Search the Community
Showing results for tags 'please'.
-
mjhe bhat argent me is Hadees e Pak ka scan page chaiye kia koi bhai meri help kr skta hai.. agar scan page ni ho to complete hawala with hadees number bata de.. 1. Syedna Zaid bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke; “Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Yemen ki taraf deka aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo ko meri taraf mayal farma aurIraq ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, aur Shaam ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, Aye Allah! Hamaray liye sa`aa aur hamaray madd mein barkat ataa farma.” (Kanzul-ul-Aamaal, Vol. 9, Pg. 136 Muajjam-ul-Sagheer, Vol. 1, Pg. 173, al`Maktabt-ul-Islami, Beirut Muajjam-ul-Kabeer, Vol. 5, Pg. 116, Maktabat-ul-Uloom wa`Hikm, Mousal) 2. “Nabi (Salllallahu Allaihe Wasallam) ne Shaam ki taraf nazar ki aur ye dua ki, Aye Allah! Inn ke dilo ko apni ataa'at ki taraf mayal farma aur inn ke ird`girdd apni rehmat ghair de. Phir Yemen ki taraf nazar ki aur iss ki misl dua farmai, phir Iraq ki taraf nazar ki aur waisay hi dua farmai.” (Majmoa`-al`Zawaid, Vol. 3, Pg. 304, Darul Riyan-ul-Tiraas, Qahira, Darul Kitab al`Arabi, Beirut al`Adb-ul-Mufarrid, Vol. 1, Pg. 169, Darul Bashair-ul-Islamiya, Beirut) 3. Umm-ul-Momineen Hazrat Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) nay farmaya; “Imam Mahdi ki khidmat mein Shaam ke abdaal aur Iraq ke loog giroh`dar`giroh hazir ho kar bayt karein gay.” (Sunan Abu Duad, Vol. 4, Pg. 107, Darul`Fikr, Beirut Sahih Ibn Hibban, Vol. 10, Pg. 59, Beirut)