Jump to content

Syed Muhammad

اراکین
  • کل پوسٹس

    12
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Syed Muhammad نے پوسٹ کیا

  1. Chalo .. ho gaya kaam ... abhi mujhe kaha ja raha tha k kisi se badzan nahi hona chahiye aur khud hi shuru ho gaye. Mein wo banda nahi jiska tum ziker kar rahe ho.
  2. Fitnon k daur mein husn e zan aap ko hi mubarak ho. Mein agar ye kaam na karta to mujhe kabhi maloom na hota ke ye banda sacha hai k nahi. Kis tarha se bait mein le liya us naam ko jiska wajood bhi nahi?
  3. Sab se pehle http://www.dawateislami.net/static/images/services/mureed/m-letter-1.jpg is mein 15 madani phool mein No. 2 mulahiza kar sakte hein. bait k bare mein: [Dawat-e-Islami] Become Mureed‏ السلام علیکم و رحمۃ اللہ وبرکاتہ Following person/people entered into ATTARI SILSILA. Accept Salam from Murshid. Please convey Salam to the following and now they can read the Shajra-e-Attariyah by clicking on the following link. Shajra-e-Attariyah YAHAN MEINE AIK FAKE NAME DIYA THA US NAAM KI ONLINE BAIT HOGAI. Please click here to view Maktoob No. 1 , No. 2 والسلام مع الاکرام Majlis e Maktobaat o Tawezaat e Attariya(Dawat-e-Islami) Mujhe badzan hone ka koi shauq nahi. Mein khula zehan rakhna pasand karta hoon lekin ye baat mujhe hazam nahi hui.
  4. Lets say mein Ahmed Raza Khan ki taqleed nahi karta. To iska matlab mein ghalat hoon? Kyun k mujh se to qabar mein ye hi sawal hona hai k mera rab kon, mera deen kia, aur Rasool Allah PBUH ko dikha k poocha jayega k ye kon hein? To agar koi mujhe sirf is liye kaafir/baydeen n what not.. keh de to wo shakhs khud ghalti per hai?
  5. Sood us waqt hota hai jab ziyadti mashroot ho. To bhai ye bhi to shart hui ke aap ko prize/sood qura andaazi k zariye milega. Secondly, Bank apne business mein risk ka factor kam se kam rakhta hai. Is liye yahan jis ko aap munafa keh rahe hein wo asal mein sood ki wo raqam hai jo loan lene wale ko har haal mein ada karna hota hai. Sirf naam change kar dene se us ki asliyat nahi chup sakti. Ab bank agar us saare sood k paison ka kuch hisaa prize bonds lene walon ko deta hai to mere bhai indirectly ye to sood hi hua. Prize bond rakhne walon k saath bas dugna mazak ye hua k unko sood milna tha.. kuch ko mila kuch ko nahi. Total process itself ghalat hai.
  6. Mera issue ye hai ke barelvi hazraat prize bond k sood ko sood kyun nahi samajhte? Yuun nigahein phair lena sahi nahi ye bohat khatarnaak maamla hai. Doosri baat ye hai ke kia mera Ahmed Raza Khan Barelvi ko apna Imam maan'na sunni-hanafi hone k liye zaroori hai? Nothing to disrespect Ahmed Raza Khan but Rasool Allah PBUH k baad kisi insaan ki andhi taqleed mujh se nahi hoti.
  7. Jazak Allah for replying. Bhai baat ye hai k meine is bare mein Mufti Akmal sahab daryaft kiya tha. Afsos k sath kehna par raha hai k unhon ne nihayat hi badtameezi se jawab de k rabta munqata kar diya. Mein actually M.A. Islamic Studies k notes laya tha jis mein fiqh k subject mein Prize bond k hawale se jo kuch darj tha us k hisaab se prize bond najayez hein. Mere aik bohat hi qareebi rishtedaar khud State Bank of Pakistan k prize bond section mein kaafi saal guzaar chukay hein. Un ka bhi yehi kehna tha k jis procedure se inaam ki raqam jama ki jati hai wo sarasar sood hai. Ab ye baat jab mein ne mufti sahab ko batai to unhon ne nihayat badtameezi se mujhe ye keh diya k aap humein zehmat na dein. Unko manna hai to unhi ko maanein.
  8. Assalamoalaikum, Mera taluq officially kisi bhi firqay se nahi hai. Is liye bara-e-meharbaani apni laanatein save rakhein. Mein yahan ye poochna chahta hoon k agar koi shakhs dawat e islami k zariye qadri silsilay mein bait hona chahta hai to us per ye shart kyun rakhi jati hai k usko Fatawa-e-Rizwiya ko aankh band kar k follow karna hoga? Aur us k ilawa kisi ko bhi ikhtilaaf e raaye ka haq nahi hai? Kia mere muslim hone k liye itna kaafi nahi k mein Allah ko aik manta hoon, Rasool Allah PBUH ko Allah ka nabi aur Rasool manta hoon, unki sunnaton per chalta hoon aur un k aik ishare pe apni jaan dena bayes e fakhar samajhta hoon? Sirf is liye k mein aik shakhs jo Rasool Allah PBUH k bohat baad mein aaya aur mein uski book per 100% yaqeen nahi rakh sakta kyun k wo quran ka harf nahi hai aur mujhe us mein kuch baaton se ikhtelaaf hai to dawat -e- islami wale mujhe kafir kaheinge? Bayt k rules mein bhi ye cheez mention hai. Aap tamaam hazrat kin basis pe Maulana Ilyaas Qadri ko apna peer maan bethe hein? Jab k koi bhi shakhs ghalat naam de k bhi bait ho sakta hai. Ye kesa peer hai jis ko mureed ki asliyat ka hi nahi pata? I am sorry mein kisi ko beizzat nahi karta aur na hi karna chahta hoon lekin ye sab wo cheezein hein jo meine khud experience ki hein. Fatawa mein ikhtelaaf kahan hai aur kyun hai to wo Prize Bond ka issue hai. State Bank of Pakistan us per sood kamaata hai aur ussi sood ko prize ki shakal mein distribute karta hai. Jab k kuch barelvi ulema k nazdeek prize bond jayez hai jab k Quran mein likha hai k sood lene dene wale k khilaaf Allah aur uska Rasool PBUH ailaan e jang karte hein. Aakhir itna difference kyun? Kindly iska jawab zaroor dein Regards,
  9. Assalamoalaikum, Qufl e Madinah ne apni sab se pehli post mein purple color se jo aayaat likhi hein us mein second line mein aik ghalti kar di hai. Minash Shaitanir Rajeem hoga.. wahan sirf shaitan irrajeem likha hai. Agar mein ghalat samajh raha hoon to islah farmaein aur agar aap se ghalti ho gai hai to ho sake to is ko durust kar lein. Shukriya Assalamoalaikum
×
×
  • Create New...