Jump to content

Ahadees Shareef For Islamic Sisters


Eccedentesiast

تجویز کردہ جواب

1) Aorton Ko Nmaz Ki Khusoosi Takeed :

 

Hazrat Anas رضی اللہ عنہ se riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم ne irashad farmaya:

Aoratpanjwaqta nmaz parhay aor ramazan k rozay rakhay aor paak daaman rahayaor Shohar ki farmaanbardaari karay to jannat k jis darwazay se chahayjannat mein dakhil ho sakti hey.

حلیتھ الاولیا

 

2) Shohar ko Kamanay ka aor Bewi ko Kharch Karnay ka Swab Milay Ga :

 

Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya :

Jab aorat apnay ghar k maal mein se kharch karay aor Bigar ka tareeqa ikhtear na karay (Yani najaiz aor Fuzool Kharchi na karay) to is ko kHarch karnay ka swab milay ga aor us k Khawand ko is k kamanay ka swab milay ga aor jo Khazanchi hey (Jisk paas raqam ya maal mahfooz rehta hey agerche wo malik nahi mager ismaal mein malik k hukam k mutabiq Allah عزوجل ki rah mein kharch karayga to ) us ko bhi swab milay ga aor aik ki waja se doosray k swab mein kami na ho gi. (Saheeh Bukhari Shareef)

 

3) Eeman per Shohar ki madad karnay wali beewi :

 

Sahaba Kiram ne Arz kia : ''Sonay Chandi (Gold & Silver) kbaare mein to Ahkam nazik ho gae lihaza ager hamein maloom ho jata kkonsa Maal behtar hey jise ham hasil karein to acha hota'' is per NabiPak صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya : Sab se behtar maal Zikar karnaywali zuban , Shukar karnay wala dil aor aesi momin beewi hey jo SHohark eeman per is ki madad karay .(Tirmzi SHareef)

 

 

4) Behtareen Aorat K 2 Khaas Aosaf :

 

Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya :Jo Aortein Uonton (Camel) per Swar huin in mein sab se behtar Quraish ki aortein hein jo bachpanmein aolad per sab aorton se ziada shafqat rakhti hein aor shohar kmaal ki sab aorton se bahtar nigehdaasht Rakhnay wali hoti hein. (Saheeh Bukhari Shareef )

 

5) Nikah k Waqt aorat ki Deendari dekho :

 

Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہوسلم ne farmaya : AOrat se Chaar chezein dekh ker nikah kia jaata hey(1) Is k maal ki wja se (2) Is ki Hesiat ki wja se (3) Is ki khoobsoorti ki wja se (4) Is ki deendaari ki wja se Pas Ay Mukhatib toodeendaar aorat ko apnay nikah mein laa ker Kaamyab ho ja Tera bhala ho. (Saheeh Bukhari Shareef )

 

6) Naik aorat Dunya ki behtareen Cheez hey:

 

Hazrat Abdullah bin Amar bin Aas رضی اللہ عنہ se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya : Poori dunya Nafa (Faida) Hasil karnay ki cheez hey aor dunya ki Cheezon mein sab se behtar cheez jis se nafa hasil kia jae Naik aorat hey. (Saheeh Muslim Shareef )

 

 

7) Lanat karnay ki Mumaniat aor Shohar ki na shukri ka gunah :

 

HazratAbu Saeed Khudri رضی اللہ عنہ se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہوسلم aik martba Eid-ul-Fitar ya Eid-ul-Azha k moqa per Eid gaahtashreef lay ja rahey thay rastay mein aorton per se guzar hua to AAPصلی اللہ علیہ وسلم ne in ko khitab ker k farmaya : ''Aay aorton kijammat Sadqa karo kionkey mujhay Dozakh mein ziada tadad aorton hi kidikhae gae hey.'' Aorton ne poocha ''Aay Allah عزوجل k Rasool صلی اللہعلیہ وسلم Yeh kis wja se hey ?'' AAP صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya :''Isliay k tum Lanat bhut karti ho aor shohar ki nashukri karti ho Meinne aorat se bharh ker kisi ko nahi dekha k aqal aor deen k etbar seNaqis hotay huay bhut ziada hoshyar mard ki aqal ko khatam ker day.''Aorton ne arz kia ''Ya RasoolAllah صلی اللہ علیہ وسلم hmaaray deen aorAqal mein kia kami hey?'' AAP صلی اللہ علیہ وسلم NE farmaya ''Kiatumhein maloom nahi Aorat ki gwahi mard ki aadhi gwahi k brabar hey?''Aorton ne arz kia ''Ji Haan aesa to hey'' AAP صلی اللہ علیہ وسلم nefarmaya ''Yeh is ki aqal ki kami ki wja se hey.Kia yeh bat nahi hey kjab aorat ko Haiz aata hey to in dinon mein wo nmaz parhti hey na rozarakhti hey ?'' Aorton ne arz kia ''Han aesa to hey'' AAP صلی اللہ علیہوسلم ne farmya ''Yeh is k deen ka nuqsan hey'' (Saheeh Bukhari Shareef )

 

 

8) Kisi k Aib k darpay hona ya Naqal Utarna :

 

Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا Farnati hein ''mein ne aik dafa Nabi Pakصلی اللہ علیہ وسلم se arz kia Aap صلی اللہ علیہ وسلم k liay Safya رضیاللہ عنہا ka aesa aesa hona kafi hey yani wo Chotay Qad ki hein '' Yehsun ker Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya : ''Tum ne aesa kalimah kahahey k ager isy smundar (Sea) mein miladia jae to smundar ka zaiqa bhi tabdeel ho jae '' Yeh waqia bta kerHazrat Ayesha رضی اللہ عنہا ne farmaya k aik martba mein ne Nabi Pakصلی اللہ علیہ وسلم k saamnay aik shakhs ki naqal utari ..Is per NabiPak صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ''Mujhay yeh pasand nhi hey k meinkisi shaksh ki naqal utaron agercheh aesa kernay per mujhay dunya kiitni itni dolat mil jaey '' (Sunan AbiDaood)

 

9) Mardon ko apni traf mail karnay wali aorton k liay waeed :

 

HazratAbu Huraira رضی اللہ عنہ se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلمne farmaya : Dozkhion ki 2 jammatein aesi hein jo mein ne nahidekhin..aik jammat in logon ki ho gi jin k paas belon (ox) ki dumon (tail) ki trah koray (Sticks) hongey wo in se logon ko zulman maarein gey. Doosri jammat aesi aorton ki ho gi jo kapray pehney huay hon gi (Mager is k bawjood) nangi hongi (Mardon ko) Mail karnay wali (Aor khud in ki traf) Mailhonay wali hongi In k Sar khoob baray baray Unton ki kohanon ki trahhongey jo Jhukay huay hongey..yeh aortein jannat mein dakhil na ho gina is ki khushboo soonghein gi aor is mein shak nahi k jannat kikhushboo itni itni door se soonghi jati hey. (Saheeh Muslim Shareef)

 

10) Aorat ko khushboo laga ker mardon k Qareeb se guzarnay ki Mumaniat :

 

Hazrat Abu Musa Ash'ari رضی اللہ عنہ se riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya : ''Har (Na Mahram ko Dekhnay wali ) Aankh Zina Kaar hey aor koi Aorat jab Etar laga ker (Mardon ki) Majlis k qareeb se guzray to aesi aesi hey yani Zina kaar hey'' (Tirmzi Shareef)

 

11) Mardon aor Aorton ki Khushboo mein Farq :

 

HazratAbu Huraira رضی اللہ عنہ se Riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلمne farmaya : Mardon ki khushboo aesi ho jis ki khushboo zahir ho yanidoosron ko bhi phunch rahi ho aor aorton ki khushboo aesi ho jis karang nazar aa raha ho aor khushboo posheda ho. (Tirmzi Shareef)

 

12) Bajnay wala Zewar Pehnany Ki Mumaniat :

 

HazratBnana رضی اللہ عنہا farmati hein k mein Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا kikhidmat mein hazir thi .Jis waqt yeh waqia pesh aaya k in k paas aiklarki ko laaya gea jo aesay jhanjhar pehnay huay thi jis se aawazaarahi thi . Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا ne farmaya jab tak is kjhanjhar na kaatein jaein isay meray paas hargiz na laana mein ne Allahk Rasool صلی اللہ علیہ وسلم se suna Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya :''Jis ghar mein Ghanti ho is mein Rahmat k Farishtay Daakhil nahihotay'' (Sunan AbiDaood Shareef)

 

 

13) Baalon mein Baal Milanay ki Mumaniat :

 

HazratAbdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ se riwayat hey k Nabi Pak صلی اللہ علیہوسلم ne farmaya : Allah عزوجل ki lanat ho is aorat per (Jo apnay baalon ko lamba ya phoola hua bananay k liay doosri kisi aorat k baal ya kisi aor qisam k baal) Apnaybaalon mein milaye Aor is aorat per bhi Allah عزوجل ki lanat ho jo kisiaorat se kahay doosri kisi aorat k baal meray baalon mein laga day. AorAap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya : Allah عزوجل ki lanat ho is aoratper jo Godnay wali ho aor jo gudwanay wali ho. (Saheeh Bukhari Shareef)

 

14) Masaib aor Takaleef ya Beemarion mein sabar per swab :

 

HazratJabir رضی اللہ عنہ ka byan hey k aik martba Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلمUmmuSaib رضی اللہ عنہا k paas tashreef lay gae. Aap صلی اللہ علیہ وسلمne in ka haal daryafat farmaya k tum Kapkapa kion rahi ho? .Unhon nearz kia Bukhar Chara hua hey Is ka Naas ho. Aap صلی اللہ علیہ وسلم nefarmaya Bukhar ko bura na kaho kionkay yeh insanon k gunahon ko aesaydoor ker deta hey jesay lohay k mail kuchail ko (Aag Ki) Bhatti door ker deti hey. (Saheeh Muslim Shareef)

 

15) Kisi ki Maot per Noha kernay ki mumaniat :

 

HazratUmm-e-Atya رضی اللہ عنہا farmati hein :''Bilashuba Nabi Pak صلی اللہعلیہ وسلم ne hamein Noha kernay se manna farmaya hey. (Sunan Abi Daood Shareef)

 

Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...