Jump to content

Mujtaba

اراکین
  • کل پوسٹس

    572
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    2

سب کچھ Mujtaba نے پوسٹ کیا

  1. Zill-ul-NABI Allama Ahmed Saeed Shah Kazmi rehmatullah alaih
  2. Mujtaba

    NABI Sallalaho alaihe wasallam ka saaya nahi tha

    Books by Imame AhleSunnat Aa'laHazrat Imam Ahmed Raza Khan on this topic Nafyu
  3. Waisay yeh usool kahan parh liya aap nay keh taba'i honay kay liye Sahabi say riwayat karna bhi zaroori hay. taba'i woh hota hay jis nay kissi bhi Sahabi ki ziyarat ki ho aur iss main age ki bhi koi qaid nahi hay. aur kaya yeh usool siraf taba'i honay kay liye hay ya Sahabi honay kay liye bhi RASOOL ALLAH Sallalaho alaihe wasallam say hadees riwayat karna zaroori hay??? Ya RASOOL ALLAH Sallalaho alaihe wasallam ko ieman ki haalat main aik lamhay kay liye bhi diakh lainay say banda Sahabi ban jaata hay??? Shoaib shaib aap aik hadees ki baat kartay hain main Imam Azam ki riwayat karda ahadees buhat si hain aur Ullma nay apni boks amin unn ko naqal bhi kiyya hay. aur unn main say taqreeban 12 ahadees 1(aik) wastay ki hain. matlab yeh keh RASOOL ALLAH Sallaho alaihe wasallam aur Imam Azam main siraf aik sahabi ka wasta hay. jab keh Imam Bukhari radi ALLAH anhu kay pass Saheeh Bukhari main siraf 22 Sulasiyat(3 wastay ki ahadees) hain jin main say 20 Sulasiyat kay rawi ALHAMDULILLAH woh hain jo keh Imam Azam Abu Hanifa kay shagird hain aur Imam Bukhari kay Shaikh hain. inn 22 Sulasiyat main say 11 Imam Makki bin Ibraheem rehmatullah alaih say marwi hain aur 6 Abbu Asim Zahhaq rehmatullah alaih say marwi hain aur 3 Muhammad bin Abdullah Ansari rehmatullah alaih say marwi hain aur baqi 2 Sulasiyat kay rawi Imam Azam kay shagird nahi thay. Imam Abu Ma'shar AbdulKareem bin AbdulSamad TaBri Shafa'i nay Imam Azam ki sahaba karam say marwiyat main aik mustaqil rislala tasneef kiya hay aur iss main riwayat ko me asnad ky zikr kiyya hay aur inn ki tehseen aur taqwiyyat ki hay. Neez Imam Muwaffaq bin Ahmed Makki nay bhi Manaqibe Imam Azam main Imam Abu Hanifa ki sahaba say riwayat karda ahadees ka zikr kiyya hay. [al-Manaqib By Imam al-Kurdari, Vol_1 pg 5] [Manaqib Imam Azam vol_1 Pg27] Imam Azam ki Sahaba karam say marwi ahadees ko Imam Jalal ul Deen Suyuti nay tabyeez ul Saheefa main naqal kiyya hay. tau main ko woh ahadees paish kar daita hoon jin ko Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih nay apni kitab tabyeez ul Saheefa main naqal kiyya hay. رَوَي أَبُوْحَنِيْفَةَ رضي الله عنه قَالَ سَمِعْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِکٍ رضي الله عنه قَالَ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم يَقُوْلُ : طَلَبُ الْعِلْمِ فَرِيْضَةٌ عَلَي کُلِّ مُسْلِمٍ
  4. Aisi waisi baatain hum nahi kartay balkeh yeh ullma nay hee apni books main likha hay. aur Jin ullma nay imam Azam Abu Hanifa radi ALLAH anhu kay baaray main Books likhi hain unn main Hanafi ullma bhi hain aur Deegar Maslak say ta'uq rakhnay walay ullma bhi. chand kay naam yeh hain. Manaqib al-A'immat al-Thalathat al-Fuqaha' by Ibn `Abd al-Barr [Maliki] Manaqib Abi Hanifata wa Sahibayh by al-Dhahabi [Hanbali] Manaqib al-A'immat al-Arba`a by Yusuf ibn `Abd al-Hadi [Hanbali] Tabyid al-Sahifa fi Manaqib Abi Hanifa by al-Suyuti [shafi`i] Al-Khayraat al-Hisaan fi Manaaqib al-Nu`maan by al-Haytami [shafi`i] Uqd al-Jumaan fi Manaqib al-Nu`man by al-Salihi [shafi`i]. Imam Azam Abbu Hanifa raddi ALLAH anhu Alhamdulillah taba'i thay aur aap kay inkar say na siraf Imam Azam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu par zadd aaye gi balkeh kai Huffaz e Hadees, muhadiseen aur Murakheen par bhi zad aaye gi keh unhon nay aik ghalat baat apni kitaabon main likhi jis ka koi saboot nahi. tau kay phir unn Ullma ki authenticity mashkook nahi ho jaye gi jinhon nay Imam Azam ka Hazrat Anas bin Malik raddi ALLAH anhu ko daikhna likha hay. main yahan unn ullma kay naam zikr kar doon jin kay main hawalay day chuka hoon aur jinhon nay yeh likha hay aur inn main say aksar hanfi nahi balkeh Shafa'i hain. 1.Hafiz Ibn Hajar Asqalani Shafa'i rehmatullah alaih 2.Khateeb Baghdadi rehmatullah alaih 3.Imam Hafiz Abbu Abdullah Zahbi(d.748 H) 4.Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami Shafa'i rhmatullah alaih 5.Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih Ibn Abdul-Barr mentions in his Jami
  5. Imam Azam Abu Haneefa raddi ALLAH anhu tabai hain aur unhon nay kai sahaba karam say mulaqat bhi ki thi. iss baray main ullma kay aqwal mukhtalif hain. Aik qol hay keh 6 say mulaqat ki thi(5 Sahaba aur 1 Sahabia) doosra qol hay keh 7 say mulaqat ki thi (6 Sahaba aur 1 Sahabia) aur aik qol main 16 aaya hay (15 Sahaba aur 1 Sahabia). iss kay ilawa Sheikh Muhammad Hashim AlMuhaddis al-Sindhi nay apni tehqeeq kay bad likha hay keh aap ki 21 Sahaba say mulaqat sabit hay. unn ki kitab ka Kalmi Makhtoota Nuskha Maktaba Sheikh Muhammad Hashim AlMuhaddis al-Sindhi, Haiderabad Sindh mai mojood hay jo abhi tak publish nahi huwa. Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih nay Tabyeez ul Saheefa main inn Sahaba kay naam likhay hain jin ko Imam Azam nay daikha hay aur inn say say riwayat e hadees bhi ki hay. Hazrat Anas Ibn Malik raddi ALLAH anhu Hazrat Abdullah Ibn Unais al-Juhani raddi ALLAH anhu Hazrat Jabir Ibn Abdullah raddi ALLAH anhu Hazrat Abdullah Ibn Abi Awfa raddi ALLAH anhu Hazrat Was
  6. aur aap ka yeh kehna keh Imam Azam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu ka taluq Faras say nahi tha bilkul ghalat hay. Imam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu kay abao ajdad Fars kay rehnay walay thay. Khateeb Baghdadi nay Imam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu kay potay Ismail bin hammad bin Abi haneefa say naqal kiyya hay keh "Hum Ahle Faras say hain aur hamaisha say azad rahay hain. hamaray khandan main kabhi ghulami nahi aai." سمعت إسماعيل بن حماد بن أبي حنيفة يقول أنا إسماعيل بن حماد بن النعمان بن ثابت بن النعمان بن المرزبان من أبناء فارس الاحرار والله ما وقع علين ا [Tarikh Baghdad, Vol_15, pg.448] iss kay ilawa deegar muhaqiqeen nay bhi yehi likha hay keh aap kay Abao Jadad ka taluq Ahle Faras say tha. [al-Khairat al-Hisan. Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami (d.943 H).p 22] [Tabyeez ul Saheefa bi Manaqib e Abi Hanifa ] Sahibe Fathul Baari Sharah Bukhari ,Imam ibne Hajar Asqalani Shafa'i nay likha hay النعمان بن ثابت التيمي أبو حنيفة الكوفي مولى بني تيم الله بن ثعلبة وقيل إنه من أبناء فارس [Tahdhib al-tahdhib, Vol_4 pg.229] issi tarah Mulla Ali Qari Hanfi rehmatullah alaih nay bhi [Zail ul Jawahir Vol_2 pg 452] main bhi aap ka Farsi ul Nasal hona likha hay.
  7. Iss Hadees main Imam Azam Abu Haneefa raddi ALLAH anhu ki hee basharat dee gai hay. Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih nay iss mazmooon ki chand ahadees ko Tabyeez ul Saheefa bi Manaqib e Abi Hanifa main naqal kiyya hay aur iss hadees ka misdaq Imam Abu Haifa ko thehraaya hay. [Tabyeez ul Saheefa bi Manaqib e Abi Hanifa ] Iss kay ilawa Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami Shafa'i rhmatullah alaih nay bhi issi mazmoon ki ahadees ko al-Khairat al-Hisan Fi Manaqibe Imam al-Azam main naqal kiyya hay aur uss kay baad Imam Suyuti rehmatullah alaih kay baaz students kay hawalay say likha hay keh hamaray ustad Imam Jalal ul Deen Suyuti rehmatulla alaih yaqeen kay sath kehtay thay kay ISS HADEES KAY AWALEEN MISDAQ SIRAF IMAM AZAM rehmatullah alaih HAIN. KIUN KEH IMAM AZAM KEH ZAMANAY MAIN AHLE FARAS MAIN SAY KOI SHKHS BHI AAP KAY ILMI MUQAM KO NA PA SAKA. [al-Khairat al-Hisan. Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami (d.943 H).p 15-16] Iss kay ilawa Imam Muwaffaq bin Ahmed Makki(d.568 H) nay bhi apni ki kitab Manaqib Imam Azam main inn ahadees ko naqal kiyya hay aur iss ka misdaq Imam Azam ko theraaya hay aur yahan tak likha hay keh "Imam Azam ka muqam tau alag raha aap kay talamiza kay muqam ko bhi aap kay muasireen main say koi shakhs na pa saka." [Manaqib Imam Azam vol_1 P 590] Apnon nay tau aiteraaf karna hee tha mukhalifeen nay bhi aiteraf kiyya hay keh iss hadees ka misdaq Imam Azam Abu Hanifa hee hain. Nawab Siddiq Hassan Bhopali ko bhi Hanfiyyat say ta'sub kay bawajood aiteraf karna parra keh ہم امام دراں داخل است [Athaf ul Nubla' by Siddiq hassan Bhopali pg.224] Aur aik bata ki mazeed wazahat kar doon keh yeh basharat Hazrat Salman farsi raddi ALLAH anhu kay liye nahi thi. kiun keh ayat main مَّا يَلْحَقُوْا بِهِمْ kay baray main sawal tha.ayr jawab main aainda loggon ki nishandahi ki ja rahi hay.Lahaz woh log ghalat fehmi ka shikar ahin jo yeh khetay hain keh yeh hadees tau Hazrat Salman farsi raddi ALLAH anhu kayliye thi aur Ahnaf aur Ullma e Shafa'i nay Imam Azam par chispan kar di.
  8. Shoaib shaib aap ko jo ahadees reqd hain unn kay hawala jaat note kar lain. . عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه قَالَ : کُنَّا جُلُوْسًا عِنْدَ النَّبِيِّ صلي الله عليه وآله وسلم فَأُنْزِلَتْ عَلَيْهِ سُوْرَةُ الْجُمُعَةِ : (وَآخَرِيْنَ مِنْهُمْ لَمَّا يَلْحَقُوْا بِهِمْ). (الجمعة، 62 : 3) قَالَ : قُلْتُ : مَنْ هُمْ يَارَسُوْلَ اﷲِ؟ فَلَمْ يُرَاجِعْهُ حَتَّي سَأَلَ ثَلَاثاً، وَفِيْنَا سَلْمَانُ الْفَارِسِيُّ، وَضَعَ رَسُوْلُ اﷲِ صلي الله عليه وآله وسلم يَدَهُ عَلَي سَلْمَانَ، ثُمَّ قَالَ : لَوْکَانَ الإِيْمَانُ عِنْدَ الثُّرَيَا، لَنَالَهُ رِجَالٌ، أَوْ رَجُلٌ، مِنْ هَؤُلاءِ. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَهَذَا لَفْظُ الْبُخَارِيِّ.
  9. abb aap ki paish karda ahadees ki taraf bhi aatay hain jis ko Muslman apnay NABI ki taraf say khushkhabri samjhtay hain laikin aap uss ko ghalat fehmi saabit kar rahay hain keh Ummate Muslima ba haysiyyat e majmui kabhi shirk nahi karray gi. امتِ مسلمہ کے خصائص میں سے ایک یہ ہے کہ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے اِس کے لئے یہ خوشخبری دی ہے کہ اُمت مسلمہ کی اصل آزمائش مال و زر کی حرص و ہوس سے ہو گی لیکن یہ شرک میں مبتلا نہیں ہوگی۔ یہی وجہ ہے کہ باقی بگاڑ اور نقائص اپنی جگہ گھمبیر کیوں نہ ہوں مجموعی طور پر اُمت مسلمہ شرک سے محفوظ ہے۔اُمتِ مسلمہ کی اکثریت جو سوادِ اعظم ہے اور جس کے شرک و گمراہی سے اعتقادی طور پر محفوظ ہونے کی ضمانت خود حضور رسالت مآب صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے عطا فرمائی ہے۔ ستم یہ ہے کہ عصرِ حاضر میں بعض گروہوں کی طرف سے امتِ مسلمہ کی اکثریتی جماعت پر شرک کا الزام لگا دیا جاتا ہے۔ یہی وہ بنیادی فتنہ ہے جس نے اُمت کی وحدت کو پارہ پارہ کر دیا ہے۔ یہ بات ذہن نشین رکھنے والی ہے کہ حضرت عقبہ بن عامر معروف صحابئ رسول صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے مروی یہ حدیث دراصل حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے آخری خطبہ کی روایت ہے۔ اس کے بعد آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے کوئی خطبہ، کوئی باقاعدہ وعظ اور خطاب منبر پر نہیں فرمایا۔ اس اعتبار سے یہ روایت اور بھی اہمیت اختیار کر جاتی ہے اور اس میں بیان کیے گئے مضامین کی حجیت مزید مسلم ہو جاتی ہے۔ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے اپنی امت کے شرک میں مبتلا ہونے کا خدشہ ظاہر نہیں فرمایا، اس کا معنی یہ ہر گز نہیں کہ کوئی فرد شرک نہیں کرے گا بلکہ من حیث الکل شرک جیسے ظلمِ عظیم سے امت محفوظ رہے گی۔ حضرت عقبہ بن عامر رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں : عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ رضي الله عنه، قَالَ : صَلَّي رَسُوْلُ اﷲِ صلي الله عليه وآله وسلم عَلَي قَتْلَي أُحُدٍ، بَعْدَ ثَمَانِيَ سِنِينَ کَالْمُوَدِّعِ لِلأَحْيَاءِ وَالْأَمْوَاتِ، ثُمَّ طَلَعَ الْمِنْبَرَ، فَقَالَ : إِنِّي بَيْنَ أَيْدِيکُمْ فَرَطٌ وَأَنَا عَلَيْکُمْ شَهِيدٌ، وَإِنَّ مَوْعِدَکُمُ الْحَوْضُ، وَإِنِّي لَأَنْظُرُ إِلَيْهِ مِنْ مَقَامِي هَذَا، وَإِنِّي لَسْتُ أَخْشَي عَلَيْکُمْ أَنْ تُشْرِکُوْا، وَلَکِنِّي أَخْشَي عَلَيْکُمُ الدُّنْيَا أَنْ تَنَافَسُوْهَا قَالَ : فَکَانَتْ آخِرَ نَظْرَةٍ نَظَرْتُهَا إِلَي رَسُوْلِ اﷲِ صلي الله عليه وآله وسلم . مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَاللَّفْظُ لِلْبُخَارِيِّ. أخرجه البخاري في الصحيح، کتاب : المغازي، باب : غزوة أحد، 4 / 1486، الرقم : 3816، ومسلم في الصحيح، کتاب : الفضائل، باب : إثبات حوض نبينا صلي الله عليه وآله وسلم وصفاته، 4 / 1796، الرقم : 2296، وأبوداود في السنن، کتاب : الجنائز، باب : الميت يصلي علي قبره بعد حين، 3 / 216، الرقم 3224، وأحمد بن حنبل في المسند، 4 / 154، والطبراني في المعجم الکبير، 17 / 279، الرقم : 768، والبيهقي في السنن الکبري، 4 / 14، الرقم : 6601، والشيباني في الآحاد والمثاني، 5 / 45، الرقم : 2583.
  10. aap nay apnay article main jo ayaat likhi hain tau un kay baaray main arz yeh hay keh unn ayaat ko parh kar tau aur bhi yaqeen ho gaya keh yeh kissi kharji zehan ka karnaama hay. aap nay Surah yousuf ki ayat number 106 ka zikr kiyya. tau iss kay baaray main jitnay bhi aqwaal miltay ahin woh yehi ain keh yeh ayat Mushrikeen .munfiqeen aur yahood o nasaara kay baaray main nazil hui. aur agar aap ka khyaal yeh hay keh nahi yeh muslmanon kay baaray amin hay tau phir mujhay aap yeh bata dian keh woh kaun kaun say sahaba thay jin kay baaray main yeh ayat nazil hui??? وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُمْ بِاللّهِ إِلاَّ وَهُم مُّشْرِكُونَ ‌[12-106] اور ان میں اکثر وہ ہیں کہ اللہ پر یقین نہیں لاتے مگر شرک کرتے ہوئے Tafseer ibn e Abbas main hay keh (And most of them) the people of Mecca (believe not in Allah) deep in their hearts; it is also said that this means: they do not believe in the worship of Allah (except that they attribute partners (unto Him)) openly. imam Jalal ul Deen Suyuti rehmatullah alaih tafseer Jalalain main iss ayat keh tehat likhtay hain And most of them do not believe in God, such that they might affirm that He is the Creator and the Sustainer, without ascribing partners, to Him, by worshipping idols; which is why, when crying their [ritual] response to God, they used to say: 'At Your service, no partner have You, save a partner that belongs to You; You possess him and all that he possesses', meaning it [when they said it].(As opposed to the proper talbiya performed by Muslims during the Hajj from the moment of ihrām to the Day of Immolation. The standard form of the tabliya is: labbayka
  11. Shoaib sahib aap ka article parh kar tau yeh lagta hay keh yeh kissi kharji nay apni kharjiyyat ki masti main likha hay keh saari duniya keh msul;man mushrik ho gaye hain aur bus thorray say hee Muwahid bachay hain. anywayz aap ko poora poora huq hay keh aap muslmanon ko mushrik banain aur uss kay liye quran o hadees say saboot bhi paish karain. laikin iss main yeh khyaal rakhain keh iss main aap saari duniya keh muslmanon ko mushrik kqarar daitay daitay apnay aap aur apnay firqay kay doosray loggon ko bi mushrik na bana dain. kiun keh aap loggon kay kufro shirk kay fatwaon say kasar aouqaat aisa hee hota hay keh uss ki zadd main Aaima , Muhadiseen,Mufasireen, Sahaba aur aksar auqat Rasool bhi aajatay hain. aur aap ki aik baat mujhay buhat pasand aai keh aap nay kissi bhi behas main phansnay say pehlay hee unn kitabon say braat ka izhar kar diya jo aap kay firqay ki asaas aur bunyaad hain. for example Molvi ismail dehlvi ki kitaab Taqwiyyatul Iman jo keh uss nay apnay taor par Quran o hadees ko samnay rakh kar likhi thi. aur jo kuch gustakhian uss kitaab main uss nay ki hain main uss ki taraf nahi jaan chahta. laikin aik baat yeh kehna chahoon ga keh aap ka har Aalim yeh dawa karta hay keh uss ka Manhaj Quran o hadees hay aur uss ki kitaabon main ussi ki tableegh hay. laikin us skay mar kar mitti ho janay kay baad aap uss say mukar jaatay hain keh jee uss nay jo kuch likha hum uss kay zimma daar nahi. ytau yehi au hum kehtay hain keh tumharay aalim jo kuch dawa kartay hain qurano hadees ka woh uss daway main sachay nahi hotay. kiun keh aagr woh theek hon tau aaj tum logg unn ki kitabon say iss tarah baraat ka izhar na karo. taqwiyyatul Iman aap ki woh kitaab hay jis par kiye gaye aiterazaat a jawab dainay kay liye aaj tak aap kay ullma haath paon martay rahay hain. shaid issi liye keh unn kay nazdeek uss kitab amin jo kuch likha hay woh saheeh hay aur uss main kuch ghalat nahi kiun ka uss ka source quran o hadees hay. iss liye main ussi kitab say aik hadees aap ki nazar karna chahta hoon jis main aap kay Piyaray Shaheed nay apnay samait tamam duniya keh muslamnon ko mushrik qarar diyya hay. tau jub aap kay Shah ismail dehlwi ki Hadees ki tashreeh say duniya main koi muslan nahi bacha tau phir aaj kay yeh mUwahid kahan say paida ho gaye aur yeh koi anokhi baat nai hay. hazrat Muhammad sallalaho alihe wasallam nay aaj say 14 sadian pehlay hee iss fitnay say aagah kar diyya tha jo Muslmanon ko mushrik qarar day ga. aur jub main iss tarh kayy articles aur books parhta hoon tau mujhay MUKHBAR E SADIQ Hazrat Muhammad Sallalaho alaihe wasallam kay Ilm e ghaib ka kaamil saboot mil jaata hay . aap bhi yeh hadees parh lain. shaid aap ki bhi ghalat fehmi door ho jaye keh Mushrik kaun hay??? fatway lagaanay wala ya jis par fatwa lagaaya jaata hay. عَنْ حُذَيْفَةَ رضي الله عنه قَالَ : قَالَ رَسُوْلُ اﷲِ صلي الله عليه وآله وسلم : إِنَّ مَا أَتَخَوَّفُ عَلَيْکُمْ رَجُلٌ قَرَأَ الْقُرْآنَ حَتَّي إِذَا رُئِيَتْ بَهْجَتُهُ عَلَيْهِ وَکَانَ رِدْئًا لِلْإِسْلَامِ غَيْرَهُ إِلَي مَاشَاءَ اﷲُ فَانْسَلَخَ مِنْهُ وَ نَبَذَهُ وَرَاءَ ظُهْرِهِ وَ سَعَي عَلَي جَارِهِ بِالسَّيْفِ وَرَمَاهُ بِالشِّرْکِ قَالَ : قُلْتُ : يَا نَبِيَّ اﷲِ، أَيُّهُمَا أَوْلَي بِالشِّرْکِ الْمَرْمِيُّ أَمِ الرَّامِي قَالَ : بَلِ الرَّامِي. رَوَاهُ ابْنُ حِبَّانَ وَالْبَزَّارُ وَالْبُخَارِيُّ فِي الْکَبِيْرِ، إِسْنَادُهُ حَسَنٌ. أخرجه ابن حبان في الصحيح، 1 / 282، الرقم : 81، والبزار في المسند، 7 / 220، الرقم : 2793، والبخاري في التاريخ الکبير، 4 / 301، الرقم : 2907، والطبراني عن معاذ بن جبل رضي الله عنه في المعجم الکبير، 20 / 88، الرقم : 169، وفي مسند الشاميين، 2 / 254، الرقم : 1291، وابن أبي عاصم في السنة، 1 / 24، الرقم : 43، والهيثمي في مجمع الزوائد، 1 / 188، وقال : إسناده حسن، وابن کثير في تفسير القرآن العظيم، 2 / 266.
  12. Malnang tum nay kitnay araam say keh diyyya keh inn ka jawab day diyya hay gakhravi nay jab keh uss kay jawabat ka rad kiyya gaya hay. uss nay wohi kuch likha hay jo tum nay likha keh woh gangohi ka fatwa nahi hay, uss nay imkan e kizb kay qail ko kafir kaha hay. etc etc. tau tum yeh sabit kar dau keh woh waque kizb wala fatwa gangohi ka nahi hay. tumhara gakharwi bhi yehi baawar karwany ki koshsish mian raha hay keh woh naqli fatwa tha mangharrat tha etc etc. agar woh naqli tha aur gangohi ka nahi tha tau tumhara gangohi itna arsa chup kiun raha aur us skay mar kar mitti main milnay kay baad tum loggon nay shor micha diyya keh woh tau hamaray gangohi ka nahi tha. aur bilfaraz agar woh fatwa asla na hota tau tum deobundion jaisi muqadma baaz qaom Sunnion par case kiye bina kaisay reh sakti thi. aaj bhi writing experts say woh fatwa check karwaay ja sakta hay keh woh tehreer gangohi ki thi ya nahi. aar waisay bhi fatwa rasheediya wala fatwa tau 1307 hijri ka hay aur waqu e kizb wala fatwa 1308 hijri ka hay tau phir mustanid tau wohi ho ga jis ko gangohi nay baad main tehqeeq kar kay diyya aur apnay pehlay walay fatway ko mansookh kar diyya. aur bhai new baat thum kaya karain Imkan e kizb kay aqeeday ki bida'at aap kay Imam ul mubtadeen Ismail dehlvi nay start ki thi aur rasheed gangohi nay uss kay marnay kay baad uss aqeeday ko zinda kiyya tha . iss khabees aqeeday ki bunyad rakhnay wala ismail dehlvi tha ji nay apni kitaab yakroza main likha keh "Na nuslim keh kizb mazkoor muhaal bamani mastoor bashad(hum nahi maantay keh ALLAH ka jhoot bolna muhaal hay) aur gangohi nay ussi ki taid braheen e qatia aur apnay fatway main kar di. abb agar zuriyyat e ismaili main koi dam hay tau phir AalaHazrat ki kitaab Subhan ul Sabooh ka jawab likh dau. http://www.alahazratnetwork.org/modules/sm...keywords=subhan agar tumhari yeh ghalat fehmi hay khe gakharwi nay sialvi sahib ki baaton ka jawab day diyya hay tau aap meharbaani kar kay inn ka jawab day dain.
  13. mazrat chahta hoon keh main kuch dair say reply kar raha hoon. aur topic kaheen ka kaheen nikal gaya hay. anywayz shoaib agar Aqaid par baat karna chahta hay tau phir behtar yeh hay keh hum ALLAH ki zaat e paak kay baaray main aqaid discuss karain . Sub say pehlay tau yeh yaad rakho keh gumraah honay par koi pabandi tau nahi hai. agar aik ANTIHADEES molvi apnay hee molvi ki PAISHEEN GOI kay mutabiq ANTIHADEES SAY QADIYANI HO SAKTA HAY (hawala day doon kaya???) aur yeh antihadees say qadiani maloom hay kis ki gustakhi ki wajah say huwa tha............Imam e Azam Abbu Haneefa(ra) ki gustakhi karnay ki wajah say. jub Antihadees Munazir Sadiq kohati Shia ho sakta hay tau phir agar koi aisa shakhs jis ko apnay mazhab kay baaray main ilm nahi tau agar aisa barelvi kissi antihadees kay dhokay main aakar Sunni say antihadees hho jaye tau phir iss main kaya tension hay. bus Bukhari Shareef say apni marzi ki kuch hadeesain hee dikhani hoti hain keh yeh daikho yeh kay likha hay aur tum kaya kartay ho aur uss ki apni marzi say tashreeh karni hoti hay bys. aur woh bhi baghair tehqeeq kiye keh mai jo pehlay karta tha uss kay kaya dalaail hain antihadees ki baat maan lay tau phir koi kaya kar sakta hay. aap tau jazbaati ho gaye hain. main nay iss liye raffa yaddain kay liye Qauli Hadees mangi thi kiun keh Muslim Shareef ki saheeh ahadees main RASOOL ALLAH(saw) nay rakoo walay raffa yaddain say manna kar diyya hay. RASOOL ALLAH(saw) nay NAMAZ kay start walay rafa yaddain ka hukm diyya hay . Hazrat Abdullah Ibne Abbas(ra) aur Hazrat Abdullah Ibne Umer(ra) say riwayat hay .RASOOL ALLAH nay farmaaya keh" 7 jagah haath uthaye jain. Namaz shiru kartay waqt, ka'ba shareef kay samnay munh kartay waqt, Safa aur Marwa ki paharrion par, aur dau(2) moqaf Minna' o Muzdalifa hain aur donon Jamron kay samnay. iss hadees ko Allama Bazaz nay Almasnad,Imam Ibne Abi Shaiba nay Almusannaf,Imam Bukhari nay alAdab ul Mufrid main, Imam Hakim nay AlMustadrak main naqal ki hay. Imam Baihaqi aur Imam Tahaavi aur Imam Bazzaz nay bhi naqal ki hay. kuch riwayaat main Eidain ki namaz ka zikr bhi aata hay Hafiz Haissmi rehmatullah alaih bayan kartay hain Hazrat Abdullah Ibne Abbas(ra) aur Hazrat Abdullah ibne Umer(ra) say riwayat hay keh RASOOL ALLAH(saw) nay farmaaya keh 7 muqamat par hath uthaye jain. Namaz start kartay huway,ka'ba shareef main dakhil hotay waqt, Saffa par, amrwa par, Arfat kay maidan main,Muzdalifa main aur rammi jammar kartay huway. Imam tibrani nay iss hadees ko Muajam Kabeer aur Muajam Oast mian riwayat kiyya hay. Majma ul Zawaid vol_3 pg.238 Published DarulKitab Arabi 1402 hijri. Majma ul Zawaid vol_2 pg.103 Published DarulKitab Arabi 1402 hijri. Musannaf Ibn e Abbi Shaiba Vol_1 pg.236-237 Publishde idara Quran Karachi 1406 Hijri Iss kay ilawa Imam Tibrani nay marfuu'an riwayat kiyya hay keh RASOOL ALLAH nay farmaaya keh 7 jagah haath uthaye jain. Namaz kay shiru main takbeere tehreema kehtay waqt, qunoot ki takbeer kehtay waqt, aur Eidain ki takbeer kehtay waqt, ka'ba shareef main dakhil hotay waqt, Marwa ki paharri par, jub Arfa kay din wuqoof karay aur jamratul Aqba ko rammi karay baqi yeh keh main uss rafa yaddain ka zikr kar raha hoon jis ko aap Sunnat e Namaz samjh kar rukoo main jaatay aur wapis aatay huway kartay ho.Eidain aur Witr kay rafa yaddain Sunnat e rukoo nahi balkeh Namz e Eid aur Dua e Qunoot ki sunnatain hain. iss liye eid main aik raka't main 3 bar rafa yaddain hota hay aur witr main rukoo say pehlay nahi balkeh Dua e Qunnoot say pehlay hota hay. jaisay Eidain ki namaz main Khutba jamat waghaira aur Witr main Dua e Qunoot ,3 raka't waghaira khusoosi sifat hain issi tarh 6 takbeerain aur 6 raffa yaddain eidain ki khusoosiyat hay. agar tum Namaz Panjgaana ko Eidain aur witr par qayaas kartay ho tau phir hur Rukoo par 3 dafa rafa yaddain kiyya karo aur hur namaz main dua e qunoot parha karo jee naaf kay neeche haath bandhnay kay liye tau aap yeh article parhain yeh khaas aap kay liye hee hay jo aap seenay par hath baandh kar kharray ho jaatay ho. inn main bukhari shareef ki ya sehaah sitta main say koi hadees nahi milti. aap issi ka jawab lay aain. http://www.islamieducation.com/library/art...id28/index.html hur Hadees e fa'li say sunnat sabit nahi hoti. kiun keh iss main yeh ehtamaal hota hay keh shaid yeh RASOOL ALLAh(saw) ka khaasa ho, ho sakta hay mansookh ho, ho sakta hay ibtadae islam ki bata ho. issi tarah Hadees e fa'li main buhat see aisi cheezain hain jo RASOOL ALLAH(saw) kay liye jaiz hain laikin ummat kay liye najaiz hain. jaisay keh chaar say ziada azwaaj ka RASOOL ALLAH(saw) kay nikah main aik waqt main hona. aur Bukhari shareef main hay keh RASOOL ALLAH(saw) apni nawasi Umama binte Zainab ko utha kar namaz parha kartay thay. laikin iss ko koi bhi apnay liye sunnat nahi samjhta. Hadees e Fa'li main tau yeh bhi aaya hay keh RASOOL ALLAH (s) Hazrat Jabir bin Sumra(ra) ki hadees ka jau mafhoom hay woh tau ss munazira main Sunni Hanfi Munazir nay aap kay munazir ko bata diyya hay abb aap kay pass kaya mafhoom hay woh aap bata dain.
  14. shoaib tumhain ahlehadees hona mubarik ho. yeh buhat purani story ho gai hay keh main aaj say 3 saal pehlay apnay muhallay keh antihadees molvi say bhi yeh sun chuka hoon khe jee mera saara khandan barelvi hay main tehqeeq kar kay iss daldal main uttra hoon waghaira waghaira baqi Molvi Sadiq Kohati ko tau jaantay ho gay tum jo keh SABIQA DEOBUNDI MUNAZIR tha aur phir gumraahi main aik step aagay barh kat ANTIHADEES ban gaya aur uss kay baad gumraahi kay aglay darjay mian ja kar SHIA ho gaya. abhi uss ka taraqi ka safar jaari hay. agar woh issi tarh taraqi karta raha tau agla step QADIYANIYYAT hee ho ga. saheeh kaha ilzam tarashian daleel nahi hoti laikin agar unn kay saath saboot mojood haun tau woh ilzam nahi hotay balkeh uss ko haqeeqat kehtay hain. jee issi liye Antihadees munazir hamasha RAFFA YADDAIN kay munazira haar jaatay hain kiun keh aap ke pass behtar daleel hoti hay keh hum nay nahi man'na kuch bhi. jaisay tumhara Mubashir rabbani haar gaya tah Maulana Abdulkarim naqshabandi say aur tumhara qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mufti Ashraf Asif jallai say. aur jis tarah qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mustaf rizvi say . woh issi liye haar jaatay hain kiun keh unn kay pass daleel buhat mazboot hoti hay mukhalif ki nisbat.lolzzzzzzzzzzz aur yeh munaziar bhi agar parha hota tum nay tau iss tarh na likhtay keh jee humaray pass behtar daleel hay . Agar hay tau mujhay aik saheeh Qolli hadees dikhao Sehah Sitta say keh RASOOL ALLAH nay NAMAZ main raffa yaddain karnay ka hukm diyya hau. agar hay koi hadees tau paish karo RASOOL ALLAH ki poori zindagi ka koi aik lamha tau ho ga na jub RASOOL ALLAH nay Rafa yaddain karnay ka hukm diyya ho ga. hum bhi yaheen hain aap say baat karnay kay liye. aur aap ko koi ban nahi karay ga . haan agar aap nay abusive language use ki tau phir aap ko warning di jaye gi aur agar aap nay phir kuch kiya tau phir kuch action liya jaye ga. laikin mujhay umed hay keh aap yahan baat cheet karain gay aur pehlay walay antihadeeson aur deobundion ki tarah bhaag nahi jain gay aur na hee yeh kahain gay keh MERA KAWWA TAU SAFAID HAY tum jo marzi daleel day lau. Hum baat karnay ko tyaar hain laikin Pehlay usooli masail par baat ho gi aur phir faroi par. ya jaisay tum chose karo
  15. shoaib tumhain ahlehadees hona mubarik ho. yeh buhat purani story ho gai hay keh main aaj say 3 saal pehlay apnay muhallay keh antihadees molvi say bhi yeh sun chuka hoon khe jee mera saara khandan barelvi hay main tehqeeq kar kay iss daldal main uttra hoon waghaira waghaira baqi Molvi Sadiq Kohati ko tau jaantay ho gay tum jo keh SABIQA DEOBUNDI MUNAZIR tha aur phir gumraahi main aik step aagay barh kat ANTIHADEES ban gaya aur uss kay baad gumraahi kay aglay darjay mian ja kar SHIA ho gaya. abhi uss ka taraqi ka safar jaari hay. agar woh issi tarh taraqi karta raha tau agla step QADIYANIYYAT hee ho ga. saheeh kaha ilzam tarashian daleel nahi hoti laikin agar unn kay saath saboot mojood haun tau woh ilzam nahi hotay balkeh uss ko haqeeqat kehtay hain. jee issi liye Antihadees munazir hamasha RAFFA YADDAIN kay munazira haar jaatay hain kiun keh aap ke pass behtar daleel hoti hay keh hum nay nahi man'na kuch bhi. jaisay tumhara Mubashir rabbani haar gaya tah Maulana Abdulkarim naqshabandi say aur tumhara qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mufti Ashraf Asif jallai say. aur jis tarah qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mustaf rizvi say . woh issi liye haar jaatay hain kiun keh unn kay pass daleel buhat mazboot hoti hay mukhalif ki nisbat.lolzzzzzzzzzzz aur yeh munaziar bhi agar parha hota tum nay tau iss tarh na likhtay keh jee humaray pass behtar daleel hay . Agar hay tau mujhay aik saheeh Qolli hadees dikhao Sehah Sitta say keh RASOOL ALLAH nay NAMAZ main raffa yaddain karnay ka hukm diyya hau. agar hay koi hadees tau paish karo RASOOL ALLAH ki poori zindagi ka koi aik lamha tau ho ga na jub RASOOL ALLAH nay Rafa yaddain karnay ka hukm diyya ho ga. hum bhi yaheen hain aap say baat karnay kay liye. aur aap ko koi ban nahi karay ga . haan agar aap nay abusive language use ki tau phir aap ko warning di jaye gi aur agar aap nay phir kuch kiya tau phir kuch action liya jaye ga. laikin mujhay umed hay keh aap yahan baat cheet karain gay aur pehlay walay antihadeeson aur deobundion ki tarah bhaag nahi jain gay aur na hee yeh kahain gay keh MERA KAWWA TAU SAFAID HAY tum jo marzi daleel day lau. Hum baat karnay ko tyaar hain laikin Pehlay usooli masail par baat ho gi aur phir faroi par. ya jaisay aap chose kar lain
×
×
  • Create New...