Jump to content

Search the Community

Showing results for tags 'madad mangna'.

  • Search By Tags

    Type tags separated by commas.
  • Search By Author

Content Type


Forums

  • Urdu Forums
    • Urdu Literature
    • Faizan-e-Islam
    • Munazra & Radd-e-Badmazhab
    • Questions & Requests
    • General Discussion
    • Media
    • Islami Sisters
  • English & Arabic Forums
    • English Forums
    • المنتدی الاسلامی باللغۃ العربیہ
  • IslamiMehfil Team & Support
    • Islami Mehfil Specials
  • Arabic Forums

Find results in...

Find results that contain...


Date Created

  • Start

    End


Last Updated

  • Start

    End


Filter by number of...

Joined

  • Start

    End


Group


AIM


MSN


Website URL


ICQ


Yahoo


Jabber


Skype



Interests


Found 1 result

  1. Mera ek dost hai usne mujse ye questions kiye hain koi islami bhai mujhe inkay jawab de with refrences. or mujhe koi aesi kitab bhi deden jis main ahl-e-hadees plus Deo ko un sawalat ka jawab diya gaya jismain ye un qurani ayatein ko jo munafiqon per utri hain unko musalmano per chaspa karte hain un aitrazat ka jawab ho. Below are the Aayah for the Subject. Forward them in your messages chain. Some are big messages, you can cut a part from it to forward. Just remember to maintain the context and understanding of the verse. 1) "Aur darao is Quran se un logoon ko jo darte hain us din se jab woh jamah kiye jaen gain Allah k samne, jab un k liye na to koi dost hoga aur na hi koi sifarish karne wala. Darao k woh parhaizgaar banain." (6:51) 2) "Aur choor do unhain jinhoon ne apne deen ko khel aur tamasha bana rakha hai aur unhain is dunya ki zindagi ne dhoke main dal rakha hai. In ko nasihat karte raho is Quran se ta k koi apne aamal ki wajah se halakat main na dal dya jae(qayamat k din). Tab(Allah k samne) na to unka koi madadgar hoga na hi sifarshi." (6:70) 3) "Aur un se kaha jae ga: 'Aakhir kaar tm hamare pas akele hi ae, jesa k tmhain hamne paida kya tha pehli dafa, aur tm peeche chor ae ho woh sab kuch jo ham ne hi tmhain dya tha. Aur ham na to tmhare sath dekhte hain tmhare 'sifarshi' jin ki nisbat tm khayal karte the k woh tmhare (sifarshi aur hamare) shareek hain. Aj tm logon k tamam apas k ta'aluqaat khatam ho chuke hain aur jo daawe woh aur tm apas main kya karte the sab zaya hogae.' " (6:94) 4) "Aur woh us ki pooja karte hain(allah ko choor kar) jo na to unka kuch bigaar sakti hai na hi kuch bhala kar sakti hai. Aur woh kehte hain "Yaih hamare sifarshi hain Allah k paas." Kaho: "Kya tm Khuda ko woh batate ho jo use nai pata is zameen aur aasaman main se?" Woh Paak hai, bohat Buland hai har us cheez se jo tm us k sath shareek karte ho." (10:18) 5) "Qayamat wale din woh(jo sifarshi rakhte the Allah aur apne darmiyaan,) aapas main jhagrain gain aur kahain gain(sifarshiyun se): 'Khuda ki qasam ham to bohat hi door ki gumrahi main the. Jb tmhain Allah k barabar thehrate the. Aur hamain in gunahgaroon hi ne gumrah kya. To aj na to koi sifarish karne wala hain na hi garam josh dost.' " (26:96-101) 6) "Woh Allah hi hai jis ne 6 dinoon main zameen aur aasmaan aur is k darmiyaan sab kuch banaya aur phr woh apne 'Takht' per jalwa afrooz hoa. (Jan lo ache se) Us k ilava tmhare pas na to koi dost hai na hi sifarshi. To phr kya tm nasihaat nai pakarte?" (32:4) 7) "Kya unhoon ne Allah k siwa koi 'Sifarshi' banae hoe hain? Kaho: "Tm in ko Sifarshi samajhte ho, khua woh kuch bhi ikhtiyaar na rakhte hon? Aur na hi kuch sunte samjhte hon?" Kaho: "Allah ko akele sifarish ka ikhtiyaar hai. Usi k lye Aasamanon aur Zameenon ki badshahat hai, phr tm usi ki taraf lautae jao ge." (39:43-44) 8) "Aur darao unhain qareeb aane wale din se jab dil galoon ko aa rahe hon gain dar se. Aur gunahgaaroon ka na to koi dost hoga na hi koi sifarshi, jin ki baat qabool ki jae gi." (40:18) "Hashar may hoga hamara dakhla is shaan se Yarasool Allah ka naara lagate jayengay"
×
×
  • Create New...