Jump to content

کمیونٹی میں تلاش کریں

Showing results for tags 'Talaq'.

  • ٹیگ میں سرچ کریں

    ایک سے زائد ٹیگ کاما کی مدد سے علیحدہ کیے جا سکتے ہیں۔
  • تحریر کرنے والا

مواد کی قسم


اسلامی محفل

  • اردو فورم
    • اردو ادب
    • فیضان اسلام
    • مناظرہ اور ردِ بدمذہب
    • سوال و درخواست
    • گفتگو فورم
    • میڈیا
    • اسلامی بہنیں
  • انگلش اور عربی فورمز
    • English Forums
    • المنتدی الاسلامی باللغۃ العربیہ
  • اسلامی محفل سے متعلق
    • معلومات اسلامی محفل
  • Arabic Forums

تتیجہ ڈھونڈیں...

وہ نتیجہ نکالیں جن میں یہ الفاظ ہوں


تاریخ اجراء

  • Start

    End


Last Updated

  • Start

    End


نمبرز کے حساب سے ترتیب دیں...

Joined

  • Start

    End


Group


AIM


MSN


Website URL


ICQ


Yahoo


Jabber


Skype


مقام


Interests


پیر

  1. Salam to all meri mangni ho chuki or us waqt mangni me he nikah b ho gaya tha me itna faaqif ni tha apny susraaliyo se. Jab ana jana huwa tou tab jana k meri saas b ghatya character ki hy or uski behen b or yahan tak k usky bhai b sab bohot kharab character k hen. Ab tension ye hai k meri mangetar tou mujhy theek he lag rahi thi lekin ab kuch maheeny pehly us ki bhi kuch harkaat mujhy mashkook lagi so meny saboot b dhoondna chaha per na mila. Ab baat ye hy k meri mangetar hy b jhagraalu apni marzi karti hy usko mana kary usky ghar waly kisi kaam se tou wo apni maa se b larr jati hy mujhy ye shaadi jo agly saal ho jaye gi meri is shaadi k baad sirf jhagrry he nazar a rahy hen mujy ye ek adhoori or flop hony wali shaadi nazar a rahi hy. Me talaq dena chahta hu lekin sirf is baat per ni k wo jhagraalu hy balky is baat per k mujhy us per b shak hy q k uski maa b kharab character ki hy tou Agr me in 2 wajoohat per shaadi na karu inkaar kar k talaq de du tou kia is me ALLAH pak ki koi narazgi aaye gi ? Meny bohot se logo ko bina sharai uzr k talaq de kar barbaad hoty dekha lekin wo shaadi k baad ki baat hai k ALLAH pak dunya wama feeha me jo b bura hy us me sab se bura talaq ko qarar deya hai tabhi ALLAH ne unko sukh ki zindagi ni jeeny deya jinho ne bina sharai uzr talaq d mujhy darr hy k meri zindagi barbaad na ho jaye tabhi pooch raha hu k shaadi se pehly talaq ALLAH k keher ko dawat tou ni? Or agr mery is shaadi ko cancel karny k faisly ko agr abba naa maany tou kia me koi saazish kar sakta hu k mery susraali khud he cancel kar den ? Please mujy in 2 sawalo k jawab de den. shukriya My whatsapp +923402336171
  2. Salaam, Do saal pehlay main ne ek aisi larki say Nikah kiya jo Dubai main stage pay dance karti thi. Nikah kay baad us nai sab kuch chor diya us kay ghar ki zimadari main uthata tha. Us ki ek 6 Saal ki beti bhi thi or hum dono main say ab ek beta hua tha. Mere kuch karobari halaat ki wajah say main 2 month un kay ghar ka kharcha poori tarah na utha saka, or us ki Maa kay pressure main aa kay meri biwi nai mujh say wapis Dubai janay ki ijazat mangi takay woh ghar ka kharcha utha sakay jab tak mere halaat theek ho jain. Mere pass or koi rasta nai tha kyu kay us kay ghar walay kam kharchay main compromise karnay ko tayar nai thay or agar main Na karta tab bhi woh chali jaati. Ab woh wapis ja chuki hai, lekin waha ja kay us nai kaha kay woh ab wapis nahi aana chahti, or mujh say rishta nahi rakhna chahti. Us ki wajah mujhay kuch din baad maloom hui kay woh waha kisi or say talauq rakhna chahti hai jis kay sath woh mujh say pehlay thi. Main janta hoon, kay shayed islam main is sab kay mutaliq bohat sakht ehkamat hon, lekin being a practical man and deeply in love with her. Main us ko Talaq nahi dena chahta main us kay liya wapsi ka darwaza khula chorna chahta hoon. Takay jab mere halat theek hon to main us ko us keechar say nikalnay ki har mumkin koshish kar sakoon. Main janta hoon kay woh kisi or kay saath talauq rakhna cha rahi hai magar mera payar shayed is baat ko bhi nazar andaz kar day agar kal ko woh wapis aana chahe or hum log ghar basa sakain. Us ki soch ki wajah us kay ghar kay halat or mahol hai, is main us ki ghalti nahi kay woh us mahol main paida hui hai jaha rishton say zayada paisa zaroori hai. Magar main is kashmakash main hoon kay kya mera yeh sab kuch janany kay baad usay Talaq dena zaroori hai ? Agar main Talaq nai deta to shayed main us ko wapis izat ki zindagi main laa sakoon lekin agar main nai Talaq de di to wo us keechar say kabhi nai nikal sakay gi. Please advice.
  3. https://www.youtube.com/watch?v=fGQirVstqbg
×
×
  • Create New...