Jump to content

مجھے قضا نمازوں کے بارے میں پوچھنا ہے

Rizwan9

تجویز کردہ جواب

مجھے قضا نمازوں کے بارے میں پوچھنا ہے

(١ ) ایک تو یہ کہ قضا نمازوں کی نیت کیسے کرتے ہیں ---- مثال کے طور پر سب سے پہلے فجر جو مجھ سے قضا ہوئی اس کو ادا کرتا ہوں ----- دوسرا مسلہ یہ ہے کہ اگلے دن فجر کی قضا ادا کرنی ہو تو یہی نیت کریں گے یا اب یہ کہیں گے اب دوسرے دن کی فجر جو مجھے سے قضا ہوئی اس کو ادا کرتا ہوں پھر اس طرح تیسری اور چھوتی.. ای ٹی سی ......

(٢) دوسری یہ کہ قضا نمازوں میں اگر غلطی ہو جائے تو کیا سجدہ سہو کرنا ہو گا اس کہ طریقہ کار کیا ہو گا

(٣) قضا نمازوں کے بعد دوا مانگنی چاہیے یا نہیں ---اگر دوا مانگنا بھول گئے تو کوئی فرق تو نہیں پڑے گا

post-4568-12825248300497.jpg

Link to comment
Share on other sites

On 8/23/2010 at 8:54 AM, Rizwan9 said:

(١ ) ایک تو یہ کہ قضا نمازوں کی نیت کیسے کرتے ہیں ---- مثال کے طور پر سب سے پہلے فجر جو مجھ سے قضا ہوئی اس کو ادا کرتا ہوں ----- دوسرا مسلہ یہ ہے کہ اگلے دن فجر کی قضا ادا کرنی ہو تو یہی نیت کریں گے یا اب یہ کہیں گے اب دوسرے دن کی فجر جو مجھے سے قضا ہوئی اس کو ادا کرتا ہوں پھر اس طرح تیسری اور چھوتی.. ای ٹی سی ......

Har dafa yehi Niyat karain ge k pehli fajar jo mujh say qaza hui........ Kionkay jab aapnay aik fajar ada kar li to wo to ada hogayi jo doosri hay to pehli qaza k muqam per aagayi....

Misal k tor per aapnay somwar aor mangal ki fajar ki qaza ada krni hay to aap pehlay somwar walay din ki qaza ada krtay waqt yeh niyat krtay hain k Jo pehli fajar mujh say qaza hui.......to ab jab aapnay yeh ada kr li to yeh nmaza qaza ki fehrist say nikal gayi aor jo mangal k din qaza hui thi to pehlay number per aagayi... lihaza dobara jab aap mangal ki qaza ada krna chahain ge to yehi niyat karain ge k jo pehli mujh say qaza hui .....

On 8/23/2010 at 8:54 AM, Rizwan9 said:

(٢) دوسری یہ کہ قضا نمازوں میں اگر غلطی ہو جائے تو کیا سجدہ سہو کرنا ہو گا اس کہ طریقہ کار کیا ہو گا

Qaza nmaz ada krtay waqt nmaz k wajibat main say koi wajib bhoolay say reh jaye ya Farz main takheer hojaye to sajda-e-sahv karna hoga aor iska tareeqa bhi aam nmazon main sajda-e-sahv krnay jesa hi hoga.

On 8/23/2010 at 8:54 AM, Rizwan9 said:

(٣) قضا نمازوں کے بعددعا مانگنی چاہیے یا نہیں ---

Qaza nmazon k bad Dua maangna koi farz ya wajib naheen hay Ager aap dua maangna chahtay hain to zroor maangain.

On 8/23/2010 at 8:54 AM, Rizwan9 said:

اگر دعا مانگنا بھول گئے تو کوئی فرق تو نہیں پڑے گا

Ager Nmaz k bad dua maangna bhool gaye ya jaan bhooj kar chor di to is say nmaz per koi asar naheen pray ga .. Laikin Nmaz k bad dua maangni chaheay... yehi behtar amal hay

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

qaza naamz parhte waqt mujhe se rukooor sujood mein subhna rabil yal azeem -- subhana rabil yal aala ek se ziadah martab parh laita hoon tu waise tu ek martaba parh na hota hai kya sajda sahu karna ho ga

or dosra yeh kay attaheyaat mein, mein kabhi pura darood shareef parh laita hoon jaise aam namaazon mein parhthy hain tu namaaz ho jaye gi

Edited by Rizwan9
Link to comment
Share on other sites

On 8/27/2010 at 1:40 PM, Rizwan9 said:

Bhai Kam Az kam aik martaba parhna zroori hay aor aap chahain to 3 , 5 ya 7 martaba bhi parh sktay hain..

On 8/27/2010 at 1:40 PM, Rizwan9 said:

or dosra yeh kay attaheyaat mein, mein kabhi pura darood shareef parh laita hoon jaise aam namaazon mein parhthy hain tu namaaz ho jaye gi

Qaza Nmaz 4 Rak'at Farz ya 3 witr ada kartay waqt 2sri Rakat main Attaheyat k bad ''Allahumma Salli Ala Muhammad'' tak parh lea to sajda sahv wajib hojaye ga

aor 4thi rakat main poora durood shareef parhna hi afzal hay ....

Link to comment
Share on other sites

On 8/28/2010 at 10:50 AM, Rizwan9 said:

3 or 4 rakaat mein --- allahumma salle ala muhammdew wa alehe--- tak parhna likha hai

Meray Muhtaram bhai yeh ''TAKHFEEF'' ki soorat bayan ki gayi hay..yani keh ager aapki qaza nmazain bahut ziada hon to aap AESA kar sktay hain k 4thi rakat main mukammal durood shareef ki jga ''Allahuma Sali Ala Muhammad-in-wa Aalehi'' parh lain...yani k yeh aap ko ijazat hay .. Laikin aesa karna farz ya wajib naheen hay... .

Ager aap Durood shareef ki ziada say ziada barkaat hasil krna chahtay hain to Mukammal Durood shareef parh saktay hain....

(azw)(ja)

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

Bahar-e-Shareat Main hay:

سجدہ یا رکوع میں بلا ضرورت تین تسبیح سے کم کہنا حدیث میں اسی کو مرغ کی سی ٹھونگ مارنا فرمایا ہاں تنگی وقت یا ریل چلے جانے کے خوف سے ہو تو حرج نہیں اور اگر مقتدی تین تسبیحیں نہ کہنے پایا تھا کہ امام نے سر اٹھا لیا تو امام کا ساتھ دے۔

Link to comment
Share on other sites

agar bholay se ek he tasbeeh pari ho tu mujh se namazoon mein aksar ek bar parh laita hoon halank jaan boojh kar nahin karta hoon bholay se ho jata hai

Is say nmaz par koi asar nhi parta , nmaz hojaye gi

laikin koshish krni chaheay keh Ruko-o-Sujood main 3 , 5 ya 7 martba tasbeeh parhi jaye

(azw)(ja)

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

mein qaza namaazein fajar se 10 minute pehle parh laita hoon (fajar ki azan hone se pehle) tu yeh makroo waqt mein tu nahin aye ga

1) kabhi kabhar mein fajar mein nahin parh sakta hoon tu zuhar ki azan se pehle taqreebann adha khanta pehle parhlaita hoon makroo waqt mtin tu shumaar nahin kiya jaye ga

2) masla yeh poochna hai kay mein zahur se pehle qaza namazein or azan hone kay baad yani kay zahur ki azan ho chuki hai halankay zahur ki sunnatein parhni cahye mein us mein bhi qaza namazein ada kar raha hota hoon phir us kay baad zahur ki chaar sunnatein parhta hoon tu kya yeh sahee tareeqa hai

REPLY ME

Link to comment
Share on other sites

in 3 awqat main nmaz parhna manna hay:

1) Fajar ka waqt khatam honay kay bad Tuloo-e-Aaftab k 20 minuter tak

2) Ghuroob-e-Aaftab kay 20 minute pehlay say lay kr ghuroob-e-aaftab tak (HAN agar usi din ki asar baaqi ho to parh li jaye)

3) Nisf-un-Nahar Shar'i yani Dahwa-e-Kubra say laykr zwal tak

Nisf-un-Nahar Shar'i Maloom Karnay ka tareeqa: Jis din ka Nisf-Un-Nahar Shar''i maloom krna ho us din kay Subh-e-Sadiq (Yani jab fajar ka time SHUROO hota hay) say laykr Ghuroob-e-Aaftab ka waqt shumar kijiay aor us saaray waqt k 2 hissay kr lijiay pehla hissa khatam hotay hi nisf-un-Nahar shar'i ka waqt shuroo hogya.

Misal k tor par aaj Subh-e-Sadiq theek 5 bjay hain aor Ghuroob-e-Aaftab theek 6 bjay to donon k darmyan ka waqt kul 13 ghantay hua , iskay 2 hissay krain to donon main har aik hissa sarhay 6 ghantay ka hua , ab Subh-e-Sadiq k bad waly ibtedayi sarhay 6 ghantay saath mila lijiay

Yani

Subh-e-Saadiq = 5 bjay

Pls 6:30 Hours

so 5+6:30 = 11:30

to ab 11:30 bjay Nisf-Un-nahar Shar'yi ka waqt shuroo hogya.. ab nmaz naheen parh sktay hain

jab zwal ka time shuroo hoga , us waqt zuhr ka waqt shuroo hojata hay phir dobara nmaz parh sktay hain ...

misal k tor per zuhr ka waqt 12 bjay shuroo hojata hay to 11:30 say 12 tak koi nmaz naheen parh sktay.. laikin 12 k bad parh sktay hain

..................

Nisf-un-Nahar sharyi aor Zuhr ka waqt yeh Naqsha-e-Nizam-ul-Awqat main darj hota hay , wrna dawateislami ki website www.dawateislami.net say bhi nmaz k awqat l naqshay main dekhay ja sktay hain

Nisf-Un-Nhar SHaryi.jpg

On 10/25/2010 at 10:12 AM, Rizvann said:

mein qaza namaazein fajar se 10 minute pehle parh laita hoon (fajar ki azan hone se pehle) tu yeh makroo waqt mein tu nahin aye ga

Fajar ka waqt shuroo honay say pehlay ya fajar ka waqt shuroo honay k bad tuloo-e-aaftab say pehlay pehlay qazan nmaz ada ki to ada hojaye gi.

On 10/25/2010 at 10:12 AM, Rizvann said:

1) kabhi kabhar mein fajar mein nahin parh sakta hoon tu zuhar ki azan se pehle taqreebann adha khanta pehle parhlaita hoon makroo waqt mtin tu shumaar nahin kiya jaye ga

bhai ab yeh dekhna hay keh zuhr ki azan kis waqt hoti hay .. amooman zuhr ki azan waqt shuroo honay k 1 , 1:30 ghanta bad di jati hay yani 1:30 bjay ya 2 bjay .. agar to aapnay us waqt nmaz parhi jab zuhr ka waqt shuroo ho chuka tha tab to jaiz hay ... laikin agar Mamnooa waqt main parhi tab nmaz na hui.

On 10/25/2010 at 10:12 AM, Rizvann said:

2) masla yeh poochna hai kay mein zahur se pehle qaza namazein or azan hone kay baad yani kay zahur ki azan ho chuki hai halankay zahur ki sunnatein parhni cahye mein us mein bhi qaza namazein ada kar raha hota hoon phir us kay baad zahur ki chaar sunnatein parhta hoon tu kya yeh sahee tareeqa hai

Aesa krna jaiz hay.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...