Jump to content

Any One Defender Of Janab Ilyas Qadri Saab


SunniDefender

تجویز کردہ جواب

apki is post me koi ehem baat to nahi hai..bas 1 baat kahoo ga kay agar koi kisi musalmaan se ye kahey kay musalmaan ko takleef pohchana haram hai gunah hai...or dosra musalmaan kahee kay iski daleel le kar aoo....to bari ajeeb ci baat hai...yaar common sense ki bat hai...khair choorenn

 

Zahir hai, jin sawalaat ka jawab aap ke paas nahi usay tu aap ghair'zaroori hi kahein gay aur ye humare liye naya bhi nahi. Her thoray din baad aap hi tarah ka koi kunway ka maindak nikal kar yehi sab kuch karta hai yaha.

 

Ajeeb baat tu ye bhi hai ke aik banda dawa kare ke fala cheez najayaz hai aur phir uss se daleel talb ki jaye tu rooti shikal bana kar jawab de ke daleel kyu mangtay ho. Common sense ki tu khair se aap baat hi na karein, ye common sense aaj kal aap jaiso mein kaafi uncommon ho gai hai. Aap common sense ki baat karte huway zara ye bhi sooch lete ke kuch posts pehlay aap Shar'aee qanoon aur qawaid ki baat kar rahe thay aur jab aap se daleel talb ki gai hai tu rah-e-faraar ke tour per apni illogical baato ko common sense ka naam dete hain. Hum tu samjhay thay deeni masail mein aap ki kasooti Quran-o-Hadith hogi, lekin aap tu niray jahil niklay jo deeni masail ko common sense se hal karna chahtay hain. Ghaliban aap ke yaha ke mufti hazrat bhi common sense se hi fatwa dete honge!

 

Chaliye ab ye common sense ki baat chir hi gai tu phir itmaam-e-hujjat ke tour per iss ka jawab bhi sun lijiye. Common sense tu ye hai ke aisay maslay mein sab se pehla sawal tu ye uthay ga ke aya iss se musalmaano ko takleef pohanch bhi rahi hai ya nahi, agar waqai takleef pohanch rahi hai tu woh saray musalmaan khamoosh kyu hain? Maslan kisi aik political party ko doosri party se koi takleef ho tu akhbaraat mein bayan dete hain, ihtijaaj kartay hain rallies nikaltay hain. Lekin aaj tak hum ne raod block ke hawalay se kisi ko 12th Rabi-ul-Awwal ke khilaaf ihtijaaj kartay nahi dekha. COMMON SENSE ki baat hai ke agar waqai pooray shehr ko takleef hai tu ye awaam khamoosh kyu bethi hai? Ab zara jaldi se apni common sense ka baroye'kaar lete huway iss ka jawab inayat farmaiye ga. Agar iss ka jawab aap ki common sense se balatar hai tu phir tu yehi sabit hota hai ke common sense aap ke liye uncommon hai!

 

ap ne akhir me jo kuch kaha hai oska jawab dena zaoori samjhta hoon........mere bhai mera jo sawal hai wo isi page per hai sab se oper jo pehli post hai or mene send bhi kia hai....ap samjh rahe hoo kay me jhoot bool raha hoon...afsoos hua...likin mere pas reply bhi aya hai...or os me kaha gaya hai kay ap apna sawal is address per mail kareen "[email protected]" per send kareen ok

 

Kaha tu mein ne aisa kaafi kuch tha jis ka jawab dena aap ki zimaydaari thi lekin common sense ke saath saath lagta hai kaafi deegar cheezian bhi aap ke yaha uncommon hain. Jaisa ke aap ka khud ko student ke roop mein paish kar ke daleel se jaan churanay ki aap ki nakaam aur chichoori koshish, road block ki intihai bewaqoofana definition.. waghaira ..

 

Fatwa ke jawab ke saath asal sawal ki kitni ehmiyat hoti hai iss ka shayad aap ko andaza nahi, kabhi sawal ko hata kar sirf fatwa parhne ki koshish karein gay tu shayad samajh aa jaye. Apni common sense ka haal dekhiye ke mere sirf fatwa mein poochay gaye sawal ke baray mein pata karne se aap ko "AFSOOS" ho gaya! Allah hi janay iss mein kis baat per aap ko afsoos huwa aur najanay kaha se aap ko ye ilhaam ho gaya ke mein aap ko jhoota samajh raha hun. Mera maqsad tu sirf yeh janna tha ke aakhir aap ne Darul-Ifta mein sawal kya bhaija hai. Iss ke jawab mein aap seedha seedha woh sawal hi post kar dete tu bohut hota, bilawajeh mein dil per sadma liye afsoos kar rahe hain.

 

apka matlab hai kay jo road govt. ki taraf se waqf ho jae Elan kar kay.....to os se musalmanoo ko takleef nahi pohchay gii...or Taj Medical Hospital or HAmdard Hospital etc etc me JAdoo se koi emergancy nahi hogi...or Tamam logo kay os din kay zaroori kam emergancy kam khud ba khud hal ho jaee gay...wah ray waaaaah...chaleen me apki ye na munasib logic maan leta hoon

 

ab muje 1 baat bataeen....12 rabil awwal kay elawa bhi 8,9, 10, 11 rabi ul awwal ko bhi road block kay kay juloos nikala jata hai...jis ki tarrefic jam ki news saray channel per slide kay toor per chalti hain.11 rabi ul awwal ko sham me Liaquatabad me Juloos nikalta hai jis se pora city jam ho jata hai....is dafa 10 rabi ul awwal ko Water pump per Mufti Muneeb-ur-Rehman ki qiyadat mme juloos nikala gaya...or water pump se sohrab goth tak terrific jam tha jis me me bhi mojod tha.ap ko to andaza nahi kay emergancy me log kitne pareeshan hotay hain or kitni takleef hoti hai...ab ap bataoo ye konsa islam hai???

 

Chaliye aap ne baat ki Taj Medical aur Hamdard Hospital ki. Karachi mein kitnay saalo se 12th Rabi-ul-Awwal ka juloos nikal raha hai ye aap bhi jantay hongay. Tu phir itnay saalo mein Taj Medical ya Hamdard mein koi emergency nahi huwi kya? Aisi koi emergency ho, aur sirf 12th Rabi-ul-Awwal ke juloos ki wajeh koi jaani nuqsaan huwa hota tu yaqeenan akhbaraat mein bhi aata. Hum ne aaj tak nahi parha, aap ne parha tu zaroor bataiye ga. Tu janab yaha aap ke liye uncommon common sense se dekha jaye tu seedhi si baat samajh aati hai ke Taj Medical ya Hamdard ya aur deegar hospitals ke liye 12th Rabi-ul-Awwal ya deegar juloos waghaira ke mouqay mutabadil rastay faraham kiye jatay hongay, tabhi aaj tak aap ne kabhi aisi koi khabar nahi parhi. Ab ye hum aap ki uncommon si common sense per choortay hain, ke aya aaj tak Taj Medical, Hamdard ya deegar hospitals mein emergency huwi hi nahi aur huwi tu unn ka kya bana.

 

Phir aap ne baat ki 8,9,10,11 Rabi-ul-Awwal ke julooso ki. Aap ne ghaliban gour nahi kiya ke mein ab tak 12th Rabi-ul-Awwal ke markazi juloos ki baat kar raha hun. Be'shak agar shahrah-e-aam per baghair kisi paishgi khabar ke aisa juloos nikala jaye tu uss se awaam ko takleef hogi, traffic jam hoga aur ye yaqeenan sahi nahi. Lekin hazrat hum tu yaha baat hi 12th Rabi-ul-Awwal ke markazi juloos ki kar rahe hain. Mein tu logical explanation ke tour per bhi 1 nahi 10 baar keh chuka ke 12th Rabi-ul-Awwal ka juloos ailaaniya tour per hota hai lihaza awaam ko kafi din pehlay se maloom hota hai fala din fala road per juloos hoga, lihaza uss taraf na jaya jaye balkay mutabadil rasta ikhtiyaar kiya jaye. Jo ghalat hai usay ghalat kehnay mein humein koi aar nahi janab!

 

Aap ne apni jaan bachanay ke liye mouzo ko doosre rukh per moorne ki achi koshish ki lekin aap ko yaha bhi sadma aur afsoos hi hoga, kyu ke asal masla tu aap ka woh dawa hai jo aap pichli post mein kar chukay ke Juloos chahay mazhabi ho ya siyasi 100% najayaz hai! Aap ki be'tukki mantaq ke mutabiq tu her juloos se awaam ko takleef hoti hai iss liye tamaam juloos najayaz hain. Aur humara tu awaleen mutaliba yehi tha ke aap sabit tu karein ke tamaam jalso se awaam ko kis tarah takleef hoti hai. Warna ghair'ailaaniya tour per traffic jam ki tardeed tu mein pehlay bhi kar chuka, jaisa ke aap ne pehlay baat ki thi VIP movement ki, usay mein ne ghalat hi kaha tha.

 

Ye tu ho gaya aap ki uncommon samait deegar tamaam senses ka post-mortem. Ab aiye asal baat ki taraf. Jab se mein iss topic mein post tab se ab tak aap ne meri kisi aik post ka bhi poora jawab nahi diya. Aadhi baato ka jawab dete aadhi ka qorma bana kar nigal lete hain. Ab agli post mein neechay diye gaye sawalaat ka jawab dijiye ga aur agar nahi de pata tu khamoosh rahiye ga, kyu ke yeh forum behs baraye'behs ke liye nahi. Jawabaat hain tu zaroor post kijiye, ba'soorat-e-deegar khamooshi behtar.

 

1. Road Block ki shar'aee haisiyaat sabit kijiye. Road Block karna haram hai, makrooh hai, kufr hai? Tafseeli jawab ma'aa daleel marhammat farmaiye.

 

2. 12th Rabi-ul-Awwal ka juloos jo saalo se ba'qaida nikala jaa raha hai, iss se jin logo ko road block ki takleef hoti hai woh aaj tak khamoosh kyu hain? Media khamoosh kyu hai? Awaam khamoosh kyu hai isay rukwanay ki liye koi koshish kyu nahi karti? Mazeed ye ke Taj Medical aur Hamdard ya deegar hospitals mein 12th Rabi-ul-Walay din kitni emergencies lagi aur unn emergencies ka kya huwa?1

 

3. Aap ne mazhabi aur siyasi tamaam juloos ko 100% Shar'aee tour per najayaz qaraar diya. Apnay kiye gaye iss daway ke saboot mein daleel-e-shar'aee paish kijiye. Aap ki common sense Shar'aee hujjat nahi.

 

4. Dunya ke tamaam mumalik mein Alhumdillah Muftiyaan-e-Kiram mojoud hain aur dunya ke tamaam mumalik mein juloos ya rallies nikali jati rahien hain. Dunya mein kisi bhi aisay Mufti ka aisi rallies ya juloos ke khilaaf fatwa paish karein.

 

 

Inn ka jawab diye baghair post karne ki zehmat nahi kijiye ga kyu ke woh delete kar di jaye gi.

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 78
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

bhai jaan itni lambi choori post ki koi zaroorat nahi.....sedhi ci baat hai Islam me kisi musalmaan ko takleef dena or Rastay me rukawat laga kar rasta geer zaroori tor per band karna Najaiz hai.....ok

me na Alim hoon na mufti...likin mene Alim or muftioon se yahi suna hai....agar ap jaiz samjhtay hain to daleel de kar sabit kareen baat khatam...itni lambi chori kahani sunanay ki zaroorat nahi.....

 

agar jaiz hone ki daleel hai to dejeye ga..Islamic rule of Law se.....agar nahi hai to koi baat nahi......Darul Efta se jawab agaya to yahan inshallah zaroor lagao ga....

 

Allah Hafiz...

 

or Ehtijaj to loog kartay hain kioon kay logo ko takleef hoti hai..or takleef isi leye hoti hai kay Gorund mojod honay kay bawajood Road per juloos nikal kar saray shehr ko pareshan karna galat hai....1 aam banda to ehtijaj nahi karsakta.. haan dil me bura zaroor janta hai

Link to comment
Share on other sites

me na Alim hoon na mufti...likin mene Alim or muftioon se yahi suna hai....agar ap jaiz samjhtay hain to daleel de kar sabit kareen baat khatam...itni lambi chori kahani sunanay ki zaroorat nahi.....

 

Mein ne kab kaha ke aap Alim ya Mufti hain janab, aap kya mujhay tu aap ki nasl mein shayad koi Alim ya Mufti hone ka imkaan nazar nahi aata. Apni jahalat dekhiye ke Shar'iat ke hisaab se jawab chahtay hain lekin sawal aap ka shariat ke khilaaf hai. Janab yaha per aap aye hain issay najayaz sabit karne, tu sabit aap ne karna hai. Ya tu aapki naqis aqal iss qabil nahi ke aap ye seedhi si baat samajh sakein ya phir shayad ye aap ki ilmi be'ghairti hai ke aap samajhtay huway bhi iqraar nahi kartay. Chaliye lagay haatho aap ko misaal diye deta hun; shayad aap ko baat samajh aa jaye/

 

Aap rastay mein kharay hun, aur koi raah chalta aadmi aa kar rastay ki beech aap ke mutalliq ye chillana shuru kar de ke aap wald-e-haram hain aur jab aap uss se kuch kahein tu woh agay se aap hi ko kahe ke agar halaal ki aulaad ho tu sabit karo, tu yaqeenan aap bhi yehi kahein gay ke ilzaam tum laga rahe hun mein kis baat ka saboot dun?

 

Yehi mamla aap ka hai.. daway pe daway kiye jaa rahe hain lekin jawab dene ki aap ki auqaat nahi. Janab ye murghi jitna seena phulla kar Najayaz qaraar dena koi bari baat, asal baat tu tab hai ke aap iss daway ki koi shar'aee daleel paish karein.

 

Khair aap ko kafi muhlat de di lekin aap ki taraf se itnay din guzarne ke baad bhi kaafi baato ka jawab nahi mila. Jaisa ke pehlay bhi bayan kar chuka ke ye jageh behs baraye'behs ke liye nahi. Warna aap jaisay be'sharm dheet iss dunya mein bohut hain, sabhi ki dhitai ke sunnay lag gaye tu phir iss forum ka satyanaas hi ho jaye.

 

Agay aap ne tinkay ke saharay ke tour per ihtijaaji banner ki pic tu laga di, lekin ye bhi maloom kar lete ke ye banner kab ka hai. Iss saal Muharram ke Shia juloos mein dhamakay ke baad jo dukaano ko nazr-e-aatish kiya gaya ye uss ke baad ki pics hain. Tu janab-e-ali, ye tu market ka official banner bhi nahi warna market ke saddar ka naam bhi mojoud hota. 4 10 wahabi balway mil kar ye harkat kar lein tu is ke bal per aap ki poori nasal bhi mil kar apna mouqif sabit nahi kar sakti.

 

Aap ko tasweerien hi dekhni hai tu ab ye bhi dekh lijiye; lekin dekhnay ke baad atleast kisi aik ke khilaaf tu fatwa laa hi dijiye ga, warna phir agar haya hogi tu mujhay batanay ki zaroorat nahi ke kya kijiye ga.

 

 

TOPIC LOCKED

Karachi mein ye taqreeban 5000 bacho ne Huzoor-e-Pur'Noor (saw) k gustakhana khaakay banaye janay ke khilaaf juloos.

 

 

pakistani_children.jpg

 

 

Pichlay saal Beirut mein Israeli hamlo ke khilaaf nikalay janay wala juloos;

 

lebanese_protest.jpg

 

London Trafalgar Square per Muslims ka Danish Cartoons ke khilaaf juloos;

 

0105muslim.jpg

 

Bhopal India mein Danish Cartoons ke khilaaf Muslims ka juloos;

 

PH2006021601340.jpg

 

Cairo ki Al-Azhar Masjid mein Muslims ka Israel ke Gaza per hamlay ke khilaaf juloos; iss per tu sab se pehla Jamia Al-Azhar se hi aajana chahiye tha magar abhi tak tu nahi aya.

 

CAIRO%20GAZA%20PROTEST.jpg

 

Jamia Al-Azhar ke bahir Bait Hanoun per hamlay ke khilaaf juloos;

 

293717193_164bdeec60.jpg

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا

×
×
  • Create New...