Jump to content

awrathore

اراکین
  • کل پوسٹس

    11
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ awrathore نے پوسٹ کیا

  1. mein bhi behes nahi kar raha, asan lafzon mein samjha raha tha. meri post shuru jin lafzon se ho rahi hai woh to parh lete .
  2. ap ki jahalat pe jitna bhi hansa jaye kam hai... humare usool, tumhare usool, is k usool, us ki usool, falane k usool...sari duniya ko usool samjhane se pehle usool khud to samajh lo abu jahal pvt. ltd k c.e.o. biddat ibadat mein hoti hai, dars-o-tadrees mein nahi hoti uncle tom.hum per jo etirazat tum ne oopar kiye hein un mein se koi bhi cheez ibadat k zumre mein nahi aati jab k tumhari jitni bhi cheezein oopar likhi hui hein sab ki sab ibadat k zumre mein ati hein. usool ki baatein kar raha hai jahilon ka bay taj badshah hahahhahhahahhhhahahahahahhaha. tumhari is post se tumhari deen se kitni ragbat hai aur tum deen ko kitna samajhte ho pata chal gaya. ab apni bewaqoofi per matam karo aur khud hi apne aap per lanat malamat karo... q k tum ne jo ehmaqana harkat ki hai us per na chahte huwe bhi tumhein sari zindagi sharminda hona pare ga. aur han mehmano k sath bad sulooki, gali galoch aur bura bhala kehne per huzoor(saw) ki jo hadeesein hein woh bhi parh lena nam nihad ashiq-e-rasool(saw) umeed hai agli bar apne bewaqoofana comments pass karne se pehle kisi se proof reading karwa loge tum.
  3. is mein ek fatway ko chor kar baqi sare fatway arsa-e-daraz se deoband ulama free mein de chuke hein, koi bewaqoof hi hoga jo in fatwon k liye paise de ga. issi se andaza ho jata hai k yeh khabar kitni sachi hai. aur isi se yeh bhi pata chal jata hai k ap log bhi star news aur doosre indian channels se kitne inspire hein k woh jo bhi ulti seedhi hankte hein ap ankhein band kar k age baat barha dete hein. ap k liye kuchh madni phool paish kar raha hoon, inayat farmaayein. gheebat aur bohtan mein farq gheebat = kisi ka sacha aib zahir karna (gunah-e-kabeera) bohtan = kisi ki zaat k saath jhoot mansoob karna (gunah-e-kabeera) ALLAH ne dono hi cheezon se mana farmaya hai. yahan mein gheebat ki thori si wazahat kar doon. jo kisi doosre bande k aib kholta hai aur usko zamane mein be izzat karta hai to ALLAH us k aib ki b pardah darinahi karta aur woh bhi zaleel-o-khuwaar hota hai. ap logo ne tehqeeqat to ki nahi jaisa k zaahir ho raha hai post se aurap ne andhere mein teer chala diya jo k in dono gunahon mein se kisi ekpe to pakka lage ga. aayi samajh. nahi aayi hogi (mujhe is bat ka pakkayakeen hai). ashiq-e-rasool(saw) bante ho to kuchh huzoor(saw) ki baton per amal bhi karlo. rahi baat indian news channel ki aur akhbarat ki to un se bara dhokebaaz aur jhota to poori duniya mein koi nahi mile ga, mera in donoshobo se ta'alluq reh chuka hai. kher mein search kar raha hoon k asalhaqeeqat kya hai. jaise hi kuchh stuff haath aaye ga ap se share karoonga.
  4. ohoo bachane wale bhi aa gaye aur apni ghatiya zaban bhi istamal kardi...hehehe, yehi hai madani mahol ap ka. munne hatt-ti q hai. tumhareaqeeday ka hi to zikar kiya hai mein ne. jal bhun k kabab q ban raheho. jab har cheez huzoor(saw) k naam kar di hai to phir poochhne mein kya harj hai. seedha seedha yeh q nahi kehte k aisa mumkin nahi. kher ab shuru ho hi gaya hai to phir is bat ko age barhate hein. pehleto mujhe yeh batao k tum barelviyon ki nazar mein qurani ayat aurahadees mein se muqaddam kya hai. in dono mein se kis ko pehle tarjeehdo ge? apni na hankna, apne mufti ki batana. phir INSHALLAH scene onhoga. pehle is sawal ka jawab de do. P.S. yeh last post mein sab se pehle wali tasveer apne kis madani qadri ki book se lagai hai? nam bata dena.
  5. agar mazaq karna hai to mazaq wala jawab bhi sun lo... agar zara si b aqal hoti to yeh sawal ap kisi dayi se poochhte . ab serious jawab sun lo. ap logo k aqeeday k mutabiq to huzoor(saw) hazir o nazir bhi hein, aalim-ul-gaib bhi hein, mukhtar-e-kul bhi hein to ap un se hi poochh lein. deobandiyon ki taraf se to yehi jawab hai k surah-e-luqman mein 5 guyoob k ilm ka zikr hai aur woh sirf aur sirf ALLAH hi ko pata hein. un mein se ek yeh bhi hai jis ka ap ne sawal kiya hai. umeed hai k yeh jawab ap ko hazam ho jaaye ga, agar na ho to hashmi ispaghol boosi lo.
  6. ap log haq ki bat karte ho to phir ap ko is mein se sirf ek hi fatway ki bat karni chahiye thi jo k "miyan bivi ka sath sona hai" aur isi per aiteraz karna chahiye tha jo k ap ne kiya nahi aur bugz mein sab baton ko lapete mein le liya. kya yehi haq hai, kya yehi taleem huzoor(saw) ne di hai? agar haq per khud ko mante ho to highlight karna chahiye tha k falan fatway ko deobandiyon ne chand paison ki khatir jari kar diya. poori khabar ko highlight kar k ap ne haq nahi bugz show kiya hai. yahan adhi ghalati ap ki bhi hai. kam az kam isi ko tasleem karlo.
  7. double bed wali bat se to mein bhi agree nahi karoon ga aur us per meritaraf se bhi ehtijaj hai (agar yeh khabar sach hai to) q k is news meinek baat qabil-e-gor hai k "kissi saajish k nazar ane per channel kkhilaf b muqadima kiya jaye ga" to us k bad kya hua wali report bhidekhna zaroori hoga. lekin us k ilawa mujhe koi yeh bataye k ap sab baqi baton k bhi khilaaf hein? kya ap ki nazar mein 1)tv aur khas tor per movies dekhna (kisi bhi tarah ki movie ho, chahefahashi ho ya be pardigi ho) jayiz hai? agar hai to quran aur hadees sesabit karein. 2) larkiyon se dosti karna jayiz hai? agar hai to quran aur hadees se sabit karein. 3)bank se qarz lena aur credit card (jis per sood ada karna parta hai)istamal karna jayiz hai? agar hai to quran aur hadees se sabit karein. agar ho sake to apne jawabat k sath sath apne muftiyan k fatwe bhi yahan laga deejiye ga. bari nawazish hogi. @hamasawi>>> apne kisi alim ya mufti se yeh zaroor poochh leejiye ga k kisi jandar ki tasveer banana, dekhna, kisi jagah per lagana wagaira k bare mein ahlesunnat wal jama'at ka kya fatwa hai? mujh per itna ehsan zaroor keejiyega. umeed hai k ap sab ki taraf se jawabat tafseel se milein ge.
  8. yaar ap sab se ek sawal hai. agar koi alim ya mufti is poore forum per majood hai to plz meri post k baad reply kar k apni mojoodgi confirm kare. aur agar yahan koi nahi to hum mein se kisi ko bhi is topic per behes karne ki ijazat hi nahi q k hum aam log ulama k level pe nahi pohonch sakte. agar pohonch sakte hote to phir ghar ghar mein mufti betha hota aur masajid veeraan hoti. yeh to ghair muqallideen wali harkat hogayi k sab kuchh khud solve karo. itne bare aur nazuk topic ko yahan beth kar solve karne ki jo koshish kare ga woh apne eemaan se haath dho bethe ga. meri aap logo se request hai k kam az kam kuchh ulama k liye bhi chhor do aur agar munazir banne ka itna hi shoq hai to sab k sab ja k aalim k course mein admission lo. im not favoring any deobandi or barelvi. im talking in general. jis ne ghalat kiya qayamat wale din jawab de ga. ap logo mein se koi bhi kisi aur ki ghalati ka na to azab bhugte ga aur na hi ap logo se is fatway k bare mein sawal hoga qabr mein. so kindly just cut this crap. tafarqa phelane wali baton se bachein. dhoodh ka dhula to koi b nahi, agar yahan per rasheed ahmed ghanghoi ko ap uchaal rahein hein to phir jawab mein ahmed raza khan ko bhi uchala ja raha hai. kam az kam apne buzurgon ki hi izzat ka lihaz kar lo. dono fareeq khayal kar lein thora sa yeh meri ap logo se darkhuwast hai. umeed hai k ap logo ki samajh mein meri baatein aayi hongi.
  9. asan lafzon mein samjhata hoon. ho sakta hai k mein ghalati per hoon, agar aisa hai to kindly mujhe point out kar k asal baatein clear kar deejiye ga. agar ala hazrat ka kiya hua tarjuma bilkul perfect hai (bakol ap k) to phir in sawalat ka jawab de dein. meherbani hogi. ALLAH ne duniya banayi, insaan ko duniya mein utara aur usey aqal di ta k woh kher o shar / haq o batil k darmiyan farq kar sake. sath hi shetan bhi duniya per phenka gaya. ab shetan ka kam behkana hai aur insan ka kam us ka datt kar muqabila karna hai, us ko maat deni hai aur haq per chalna hai. yehi ALLAH ka hukum hai. ALLAH ka kam seedha raasta dikhana hai, chalna insan ne khud hai, agar yeh ikhtiyar insan k paas na ho to 1) insan ko aqal se q nawaza gaya? 2) jaza aur saza, jannat aur jahannum phir kis liye hai? 3) phir anbiya (alaihemus salam) q bheje gaye qomo per? 4) asmani kitabein q nazil hui? janab "seedhi raah per chala" aur "seedhi raah per sabit qadam rakh" dono mukhtalif batein hein. "seedhi raah per chala" k matlab se to ap insan ko be ikhtiyar sabit kar rahe hein q k is mein insan ki to koi bhi effort lagti hui nazar nahi aa rahi. zara is baat ko gor se parh kar is ki wazahat kar deejiye ga. "seedhi raah per sabit qadam rakh" se murad yeh hai hai k "ay ALLAH humein itni quwat aur samajh ata farma k hum shetan ka behkawe mein ane se bach sakein, haq or batil ko samajh sakein aur akhiri saans tak teri ata'at karte rahein aur humara khatma eemaan per hi ho." agar bareek beeni se dekha jaye to sabit qadmi ki dua mein bhi sahi aur ghalat ko chunne k ikhtiyarat insan k paas hi hein. insaan jab shetan k behkawe mein aa kar koi gunah karta hai aur agar bil farz ALLAH ghazab naak ho jate hein to ap khud hi batayein k us waqt insan per farishte utare jate hein k "ALLAH keh rahe hein k sudhar jao, ab bhi waqt hai" ya phir woh apne is gunah ki waja se kisi museebat mein phans jata hai aur phir ALLAH se tauba karta hai to woh museebat talti hai. samjhane ka maqsad yeh hai k ALLAH ki taraf se insan ko har waqt ishare milte hein, bas samajhne ki dair hai. im asking u once again clear me if im wrong. JAZAKALLAH
  10. in tamam cheezon k mukarrara waqt per ada karne ka agar koi deobandi munkir hai to yahan dalail k saath saabit karein. umeed hai k ap ki taraf se tafseeli jawab mile ga. 1: Shab e Jummah ... bidat nahi hai? 2: Say Roza .... Bidat nahi hai ?? 3: 40 din ka chilla .. Bidat nahi hai? 4: Raiwind Ijtimah..... Bidat Nahi Hai ? 8: Thanvee ja Angraiz se 600 RS monthly lena .... Bidat nahi hai? in mein se ek point bhi proof k saath sabit karo k deobandi ise zarooriyat-e-deen samajhte hein aur na karne wale ko gunahgar kehte hein? ap k jawab ka be sabri se intezaar rahe ga!!!!!
  11. un books tak rasaai mumkin hoti to ap se q poochhte is bare mein? direct na dekh lete. scan laga do ap ka kya jata hai.
×
×
  • Create New...