Jump to content

mameenkhn

Under Observation
  • کل پوسٹس

    64
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ mameenkhn نے پوسٹ کیا

  1. Mere khayal main main ney koi post out of the context nahi ki hai. Aap ne ye ilzaam lagaya k Ismail Dehelvi Taqwiyat ul Imaan me Ambiya ki toheen ki , Main ne Ussi Taqwiyatul imaan se aap ko Huzoor aur Ambiya ki shaan main beyan kerda ibaratain dikha di. Mera sawal aap se ye tha Akabir e Deoband ki ibaratoon ka sahi matlab kyon nahi nikala gaya. Is per aap ne topic ko change ker k aik nai post kerdi jis main Akabir Deoband ki ibaraton ki list daal di. our mere sawal ka jawab nahi diya. Mere meethay meethay forum k topic aap per lain Aala Hazrat ki Ibarat Our aap behas Akabireen e Deoband ki ibarat per ker rahay hain. Ager aap Topic per baat kerna chahtay Hain to teek hai Main aap ko Ala Hazrat Ki gustakhana ibaratain bhi pesh kersakta hun jo inhuun ne Allah ki Huzoor ki or diiger Ambiya our Auwliya ki shaan main pesh ki hain. Aur han Mujhay bhi pata hai k Ilm e ghaib per baat nahi ho rahi. Iis forum pe mojood sab loog per saktay hain k jo post aap ne (saq e raza) ne ki jis main list hai. Hifzul Imaan ki wo ibarat our Chishti Qadri ki post main jo ibarat hai uus main zameen aasmaan ka farq hai. Saq -e- Raza ki post main Itnaa our Jaisa k alfaaz hain jab k Chisti Qadri ki post main na Itna hai our na Jaisa Hai. Suboot k leye aap logo ki post hi kafi hai Asal Ibarat Chisti Qadri nai post ki hai, aur mere pichli post main wo ibarat tarmeem shuda bhi mojuud hai. Aaap agar mere phichli post per letay to ye ahmakhana sawal na kertay. Pichli post main main ne Hifzul imaan ki ibarat ka asal mafhoom bataya hai. Hazrat Thanvi iis baat ka jawab nahi de rahay k Huzoor ka ilm kitna our kitni miqdaar ka hai. balkay iis baat ka jawab de rahai hai k Aalim ul Gaib kehna chahiye ya nahi. Aur Ibarat ko samajhne k liye uus ka pase manzar main ne phichli post main pesh kia. Aur Ussi Hifzul Imaan se main ne Hazrat Thanvi wo ibarat bhi pesh ki jo uun ka aqeeda hai . Nabuwwat k lye jo uloom lazim o zaroori thai wo aap ko batamamhi hasil ho gai tha. Ankhain khol k perhain. Aur Akhal k Nakhun lijiye Jis Admi per aap ye ilzam laga rahay hai k uus ne Huzoor k iilm ko janwaroon jitna kaha hai. wohi admi ussi kitaab main Huzoor k ilm k baray main likh raha hai k aap ko nabuwwat k sare Uloom hasil ho gai thai. kuda k khof karo. Beshak Nabi apnay rozai mubrak main hayat hai. Ismail rehmatullah ki ibarat k jawab k liye intezaar kijiye Ye aap ne aik naya sawal garh liya. Waisay aik baat main aap ko batata chaloon, K Shaikh Ismail Rehmatullah Deoband k madarsa se nahi perhay, balkay shayad iis madarsay k banne se pehlay hi wo balakot main shaheed ho gai thai. Uuus Ibarat main aap agar Ambiya ka lafz dikha den to bari meharbani hogi. Main ne Shaikh Abdul Qadir Jilani ki ibaratain pesh ki, Jis main Ahle Zamin, our Makhlooq aaya hai. our Nizam uddin Auwliya ki ibarat bhi. In ibaratoon ka kiya matlab hai. Jo Matlab Shaikh Abdul Qadir Jilani ki ibarat ka aap bataain wohi Shah Ismaeel Shaheed ki ibarat ka samaj lain. Theek hai jab tak main asal scan na pesh kerdoon us waqat tak aap Abdul Qadir jilani per koi fatwa nahi lagaiye ga . Lekin uus k baad aap ko iis masalay main haar manni hogi. Lekin is sawal k jawab zooror dena Kya Ye Auwliya Allah Shaikh Abdul Qadir Jilani aur Nizam uddin Auwliya ki Ibaratain nahin hai??? Main aap se iis sawal k jawab ka intezaar karoonga.
  2. Zara ghor se parhain Peeran e Peer Rehmatullah alahy k chaney walay aur lagai fatwa kufur ka Hazrat Peeranepeer Rehmatullah alahy per. Agar aap ki aur ala hazrat ki zehniyat k mutabiq isse perhain to Tamaam ahle Zamin (Huzoor bhi Shaamil hai aap k ala hazrat ki zehniyat k mutabiq) Allah k nahi baulke Ghous paak k nazdeek Chamaar nahi balkay machchaar chyonti ki manind hai. Aur Allah k nahi balke Ahle Ma'arfat k nazdeek Maqlooq ( Huzoor bhi Shamil hai aap k ala hazrat ki zehniyat k mutabiq) Makhkhi, Bhir aur resham k keeray ki manind hai. Chamar to Insaan hi hota hai. Aur Hazrat Khawaja Rehmatullah alayh per bhi fatwa lagaain Unhun ne bhi saari Khalkhat ka lafaz istemaal kiya hai.
  3. Bhai aap ankhain kol k perhain to acha hai. Asal ibarat main jaisa ka lafaz nahi hai. Saq -e- raza ko chahiye tha k jab wo reference de rahay hain to unko mukammal aur puri ibarat likhni chahiye thi. Ye Ulema e Deoband ke aqaid hain aap logon ko in main se kin aqaid per aaiteraaz hai
  4. Bhai Saq e Raza, Shayad kuch k jawabat aap ko DeobandDefender ki iis post main mil jain http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=8276 Main filhal Hifzul imaan ki ibarat pe comment karoonga P 7, 1934, jo ilm e ghaib k hawalay se hai , ye wo ibarat nahi hai jo aap ne post ki hai. Is se pata chalta hai k duusri ibarat ko paish kernay main bhi aap logon nai khiyanat ki hogi. Hayat -e- Nabi ka aqeeda aaj se nahi balkay ulma e deoband iss k hamesha se Qaeil hain. aur iss per mustaqil kitaabain likhi gai hain.
  5. Mera ye Aqeeda hai k Nabi Apnay rozay main hayat hai. aur unki hayat dunya ki hayat se Aa'la hai. Meray pehlay sawal ka jawab iis post main mil gaya k Alahazrat ne Allama Zarqani k hawalay se ye naqal kya hai. Merey duusray sawal ka jawab inayat farma dain.
  6. Ye post main saq e raza ki request pe yahan post ker raha hun. Please mujhay iin sawalat k jawabat de k mutmaen kairan http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=8296
  7. Kya aap k paas Allama Saeed Ahmed Qadri ka koi bayan hai jis main unhuun nai ye elaan kya ho jo aap ne bataya hai, please share karain mujhay apnai deobandi dost ko batana hai.
  8. , Mere meethay meethay islami bhaiyoon main ye naat kahan se download kersakta huun by farhan ali qadri.
  9. Assalam o alikum, First thing i didn't find any statement inside the book "Darul uloom deoband is greater than kaaba". Second the highligted Hashiya was not related to the first page of the attachment, infact it is related to the second page. can someone explain
×
×
  • Create New...