Jump to content

islam

اراکین
  • کل پوسٹس

    21
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ islam نے پوسٹ کیا

  1. mufti saab nay iss video mein jo chati (sixth) soorat batai hai ghusal kay farz honay ki kya koi shakhs mujhay yeh wali soorat samjha sakta hai?
  2. aapkay iss sawal ka jawab in 2 videos links main maujood hai. pehli video kay 7:32 say lay kar doosri video kay 4:38 minute tak. meri to request hai keh app yeh dono videos poori poori dekhain, dono videos taqreeban 10, 10 minute ki hain. poori dekhain gay to inshaAllah aur bhi bohat kuch seekhnay ko milay ga.
  3. main to hazrat bas time bachanay kay liey kar raha tha, kyon keh mujhay kenchi ustra lay kar bina kapron kay sitar saaf karna kuch ajeeb sa lagta hai, poochna to bas yahi tha keh kahin aag say saaf karnay say Gunah to nahi hota.
  4. yani keh agar yeh wali alcohol skin cream main mili ho to uska istimal jaiz hai aur aissi cream laga kar namaz bhi pard saktay hain? agar aissa hai to aap nay yeh kissi mufti saab say poocha hai ya kahin pe para hai?
  5. kya koi dawateislami kay kissi mufti saab ko ya mufti akmal saab ko phone kar kay yeh pooch sakta hai please? mufti akmal saab ka number issi section kay doosray thread main majood hai. wikipedia pe jo iss alcohol ka bean kiya gaya hai uski kya translation banti hai? aur waissay bhi meri maloomat kay mutabiq to imam-e-azam razi allah tallah unhou ka yahi fatwa hai keh dawai main agar alcohol milli ho to uska istimaal jaiz hai, agar dawai main jaiz hai to yaqeenan skin cream main bhi to jaiz hi hoga. aur waissay bhi yeh wali alcohol meri maloomat kay mutabiq drink karnay wali to nahi hai, beherhaal
  6. doosray sawal kay jawab par agar aap mazeed bataey to sahi tareeqay say samjh a jaey gi, agar aap ghaur farmaein to yeh koi CETEARYL ALCOHOL hai, aur iss ko banaey ka tareeqa mukhtalif ho ga aur yeh yaqeenan wo wali alcohol nahi hogi jo keh log peetay hain kyon keh iss ka istimaal medecin main hota hai. agar aap uper wali CETEARYL ALCOHOL link par click karein to wikipedia ki site khulay gi aur shaed uss main unhon nay bata hai yeh kaissay banti hai aur kyon banai jati hai. shukrya
  7. 1-) agar koi shakhs kissi aissi jaga pe kaam karta ho jahan pe store walay cheezain garbage main pheank detay hon to kya hum un cheezon ko chupkay say utha kar kar apnay liey istimaal kar saktay hain jab keh galib gumaan yahi ho keh employer ko iss baat kar bura nahi lagay ga. maslan, kabhi custmer istimaal karnay kay baad kissi wajah say apnay product ko return karta hai aur store walay uss product kay khul janay ya istimaal ho janay ki wajah say dobara to nahi sell kar saktay iss liey pheank detay hain, jaissay kay shampoo, skin cream, medecin wagaira 2-) kissi product mein agar Cetearyl Alcohol, milli ho to kya usay istimaal kar saktay hain?
  8. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou bohat shukrya janab! lekin andesha to kenchi aur raser say bhi hota hai us say bhi to khoon nikalnay ka khatra hota hai aur agar zakham ho jaey to istanja karnay main bhi dishwari hoti hai. aur zair-e-naaf saaf karnay ka amal to meri maloomat kay mutabiq har 40 din kay andher karna zaroori hota hai aur kenchi raser say saaf kartay waqat zayada waqat lagta hai aur ajeeb-o-ghareeb khial bhi anay ka andeha rehta hai, jab kay lighter li aag say kuch hi minton main sara kaam ho jata hai neez raser say saaf kiey huay baal jab bartay hain to chubnay lagnay lagtay hain jiss say takleef hoti hai jab kay lighter say ghaliban aissa nahi hota. aur waissay bhi jism ko kya nuqsaan phonchay ga lighter ki lou say?, hum nay konsa lighter ek hi jaga jamaey rakhna hai,
  9. islam

    Sitar Kay Baal Saaf Karnay Ka Tareeqa

    Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou mainay suna tha keh har 40 din kay andher sitar kay aur baglon kay bal saaf karna zaroori hai, amtor pe log kenchi ya raser say sitar kay baal saaf kartay hain, kya aag ki lou say bhi baal saaf kar saktay hain ta'k baal achi tarah say aur jaldi saaf ho jaey? aag yani lighter ya machis ki teeli say
  10. islam

    naat lyrice

    mujhe iss darood-o-salaam ka lyrice chahiey, shukrya! mustafa jane rehmat pe lakhon salaam
  11. islam

    shawal kay 6 rozon ki fazilat

    Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh! shawal kay rozon ki fazilat mein ata hai keh agar ramzaan kay pouray rozay rakhanay kay baad agar shawal kay mazeed 6 rozay rakhay jaey to pouray saal kay rozon kay barabar sawab milta hai, poochana yeh keh agar kissi kay ramzaan kay kuch rozay qaza ho gaey hon aur wo us nay shawal kay maheenay mein rakhay hon aur phir mazeed shawal kay 6 rozay to us ko bhi pouray saal kay rozon kay barabar sawaab milay ga ya ramzaan kay pourray rozay bina koi qaza huey/kiey rakhana lazmi hai?
  12. kya koi islami bhai ya behan aissi hadees share kar satka hai jis mein bata gaya ho keh (Agar tumharey waldein tujhey allah ki raha say rokay to un ki mat suno). koi hadees ya koi audio wagaira is kay mutaliq bata di jiey, shukrya!
  13. kya koi islami bhai kissi dawat-e-islami kay kissi mufti sahib say pooch kar iss sawal ka jawab de sakta hai please?
  14. Yani kay agar khoon halq main dakhil ho jaey aur uska maza mehsoos na ho to roza nahi toota, agar khoon ka maza mehsoos hua to roza toot gaya. sahi? agar yaad na ho keh khoon halq main gaya tha ya nahi to kya karey insaan? iftaari ka waqat to guzar chuka, aur agar yeh yaad na ho keh khoon ka zaiqa mehsoos hua tha ya nahi to kya kiya jaey? jab bhi zaid nay thooka, taqreeban har bar thook main khoon tha jo keh thook pe galib tha. aur zaid nay taqreeban 10 ya 15 martaba to thooka hi ho ga. ab zaid ko full yaqeen nahi hai keh khoon halq kay andher gaya ya nahi, agar gaya to uska maza mehsoos hua ya nahi, aissa pehli bar hua hai zaid kay saath, to us kay liey decide karna mushkil hai keh roza hua ya nahi. ab agar dekha jaey to itni martaba thookaney say to yaqeenan khoon ka kuch hissa halq mein chala hi gaya ho ga, lekin iss baat ka full yaqeen nahi hai keh roza raha ya toot gaya.
  15. islam

    Kya Khoon Say Roza Toot Jata Hai?

    agar thooka jaya aur us mein khoon ho to kya roza toot jaya ga halan'k niyat torney ki na ho?
  16. Mujhe yeh information mili hai net pe, kya koi confirm kar sakta hai keh yeh sab sahi hai? dekhaney kay liey is link par click karein: Click here Please!
  17. islam

    Chasht Ki Namaz

    kya koi mujhe chasht ki namaz kay barey mein bata sakta hai keh yeh kab aur kaissey pari jati hai? jazakallahou khaira!
×
×
  • Create New...