani islam qabool karne se pehle mujhe hindu mazhab ki kuch batoon se itminaan nahi hota tha aur shayad yahi talaash mujhe doosre mazhab ki janib le gayi maine Quran ka translation parha aur jis baat ne mujhe sabse pehle apni taraf kheencha wo sura-e-insaan ki ki shuroo ki ayaat hain. Ye bhi batata chaloon ki jab mai hindu tha to mujhe sirf itna maloom tha ki jis mazhab ke taraf mera rujhaan ho raha hai wo islam hai hanafi humbali shia maleki sha-fei deobandi barelvi waghairah mujhe bahoot baad me pata chala aur jab pata chala to mai ek baar phir apne ko kai rahoon wale maqaam par khara paa raha tha. Mai phir se shak o shubhe me mubtala ho gaya lehaza apne shak ko dur karne ke liye maine taqreeban har maslak ke aalim se baat kari jisme kuch ne to sab ko sahi bataya aur kuch ne sirf apne ko sahi bataya jis se meri mushkil hal hone kay bajaye aur barh gayi. Fil-haal to mera rabeta hanafi maslak se hai lehaza aap mujhe fiqh-e-hanafi ka manne wala shumaar karein. (lekin dil me jo itmenaan hona chahiye wo abhi bhi mehsoos nahi hota is waqt forum par reply karte huwe bhi meri aankhoon se aanso beh rahe hai aur rabbul aalmeen se yahi dua hai ki mujhe sahi rasta dikha de mai ek adna insaan hoon mustaqbil dekhna mere bas me nahi ki mai bata sakaao ki meri talaash aur koshish mujhe kahee aur le jayegi ya isi maslak (hanafi) par baqi rakhe gi) Aap ke ek aur sujjestion ke liye mai ek baar phir se shukar guzar hoon. Chati baat me aap ne tamaam ahlesunnat hazraat ki qayadat apne haath me le li aur faisla suna diya ki falan gumrah hai.mai khawab me bhi nahi soonch sakta tha ki is forum par pehle din, pehli post me,meri mulaqaat itni zabardast aur paye ki hasti se ho jayegi jiske haath me tamaam ahl-e-sunnat wal jamaat hazraat ki qayadat ho aur saath hi faisla sunane ka haq bhi Subhan-Allah. Aap tahir qadri sb. ko gumrah maante hai, theek hai. Lekin aalame-islam ki in azeem hastiyoon ke bare me aap ki rai kya hai jinko tahir qadri sb. ne apne lecture me code kiya hai. 1-imam ibn-e-jareer tabari 2-imam behaqi 3-imam ibn-e-aseer 4_imam ibn-e- kaseer 5-imam ibn-e-asakir 6-al maqrizi 7-imam tabari 8-imam jalalud-deen seyouti 9-imam ostulani 10-imam halabi 11-imam ibn-e-hajar askalani 12-imam shahristani 13-allama balazari 14-allama ahmad zahni dahlaan 15-ibn-e-abdul bar 16-imam sohaili 17-imam tabrani 18-imam askalani 19-hazrat-e-abu moosa ashari 20-imam hakim 21-imam behaqi 22-hafiz ibn-e-kaseer 23-imam abu nuaim esfahani 24-allama shami 25-imam shamsuddin zahabi 26-imam ibn-e-saad 27-imam askalani ibn-e-hajar askalani 28-ibn-e-jauzi 29-abu yousuf shami 30-imam burhanud-deen halabi 31-sheikh abdul haq mohaddis dehlavi 32-allama ibn-e-khaladoon Aur in kitabo ke bare me janab ki kya rai hai kyonki tahir qadri sb. ne apne lecture me in kitabo ko bhi code kara hai. 1-tareekh-ul-kamil 2-sahih bukhari 3-as-sunanul kubra 4-al khasa-es-al-kubra 5-seerat-e-halabiya 6-al minan wan nehal 7-al-jame-as-sahi 8-dalael-an-naboowat 9-al bedaya wan nehaya 10-fathul bari 11-at -tamheed 12-al-moajam al kabeer 13-jame tirmizi 14-musnnaf ibn-e-abi shara 15-subulul huda 16-al esaba 17-safwatul suffa 18-tabaqaat ibn-e-saad 19-tareekh-e-damish kas kabeer 20-seerat-e-halabi Ye sab mujhe yahan majboran is liye likhna para kyonki mujhe lagta hai ki aap kisi gumrah ki taqreer to dekhna ya sunna pasand nahi kareingay (albatta ye meri naqis aqal ko lagta hai mumkin hai aap taqreer dekh ya sun lein) . Iske alawa agar aap in sawaloon ka jawab bhi enayat farma dein to mujhe khushi hogi *Uloom e islami par janab ki research kitne saloon ki hai aur kin uloom me janab ko maharat hasil hai ? *Janab ki ab tak kitni kitabein manzar-e-aam par aa chuki hain ? *Ahl-e-sunnat wal jamaat ki taraf se farmaan jari karne ka haq janab ko kis ne diya ? *Islam ki tarweej ke liye janab ne ab tak kitne bunyadi aur asasi kaam anjaam diye hain? *kya Q tv ka intezamiya bhi gumrah hai kyonki wo ek gumrah ko plateform faraham kara raha hai ? *Agar janab hindustaan me hain to kya mai janab se ru ba ru mulaqaat kar sakta hoon ? Waise ye aap par depend karta hai ki aap jawab de ya nahi kyonki mai aap se jawab talabi karne ke liye authorized nahi hoon phir bhi agar maloom ho jaye to meri khush naseebi hogi. Saatwi baat me aap un logon ko beech me le aaye jinka is baat me koi beech hi nahi. Lehaza is bare me kya likhoon Aathwein baat me aap ne apni doosri aur chauthi baat teesri baar phir kahi shayad wazn abhi bhi kam lag raha hoga Janab mera jawab upar likha hai phir se parh lein.aur aap ka aqeeda jaan kar mujhe kya milega aap ka aqeeda aap ko mubarak. Nawi baat me aap ne hukm diya hai ki apne ko zahir karoo Is bare me mai upar likh chuka hoon Daswi baat me aap ne is topic par mazeed baat karne ki peshkash ki hai Is bare me mai apna stand us wazahat me likh chuka hoon jo jawab se pehle aap ki khidmat me pesh ki hai lehaza wahan se matlab nikal lein doosre alfaaz me kahoon to mujhe isme koi khaas dil chaspi nahi. Was-salam
  5. Salam Alaikum, Baradraan-e-azeez maine abhi ye topic dekha, ye masala itna pechida nahi hai jitna isko bana diya hai tamaam muslim hazraat ke paas ek Quraan aur ek Rasool hain magr maktab-e-fikr kai hain aur sab apne ko haq par batate hain (jo muhaal hai) Haq par to koi ek hi hoga ? Ikhtilaf ki wajah bazahir jo nazar aati hai wo ye ki sabne Quraan aur seerat-e-Rasool (saw)ki tashreh apne hisab se ki. natija, jitne munh utni batein,yahan ye baat wazeh karna zaroori hai ki har aire ghaire ko mazhab ke bare me bolne ka haq nahi hai mazhab par baat wahi kar sakte hain jinka tamaam uloom nahi to kam az kam chand uloom par to ehata hona hi chahiye aur aise hazraat har daur me hote hain mai yahan ahl-e-sunnat aalim sheikh-ul-islam janab tahir qadri sb. ka zikr karna chahonga aap hazraat bhi yaqinan unki shakhsiyat aur ilm se bakhoobi waqif hoongay. unki ek taqreer kay link de raha hoon jo isi mauzoo se mutaliq hai lehaza ta-as-sub ki ainak utar kar allah ki ata ki hui aqal ki roshni me faisla kerein ki Janab-e-Abu Talib kya hain. link: http://in.youtube.com/watch?v=Fj_cmxZc9a4 http://in.youtube.com/watch?v=q27dqYuLZI4&...feature=related http://in.youtube.com/watch?v=nwgiYAuF2Ds&...feature=related http://in.youtube.com/watch?v=jo4mXR-rJUw&...feature=related http://in.youtube.com/watch?v=jBvt_hOHe08&...feature=related http://in.youtube.com/watch?v=q4zXwbiciJ8&...feature=related http://in.youtube.com/watch?v=eviFcJUAmzE&...feature=related http://in.youtube.com/watch?v=BEJsTg0AQr0&...feature=related
×
×
  • Create New...