Search the Community
Showing results for tags 'biwi'.
-
Asalam o Alikum Warahmatullah Mri aap sab sey guzarish hai k barah karm Nikah k baad Mehar ki Raqm ka tafseeli jawab tehreer kren kiun k ek shakhs ne nikah kiya, Koi azdawaji talluq banaye bina hi Larki ko talaaq dedi, Aur Us Larki ne Apna Mehar maaf kerdiya tha lkn kuch saal baad wohi Larki Us larke sey Mehar ki Raqm ka mutalba kerti hai. Kya Mehar Maaf kerne k baad larki apne Mehar ka mutalba kerskti hai jab k uski shadi kisi aur sey hogai.? Aur kya bina Azdawaji Rishta Qaim hue Larke pe us Larki k Mehar ki Raqm ki Adagi Farz hogi.?? barahkarm Rehnumai Farmayn. jaza ka ALLAH