Jump to content

alSaifiya

اراکین
  • کل پوسٹس

    300
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    10

سب کچھ alSaifiya نے پوسٹ کیا

  1. aur ek aur cheez adab se naam len Peer Saif ur Rehman Mubarik sahib keh ke baat kren wo ek bohot Bare sufi thi aur Allah ke wali thay . unke bare mein kisi aise se puchen jo unhen jante hen ya ilam rakhte hen . BANDA NA CHEEZ NE AISE SHARIYAT AUR TAREEQAT KE PABAND AUR AISE BULAND MUQAAM SUFI AAJ KE DOR MEIN NAHIN DEKHE YA SUNE ..
  2. asalam o alaikum sorry for the late reply main ab active nahin hota forum pe kher MUBARIK SAHAB SE UNKI ZAHIRI HAYAAT MEIN JAB PUCHA GEYA THA TO AAP NE FARMAYA KE MAIN HAZRAT MUJADID ALIF SANI REHMATULLAH ALYEH KE TABEH HUN AUR JAB WO FARMATE HEN KE GHOUS PAAK SE BARH KE KOI WALI NAHIN HO SAKTA TO MAIN KESE YEH SOCH SAKTA HUN . aur rahi Ghous Paak ke qadam Mubarik wali baat to shayad aap ke ilam mein nahin ke is mein sufiya ke do moqaf hen ek group maanta hai ke Ghous e Paak ka qadam mubarik aapke dor ke awliya ki gardano pe tha jo ke ek mashahoor waqiya hai jis mein awliya Allah ko kashaf ke zariye dikhaya tha ke Ghous paak sab se afzal hen aapka Qadam sab awliya ki gardano pe hai . to iske baare mein ek group kehta hai ke qayamat tak ke awliya ki gardano pe aapka Qadam Mubarik hai aur dusra kehta hai ke sirf jo unke dor ke awliya thay unki gardan mubarik ke liye hukum tha . is mein ikhtilaaf hai lekin hum sab Saifi Qadri silsila bhi follow krte hen aur is ke asbaaq bhi krtay hen is nisbat se hum sab Ghous e paak ke mureed hen . yeh sab cheezen ab purani aur bemaine hen jinki koi haqeeqat nahin lets move on aur un saifi sahab ko bolen apne main astaane lahore faqeerabaad se ruju kren aapki in sha Allah islah ho gi ..
  3. bohot khoob bhai jaan . ek mashwarah hai ke jab aap sikha rahay hain to tutorials mein Tasaveer ka bhi stemaal karen takeh parhnay walon ko samjhnay mein asani ho jaye .. JazakAllah
  4. Parh kar bohot khushi hui aur dil ko taskeen pohanchi . Baraye Meharbani Arabi aur Asal Fatway ka scan page upload kar den takeh hum dono Arabi aur apkay translation walay fatway ko apnay pass save kar len .
  5. Asalam O Alaikum Aap sab se ek guzarish hai ke yeh book ya isi tarah ki ek book mujhay chahiye online agar muyasir ho to mujhay link de dijiye : http://books.google.com/books?id=Zo84Xg6zAxIC&lpg=PT1&pg=PT1#v=onepage&q&f=false jitni jaldi ho sakay behtar ho ga kiyunkeh mujhay is tarah ki book ki bohot zaroorat hai ..
  6. 1- Kis ko dekha ye Moosa(AS) se poochay koi Aankh waalon ki himmat py lakhon salam bhai jaan yeh to bohot simple hai is mein Aala Hazrat ne Hazrat Musa Alyehi Salam ka Koh e Toor ka Waqiya aur Nabi Kareem Salalaho Alyehi Wasalam Ke Shab e Miraaj mein Allah Azwajal ke Didaar ki taraf ishara kiya hai . Hazrat Musa Alyehi Salam ne Jab Allah Azzwajal se Arz ki ke Maula Mujhay apna Didaar Ataa farma to Allah Azwajal ne Farmaya ke Musa Alyehi Salam Aap mujhay nahin dekh saktay aur phir farmaya ke us pahar ki taraf dekhiye Phir Allah Azwajal ne Apni Tajali Pahar par farmyi to woh Pash Pash ho geya aur Hazrat Musa Alyehi Salam Behosh ho gaye . Ulama ne Farmaya hai ke Yeh Allah Azwajal ki Sifati Tajali ka Asar tha jis ki Taab Hazrat Musa Alyehi Salam na la sakay aur Behosh ho gaye . Jabkeh Humaray Pyare Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ko Allah ne woh Shaan Ata farmayi ke Aapko Arsh pe Bulwa ke Apnay Didar ka Sharaf Bakhsha aur Humaray Aaqa Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ne Apni Ankhon Mubarik se Allah Azwajal ka Deedar kiya . Isi Liye Aala Hazrat Rehmatullah Alyeh ne Farmaya Kisko dekha yeh Musa Alyehi Salam se Poochay koi Ankh Walon ki Himat pe Lakhon Salam. Doosray ka Mujhay nahin maloom . Wallah o Taala Aalam Wa Rasuloh Aalam Azzwajal Wa Salalaho Alyehi Wasalam .
  7. Behna . System ko on karnay ke baad f2 press karain bios system mein enter ho kar down key press karain aur " chasis detection or intrusion " ke option pe aa kay Right arrow key ko press karain jisko press karnay se is ke options change hongey ab aapko is mein Disable ko select kar den aur ESC key ko press karain system restart ho ga to yeh Error chala jaye ga agar phir bhi error aye to inform karain . Dukan pe bhaijain gi to woh itnay chotay se kaam ke liye 100 200 mang le ga . Behtar hai khud karain ...
  8. Yaar kya ho geya hai hum logon ko . Khudara kisi pe Ilzam laganay se pehlay poori Tehqiq kiya karo aisay Dalil ki binah pe aap ne unko Ek Kazzab ka Mureed qarar diya , Bhai Jaan Plz ainda aisay na kijiye ga . Kya Aap Jantay hain Buhtaan bandhna kitna bada Gunah hai ?
  9. alSaifiya

    Ask Mufti Service Close Ho Gayi

    Aslam o Alaikum Bhaion aap sab se ek guzarish hai ke jitnay bhi members hain woh apna online source yahan share karen jahan se woh Fatwa waghairah hasil kartay hain . Kiyunkeh Abhi Ask Mufti service bhi band ho gayi hai aisay mein Audio aur Written Fatwa hasil karnay mein dushwari hoti hai aur kayi masail mein Kam Ilami ki wajah se dushwari hoti hai lihaza aap sab se guzarish hai ke jis ko bhi jo Ahle Sunnat Wal Jammat ki Sahih Websites pata hain woh yahan Share karen. JazzakAllah.
  10. bhai jaan unko kahiye ke aapis mein baat cheet na karen kiyunkeh iski shariyat ijazat nahin deti . aur is kaam se baaz rahen waisay aaj kal yeh humaray muashray mein bohot zayda aam ho geya hai . Is se door rahen aur apnay doston ko bhi is cheez se dur rakhain Islam mein mard aur aurat ke liye kuch Hadood muqarar hain aur ghair aurat aur mard se aisay baten karna jaiz nahin .. Wallaho Talla Alam Wa Rasuloh Alam wa
  11. Allah ka Shukar hai ke Humain Allah ny itnay payare mulk se nawaza go ke yahan aaj kal kuch problems chal rahi hain lekin Alhamdulillah Musalman is dar ke saye mein to nahin ke Hindu ya sikh aa kar Qatal kar den gey aur na hi kisi ki jurat hai koi kisi qisam ki Gustakhi kar sakay. Hum apnay Indian Musalman Bhaion ke Dard mein barabar ke shareek hain aur unkay ke liye Duwa go hain . Sabr kijiye Allah Sabr karnay walon ke sath hai
  12. Ab Chand ek Sawal hum bhi karnay ka Haq rakhtay hain : 1 Sab se Pehlay yeh bataiye ke jo Istaghatha karta hai Ya Phir Ya ke Saath Nida karta hai Mushkil mein woh aapke Nazdeeq kya hai ? 2 Yeh bhi bataiye ke Zinda se mangana jaiz hai ? 3 aur Clasical Scholars jinhon ne Baqaida Kitabon mein Baab Qaim kiye hain is mozu pe aur Kitabain likhi hain woh aapke nazdeek kya hain ? kiyunkeh jab nafi wali ibaraat jok ke Tawassul ki nafi to nahin karti lekin aap log tor mor ke aur out of context unhi se nafi Sabit karnay ki koshish kartay ho woh to aap pesh kar detay ho lekin jab unse Tawassul aur Istighatha ka Sahih Saboot diya jaye to aap nahin mantay aur Aahadith Mangtay ho. in sirf 2 3 sawalon ke Sahih jawab de dijiye aur baat gol mol na karna Upar Istaghatha aur Tawwasul dono ko sabit karnay ke liye Ahadith Mojud hain lihaza ab direct in baton ka jawab dijiye aur jab tak in baton ka jawab nahin den gey aapke kisi aur sawal ka jawab nahin diya jaye ga ya mazeed baat nahin ki jaye gi na hi mazeed dalil di jaye gi. Aur Aap Fiqah Hanfi ke Ulema aur Fiqh ki kitabon ki fiqar na karen unhi mein se Tawasul aur Istaghatha ke aisay dalail de den gey jin ko inkaar karnay ki aap mein himat nahin ho gi lekin pehlay in ka jawab dijiye . aur yeh bhi bata dijiye ga ke kya aap in Ahadith ko mantay hain ya nahin ?
  13. sach mein mujhay aapse is post ki umeed nahin thi bohot bhi hota to mera yehi khayal tha ke aap ya to dandi maro gey ya phir gol mol karo gey magar aap ne badi ajeeb baat kar di . Main ne aap se 3 4 ghantay ka waqt manga tha lekin abhi hi agaya hoon takeh aapko koi problem na ho . 1 Bhai sahaib ye hadees tawassul k bare main he Ans : gee bilkul tawwasul ke bare mein hi hai . kya yeh nazar nahin aya ya dekh ke an dekha kar diya ? Hazrat Usman Bin Hanif ne jo Dua batai woh Khud Nabi Kareem Salalaho Alyehi Wasalam ne Sikhayi thi jo ke Nabina Sahabi wali Riwayat mein hai aur is mein Huzoor ke Visaal ke baad Apke Wasilay se na sirf Dua ki gayi Allah Taala se balkeh Dua ke doosray Hisay mein Dua ke andar Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam se Istighatha kiya aur Ya Muhammad keh kar Direct Huzoor se Matawajah hue aur Aaqa KAreem ka Waseela Pakra . Jaan bujh kar aap ne hat dharmi ki hai is mein samjh na anay wali kon si baat hai haan agar niyat khoti ho to banda aisay hi heelay bahany banata hai . 2 Q k agar sahabi ka aqeeda tha k Huzoor meri hajat ko pura fermain ge to wo Hazrat Usman k pas q jana chahte the??? Ans : Main ne kaha tha ke first you have to understand the concept of tawwasul . kiyunkeh isi wajah se aapko Dalil ki samjh nahin aati aur phir hum se jhagartay ho. Aapki zehniyat yeh banayi gayi hai ke Shayad Hum MaazAllah yeh samjhtay hain ke Huzoor se Mangtay hain to woh Huzoor detay hain Allah nahin . aisa nahin hai jab Huzoor se Istaghatha kartay hain to Yehi Concept hota hai ke Dena Allah ne hi hai Lekin Milay ga Huzoor ke Dar se . aur baqi rahi baat yeh ke Sahabi Hazrat Usman ke Paas kiyun gaye ? aapki zehniyat aur kam ilami ka andaza aapki is baat se ho geya sab se pehlay to yeh poori Hadith parhi thi ?? Pehlay wohi Sahabi Jab Hazrat Usman ke Pass gaye to woh inki taraf tawajoh nahin de rahay thay lekin Jab Huzoor ke wasilay se Dua ki to Khud Hazrat Usman ne unko bitha kar unki Hajat puri ki aur Jab unhon ne Hazrat Usman Bin Hanif ka Shukriya ada kiya kiyunkeh woh samjh rahay thay ke shayad unhon ne Hazrat Usman e Ghani se baat ki to unka kaam huwa tab Hazrat Usman bin Hanif ne unko bataya ke yeh Us Duwa ki wajah se hai aur woh Nabina Sahabi wala kisa bayan farmaya . aur rahi yeh baat ke agar Sahabi ka Aqida aisa tha to woh Hazrat Usman ke paas kiyun gaye . Jawab yeh hai ke kya woh Sahabi Pehlay bhi nahin gaye the ? tab unki Hajat kiyun poori na hui aur phir Hazrat Usman Bin Hanif ne jab Yeh Mubarik Duwa batayi aur is par amal huwa tab hi kiyun unki Mushkil hal hui ? Kya yeh Wasila ki barkat se na tha ? aur baad mein Khud Hazrat Usman bin Hanif ne unko bataya bhi ke yeh Mushkil Usi Duwa ki wajah se hal hui tabhi to phir woh Nabina Sahabi wala Waqiya Sunaya. ek chota sa point samjhanay ke liye poori Hadith batani paray gi jabke is mein samjh na anay wali to koi baat hi nahin thi . Last Point : Is Hadeeth Mubarika mein Sahabi ne jo Duwa sikhayi aur Doosray Sahabi ne jo Duwa ki us mein Ya ke Saath Nida de kar Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam ka Waseela nahin Pakra ?? is ek Hadeeth se 2 qisam ka Waseela Sabit hota hai ek to Direct Allah Azzwajal se kaha geya ke Main Teri Taraf apnay Nabi Muhamamd Mustafa ke Wasilay se matawajoh hota hoon . yeh tha pehla Qisam ka Waseela aur doosra yeh ke "Ya Muhammad main aapke Wasilay se Allah ki taraf Matawajoh hota hoon - isko hi hum istighatha kehtay hain aaj jab hum Ya Muhammad kehtay hain to aap Shirk ke Fatway lagatay ho aur Khud Sahaba Huzoor e Akram se Istighatha kartay thay . so dono qisam ka Waseela Sabit huwa 1 Direct Allah se Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam ke Wasila se mangana 2 Istagatha . Huzoor Salalaho Alyehi Wasalam ko Mushkil mein Pukaar kar aapke Wasilay se Allah ki Taraf Matawojh hona . Aapke Corrupt Aqiday ka Janaza nikalnay ke liye yeh ek Hadeeth hi kafi hai . aur iske saath Hazrat Ibne Umar ka bhi Istagatha karna Islam ke Aqaid ko Waziyah kar deta hai aur Wahabiyat ka Radd karta hai . Ya Rasool Allah Ya Ali Ya Ghous e Azam Rehmatullah Alyeh Ya Murshid Rehmatullah Alyeh...
  14. first of all bro you are talking without References and i can't trust on your Tongue so plz post here complete References and Scan if possible and 2nd thing is plz wait mujhay pehlay anay to do inhi do Ahadith mein InshAllah tumhain Istaghatha dikhay ga doosri ka to tumharay pass jawab nahin hoga pehli ka InshAllah main jawab deta hoon ..
  15. Bhai Sahib is post ko change na kijiye ga main baad mein jawab doonga . waisay jatay jatay itna zaroor kahoon ga ke apki aqal aur samjh ka andaza ho geya agar apko is Hadeeth ki samjh nahin ayi to baqi kya samjhen ge is mein aapko na InshaAllah Istaghatha dikhaoonga . jaa raha hoon 3 4 ghantay baad aaonga tab tak Hadith ko bar bar parhiye agar samjh aa gayi to phir post remove kar dijiye ga warna main InshAllah Allah ki Tofeeq aur Aaqa Kareem ke Tawasul aur Sadqe se aapko samjha doonga aur is mein Istighatha bhi dikha doonga ..
  16. حدیث کا آسان اردو ترجمہ یا مفہوم بھی کہہ سکتے ہیں ایک دفعہ حضرت ابن عمر رضی اللہ تعالٰی عنہ کی ٹانگ سن ہو گئی تو ایک آدمی نے ان سے کہا کہ لوگوں میں سے جو ہستی آپکو سب سے زیادہ محبوب ہے اسے یاد کریں تو انہوں نے کہا : یا محمد ﷺ اس حدیث کے تمام راوی ثقہ بخاری اور مسلم والے ہیں۔ ملا علی قاری رحمتہ اللہ علیہ فرماتے ہیں :۔ كانه رضى الله تعالى عنه قصد به اظهار المحبة فى ضمن الاستغاثة ‘‘ ۔’’ کہ حضرت ابن عمر رضی اللہ تعالٰی عنہ نے اپنی محبت کا اظہار استغاثہ کی شکل میں کیا ۔ ﴾ملا علی قاری :شرح الشفاء ۲/٤١﴿ ملا علی قاری رحمتہ اللہ علیہ جو کہ فقہ حنفی کے بہت بڑے عالم اور اتھارٹی ہیں انہوں نے اس حدیث کی تشریح کر کے وھابیت کا جنازہ نکال دیا۔ اور اب تو وھابیوں نے الادب المفرد سے یا کو نکال ہی دیا ہے کیونکہ انکے نزدیک یہ معاذاللہ شرک ہے۔ دھوکے باز جعل ساز وھابی۔ آپ دیکھ سکتے ہیں اس میں بھی کہ حضرت ابن عمر رضی اللہ تعالٰی عنہ نے نبی کریم ﷺ سے استغاثہ کیا ۔
  17. Payare Bhai is par bhi Ahadith Mojud hain main post kar doonga . Bhai Jaan sab se pehlay aapko tawasul ke mutaliq janana chahiye kiyunkeh jab tak aap Tawasul ka concept nahin samjhen gey aapko shayad samjh na aye Riwayat ki bhi . Dekhen Humara yehi Aqida hai ke Anbiya Alyehim Asalam aur Awliya Rehmatullah Alyehim Allah ki Ataa se Madad kartay hain aur is par poori Ummat ke har dor ke Scholars ki kitabain dalil ke liye mojud hain aap Fiqh ki kitabain bhi check kar len aur yehi Aqida Shuru se hai isko MazAllah shirk kehnay wlay to takreeban 200 saal pehlay paida hue hain shuru se sabhi ka yehi Aqida hai . Dekhain Hum Mushkil mein jab Ya Rasool Allah ya phir Ya Ali pukartay hain to Allah unkay Waseelay unki Barkat se Humari Mushkilain hal kar deta hai . na to koi Unko MazzAllah Khuda samjhta hai na hi kisi ka yeh Aqida hai ke woh Allah Azzwajal ki MArzi ke khilaaf Madad kartay hain dekhen Allah hi unko Ata karta hai aur woh Madad kartay hain . Nabi Kareem ki Hadith e Mubarikah mein hai jiska Mafhoom kuch yun hai ke Aap ne khud Farmaya ke Allah Ataa karta hai main taqseem karta hooon to phir is par aap kiyun confuse hain. Agar aap haq ki talash mein hain to aapko har qisam ka saboot diya ja sakta hai is mozu par . Wahabi isko jaan bujh kar ghalat andaz mein pesh kartay hain aur aam logon ko confuse kartay hain . Aapko Fiqh se le kar Tassawuf Tak aur humaray jo Fiqh ke Imam hain unse bhi Saboot diye jaa saktay hain . inshort Sabhi ka yehi aqida tha baat sirf Ilam ki hai jo kuch thoday se log inkaar kartay hian woh mehaz kam ilami ki binah par Wahabion ke hathay charhnay ki wajah se kartay hain . Jabkeh Khud wahabion ke apnay Akabarin is ko Maan kar gaye hain aur kitabon mein likh kar gaye hain jisko ab yeh log badal rahay hain i have also proof of their forgery woh log ab yeh sab kitabain bhi badal rahay hain..
  18. حدیث ۱:۔ امام المنذری رحمتہ اللہ علیہ نے فرمایا : امام طبرانی رحمتہ اللہ علیہ نے اس کو روایت کر کے کہا یہ حدیث صحیح ہے ۔ ﴿ الترغیب والترھیب ﴾۔ امام الھیثمی رحمتہ اللہ علیہ نے بھی امام طبرانی رحمتہ اللہ علیہ کی تصدیق کو مانا ہے ۔ ﴿ مجمع الزوائد جلد ۲ حدیث ۳٦٦۸ ﴾ ۔ حتی کہ وہابیوں کے سب سے بڑے مولوی ابن تیمیه نے بھی اس حدیث کو صحیح قرار دیا ہے ۔﴿ القاعدۃ الجلیلہ فی التوسل والوسیلہ ص ۱٥٦ امام محمد بن یوسف الصالحی الدمشقی رحمتہ اللہ علیہ نے اپنی کتاب سبل الھدی میں حضور نبی کریم ﷺ کے وصال کے بعد آپ ﷺ سے توسل کا باب قائم کیا ۔ الباب الخامس في ذكر من توسل به - صلى الله عليه وسلم - بعد موته روى الطبراني والبيهقي - بإسناد متصل ورجاله ثقات - عن عثمان بن حنيف أن رجلا كان يختلف إلى عثمان بن عفان في حاجة اور فرمایا کہ امام طبرانی اور امام البیھقی نے اسے باسناد متصل اور ثقہ راویوں کے ساتھ روایت کیا ہے۔ ﴿ سبل الھدی ج۱۲ ص ٤٠٧ ﴾۔ یہ ہے پہلی حدیث اور یہ بھی بتا دوں کہ یہ نبی کریم ﷺ کے ظاہری وصال کے بعد کا واقعہ ہے حضرت عثمان غنی رضی اللہ تعالٰی عنہ کے دور خلافت کا ۔ اب آپ دیکھ سکتے ہیں کہ صحابہ کا عقیدہ بھی یہں تھا اور الحمدللہ اہل سنت والجماعت بھی اسی عقیدہ پر ہے بات صرف سمجھنے کی ہے اور علم کی ہے کچھ لوگوں کو علم کی کمی کی وجہ سے وھابی دھوکہ دے کر اسلام کے اصلی عقائد سے گمراہ کر دیتے ہیں جبکہ اہل سنت والجماعت الحمدللہ آج بھی صحابہ کے عقیدے پر ہیں اور ہمیشہ رہیں گے۔ ابھی صرف ایک حدیث پیش کی ہے جس سے دور سے بھی آپ ﷺ سے مدد طلب کرنے اور آپ کے توسل سے اللہ پاک سے دعا کرنے کا ثبوت ہے کیونکہ آج کل زیادہ تر اسی بات پر گمراہ لوگ شور مچاتے ہیں کہ دور سے پکارنا معاذاللہ شرک ہے جبکہ حدیث پوری پڑھیں آپکو خود ہی پتہ چل جائے گا کے ان لوگوں کے شرک کے فتوے معاذاللہ کہاں کہاں تک جاتے ہیں اور نہ صرف یہ بلکہ حضور نبی کریم ﷺ کے روضہ مبارک پر کھڑے ہو کر توسل کرنے اور مشکل میں آپ ﷺ سے مدد طلب کرنے کی صحیح روایات صحابہ اور اسلاف کے دور کی بھی موجود ہیں جو کہ ضرورت پڑنے پر پیش کر دی جائیں گی ۔
  19. There is difference of opinions between scholars on this issue kuch kehtay hain rakh saktay ho kuch kehtay hain nahin aap jinhain pehlay se follow kartay hain yani aapke shaikh ya Pir unse is ke mutaliq poochain aur jaisa woh kehtay hain waisa kar len . aur agar main ghalat nahin to mere khayal se ab zayda Ulema is taraf hain ke yeh aks hai aur isko rakh saktay hain . Lekin phir bhi is muamlay pe behtar hai ke aap apnay Pir o Murshid ke tariqay pe chalen ..
  20. Kisi Sabzi mandi ke Aarti ki zuban itni gandi nahin hoti jitni tumhari hai . Logon se baat karnay ki tameez to seekho pehlay Islamic Forums pe Aday wali zuban istamal kartay ho ..
×
×
  • Create New...