Salam
Arz yeh hai k 1 shakhs ka intiqal huwa us k 7 betiyan (daughters) or 2 baitay (son) hain (sub shadi shuda or bachon walay hain)
Or us shakhs ki wirasat main 8 lakh rupay hain jo taqseem honay hain.
Baraye meharbani irshad farma dain k yeh taqseem kis tarah hogi.
Sawal arz hai kay "Agar kisi shakhs nay yun qasam khai k main kabhi Daarhi (beard) nahi Katwaonga or us ki Daarhi 1 musht say bari hogai or agar wo shakhs us 1 musht say ziyada barhi huwi Daarhi kaat'ta hai to kiya uski qasam tootay gi or kiya usay Kafara Daina hoga?"
Kya tafseer rooh ul bayan say bad mazhabo k aikhtilaf hai?
or baray e madina yeh irshad farma dain k tafseer roohul bayan main yeh riwayat kahan say le gai hai?
kiy kisi hadees main mojud hai?
agar hai to please ref. day dain.
jazakAllah
Tasfeer rooh ul bayan k reference say mainay maktaba tul madina k kisi risalay main parha tha k 9-10 moharram ko aab e zam zam dunya k tamam pani main pohanchta hai.
Arz yeh hai k kiya yeh baat kisi hadees main mojud hai?
Or agar hai to plz reference dai dijiye.
JazakAllah
Hijri saal pyaray Aaqa sallallah ho alaihe wassllam k madina hijrat karnay say shuru huwi laikin isko tarteeb AAP sallallah ho alaihe wassllam k zahiri wisaal k 6 saal baad kiya gaya iski detail (sub ki malumaat mai izafay or sawab ki niyat k sath ) following attachment main mojud hai.