Jump to content

asimsweetone

اراکین
  • کل پوسٹس

    109
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ asimsweetone نے پوسٹ کیا

  1. Mashallah janab nay kitney aram say keh diya hai keh yeh mansookh hai muslim wala hukam haan janab karien bhi kya imaam karkhi(hanfi) ki kitab asool e karkhi ki ibarat kisi say dhaki chupi nahi hai (har woh hadees jo hamarey ashaab kay khilaaf ho wo nasakh par mahmool hai ya wo moariz ho gee is jesi kisi hadees kay)Asool e karkhi page 11 Tba Idara Ahya Al Sunnah lihaza asooli soorat e haal he yeh hei becharey hanfioon ki to phir jis qadar bhi sahih dalaail kion na paish kar diye jaien to woh qaabil e qabool kesey ho saktey hain??? baat asal yeh hai imam ki baat ko saabit karney kay liye zaeef aur mozooh ahadees ka sahara liya jata hai aur sahih ahadees ko chor diya jata hai. hazrat jabir bin abdullah raziallahanho farmatey hain Be shak Rasool Allah Sallahu alihewasallam nay farmaya jo cheeze ziada istemaal kerney sey nasha paida karey us ko thorra istemaal karna bhi haraam hai(tirmizi p 6/8 abwaab al ashraba) aap nay ariticle may galat byani ki hai aap nay likha hai kay angoor ki shraab haraam hai halaankeh hidaya kitab ul ashraba 4/421 mai likha hai angoor ka sheerah jub isay pakaya jaye yahaan tuk keh is ka do tehaai hissa chala jaye(khushk ho jaye) aur aik tehaai baqi reh jaye to yeh agar husool e quwwat kay liye istemaal kiya jaye to imam abu hanifa aur abu yusuf kay nazdeek halaal hai agarcha is mai shiddat paida ho jaye(yani nasha paida ho jaye) ya to aap ki baat sahi hai ya sahib e hidaya aap yahaan kaheen gay keh is mai husool e taqat kay liye istemaal karna jaiz likha hai to lijiye janab hadees paish hai hazrat ceelam humairee raziallahanho byan kartey hain keh mai nay rasool Allah Sallahu alihewasallam say sawaal kiya hum aik sard ilaqay mai kam kartey hain aur hum sakhat mushaqqat ka kam kartey hain aur hum gandum say sharaab taiyaar kartey hain jis say hum apney kam aur apney mulk ki sardee par takat(quwwat) haasil kartey hain to aap SALLAHU ALIHEWASALLAM nay farmaya kya is kay istemaal say nasha paida ho jata hai?? to mai nay kaha haan is say nasha paida hota hai. to aap nay farmaya is ko istemaal na kiya karo to mai nay kaha loge to is ko nahi chorrien gay to Rasool Allah Sallahu alihewasallam nay farmaya agar woh loge is sharaab ko (jo husool e quwwat kay liye istemaal ki jati hai) to tum in say jihad karna (abu dawood jild 2 page 162 kitab ul ashraba) aap nay behaqay aur darqutni say hadees paish ki janab is ki sanad to parho kya hai paya saboot tuk pohonchti hai ya kay nahi??? khud hee jawab mil jaye ga aur is kay muqaabley mai muslim ki hadees ko mansookh kese bana diya khadim e Rasool Hazrat Anas raziallahanho farmatey hain keh beshak nabi kareem sallahu alihewasallam say sharaab kay barey mai sawaal kiya gya keh is say sirqa taiyaar kar liya jaye to aap nay irshaad farmaya nahi muslim 2/163 kitab ul ashraba itni wazeh hadees hai yeh. aap nay kaha is mai sirkay kay haram honey kay barey mai zikar hee nahi sirf LA ka zikar hai to janab yeh aap ki kya fazool tareen baat hai ALLAH kay nabi say sharaab kay sirkay kay barey mai hee sawaal hua tha au aap nay us ka hee jawab diya hai aisee faqahat aap ko he mubarak ho. ooper hadees bar bar parhein nabi say jis cheeze ka sawal hua us ka hee jawab daina hai ya nahi ya to aik uar gustaakhi karien kay nauzubillah nabi nay jawab deney mai khianat kar dee hai Lanat karey Allah aisey logoon par jo aisa sochtey hain. aap nay logoon ko kitna dhoka diya hai yeh keh kar kay Quran ki ayat say takratee hai janab Quran aur hadees mai zra bhi ikhtilaaf nahi hai. Muslim ki hadees sahi hai aur is ka aiteraaf aap nay apney hee article mai kar diya hai aur kaha hai kah mansookh hai. sahi mana tub hee to is ko mansookh karaar diya na janab aap kon hotey hain mansookh karney waley.
  2. lagta hai meri baatien shamsheer ki tarhaan aap lo lagi hain itna gussa kion mujh par? bhai jaan mai ruju kar chuka hun aur merey ruju par aiteraaz karna hai to sihaba par pehley aiteraaz kijiye. bhai jaan mai nay hadees likhi aur hawala bhi diya aur aap nay kaha asim sahab nay be buniyaad batien ki hai (Nauzubillah) aur Quran aur ahadees mai taveelaat aur tehreefaat to aap kertey hee hain ab aap sahib e durr e mukhtaar ki batoon ki taveel kar rahey hain un ka yeh matlab tha wo matlab tha. aap nay phir tamasha kaha mujhai lagta hai aap aalimana alfaaz use karney sey ghabratey hain. aur konsi dandaan shikan post?? humien to lagi hee nahi. aur muzu kis nay change kiya jhoot to kum sey kum na bolien.
  3. mai qazi sahib ki baat say agree karta hun aur apni us baat say jis mai kaha tha ke sab ka mashwara lay lo ruju karta hun. Allah kay nabi nay jo baat ki woh haq hai aur us mai keerey nikalna kisi pagal ka hee kam hai. aur Ruju karna sihaba say saabit hai.
  4. Janab Hadees yeh hai agar aap nay hadees parhi hoti to aap ko in sab batoon ka jawab mil jana tha. Qaum ki Imamut woh aadmi karwaye jo kitab Allah ko ziadah Parhney wala ho, Pus agar woh(yani Qaum kay loge) Qir`at mai barabur hoon to phir woh aadmi karwaye jo sunnat ka ziadah ilam rakhta hai, aur agar woh sab sunnat kay ilam mai barabar hain, to phir woh aadmi jam`at karaye jis nay hijrat pehley ki ho, agar woh hijrat mai bhi barabur hoon to woh karaye jo Musalmaan pehley hua ho, Aur koi aadmi kisi doosrey aadmi ki imamat us ki saltanut mai karwaye aur na hee us kay ghar mai baghair us ki ijazat kay is ki (khas) izzat wali jagha par hee bethey.(baaz riwayat mai jo age mei bara ho wo jam`at karaye ke alfaaz hain) [Muslim jild 1 Kitab Ul Masaajid Baab mun Ahaq Bil Imamatun][Abu Dawood,Tirmidhi,Nisaai,Ibn e maaja] janab aap nay hizrat ki wazahat mangi thi to bhai qazi sahib india kay rehney waley hain to jo lafz wo wahaan boltey hain wohi yahaan likhtey hain. hizrat ka mani hijrat hai wesey maaf kijiye ga 1st standard mai bhi jo bacha ho ga wo is ko samajh jaye ga. aap nay kaha sab aik hee jesey loge hoon to wahaan kya karey to bhai jaan wahaan sab ka mashwara lay lo. jo bhi karwa lay sahi hai. us kay liye itnee lambi list nahi chahiye kay us ki biwi pyaree ho us ka ala tanasul aisa ho waisa ho. aur pata nahi kya kya. Aqal kay naakhun lo yaar. bhai yeh itni lambi wazaahat agar koi aam banda durre mukhtaar ko parhe to woh to ho gya na bechara hanafiat say door kion kay us ko kya pata is ki kya wazahat hai? aisee wazahat sahib e durr e mukhtar ko khud karni chahiye thi. becharey hanafioon ko tension daal gaye wazahat karney kay liye. bhai yahaan konsa tamasha laga hai?? Ahadees ki mehfil ko aap tamasha keh rahey hain. lagta hai aap yahaan sirf maza lay rahey hain ilam nahi seekh rahe. tamasha ho ga yeh aap kay aur aap kay raza khani bhaioon kay liye. maaf kijiye ga agar bura laga
  5. Assalamu alykum bhai jaan mai nai yeh sari discussion parhi hai. yaar shamsheer e ala hazrat aap seedhi tarhaan jawab kion nahi detey qazi sahib kay sawalaat ka topic ko lamba kartey ja rahey ho. ya to keh do kay jawabaat nahi aatey to phir aqeedey par baat kareen. counter question na karo pehley hee itney posts ho chukay hain. aap nay kaha hai kay aap ki meethi zubaan say mai impress hua. i think qazi sahib is following the sunnah of prophet Sallahu alihewasallam kion kay woh bhi bohet pyaar sey boltey the. yahaan is discussion mai aik bhai nay qazi bhai kay us jawab mai jhaan inhon nay fazool aqeedey waloon ka jawab diya tha. kaha kay ahle hadeesoon ka poorana harba kay hum is ki pairwi nahi kartey us ki pairwi nahi kartey. to arz hai janab kay yeh ahle sunnat(salafi,Muhammadi,Ahle hadees) ka harba nahi hai thats what SIHABA do. example kisi maslay mai abdullah bin omer raziallahanho ko roka gya kay aap kay waalid Hazrat Omer RaziAllahanho is kaam say roktey hain to farmaya. tu mujhai bata keh agar merey walid nay is kaam say mana kiya ho aur rasool nay is kaam ko kiya ho to bata kis ki itteba karni chahiye? merey walid ki ya Allah kay rasool ki? to is nay kaha beshak Allah kay rasool ki itteba ki jaye gee. Abdullah bin omer raziallahanho nay farmaya to phir sun lay Allah kay rasool Sallahu alihewasallam nay is ko kiya hai. Tirmizi fe baab maja fe tamta raqumul hadees 844 is ka mutlub yeh nahi ke wo apney walid ameerul momineen ki nauzubillah gustaakhi kar rahey the wo to apney Rasool ki itteba kar rahey the aur yahaan hum kehtey hain ALLAH kay rasool nay in ganday kamoo ko nahi kiya baat hamarey rasool ki mani jaye gee kisi aur ki nahi aap apney aap ko shamsheer e ala hazrat,brelvi aur hanfi hee kaheen to behter hai ahle sunnat na hee kaheen. kion kay according to Shaykh abdul qadir jellani Ahle sunnat aik hee jamat hai aur wo ashabul hadees hain. “As for al-Firqatun-Naajiyah (the Saved-Sect) it is Ahlus-Sunnah wal-Jamaa’ah, and there is no name for Ahlus-Sunnah except one - and that is Ashaabul-Hadeeth [5] (the People of the Hadeeth)” Al-Ghuniyatut-Taalibeen (p.212) SHAYKH ABDUL QADIR JELLANI rahimullah nay ahnaf kay barey mai kya farmaya unhoo nay 73 firqay alag kiye hain jin 72 firqoon ko dozakh mai jana hai us kay barey mai likhtey hain HANAFIA: in mai aik firqa hanafia hai jo abu hanifa noman bin saabit say mansoob hai. (ghuniya tul talibeen page 204 Shaykh ghulam and sons publishers lahore haiderabad karachi) khair yeh to mai nai chaltey chaltey baat keh dee hai. kion kay aap nay apney aap ko ahle sunnat kaha.ab aap plzz yeh bataien kay jo sawalaat qazi bhai nay kiye hain un ka jawab kub aaye ga aap aagey wazahat pe wazahat mangtey ja rahey hain discussion ko lamba mut karien.
×
×
  • Create New...