Jump to content

Any One Defender Of Janab Ilyas Qadri Saab

SunniDefender

تجویز کردہ جواب

  • جوابات 78
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Chaliye ye tu sabit huwa ke aap ne waqai apna bhaija nikal kar kahi sajaya huwa hai. Chaliye aap se aap hi ki tarah ke kuch be'tukkay sawalaat karta hun, unn ka jawab dijiye phir agay barhtay hain.

Road Block ki shar'aee haisiyaat sabit kijiye. Road Block karna haram hai, makrooh hai, kufr hai? Tafseeli jawab ma'aa daleel marhammat farmaiye.

Aap ne Pakistan ke aeen ki baat ki ke Pakistan ke qanoon mein kahi nahi likha ke road block kar ke juloos nikala jaye ga. Tu janab mein aap ko pehlay hi keh chuka ke Road Block karna alag baat hai, aur aik makhsoos din aik makhsoos moqay per kisi Road ko kisi rally ya juloos ke liye WAQF karna aur hota hai, aur woh bhi aam tateel walay din. So 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ke moqay per ROAD BLOCK karne ka ilzaam lagana tu aap ki bewaqoofi hai.

Doosri baat aap ne ki VIP movement ki. Daad deni paray gi aap ki na'paid aqal per. Janab VIP movement ailaaniya nahi ki jaati. Acahanak hi se road block kar ke VIPs ko move kya jata hai. Awaam ke ilm mein nahi hota ke fala fala din, fala fala road per VIP movement hogi iss liye waha jana theek nahi. Jab ke 12th Rabi-ul-Awwal ka pooray alam ko pata hota hai. So yaha VIP movement ko 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ke muqabil rakhna bhi aap ki bewaqoofi hi hai.

Aakhir mein phir aap ne wohi Sharaiee usool ka mutaliba kya hai tu iss silsilay mein tu pehlay khud aap ko batana paray ga ke Road Block ki shariat mein haisiyat kya hai, jaisa ke mein pehlay hi pooch chuka. Iss ka jawab dijiye takay humein maloom tu ho ke aakhir shariat mein Road Block haram hai ya makrooh ya kuch aur?

Ap ye qiyamat tak sabit nahi kar saktay kay Road Blocked kar kay Traffic Jam or musalmanoo ko pareeshan kar kay juloos nikaalna Jaiz hai or halaal hai.... mera yahi chota sa sawal tha kay jaiz hai ya Na-Jaiz?

or ap logo ne apne sawal ka jawab dene kay bajae doosroon ko koosna shuru kar dia kay falan bhi to esa karta hai XYZ bhi to esa karta hai....yaar ap apne Amal ka bataoo ap se doosroon kay baray main to mene nahi poocha......

ap ne Road blocked karne ki sharai hesiat poochi hai.........

Me 1 student hoon mene Islam kay baray main jitna parha hai os kay mutabiq Musalmaan ko takleef pohchana or Azziat dena bohot bara gunah hai...or road per juloos nikaalnay se hazaroon musalmaanoo ko takleef pohochti hai Mareez rastay me phanse jatay hain pora shehr Traffic jam me phans jata hai..ok..Umeed hai apko Sharai hesiat pata chal gae hoogi....

muje pata hai kay esa karna Najaiz hai kioon kay agar jaiz hota to ap is ko lambi choori tafseel dene kay bajae jaiz or halal qarar de detay or fatwa bhi share kar dete....likin ye Na jaiz hai is leye ap itni lambi choori tafseel or ultay seedhay sawal jawab karr rahe hain.........

ap logo ka bohot bohot shukirya kay ap ne muje waqt dia.....agar koi baat buri lagi ho to MAafi chahta hoon

Fi Aman Allah

Link to comment
Share on other sites

Ye hota hai jab aap hazrat ke dakyanoosi sawalaat ka rukh aap hi ki taraf moor dya jaye. Aap khud hi road block ki shara'ee haisiyat batanay se qaasir hain kyu ke iss ki koi shar'aee haisiyatt hai hi nahi. Issi tarah jisay aap Road block qaraar diye jaa rahay hain woh dar'asal road block hai hi nahi.

Pichli dono post mein tafseelan bayan kar chuka ke kisi makhsoos mouqay per hukomat-e-waqt ki janib se kisi shahrah ko kisi khaas maqsad ke tehat waqf kar dena ye road block ke zumray mein nahi aata. Aap mein agar ghairat hoti ya aap waqai haq ki talash mein hotay tu iss ka jawab dete, lekin aap kya aap ki poori nasal iss ka jawab nahi de sakay gi kyu ke ba'qoul shair Ye bazoo humaray aazmaye huway hain.

Rahi baat Musalman ko takleef pohanchaana, unhay azziyat dena, ye aap ne sahi kaha. Lekin janab zara pehlay sabit tu kijiye ke 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos mein traffic kaisay jam ho sakta hai jab ke iss juloos ke baray mein sari dunya ko pehlay se maloom hota hai. Karachi ki misaal lijiye. 12th Rabi-ul-Awwal ko Pakistan mein aam tateel hoti hai, yaani ki chutti. Karachi mein markazi juloos Memon Masjid Bolton Market se shuru ho kar Nishter Park per khatam hota hai. Aur aaj se nahi saalo se Karachi ke makeeno ko maloom hai ke 12th Rabi-ul-Awwal ye road hokumat ki hi taraf se waqf hota hai juloos ke liye. Tu ab koi be'waqoof hi hoga jo iss road per anay ka soochay, ye jantay huway bhi ke ye road aaj ke din juloos ke liye waqf hai. Aur aisa bhi nahi ke kisi hospital ka rasta block hota ho. Pooray Karachi shehr mein aaj tak hum ne tu kabhi nahi suna ke 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ki wajeh se koi ambulance rastay mein phansi ho. Aap ke paas aisi koi khabar ho tu zaroor bataiye ga.

Masla sirf itna hai ke aap ko road ke block kiye janay aur hukomat ki janib se ailaaniya tor per kisi road ko rally ya juloos ke liye waqf kiye janay ka farq samajh nahi aa raha, ya phir shayad ta'subb ki wajeh se samajhtay huway bhi maan'ne se inkaar kar rahe hain. Achanak se baghair ailaaniya tor per, kisi masroof shahrah per working day per agar aisa juloos nikala jaye tu be'shakk iss se awaam ko takleef hogi aur ye ghalat hai. Lekin aam tateel walay din, ailaaniya tor per kisi road ko rally ya juloos ke liye waqf karna kisi tareeqay se ghalat nahi, aur na ab tak aap ye sabit karne mein kamyaab huway. Ulta aap ne apni be'bassi issi baat se zahir kar di ke na tu aap ne abhi tak road waqf karne wali meri post ka jawab diya aur na hi iss per koi daleel paish kar ke isay ghalat sabit kya.

Aap kehtay hain ke 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos se hazaroo musalmaano ko takleef pohanchti hai, tu janab kabhi aa kar juloos ko dekhiye ga. Karachi ki baishtar abaadi tu khud iss juloos mein shamil hoti hai. Reh gaye kuch hasideen aur be'deen tu unn mein se beshtar tu sahil-e-samandar per chutti mana rahay hotay hain ya gharo mein araam kar rahay hotay hain. Janab ye Pakistan hai, yaha ki awaam ko agar waqai itni takleef hoti tu 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ke khilaaf juloos nikalay jaa rahay hotay, lekin Alhamdulillah Rabi-ul-Awwal ka maheena atay hain her aik ki zaban per yehi hota hai ke Milad-un-Nabi (Sallallahu Allaihe Wasallam) mubarak ho. TV ke ishtaharaat dekh lijiye ya billboards ya shop-signs, sabhi aap ko iss ba'barkat maheenay ki mubarak'bad dete nazar aye gay. Rootay huway tu aap jaisay kuch hi hotay hain jinhay hasad ke maray kuch nahi soojhta tu iss tarah ke be'bunyaad ilzamaat laga kar apnay dil ki bharaas nikaltay hain aur phir dunya mein zaleel-o-khuwaar ho kar aakhirat mein bhi zaleel honay ki tayyari kartay hain.

Link to comment
Share on other sites

Ap in Pics ko kis nazar se deekh rahe hain? Achi nazar ya buri Nazar?

apkay nazdeek kia ye juloos jaiz hai?

is swal ka jawab to aap ko dena chahiye kyun k aitrazat to aap nay kiye hain. is liye hamari nazar ko chorein agar hamari nazar aap k liye hujjat hoti to aap pehle hee apne be-tukay aitrazat na uthatay. ab jab aap ko apne ghar say jotay purne lage to hamari nazar puchne chal paray hain.

wah re deogandi teri jahalat per iblees kitna khush ho ga?!?!?!?!

Link to comment
Share on other sites

Mera Etiraaz har us juloos per hai jo Road band kar kay Rastay me Rukawat khari kar kay nikala jaee..

Chahe wo Deobandi Nikaleen Ya Bareelvi...

Is Qisam kay Saray Juloos Chahe wo Mazhabi Hoon ya Siyaasi 100% Najaiz hain

Agar koi Jaiz samjhta hai to Islamic Shariat se Sabit Karday....

Janab Shahid Sahab Apka Andaz-e-Bayan Apkay Mahool Ki akkasi nahi karta...plz Is per tawwajja dain....

or mene jis se poocha hai wohi jawab dengay.....ye apkay bas ki baat nahi hai...

dosroun per aitraz karna bohat aasan hota hai q sb. start to aap ne liya Eid Milad-un-NABI (saw) kay juloos k khilaf zaher ugalne say aur jab aap k apne logoun k kartoot ap k samne aae to aap ne khiffat mitane k liye un ko raghar diya :lol: .

ab aap se guzarish yeh hai k agar aap to har qisam k juloos per hi aitraz hai to phir naiki ki ibtda ghar se karein (agar har qism k jalse juloos band karwana aap k nazdeek naiki hai to ...) aur tamam deobandi wahabi najdi firqoun k mazhabi, siyasi, ghair siyasi juloos mukammal tor per band karwaein us k baad hum se baat karein. warna "dosroun ko nasihat aur khud mian fazihat" ki policy chor dein.

mushkil to bohat hai balke muhaal ki hadd tak hai lekin phir bhi umeed karta houn k baat aap ki samajh mein aa gai ho gi. :)

Edited by sh@h!d
Link to comment
Share on other sites

MY question is still here

Road me Rukawat khari kar kay juloos nikaalna or Is Qisam kay Saray Juloos Chahe wo Mazhabi Hoon ya Siyaasi 100% Najaiz hain? Ya jaiz?

Agar koi Jaiz samjhta hai to Islamic Shariat se Sabit Karday....

Agar Jaiz hai to deleel de kar sabit kardain

agar Na-Jaiz hai to bata dain...sedhaa sa jawab 2 line ka chahiyee...zada tafseel nahi maang raha

JANAB RIZWAN SAHIB APP KA SAWAL HI GALAT HAI. KISI AMAL KO NA'JAIZ SABIT KARNAY KE LYE DALEEL KI ZAROORAT HAI. JO KOI BHI KISI AMAL KO NA'JAIZ KAHAY USS PER DALEEL HA.

TO JANAB RIZWAN SAHIB APP NA'JAIZ KEHTAY HAIN TO DALEEL APP PER HAI. NA KEH UN PER JO JALOOS NIKLATAY HAIN. KYON KEH HUM TO ISSAY JAIZ KEHTAY HAIN.

OR HAMARAY PASS DALEEL HAI.

ردالمختار میں ہے ـ

"" المختار ان الاصل الاباحۃ عند الجمھور من الحنفیۃ و الشافعیۃ ""

جمھور احناف و شوافع کے نزدیک مختار مذہب یہ ہے کہ تمام چیزوں میں اصل ، مباح ہونا ہے ـ

UB USS WAQT TAK YAHAN KUCH POST NA KARE GA JUB TAK APP NA'JAIZ HONAY KI DALEEL NA LE AAO.

Link to comment
Share on other sites

Rastay me rukawat khari karna or musalmanoo ko takleef pohchana Najaiz hai.....yahi Najaiz ho ni ki daleel hai....

mere bhai kisi rastay me para hua pathar bhi hata deena Sadq-e-Jaria hai...or ap patha hatanay kay bajaee laga rahe hoo... is se bari daleel or kia hoogi....

or apne jo daleel di hai wo read nahi hoo rahi...mere paas urdu font nahi hai...ap Roman english me likheen....agar koi headth likhi hai to plz urdu jpg format me likheen...

khair janab ap loog muje jawab nahi dee paogay.....mene ""Darul Afta Ehlesunnat"" me Apna yahi sawal aj sent kia hai.....agar wahan se mujee jawab aagayaa to me yahan share kar dooga..

JANAB RIZWAN SAHIB APP KO ISS KA JAWAB PEHLAY BHI DIA JA CHUKA HAI. 12 RABI UL AWAL KO POORAY MULK MAIN CHUTTI (HOLIDAY) HOTI HAI. JUB CHUTTI HOTI HAI TO PHIR TAQLEEF KA SAWAL HI PAIDA NAHI HOTA.

DOOSRA APP SE ISS BAAT KA MUTALBAH KI JA RAHA HAI KEH 12 RABI UL AWAL KO JALOOS NIKALA JATA HAI USS SE KISS KO TAQLEEF HOTI HAI KOI KESI TAQLEEF HOTI HAI. KIA POORI KARACHI MAIN SIRF AIK WOHI ROAD HAI JAHAN SE POORA KARACHI GUZRAY TO USS KA KAAM BANAY NA GUZRAY TO USS KA FALAN FALAN KAAM NA HO.

MEMON MASJID SE NASTAR PARK TAK ESSI KON SE JAGAH HAI , JAHAN PER LOGOON KO TAQLEEF HOTI HAI ?? OR YE ROAD USS JAGAH POOHANCHNAY KA AIK HI RASTA HAI ??

APP KA SAWAL JUB SAHI HOTA JUB ISS DIN CHUTTI NA HOTI, GOVERMENT OF PAKISTAN SE ISS KI EJAZAT NA LI GAYE HOTI. TO JANA LOGOON KO APNAY KAROBAR KARNAY OR WAHAN TAK JANAY MAIN MUSHKIL HOTI.

RAHI BAAT APP KI DALEEL KI TO JANAB YE DALEEL USS WAQT KI HAI KEH JUB WAHAN SE LOGOON KA GUZAR HOTA HO OR PHATTAR RASTAY MAIN PARA HO. JUB 12 RABI UL AWAL KE DIN WAHAN SE KOI GUZARTA HI NAHI TO YE DALEEL ISS PER FIT NAHI HOTI. 12 RABI AWAL KO KOI ISS ROAD SE NAHI GUZARTA KYON KE SAAL HA SAAL SE YE AMAL WAHAN HO RAHA HAI. OR POORAY PAKISTAN KO MALOOM HAI. TO JO GINTI LE LOOG GHAR SE BAHIR NIKALTAY HAIN WO MUTABADIL RASTA ISTIMAL KARTAY HAIN.

TO JANAB APP KA SAWAL JUB SAHI HOTA JUB ISS ROAD KE ELAWAH KOI MUTABADIL ROAD HI NA HO.

Link to comment
Share on other sites

Mera Etiraaz har us juloos per hai jo Road band kar kay Rastay me Rukawat khari kar kay nikala jaee..

Chahe wo Deobandi Nikaleen Ya Bareelvi...

Is Qisam kay Saray Juloos Chahe wo Mazhabi Hoon ya Siyaasi 100% Najaiz hain

Agar koi Jaiz samjhta hai to Islamic Shariat se Sabit Karday....

Janab Shahid Sahab Apka Andaz-e-Bayan Apkay Mahool Ki akkasi nahi karta...plz Is per tawwajja dain....

or mene jis se poocha hai wohi jawab dengay.....ye apkay bas ki baat nahi hai...

Mash'Allah! Aap ki deeni fehm ka bharpoor muzahira kar rahay hain aap.

Matlab ke dawa aap karein, aur dalail hum dein? Ye bhi sahi lateefa hai. Yaha uchal uchal kar Najayaz ka fatwa aap de rahay hain, lekin abhi tak aap ko itni gairat nahi huwi ke apnay daway ko Shara'ee dalail se sabit karein, ulta be'sharmi se hum se mutaliba kar rahe hain ke hum isay sabit karein. Janab apni logic ko zara dunya ke kisi bhi mamlay mein apply kar ke dekh lijiye, zaleel hi hon gay.

Mein apni pichli taqreeban 3 posts mein tu detail se baat kar chuka aur shayad aap samajh bhi chukay ke asal baat kya hai. Lekin wohi "murghi ki aik taang" ke misdaaq aap se haq ko jantay huway qubool karne se perhaiz kar rahe hain, naak jo neechi ho jaye gi aap ki:rolleyes:

Aap se ab kuch sawal. Agar iss ka jawab de saktay hain tu baat kijiye warna phir aap jaiso ko samjhanay ki koshish karna waqt ka ziya hai.

1. Road Block ki definition paish kijiye. Dunyawi deeni jis lihaaz se aap chahay.

2. Ailaaniya tour per 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ke liye road waqf kya jana shariat ke hisaab se najayaz sabit kijiye. Yaad rakhiye ke aap ne apni post mein dawa kya hai ke ye 100% najayaz hai, so usool-o-zawabit ke mutabiq daleel paish karna aap ki zimaydari hai.

3. Aaj tak dunya ke jis jis hissay mein jis bhi Government ki janib se 12th Rabi-ul-Awwal ya kisi bhi doosray maqsad ke liye kisi road ko waqf kya gaya ho un ke khilaaf fatawa paish kar dijiye. Ab ye na kahiye ga ke dunya ke saray mufti bawlay hain aur sari fiqh aur shariat ki samajh aap hi ko hai. Aap ke nazdeek dunya mein koi mufti tu bechara theek hoga hi, ussi mufti ka fatwa dikhla dijiye ga.

Ab aap ki agli post mien inn ka jawab zaroor hona chahiye warna phir majbooran iss topic ko lock kar diya jaye ga kyu behs'baraye behs tu aap hazrat ka purana wateera hai jis ki ijazat zahir hai nahi di jaa sakti.

Aap ke jawabaat ka intizaar rahe ga.

Link to comment
Share on other sites

1. Road Block ki definition paish kijiye. Dunyawi deeni jis lihaaz se aap chahay.

2. Ailaaniya tour per 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ke liye road waqf kya jana shariat ke hisaab se najayaz sabit kijiye. Yaad rakhiye ke aap ne apni post mein dawa kya hai ke ye 100% najayaz hai, so usool-o-zawabit ke mutabiq daleel paish karna aap ki zimaydari hai.

3. Aaj tak dunya ke jis jis hissay mein jis bhi Government ki janib se 12th Rabi-ul-Awwal ya kisi bhi doosray maqsad ke liye kisi road ko waqf kya gaya ho un ke khilaaf fatawa paish kar dijiye. Ab ye na kahiye ga ke dunya ke saray mufti bawlay hain aur sari fiqh aur shariat ki samajh aap hi ko hai. Aap ke nazdeek dunya mein koi mufti tu bechara theek hoga hi, ussi mufti ka fatwa dikhla dijiye ga.

Sybarite bhai Naraaz kioon hoo rahe hoo...bhai jaan Tahammul se kaam lain...MEne kaha kay 100% najaiz hai or me iski wazahat bhi kar chuka hoon according to islam..bhai me 1 student hoon..ap se seekhna chaaraha hoon yahan debate kar kay....likin ap sawal ka jawab dene kay bajae ultaa naraaz hoo rahe hoo....

1. koi esi jaga jahan se logo ki musalmanoo ki guzarne ki jaga ho...ya koi esi guzar gaah jahan pathar laga kar ya koi rukawat khari kar kay os guzar gah ko band kar dia jae....

2. kisi musalmaan ko Takleef pohchana or kisi guzargaah ko rukawat laga kar Geer Zaroori toor per band karna according to islam Najaiz hai.....((or me ye baat pehle bhi apni poost me keh chuka hoon or ye be keh chuka hoon kay agar ap jiaz samjhtay hain to Islamic Rule of Law se sabit kardain...koi 1 daleel peesh kardoo..baat khatam ho jaegi))

3. dunya me kaheen bhi pakistan kay elawa Govt. ki taraf se 12 rabi ul awwal kay leye road waqf nahi kia jata.......or yaad rakheen me according to islam baat karr raha hoon..

or mufti kisi bhi maslak ka ho yaqeenan wo itna bawla to nahi hoga kay musalmaan ko takleef pohchnay or rastay me rukawat khari kar kay rasta band karne ko islam kay mutabiq jaiz qaraar de day or Baais-e-Ajro Sawab kahee..

yaar govt. to pata nahi kia kia kaam karti hai kia wo sab bhi jaiz hai for example License yafta sharab khanay, Sood ka karobar,Saza maaf karne ka ikhtiyaar sadar ko hasil hai.Huqooq Niswan Ordinence .etc etc etc....hamari Govt. koi islami govt. to nahi hai kay ap oskay har kaam ko jaiz tasawur karloo?

khair janab isi leye mene apna sawal Drul Afta Ehlesunnat ko irsaal kar dia hai . or muje poori umeed hai kay jawab mere haq me hi aae ga...because dunya ka koi bhi mufti bawla nahi hota..chahe wo kisi bhi maslak ka hoo....

agar jawab agaya to me yahan share kar doga...baqi ap loog jo kehte rahoo wo ap logo ki marzi hai

Edited by Rizwan Q
Link to comment
Share on other sites

Ager Msla Sirf traffic k blok hony ya na hony ka hy to traffic to her waqat kahn na kahn blok hi rehti hy

Mulk mai garian hi itnai a gain hy k traffic k blok hona kisi jlous sy koi taluq nai rakhta

phir be ager hum dekhin

To Hajj ka Ijtama jis ka aik hi Maqsad hota hy yani Khuda ki wahdaniat Allah k Hazoor hazrri to Haj k Mouqa mai jo traffic blok hoti hy

us ka zimadaar kon hy jis mai hazaron ki tadad mai muslman be shaheed ho jaty hn

lakin un saub ka Maqsad Naik hota hy yani Khuda k Hazoor hazri our koi usy bura nai kehta

lakin Jub koi Rasool (S.A.W) ka Ziker kerny ghar sy bahir niklta hy to Shetan ko bohat sadma hota hy our wo hum muslamno mai sy hi logon ko apna shkar bna ker warghlata hy k Ye galat ker rahy hn in ko roko etc .

meri Rizwan Q saab aap sy Guzarish hy k ager traffic ka blok hony sy sy logon ki raha mai rakawat hoti hi to Sub sy pehly aap ko chaiy

k Hajj k Mouqy per hony wali Traffic blocking our jo muslman shaheed hoty hn k bary mai Awaz uthain to hum be aap k sath hn ..

Link to comment
Share on other sites

SunniDefender[/b]' date='20 March 2010 - 06:49 PM' timestamp='1269092958' post='61549']

Ager Msla Sirf traffic k blok hony ya na hony ka hy to traffic to her waqat kahn na kahn blok hi rehti hy

meri Rizwan Q saab aap sy Guzarish hy k ager traffic ka blok hony sy sy logon ki raha mai rakawat hoti hi to Sub sy pehly aap ko chaiy

k Hajj k Mouqy per hony wali Traffic blocking our jo muslan shaheed hoty hn k bary mai Awaz uthain to hum be aap k sath hn ..

Apki is qabliat per mujee rashka hai lol..isi taran kay be tukay sawal kisi or ne bhi keye thay..Janaza kay oper....

mere bhai Haj Farz hai samjhay ap..or Farz pora karna Zaroori hai.or traffic kidher jam hota hai???

or kia Traffic jam honay ki sorat me Farz saqit ho jaega???

Terrafic jam hinay ki sorat me terrafic ka koi intizzam kia jata hai...likin farz nahi chora ja sakta

or Milad ka Juloos na Farz hai or Na hi Wajib

Baqi ap khud samjhdaar lag rahe hain sooch lain or samjh lain..

mera khayal hai debate bohot lambi ho gae hai...muje jawab ka intizaar hai Darul Afta se ..inshallah zaroor share karooga

مُحبّت رسول

صلی اللہ علیہ وسلم ہر عبادت کی اصل ہے

Jahan tak meri samjh mai aap ki baat ai hy aap ko sirf aitraz hy Road ka block hona ya Jlous

1.....acha ager road bilkul khali ho to phir to aap ko koi aitraz nai ho ga Jlous per ???

2.... kio k jlous k aap kilaaf hn to Aap zror Ghar Mai hi Eid Milad Nabi (S.A.W) Celebrate kerty hn gy ???

kio k aap ko sirf jlous sy hi tahfuzaat hn

Juma ki Namaz k liy be akser Masjdon k bahir ki Road blok ker di jati hy ta k ziada sy zaida log namaz perhin is k bary mai aap ka khial hy ???

Link to comment
Share on other sites

SunniDefender[/b]' date='22 March 2010 - 09:40 PM' timestamp='1269276023' post='61561']

مُحبّت رسول

صلی اللہ علیہ وسلم ہر عبادت کی اصل ہے

Jahan tak meri samjh mai aap ki baat ai hy aap ko sirf aitraz hy Road ka block hona ya Jlous

1.....acha ager road bilkul khali ho to phir to aap ko koi aitraz nai ho ga Jlous per ???

2.... kio k jlous k aap kilaaf hn to Aap zror Ghar Mai hi Eid Milad Nabi (S.A.W) Celebrate kerty hn gy ???

kio k aap ko sirf jlous sy hi tahfuzaat hn

Juma ki Namaz k liy be akser Masjdon k bahir ki Road blok ker di jati hy ta k ziada sy zaida log namaz perhin is k bary mai aap ka khial hy ???

ap apne Geer Zaroori Amal, Juloos or Chiraghan ko Farz or Wajib se joornay ki koshish na kareen....ye me phle bhi bata chuka hoon...

baqi me Apki fuzool batoon ka jawab nahi dee sakta

Link to comment
Share on other sites

ap apne Geer Zaroori Amal, Juloos or Chiraghan ko Farz or Wajib se joornay ki koshish na kareen....ye me phle bhi bata chuka hoon...

baqi me Apki fuzool batoon ka jawab nahi dee sakta

جلوسِ میلاد

عید میلاد النبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے دن درود و سلام سے مہکی ہوئی فضا میں جلوسنکالنا بھی تقریباتِ میلاد کا ضروری حصہ بن چکا ہے۔ رسولِ عربی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے غلاموں کا یہ عمل بھی صحابہ کرام رضی اللہ عنھم کی سنتہے۔ عہد رسالت مآب صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم میں بھی جلوس نکالے جاتے جنمیں صحابہ کرام رضی اللہ عنھم شریک ہوتے۔ درج ذیل احادیث سے جلوس کا ثبوتفراہم ہوتا ہے :

کتب سیر و اَحادیث میں حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کا ہجرت کے بعد مدینہ منورہ آمد کا حال اس طرح بیان کیا گیا ہے :

’’اُن دنوں جب حضور صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی آمد کسی روز بھی متوقع تھی مدینہ منورہ کے مرد و زن، بچے اور بوڑھے ہر روز جلوس کی شکلمیں دیدہ و دل فرشِ راہ کیے آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے اِستقبال کےلیے مدینہ سے چند میل کے فاصلے پر قباء کے مقام پر جمع ہو جاتے۔ جب ایکروز سرورِ کونین صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے ہجرت کی مسافتیں طے کرتے ہوئےنزولِ اِجلال فرمایا تو اس دن اہلِ مدینہ کی خوشی دیدنی تھی۔ اس دن ہر فردفرطِ مسرت میں گھر سے باہر نکل آیا اور شہرِ مدینہ کے گلی کوچوں میں ایکجلوس کا سا سماں نظر آنے لگا۔‘‘

حدیثِ مبارکہ کے الفاظ ہیں :

فصعد الرجال والنساء فوق البيوت، وتفرق الغلمان والخدم في الطرق، ينادون : يا محمد! يا رسول اﷲ! يا محمد! يا رسول اﷲ!

’’مرد و زن گھروں پر چڑھ گئے اور بچے اور خدام راستوں میں پھیل گئے، سب بہآواز بلند کہہ رہے تھے : یا محمد! یا رسول اللہ! یا محمد! یا رسول اللہ!‘‘

1. مسلم، الصحيح، کتاب الزهد والرقائق، باب في حديث الهجرة، 4 : 2311، رقم : 2009

2. ابن حبان، الصحيح، 15 : 289، رقم : 68970

3. أبويعلي، المسند، 1 : 107، رقم : 116

4. مروزي، مسند أبي بکر : 129، رقم : 65

اپنے آقا صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی سواری دیکھ کر جاں نثاروں پر کیف ومستی کا ایک عجیب سماں طاری ہوگیا۔ اِمام رویانی کے مطابق اہالیانِ مدینہجلوس کی شکل میں یہ نعرہ لگا رہے تھے :

جاء محمد رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم.

’’اﷲ کے رسول حضرت محمد مصطفیٰ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم تشریف لے آئے ہیں۔‘‘

روياني، مسند الصحابة، 1 : 138، رقم : 329

معصوم بچیاں اور اَوس و خزرج کی عفت شعار دوشیزائیں دف بجا کر دل و جان سےمحبوب ترین اور عزیز ترین مہمان کو اِن اَشعار سے خوش آمدید کہہ رہی تھیں:

طَلَعَ الْبَدْرُ عَلَيْنَا

مِنْ ثَنِياتِ الْودَاعِ

وَجَبَ الشُّکْرُ عَلَيْنَا

مَا دَعَاِﷲِ دَاعٍ

أيُّهَا الْمَبْعُوْثُ فِيْنَا

جِئْتَ بِالْأمْرِ الْمَطَاعِ

(ہم پر وداع کی چوٹیوں سے چودھویں رات کا چاند طلوع ہوا، جب تک لوگ اللہکو پکارتے رہیں گے ہم پر اس کا شکر واجب ہے۔ اے ہم میں مبعوث ہونے والےنبی! آپ ایسے اَمر کے ساتھ تشریف لائے ہیں جس کی اِطاعت کی جائے گی۔)

1 ابن ابي حاتم رازي، الثقات، 1 : 131.

عبد البر، التمهيد لما في الموطا من المعاني والأسانيد، 14 : 82

3. أبو عبيد اندلسي، معجم ما استعجم من أسماء البلاد والمواضع، 4 : 1373

4. محب طبري، الرياض النضرة في مناقب العشرة، 1 : 480

5. بيهقي، دلائل النبوة ومعرفة أحوال صاحب الشريعة، 2 : 507

6. ابن کثير، البداية والنهاية، 2 : 583

7. ابن کثير، البداية والنهاية، 3 : 620

8. ابن حجر عسقلاني، فتح الباري، 7 : 261

9. ابن حجر عسقلاني، فتح الباري، 8 : 129

10. قسطلاني، المواهب اللدنية بالمنح المحمدية، 1 : 634

11. زرقاني، شرح المواهب اللدنية بالمنح المحمدية، 4 : 100، 101

12. أحمد بن زيني دحلان، السيرة النبوية، 1 : 323

گزشتہ صفحات میں بیان کردہ محفلِ میلاد النبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کےاَجزائے تشکیلی سے واضح ہوگیا ہے کہ عید میلاد النبی صلی اللہ علیہ وآلہوسلم منانے کے یہی طریقے جائز اور مسلمہ ہیں۔ دنیا بھر میں اِسلامی معاشرےاِنہی طریقوں سے میلادِ مصطفیٰ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم مناتے چلے آرہےہیں۔ ان میں سے ایک عمل بھی ایسا نہیں جس کی اَصل عہد نبوی صلی اللہ علیہوآلہ وسلم اور دورِ صحابہ میں موجود نہ ہو یا قرآن و سنت سے متصادم ہو۔ جسطرح یہ اَجزاء الگ الگ طور پر جائز بلکہ مسلمہ ہیں اُسی طرح مجموعی طوربھی محفلِ میلاد النبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی صورت میں اِن کو شرعیجواز حاصل ہے۔

میلاد کی تقریبات کے سلسلے میں انتظام و انصرام اورہر وہ کام انجام دینا جو خوشی و مسرت کے اظہار کے لیے ہو شرعی طور پرمطلقاً جائز ہے۔ اس طرح محفلِ میلاد روحانی طور پر ایک قابلِ تحسین، قابلِقبول اور پسندیدہ عمل ہے۔ ایسی مستحسن اور مبارک محافل کے بارے میں جواز! عدمِ جواز کا سوال اٹھانا یقیناً حقائق سے لا علمی، ضد اور ہٹ دھرمی ہے۔

Link to comment
Share on other sites

Sybarite bhai Naraaz kioon hoo rahe hoo...bhai jaan Tahammul se kaam lain...MEne kaha kay 100% najaiz hai or me iski wazahat bhi kar chuka hoon according to islam..bhai me 1 student hoon..ap se seekhna chaaraha hoon yahan debate kar kay....likin ap sawal ka jawab dene kay bajae ultaa naraaz hoo rahe hoo....

Aap ghaliban tahammul ke maani dheet honay se lete hain. Janab hum tu tahammul se kaam lete huway hi ab tak aap ko mouqa dete aye ke shayad aap ki ghairat josh mein aye aur aap kabhi humare bhi kisi sawal ka jawab dein. Lekin ab tak tu aap sirf behs baraye'behs hi kartay aye hain. Aap ke jhootay honay ki pehli daleel tu yeh ke aik taraf aap khud ko student ya mutalaashi-e-haq ke roop mein paish karna chahta hain, doosri taraf khud iqraar bhi kartay hain ke debate kar rahe hain. Janab-e-man agar aap ko sirf sawal hi karna tha tu bajaye iss forum per anay ke, kisi mufti se fatwa hasil kartay. Tassali na hoti tu doosray kisi mufti ko pehlay mufti ka fatwa dikha kar jawab le lete. Lekin ye sab choon'ke mehnat'talb kaam hain lihaza kahilo se nahi hotay, iss liye aap aur aap jaisay doosray kaee hazrat yaha apnay jallay dil ki bharaas nikalnay aatay hain aur jab aap hazrat ki durgat banti tu faraar ke liye rastay dhoondtay huway kehtay hain ke jee hum tu student hain, sawali hain. Student ya sawal karnay wala sawal karta hai, DAWA nahi karta. Aap ne hawa hawai daway bhi kiye aur aiterazaat bhi, aur dono hi daleel dene se aap qaasir hain.

1. koi esi jaga jahan se logo ki musalmanoo ki guzarne ki jaga ho...ya koi esi guzar gaah jahan pathar laga kar ya koi rukawat khari kar kay os guzar gah ko band kar dia jae....

Sirf Musalmano ki guzar'gah ko block karna hi road block hota? Matlab ke aap ki dakyanoosi ilmiyat ke mutabiq agar Ghair'muslim mumalik mein guzar'gah ko block kya jaye ga tu woh jayaz hoga! Tuff hai aisi koorh'maghzi per janab!

2. kisi musalmaan ko Takleef pohchana or kisi guzargaah ko rukawat laga kar Geer Zaroori toor per band karna according to islam Najaiz hai.....((or me ye baat pehle bhi apni poost me keh chuka hoon or ye be keh chuka hoon kay agar ap jiaz samjhtay hain to Islamic Rule of Law se sabit kardain...koi 1 daleel peesh kardoo..baat khatam ho jaegi))

Hazrat dawa aap kar rahay hain yaha! Aap hi ka dawa hai na ke ye najayaz hai, tu phir daleel paish kartay kyu haath pair phool jatay hain aap ke. Ab jis tarah mugrhi ki gardan oonchi kar ke dawa kya hai issi jazbay ke saath daleel bhi paish kijiye. Ye tu shariat ka bhi usool hai ke daleel paish karna dawa karne walay ki zimaydari hai. Aap yaha dankay ki choot per murghi jitna seena phulaye bus dawa hi kar rahay hain, daleel hunooz ghayab hai.

3. dunya me kaheen bhi pakistan kay elawa Govt. ki taraf se 12 rabi ul awwal kay leye road waqf nahi kia jata.......or yaad rakheen me according to islam baat karr raha hoon.

Hazrat pehlay aap Road Block ke maslay se tu nipat lijiye, 12th Rabi-ul-Awwal ka mamla tu khud hi clear ho jaye ga. Aap ke aiteraaz ki bunyaad tu Road Block hi hai na, pehlay usske baray mein tu daleel paish kijiye. Road block agar najayaz hai tu phir tamaam kamo ke liye hi najayaz hoga aur iss ka iqraar aap khud bhi kar chukay hain ke juloos chahaye mazhabi ho ya siyasi woh najayaz hai, tu janab aaj tak dunya mein hazaroo nahi sainkroo juloos nikal gaye, kisi mufti ne koi tu fatwa dya hoga, woh zara paish kar dein.

or mufti kisi bhi maslak ka ho yaqeenan wo itna bawla to nahi hoga kay musalmaan ko takleef pohchnay or rastay me rukawat khari kar kay rasta band karne ko islam kay mutabiq jaiz qaraar de day or Baais-e-Ajro Sawab kahee..

Tu hazrat mein tu pehlay bhi aap se keh chuka ke Road Block ke khilaaf aap apnay chaheetay mufti ka fatwa paish karein, chahaye bawla hi ho. Hum bhi tu dekhein zara ke janab se sirf baatein hi hoti hain ya dalail bhi dete hain.

yaar govt. to pata nahi kia kia kaam karti hai kia wo sab bhi jaiz hai for example License yafta sharab khanay, Sood ka karobar,Saza maaf karne ka ikhtiyaar sadar ko hasil hai.Huqooq Niswan Ordinence .etc etc etc....hamari Govt. koi islami govt. to nahi hai kay ap oskay har kaam ko jaiz tasawur karloo?

Mein Government ke kuch karne ko tu daleel bana hi nahi raha. Mein tu baat kar raha hun ailaaniya Road Block ki, jo Government ki janib se kya jata hai, aur issi liye ailaaniya tour per hota hai ke awaam ko takleef na ho. VIP movement is a different story, waha government ki ghalti hoti hai kyu ke woh ailaaniya nahi hota jis ke baa'is awaam rastoo mein phansti hai.

khair janab isi leye mene apna sawal Drul Afta Ehlesunnat ko irsaal kar dia hai . or muje poori umeed hai kay jawab mere haq me hi aae ga...because dunya ka koi bhi mufti bawla nahi hota..chahe wo kisi bhi maslak ka hoo....

agar jawab agaya to me yahan share kar doga...baqi ap loog jo kehte rahoo wo ap logo ki marzi hai

Jawab tu jab aye ga tab post karein gay aap filhaal zara apna actual sawal jo aap ne Darul-Ifta bhaija hai, woh tu post kijiye. Ab agar mein sawal karo ga ke awaam ko takleef dene ke liye road block kiya jaye tu jayaz hai ya najayaz tu jawab yaqeenan najayaz ke fatwa ki soorat mein aye ga. Aur agar sawal kiya jaye ke Government ki ijazat se, aam tateel walay din, aik makhsoos road per jo government ki taraf se waqf kya gaya ho, uss per juloos nikalna kaisa hai tu jawab aur hoga.

Khair hum aap ke jawab ke muntazir rahein gay, jis ke anay ki zyada umeed nahi!

Link to comment
Share on other sites

SunniDefender[/b]' date='24 March 2010 - 08:06 PM' timestamp='1269443205' post='61570']

جلوسِ میلاد

.............................

(ma)

Nice post bhai, lekin faida nahi. Ye Rizwan sahab ne shayad hi apni zindagi mein koi hadith ki kitab parhi ho. Hawala'jaat usay diye jatay hain jis mein un hawala'jaat ko parhne aur samjhnay ki salahiyat ho.

Link to comment
Share on other sites

Jawab tu jab aye ga tab post karein gay aap filhaal zara apna actual sawal jo aap ne Darul-Ifta bhaija hai, woh tu post kijiye. Ab agar mein sawal karo ga ke awaam ko takleef dene ke liye road block kiya jaye tu jayaz hai ya najayaz tu jawab yaqeenan najayaz ke fatwa ki soorat mein aye ga. Aur agar sawal kiya jaye ke Government ki ijazat se, aam tateel walay din, aik makhsoos road per jo government ki taraf se waqf kya gaya ho, uss per juloos nikalna kaisa hai tu jawab aur hoga.

Khair hum aap ke jawab ke muntazir rahein gay, jis ke anay ki zyada umeed nahi!

apki is post me koi ehem baat to nahi hai..bas 1 baat kahoo ga kay agar koi kisi musalmaan se ye kahey kay musalmaan ko takleef pohchana haram hai gunah hai...or dosra musalmaan kahee kay iski daleel le kar aoo....to bari ajeeb ci baat hai...yaar common sense ki bat hai...khair choorenn

ap ne akhir me jo kuch kaha hai oska jawab dena zaoori samjhta hoon........mere bhai mera jo sawal hai wo isi page per hai sab se oper jo pehli post hai or mene send bhi kia hai....ap samjh rahe hoo kay me jhoot bool raha hoon...afsoos hua...likin mere pas reply bhi aya hai...or os me kaha gaya hai kay ap apna sawal is address per mail kareen "[email protected]"

per send kareen ok

apka matlab hai kay jo road govt. ki taraf se waqf ho jae Elan kar kay.....to os se musalmanoo ko takleef nahi pohchay gii...or Taj Medical Hospital or HAmdard Hospital etc etc me JAdoo se koi emergancy nahi hogi...or Tamam logo kay os din kay zaroori kam emergancy kam khud ba khud hal ho jaee gay...wah ray waaaaah...chaleen me apki ye na munasib logic maan leta hoon

ab muje 1 baat bataeen....12 rabil awwal kay elawa bhi 8,9, 10, 11 rabi ul awwal ko bhi road block kay kay juloos nikala jata hai...jis ki tarrefic jam ki news saray channel per slide kay toor per chalti hain.11 rabi ul awwal ko sham me Liaquatabad me Juloos nikalta hai jis se pora city jam ho jata hai....is dafa 10 rabi ul awwal ko Water pump per Mufti Muneeb-ur-Rehman ki qiyadat mme juloos nikala gaya...or water pump se sohrab goth tak terrific jam tha jis me me bhi mojod tha.ap ko to andaza nahi kay emergancy me log kitne pareeshan hotay hain or kitni takleef hoti hai...ab ap bataoo ye konsa islam hai???

Edited by Rizwan Q
Link to comment
Share on other sites

tablighi jamat ka chilla farz hai ya wajib?

raiwind mein jo dhama chokri machaijati hai, wo farz hai ya wajib?

raiwind kay mailay kay baad jab taghooti jamatein tashkeel di jati hain aur wo jamatein railway station aur bus stands per dhawa bolti hain to un ki waja say kiya kisi "muslim" ko takleef hoti hai ya nahi? agar takleef hoti hai aur yaqeenan hoti hai to takhribi jamat k doray or chille band kyun nahi kiye jatay?

trains aur dosri transport mein sawar honay kay liye aur sawar honay kay baad lota party kay members ki waja say musafiroun ko jo takleef hoti hai wo kis khatay mein?

abhi kay liye itne hi baqi sawal ap kay jawabat kay baad, (agar kabhi ap ne jawab diya to).

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا

×
×
  • Create New...