Jump to content

Attari.Baba

اراکین
  • کل پوسٹس

    6
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Attari.Baba

Attari.Baba's Achievements

Rookie

Rookie (2/14)

  • First Post
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In
  • Conversation Starter

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Dear Abdul Rehman Sb. Asslam O Alaikum, May pichlay 8 saal say shaikh ameen sb.or unk bohat say mureedo ko janta hoon. unk 2,3 mureed meray bachpan k langooty yaar hain. or wohi mujhay pehlay karachi may unk peerbhai janab Ghulam Rasool bhai k haan legai thay or mujhay bait may shamil karlia tha usk baad mujhay multan janay ka zor dia to may apnay dosto k saath shaikh sb.say milnay multan chala gaya k jakar dekhoon k ye kaisa silsila hay. May 2 martaba multan shaikh sahab k haan gaya hoon. unki cds bhi suni hain or unk mureedon k ahsasat apnay peersahab k liay bhi janta hoon. aapnay apni post may takabbur ka zikr kia hay k takabbur sirf Allah Taala ki zaat ko zaib deta hay or koi insaan takabbur karay to wo tabah hojata hay or ye bohat bara gunah bhi hay. May aap ko ye batana chahta hoon k aap k shaikh sahab may takabbur ka samander mojood hay. or may iska suboot aap ko isi website may deraha hoon.jis ka address ye hay Islamimehfil.info...General Islami Mehfil...Munazra & Radde Badmazhab...Sulah Kulliyat...Munafiqat of Ghustakheidrisi exposed....Page 2 Post # 38 Is post may jo waqea mainay likha hay wo meray idrisi dost nay multan may madarsa idrisia k bahar sunaya tha. zara is ko ghor say parhiay ga. or is k ilawa bhi may aap ko baad may chand haqaiq bhejoonga. Chalo maan laitay hain k mazarat per jana or mazarat ko maanna aik alag topic hay or kisi ki marzi k wo mazarat ko manay ya na manay. is waqea k mutabiq to aap k shaikh ameen sahab takabbur ki akhri manazil ko choo rahay hain, wo itnay baray hogai k wo olya karam jo aaj say sainkro saal pehlay is sarzameen per aaiy or apnay pegham say is sarzameen ko islam k kirno say munawwar kia.wo apnay mazar may say uthkar atay hain or shaikh ameen say kehtay hain k huzoor aap nay q takleef ki mujhay bulalia hota. agar aap ko is waqea per yaqeen nahi aya to may aap ko us idrisi dost ka address bhi batadoonga jis nay ye waqea mujhay sunaya tha.or mera ye dost karachi k ilaqe gulbahar may idrisi silsilay ka karta dharta hay. aap chahain to apnay idrisi bhaion say zara ye zaroor poochiayga k ye idrisi mazarat per q nahi jaatay. ye aap ko taalnay k liay kahaingay k ye shirk hay lekin jab aap is k jawab may daleel daingay to phir asal baat pata chalaygi ki q ye log mazarat per nahi jatay or shaikh ameen nay mazarat per janay say q mana kia hay. q k shaikh ameen kisi waliullah ko is qabil bhi nahi samjhta k wo unk mazar k samany say bhi ghuzray. baqi baatain aainda, lekin aik request hay k meri post ghor say parhiay ga or reply bhi kariay ga or is waqea per yakeen na aai to zaroor batana phir may kisi or tarah say aap ko mutmain karoonga. Allah Taala ham sab ko takabbur karnay or takabbur karnay walon ki mehfil may shirkat karnay say bachai, Ameen Wasslam ATTARIBABA
  2. Shaikh Ameen multan wala or Gadhay ki sawari Mera aik dost Pichlay dino Karachi k ilaqay Gulbahar Peetal Gali gaya, wahan usko apnay kisi azeez say milna tha jo k idrisi hay. usnay jo majra sunaya wo may uski zabani likhraha hoon. " Jab may apnay idrisi azeez jo k mera ham umer hay k ghar pohancha to pata chala samnay gali may jo taqreeb horahi hay wo wahan per hay. maloom kia to pata chala k yahan rehnay walay mukhtasar say idrisi aik taqreeb kar rahay hain. Taqreeb kia hay kis liay hay maloom nahi hua. mera azeez mujhay ander legaya apnay idrisi bhaion say taruf karaya. Menay us say poocha k taqreeb kia horahi hay yahan per to wo kehnay laga k tujhay abhi pata chal jaega. thori dair may menay dekha k tent may bethay huay larkay kehnay lagay k lay ao bhai ab lay ao time hogaya hay. mainay tajussus say dekha k ye kis ko kehrahay hain, dekha k aik ghar k kamray k beruni darwazay say aik Gadhay ko laya jaraha hay or uski halat batarahi hay k usko nahlaya dhulaya hua hay is k saath saath us Gadhay k galay may aik khubsoorat phoolon ka haar bhi dala hua hay. Mujhe ye dekh kar hansi bhi aai lekin jab unmay say 1,2 nay mujhe ghoor ker dekha to may nay apni hansi per qaboo palia. Menay chupkay say apnay azeez say poocha k ye kia horaha hay to wo kehnay laga k Shaikh Sahab ki taraf say taleem aai hay k Gadhay per sawari karo q k Hamaray Aqa ji (S.A.W.W.) nay bhi Gadhay per sawari farmaai hay. Mainay us say kaha k baat to bilkul theek hay k aisa karna Sunnate Rasool (S.A.W.W.) hay lekin istarah karnay ka kia matlab to wo kehnay laga k baat may bataoonga. Phir mainay ye dekha k wo idrisi bari bari us Gadhay per sawar hotay or usi mukhtasar say tent may jo k charo taraf say cover tha may gadhay per ghoomtay. Mainay apnay aziz say kaha k tent say bahar jakar tum log gadhay ki sawari q nahi kar rahay to wo bola k log mazaq uratay hain, hamaray 1,2 idrisi bhai raat ko 2,3 baje Lasbela say golimar chowrangi tak gadhay per sawari kar chukay hain, mainay us say kaha k raat k 2,3 baje q, din k ujalay may gadhay per sawari kar k dikhao to wo bola k hamara mazaq uraya jaega. Mainay usko jawab dia k ye kaisi taleem hay k sunnat ada karnay ka hukum dia jaraha hay or wo bhi istarah k raat k andheray may or tent k ander rehkar. Sunnat ada karna hay to din k ujalay may bhi karo, koi mazaq urata hay to uranay do to wo bola hamari baatain teri samajh may abhi nahi aaigi, too meray saath Ghulam Rasool bhai k haan chal phir too bhi yehi karega. Menay usko jawab dia k jo log Sunnat to ada karain lekin unko ye dar bhi ho k hamara mazaq uraya jaega to may aisay kisi bhi shakhs ko peer nahi manta. Peer to wo hota hay jo khulay aam Sunnat k dankay bajae or apnay mureedo ko bhi aisa karnay ka hukum day, Ye kehkar may us k pass say chala aya" Dekha aap nay in idrisio ka roop. Baqi aainda bhi inkishafat karoonga. aik baat or aap nay Ulmae Ahle Sunnat say suna hoga k Deobandi or Wahabi k sar per kabhi baal ziada din tak tik nahi saktay ganji tind inki nishanio may say aik nishani hoti hay, Idrisio ka bhi yehi haal hay in k shaikh sahab khud to 40 inch k baal rakhtay hain jo k khilafe Sunnat hay or apnay mureedo ko kuch dino k waqfe say ganja honay ka hukum detay rehtay hain or kehtay hain k uper say taleem aai hay. Allah Taala khud inko benaqab kar raha hay ham to sirf aik zarya hain, Is mozoo per aainda baat hogi , Insha Allah, Allah Hafiz
  3. Asslam O Alalaikum, ye waqea mujhe meray aik attari bhai nay sunaya jo may usi k alfaz may bayan kar raha hoon. " Meray aik dost ki wife ki tabeeat bohat kharab thi, wo hospital apni wife ko lekar gaya to pata chala k uski wife ka emergency operation karna parega warna jaan janay ka khatra hay. uski wife hospital may behosh pari hui thi or usk paas itnay pesay bhi nahi thay k wo operation karwasakay. isi pareshani may usnay doctor or staff say ye kaha k aap operation karain may paiso ka intizam karta hoon, hospital ka staff us ki wife ko behoshi ki halat may operation theatre may legaya. is doran meray dost nay her us shakhs ko phone kia paison k liay jis say us ko umeed thi lekin thak har kar usko kaheen say bhi asra nahi mila, wo hospital say bahar PCO say phone kar k hospital agaya. Bohat hi ziada afsurda or thaka hua apnay aap ko bebas o lachar samjhtay huay jab wo operation theatre ki taraf chala ko kia dekhta hay k operation theatre ka darwaza khulta hay or us may say usk chaheetay BAPA JAAN Shaikhe Tareeqat Ameer e Ahlesunnat Baniay Dawate Islami muskurate huay bahar arahay hain or aisa lagraha hay k wo kuch nosh farmarahay hain, mera dost ye dekh kar heran pareshan apni jaga khara raha or uski zaban ko taala lag gaya. Ameer e AhleSunnat bahar ki taraf chal diay wo unk peechay gaya magar usko kaheen bhi wo nazar nahi aai. Wo phir operation theatre ki taraf bhaga, ander gaya to kia dekhta hay k uski wohi wife jo kuch der pehlay behosh thi strechure per bethi hui hay or kuch moo may chaba rahi hay, apnay shohar ko dekh kar muskuranay lagi, meray dost nay us say poocha k too kesi hay or Hazrat Sahab yahan kia karrahay thay to usnay kaha k mujhay kisi nay awaz di to meri aankh khul gai dekha to Hazrat Sahab kharay thay or kuch chaba rahay thay mujh say kehnay lagay k uthjao or apnay moo say gosht k tukra mujhe dia k ye khalo mainay wo gosht ka tukra lia or wohi may chabarahi hoon, ye kehkar Hazrat Sahab chalay gai or phir tum agai. Hospital ka Staff or doctor nay jab usko is halat may dekha to hakka bakka rehgai, us say poochnay lagay k tum kesay hosh may again to wo dono mian bv hansnay lagay, meray dost nay doctor say kaha k meri bv ka dubara checkup karlain to doctor herani k alam may uska checkup karnay laga or checkup karnay k baad kehnay laga k aap ki bv is waqt bilkul sahi hain, aap inko ghar lejasaktay hain" Ye hay meray murshid ka Faize Karam k apnay murreedon ko kabhi bhi tanha nahi chortay.Ya Allah meray BAPAJAAN ko lambi umer o sehat o tandrusti ata farma, Ameen Wasslam ATTARIBABA
  4. Tamam Islami Bhaion Ko Asslam O Alaikum, Menay Dawate-Islami k Salana Ijtema may shirkat k liay saray intizamat mukammal karliay thay, Office say leave bhi lelithi, BV Bachon ko susral may chornay ka program bhi banalia tha. Wesay to may kai martaba Multan Shareef Ijtima may gaya hoon, lekin is martaba jo khushi thi mujhe ijtema may jane ki uski waja mujhe bhi nahi maloom, lekin jab mujhe maloom hua k ijtema cancel hua hay jo may bayan nahi karsakta ya meray paas alfaz nahi hain is khaber ko sunnay k baad jo mera haal hua. Magar kia karoon may ye hukum ye faisla meray mohtram markazi majlise shoora k arakeen ka hay. Jo meray liay bohat motaber hain. Ijtema cancel honay ki waja bhi bohat maqool hay. Allah Taala hamaray Peer o Murshid ko, tamam majalis k jumla arakeen ko, tamam attari bhaion or bahno ko or Dawate Islami say mohabbat rakhnay walo ko hamesha apni hafiz o aman may rakhay, or Dawate Islami ko din gyarhwi or raat barhwi taraqee ata farmay, Ameen Allah Hafiz ATTARIBABA
  5. Anwar Bhai Asslam O alaikum, Aap jis tarah in idrisio ko be naqab kar rahay hain, wo qabil-e-tehsin hay. Allah Taala aap ko jazae khair ata farmaiy. Ye idrisi jhoot per jhoot bolay jarahay hain, aap k kisi sawal ka inlogo nay sahi or mutmain karnay wala jawab nahi dia. or ye mutmain kar bhi nahi saktay q k in ki bunyad hi jhoot per rakhi gai hay. Ye apnay shaikh ameen ko sunnat ka bohat bara paband kehtay hain, zara si samjh boojh rakhnay walo ko usk sar k balon ko dekh kar andaza hojaega k ye kitna pabande sunnat hay. apnay mureedeen ko gadhay per sawari karnay ka kehta hay, or mureedeen becharay apnay shaikh k hukum ki waja say gadhay per sawari to kartay hain lekin raat k andheray may wo bhi 2,3 baje k baad taa k koi unko dekh na sakay warna unka mazaq uraya jaega, menay khud in logo ko raat k andheray may 3 baje sawari kartay dekha hay, agar apnay shaikh ka itna hi hukum mantay ho to din k ujalay may gadhay per sawari kar k dikhao tab ham janain k tum ko Aqa ji (S.A.W.W.) ki sannat say kitna pyar hay. koi bhi shaikh ameen ka idrisi jo mujhe parhay wo iska jawab zaroor day k tum log gadhay per din may sawari q nahi kartay ho..................................q sharam ati hay ? ya dunya k samnay gadhay per baithtay huay mazaq urnay ka dar rehta hay ? ........hahahahahahahahahah.
  6. Shaikh ameen jo apnay aap ko idrision k peer samajhta hay darasal wohi hay jo meray bhai bar bar yahan batachukay hain, lekin idrision ki ankhon per gumrahi ki patti bandhi hay tabhi to kisi sawal ka dhang say jawab nahi detay. May idrisio ko bohat achi tarah janta hoon, multan bhi gaya tha, tab may ye nahi janta tha k ink kia aqaid hain. Mera aik dost mujhay multan legaya wahan per or bohat si baatain jo meray samnay ai theen wo kabhi or likhoonga, aik waqea jo meray idrisi dost nay mujhay bataya wo may yahan likhraha hoon, ye waqea idrisi dost nay mujhay is liay sunaya k menay us say kaha k multan aai huay hain to aisa kartay hain shaikh sahab k haan say farigh hokar multan k mazarat per hazri deletay hain to usnay meri baat ka mazaq uraya or kaha k ham log mazarat per nahi jatay meray istifsar karnay per usnay ye waqea bataya " aik martaba jab shaikh sahab karachi may hotay thay raat k waqt Clifton may Hazarat Abdullah Shah Ghazi k mazar k pass say ghuzar rahay thay, mureedeen nay kaha k huzoor aisa karte hain k mazar per hazri deletay hain, ye baat sun kar shaikh sahab ghussay may agai or kaha k bohat mazarat per janay ka shoq hay tum logo ko chalo may tum ko mazar per lekar chalta hoon. Ye kehkar Hazrat Abdullah Shah Ghazi (R.A.) k mazar k ahatay may agai, raat k taqreeban 12 baj rahe thay or aam din honay ki waja say rush bhi nahi tha, abhi apnay mureedeen k saath aadhi seerhian hi charhi theen k achanak mazar ki sari khirkian or darwaze band hogay, main darwaza khula or usmay say noorani buzurg hasti bahar aai, seerhian utarty huay shaikh sahab k pass aai, shaikh sahab ka haath chooma or kaha k huzoor aap nay q zehmat ki mujhay hukum dia hota may khud hazir hojata" Ye he wo waqea jo meray idrisi dost nay mujhay bataya, is say andaza lagalijiay k ye idrisi apnay shaikh sahab ko kia samajhtay hain or shaikh ameen apnay aap ko kia samjhta hay. Olya Karam k barain may aisay aqaid rakhnay wala kisi silsilay ka peer kia sunni kehlanay ka bhai haq dar nahi hay. Allah Taala ham sab sunni bhaion ko is idrisi fitnay say bachnay ki tofeeq ata farmay, Ameen, Wassalam ATTARIBABA
  7. I m ATTARIBABA, Age = 38,

  8. has not set their status

×
×
  • Create New...