Jump to content

about imane abu talib

Tayyib Qadri

تجویز کردہ جواب

ASLAMUALIKUM.MUFTI SB IMAN ABU TALIB KAY BARAY MAN KYA AQEEDA RAKHNA CHAHIYA KYA KUCH SUNNI ULLAMA IMAN E ABU TALIB KAY KAIL HAN MAGR ALAHAZRAT IMANE ABU TALIB KAY KAYIL NAHI THAY? SATH HE DEOBANDEON KAY IS SAEAL KA JAWAB IRSHAD FARMAN KAY HAZOOR (PEACE BE UPON HIM) KAY ISRAR KAY BAHJUD ABU TALIB IMAN KYUN NAHI LAYA.

Link to comment
Share on other sites

Walaikum Salam,

Madinah yahaan per fatway nhin diye jatey.. baraye karam Dawat-e-Islami ki site key ASK THE IMAM section sey rabita ker key tafseeli fatwa mangwa lejiye..

Eman-e-Abu Talib per Aala Hazrat (ra) ki aik book bhi hai..

tafseeli jawab aap mandarja bala link sey fatwa mangwa ker ley saktey hain..

Wasalam Ma'Al Ikram

Edited by Ubaid-e-Raza
sorry wrong info.
Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • 2 months later...
there is a abut imane abutalib by maulana shah trabul haq qadri sahib

As Salamo Alaykum, meri nihiyat adab kay sath mufti sahib say guzarish hai kay huq ki baat bata daini chahiay khas kar agar koi sail swaal karay aur app ilm wallay hoon too...

janab imanay Harat Abu talib RA kay baaray main sab say pehlay app kay liay aik sawal choore daitta hoon ki hum har dam SARKAR SWAAW ki muhbat main madha khawaan rehtay hain aur Naatoon kay zariay qaseeday partay hain ,Kia app nay kabhi iss baat par ghoore kia kay kainaat main Khudaa aur frishtoon kay baad sab say pehlay kiss nay naat parhi ,kiss nay insanoon main sab say pehlay SARKAR SWAAW ki naat parhi aur ajtak koi aissa qaseedhaa parh hi nai paia

yahan tak kay uss hasti nay jo huq ka qassedhaa parhaa woo pehlay parhaa ALLHA nay unn ki aayat hoo bahoo baad main naazil kar di ,to janab izzat maab mufti sahib say guzaarish hai kay agar uss hasti ko nai jantay tay sirf itna kahoon ga kay DEEWAN-E-ABUTALIB kahin say dhoondiay aur phir aggay soochiay

iss kay ilaawa agar QURAN O HADEES ki rooshni chahiay iss mamlay main too iss kam ilm jahil banda ko huakm kar dijiaay ga joo bun para charaagh hi ki soorat main khud jal jai ga

(wasalam)

hazrat.. pehlay tu yahan waqayi koi mufti mojod nahi. ya ager koi hain tu unho nay zahir nahi kya. is lye fatwa koi nahi deta. oper aik post main link mojod hai. dar ul ifta ahle sunnat sey fatwa mangwaya ja sakta hai.

dosri bat sahi aahades say eman e abu talib sabit nahi.

sirf aik hawala main yahan likhta hon. aur us sahi hadees per muhadiseen e karam ki tasrehat bhi dekhye..

eman_e_abutalib.JPG

Edited by Ubaid-e-Raza
wrong information edited
Link to comment
Share on other sites

(salam) bhai ap nay kaha kay hamyan abu talib kay baray man kafe lisan karna chahyea ...to bhai imam ahmad raza khan jasay mufti jinho nay ismail dehlvi ko kafir nahin kahakafe lisan farmai han albata us ki ibarat ko kufar kaha hay..........woh bhi jub abu talib kay masaly man khamoshi nahin ikhtiyar kar rahay to hum kyun khamosh rahyan.....aur alahazrat ki iman e abu talib pay book ka name hay sharul matalib fi mubhasay iman e abu talib...ap ko jasay hi ye net pay milay is ka link yahan foran paste ki jiyeay ga...waslam

(salam)

ji bilkul sahi kaha ap ne alahazrat rahmatullahi taala alaih ne jab iman e abu talib ki nafi main fatwa diya hay to phir to koi shak baqi nahi raha

anyway main bhi search kerti hoon ager link mila to zaroor yahan post karoongi

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(ja) tayib bhai. very nice post.. apney islah farmayi.

kisi ba aetamad islami bhai nay mujhay aalahazrat kay reference say ghalat masla bataya tha. Allah (jallah) maf farmaye. ameen

Link to comment
Share on other sites

MashahaAllah (azw) Tayyib Bhai Bohat Achay Fataway Share Kiyae Hain Ap Ney JazakAllah (azw)

(salamuhtara)Muhtram bratharanay islam hamaray nazdeek kissi bhi muamlay main sab say pehlay Quran ki taraf rujooh karna chahiay aur uss kay baad hadees aur doosray zariay aatay hain iss liay guzaarish hai kay app pehlay Quran say koi hawala dijiaay

imanay Hazraty Abu Talib Ra kay liay chand Qurani hawallon par ghoore kijiaay

1.(tarjama auyat)muamneen ahle iman ko choore kar kaafiroon ko apna rafeeq aur doost hargiz na banain jo aissa karay ga uss ka Allhaa say koi taalluq nahin,haan yeh muaaff hai kay tum unn kay zulm say bachnay kay liay bazaahir aissa tarzay amal ikhtiaar karoo.(Sura Allay Imran)(ayat 28.

iss ayat kay baad app kia samajhtay hain kay Allha kay iss hukam say Hazoor (saw) Mubarra hain Aur unhoon nay Ilaanay nuboowat kay baad dass saal tak aik kaffir ko apna rafeeq ko apna rafeeq banayy rakhaa aur unn say madad maangtay rahay?aur iss kaafir say iss qadar piar tha kay unn ki waffat ka saal ko AAmul HUZAN(gham ka saal)qarar dia.

2.Iss baat par sabhi muttafiq hain kay Hazrat Abu Talib RA nay HAZOOR (saw) ki khidmat ki aur "WAFFA'' ki to Quran main Ishabay Kahaf ka qissa majood hai jiss main inn Asshaab kay saath aik kuttay ka bhi zikar maujood hai,Kutta aik nijaas janwar hai ,magar tamam tafaaseer main yeh baat maujood hai kay Allha uss kuttay ko janat main daakhil karay ga .kuin? kuinkay uss nay chand Rahay huq kay mutlaashi afraad ka saath dia bawajood unn kay marnay kay uss ki iss ''WAFFA'' kay badlay main Allha ussay janat main daakhil karay ga .yaad rahay kay yeh Ashaabay kahaf koi masoom Nabi nahin hain

too muhtram soochna yeh hai kay agar aik nijass jaanwar, kuch aam affrad joo Allha ki talaash main niklay thay unn kay saath waffaa kar kay janat main jaa saktaa hai too tareekh kia SHEBEY ABI TALIB kay teen saal bhool gai.

3.(tarjma ayat)aur jab hum nay tumhain yateem paia puss ham nay tumhari prwarisk nahin ki?Sura Ad-Dhuha(ayat .6)

muhtaram ghoore kijiaay hazratay Imran RA iss parwarish ko wo apni parwarish qarar day raha hai.??

Janabay muhtaram yeh to hain kuch qurani ayaat joo aqal wallon kay liay buhat barri nishaani hain agar inn par bhi app ki tashaffi na hoo too phir majbooran mujhay Hzrat Abu Bakkar RA ki woo mubarakbaad ka hawwala daina parray ga jo unhoon nay wisaalay Abu Talib RA say kuch dair pehlay HAZOOR (saw) ko di

###### SALAATO WASSLAMO ALEEKA YA RASOOL ALLHA WA ALLAY HI RASOOL ALLHA.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Hazrat aap ney jo hawale pesh kye hain. kya inka bayan tafaseer se kar sakte hain ke kin mufasireen karam ne is aayat se iman e abu talib ka istadlal kya hai? aur jo ayat ap ney ashab e kaf wa deger bayan ki hain. in sub ka bayan hum karain ge. mager pehlay ap ne hamare posts ke hawalay sahi nahi pedhe warna apko qurani aayat aur us per mufasiren ka bayan bhi nazar ata.

ap ne farmaya ke hades sey pehlay quran e pak ka hawala hona chahye.

yeh opri fatwa ko mark ker kay phir say post kar raha hon. ap is qurani daleel kay baray main kya kahtay hain. aur itnay mufasiren kay baray main?

eman_e_abutalib.GIF

Link to comment
Share on other sites

(salam) Muhtram baat yeh hai ki jinn muffaasreen karram ka main hawala doon ga woo app kay liay qabilay qubool nai hoon gay aur jinn kaa app nay dia hai unn par main aankhain band kar kay aitbaar nai kar saktaa so iss tarhaa baat barti jai gi aur hamaishaa chalti rahay gi jaisay chooda soo saall say chalti aa rai hai,

jiss ayat ka hawalla app nay fatway ki roo say dia hai sirf chand ulmaa kay kehnay par aik jaleelul qadar hasti kay imaan ka faisla sunnaa dainaa............haalankay ayat ka matan bhi koi qatai daleel nazar nai aati jabkay suraa Alay Imran ki ayat 6 ki roo say agar imanay abu talib ko saaqit kia jai to sirf matan ki roo say( NaoozbiAllha)naboowat SAAW main shak paida honnay ka ,kia andaishaa nai hoota?

Rahi baat mufassreen ki janab to sirf aik hasti ka naam laitaa hoon app unn ki fazzeelat aur un ka namm nasab apnay ulma say poochiay gaa phir main app ko unn ka musaddiqa hawala baad main paish kar doon ga abhi sirf naam(Hazrat Imam Jaffar Saadiq) bin Imam Baqir bin Imam Zainulabideen bin Imam Hussain bin Hazrat Imam Ali RA)to sahib yeh hai wo hasti jo iss ayat ki muffassar hai baqi app pay hai kay chahay to Ahlay Bait ki tafseer ko sahi maan lain yaa deegar amm ulmaa ki?....................

Muhtram yeh behas khatam nai hoo sakti kuinkay yeh Shanay Nubowat ko bashar manwanay ki saazish ki aik kari hai kay agar agar Mutalabi deen Huq saabit hoo gia to Noor Nabi SAAW saabit hoota hai Kuinkay noor ka ka zahoor hamaisha rub pak aur mutahir salboon say hi hua karta hai kafiir jaisay napaak sulboon say nahi,

Jiss hasti ka main nay zikar kia hai ussi kay baray main Ala Hazrat Rehmatulla nai hi kaha (bacha bachaa noor ka )to yeh ussi noori gharaanay ka noori farzand hai daikhna yeh hai kay app kiss ki baat ko ziada huq samajhtay hain noor ki ya ghairay noor ki?agar samjhain to main hawala paish karoon......

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)
(salamuhtara)Muhtram bratharanay islam hamaray nazdeek kissi bhi muamlay main sab say pehlay Quran ki taraf rujooh karna chahiay aur uss kay baad hadees aur doosray zariay aatay hain iss liay guzaarish hai kay app pehlay Quran say koi hawala dijiaay

imanay Hazraty Abu Talib Ra kay liay chand Qurani hawallon par ghoore kijiaay

1.(tarjama auyat)muamneen ahle iman ko choore kar kaafiroon ko apna rafeeq aur doost hargiz na banain jo aissa karay ga uss ka Allhaa say koi taalluq nahin,haan yeh muaaff hai kay tum unn kay zulm say bachnay kay liay bazaahir aissa tarzay amal ikhtiaar karoo.(Sura Allay Imran)(ayat 28.

iss ayat kay baad app kia samajhtay hain kay Allha kay iss hukam say Hazoor (saw) Mubarra hain Aur unhoon nay Ilaanay nuboowat kay baad dass saal tak aik kaffir ko apna rafeeq ko apna rafeeq banayy rakhaa aur unn say madad maangtay rahay?aur iss kaafir say iss qadar piar tha kay unn ki waffat ka saal ko AAmul HUZAN(gham ka saal)qarar dia.

2.Iss baat par sabhi muttafiq hain kay Hazrat Abu Talib RA nay HAZOOR (saw) ki khidmat ki aur "WAFFA'' ki to Quran main Ishabay Kahaf ka qissa majood hai jiss main inn Asshaab kay saath aik kuttay ka bhi zikar maujood hai,Kutta aik nijaas janwar hai ,magar tamam tafaaseer main yeh baat maujood hai kay Allha uss kuttay ko janat main daakhil karay ga .kuin? kuinkay uss nay chand Rahay huq kay mutlaashi afraad ka saath dia bawajood unn kay marnay kay uss ki iss ''WAFFA'' kay badlay main Allha ussay janat main daakhil karay ga .yaad rahay kay yeh Ashaabay kahaf koi masoom Nabi nahin hain

too muhtram soochna yeh hai kay agar aik nijass jaanwar, kuch aam affrad joo Allha ki talaash main niklay thay unn kay saath waffaa kar kay janat main jaa saktaa hai too tareekh kia SHEBEY ABI TALIB kay teen saal bhool gai.

3.(tarjma ayat)aur jab hum nay tumhain yateem paia puss ham nay tumhari prwarisk nahin ki?Sura Ad-Dhuha(ayat .6)

muhtaram ghoore kijiaay hazratay Imran RA iss parwarish ko wo apni parwarish qarar day raha hai.??

Janabay muhtaram yeh to hain kuch qurani ayaat joo aqal wallon kay liay buhat barri nishaani hain agar inn par bhi app ki tashaffi na hoo too phir majbooran mujhay Hzrat Abu Bakkar RA ki woo mubarakbaad ka hawwala daina parray ga jo unhoon nay wisaalay Abu Talib RA say kuch dair pehlay HAZOOR (saw) ko di

###### SALAATO WASSLAMO ALEEKA YA RASOOL ALLHA WA ALLAY HI RASOOL ALLHA.

aslamualikum junab kashif sahib ap nay bat ki imane abu talib kay hawlay say aur ap nay ayat share kin ......junab ap nay kya sirf apnay hi dalil daynay han hum nay jo dalil paesh kiya han un ka jawab kon day ga....ap nay ubaid e raza bhai ko kaha kay ...g ayat kay hawlay say hum nay tafaseer share ki han aur woh bhi chand ...juanb jub ap ka in say kam nahin bana to ap kay agay jitnay bhi tafseeron kay hawlay paesh kar dyan ap un ko bhi nahin manyan gay....pher junab hum nay us ayat ki taedd man sirf molviyon kay akwal hi nahin paesh kiyea thay kay un ki wajah say kufar ka fatwa day dyan...junab us ki taeed man ahadith bhi majood han jo kay molviyon ki kahi hoi bat nahin hay.......

ap to dekhyan kub jawab dayan gay hamray dalil ka magar amn ap ka dalil ka jawab data hon.......

1- ap nay jo ayat share ki hay surah alaye imran kay hawlay say junab ap ko pahlay us ayat kay nazool aur quran kay is hukam ka nazool bayna karna ho ga kay ya ksi sun man nazil hoi thi aya kay ya abu talib ki zindagi man nazil hoi thi ya kay us ki wafat kay bad????us kay bad hi is ka fasil ho sakay ga?? junab meri tahkeek kay mutabik ya ayat ghazwae ahzab kay moka pay nazil hoi thi

شانِ نزول حضرت عبادہ ابنِ صامت نے جنگِ احزاب کے دِن سیدِ عالم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلّم سے عرض کیا کہ میرے ساتھ پانچسو یہودی ہیں جو میرے حلیف ہیں میری رائے ہے کہ میں دشمن کے مقابل ان سے مدد حاصل کروں اس پر یہ آیت کریمہ نازل ہوئی اور کافروں کو دوست اور مدد گار بنانے کی ممانعت فرمائی گئی۔

junab pahli bat to ya kay ya abu talib ki wafat kay bad nazil hoi thi ??????aur pher ap ko pata hay kay pahlay sharbi bhi pi jati thi magar jub quran man allah ka hukam aya to band ki gai?????is liyea ap nay jo is ayat say matlab nikalna chaha tha woh is sorat man ghalt sabit hota hay ??aur ap wasay asi koi ek wazah ayat jasi kay hum nay paesh ki hay kyun nahin dikhata jo kay saf imane abutalib kay baray man nazil hoi ho????????

2- ap nay jo ayat no 2 paesh ki aur ashabe kaahaf kay kuta say istadlal kiya.....to juanb ashabe kahaf kya nabi thay kay ager un ka kalma na parha to woh banda najat wala nahin ho sakta?????us kay bad junab islam mn mohabat rakhan zaroori nahin ka mohabat ho to iman ho jata hay ,warna kasam khuda ki RASOOLE KHUDA PEACEC BE UPON HIM in ahdith man jo ap ko paesh ki han un man kabhi bhi kalma parhnay ka na kahtay.....balkay kahtay kay tum kalam parho na parho tumhari bakshish ho choki hay......magar junab asa nahin kaha ???????

3-pher ap nay kaha kay hum nay ap ko yateem paya to tumhay jaga di.......junab kya jaga daynay say iman sabit hota hay ager iman sabit hota hay to pahlay woh ayat paesh karan........pher juanb ALLAH parvarish kay liyea kisi ko bhi wasil bana day woh us ki kudarat hay....ya us kay hukam say hoa hay ya usi ki gaja hay ...aur usi ki hakumat hay.......ap ko ya bat zara is hadith say sahih samjh aye gi us hadith ka mafhoom ha...kay jub ALALH sawal karay ga kay man bimar tha to meri ayadat kay liyea kyun na aya..woh kahay ga ka ap ALLAH to kasay bimar tah ALLAH kahay ga ka falan banda bimar tha to us ki ayadat ka liyea kyun na gaya????

junab dalil woh dayan jis man wazah imane ki taeed ai ho..khanca tani say kam nahin chalay ga.....jasay hum nay wazeh dalil di hay aur saf alfaz han imane ki nafi man aur ayat ka shnae nazool bhi saf hay jis ko ap mahaz ya kah ka rud kar rahy han kay ya ek mufasir nay kahi hay magar ya nahin dekhta kay us ki taied man ahadith bhi to majood han aur kya kisi ayat ko ya kah kay rud kiya ja sakta ha kay is ka ya matlab nahin kyun ka is man ek muhadis kah raha hay ?ap zaar is ayat ka shane nazool paesh karayn jo kay hamray paesh karda dalil say zayda kawi ho?????

Edited by Ubaid-e-Raza
Link to comment
Share on other sites

(salam) kashif sahib ap nay apni next post man bat ki hay kay imam jaffir sadik ki junabun ki kitab ka hawala dyan.....aur ap nay alahazrat ka hawaly say kaha to juanb woh hi alahazrat imae abu talib ka kail nahin han...aur junab munkiron ka moun tornay ka liyea imane waldane mustaf pecae be upon him sabit hona zaroori hay.....ager ap kahtay han kay noore NABI PEACE BE UPON HIM kay liyea abu talib ka iman sabit hoan zarori hay to pher ap ka abu laahb kay baray man kya khyal hay :rolleyes: ????????
Link to comment
Share on other sites

(salam) Muhtram baat yeh hai ki jinn muffaasreen karram ka main hawala doon ga woo app kay liay qabilay qubool nai hoon gay aur jinn kaa app nay dia hai unn par main aankhain band kar kay aitbaar nai kar saktaa

(wasalam)

ap aankhain khol kar qabol kar lain. aur ager kahen koi ghalat hawala dya gaya ho tu hamari islah bhi farmain.

so iss tarhaa baat barti jai gi aur hamaishaa chalti rahay gi jaisay chooda soo saall say chalti aa rai hai,

ager qabool karnay ka zehn ho tu faisla yaqenan ho sakta hai.

jiss ayat ka hawalla app nay fatway ki roo say dia hai sirf chand ulmaa kay kehnay par aik jaleelul qadar hasti kay imaan ka faisla sunnaa dainaa............haalankay ayat ka matan bhi koi qatai daleel nazar nai aati jabkay suraa Alay Imran ki ayat 6 ki roo say agar imanay abu talib ko saaqit kia jai to sirf matan ki roo say( NaoozbiAllha)naboowat SAAW main shak paida honnay ka ,kia andaishaa nai hoota?

hazrat ap ne kitni aayatain paish ki hain. kisi aik per bhi mufasir ka hawala quote nahi kya kay yeh ayat eman e abutalib kay baray main hai.. hum ne kya tu aap kehtay chand mufasiren kay hawalay. aap apni ayat per aisay naam war mufasiren kay hawalay paish karain.

Rahi baat mufassreen ki janab to sirf aik hasti ka naam laitaa hoon app unn ki fazzeelat aur un ka namm nasab apnay ulma say poochiay gaa phir main app ko unn ka musaddiqa hawala baad main paish kar doon ga abhi sirf naam(Hazrat Imam Jaffar Saadiq) bin Imam Baqir bin Imam Zainulabideen bin Imam Hussain bin Hazrat Imam Ali RA)to sahib yeh hai wo hasti jo iss ayat ki muffassar hai baqi app pay hai kay chahay to Ahlay Bait ki tafseer ko sahi maan lain yaa deegar amm ulmaa ki?....................

aap in ka hawala zaror paish karain. apko dalel dainay ka haq hai. mager pehlay ap unka jawab tu dejye jo hum nay kye. ap nay kaha kay qurani aayat per main mufasiren kay hawalay nahi manta. halankay us main mufasiren nay clear eman e abu talib per behs ki hai.

dosri bat. kay tayib bhai nay bhi kaha hai kay ap nay ahades ka jawab nahi diya. main nay apni pehli post main aik hades aur us par muhadisen ki tasrehat paish ki hain.

hadees yeh hai.

post_895_1181240739.jpg

ap ager muhadisen ki tasrehat ko nahi mantay tu kam az kam hades ko tu maan lejiye.. kya is hades kay sahi honay main apko shaq hai? ager hai tu kis bunyad per? aur kya is hades sey clear eman e abu talib ka hukm malom nahi ho raha?

Muhtram yeh behas khatam nai hoo sakti kuinkay yeh Shanay Nubowat ko bashar manwanay ki saazish ki aik kari hai kay agar agar Mutalabi deen Huq saabit hoo gia to Noor Nabi SAAW saabit hoota hai Kuinkay noor ka ka zahoor hamaisha rub pak aur mutahir salboon say hi hua karta hai kafiir jaisay napaak sulboon say nahi,

Jiss hasti ka main nay zikar kia hai ussi kay baray main Ala Hazrat Rehmatulla nai hi kaha (bacha bachaa noor ka )to yeh ussi noori gharaanay ka noori farzand hai daikhna yeh hai kay app kiss ki baat ko ziada huq samajhtay hain noor ki ya ghairay noor ki?agar samjhain to main hawala paish karoon......

tu ap eman e abu talib per aaqa (saw) ke noor ko sabit kerna chahtay hain. hazrat. Aaqa (saw) bay shak pak batano say hotay howay aye hain. aur apkay walid aur walda (raa) tu ailan e nabowat say pehlay is dunya say tashref lay gaye. ap yeh bayan sunye apko eman lanay aur na lanay ki haqeqat ka ilm hoga.

Azmat-e-Waldain-e-Mustafa (saw) part 1

Azmat-e-Waldain-e-Mustafa (saw) part 2

aur aalahazrat (ra) kay kalam ka ap keh rahay hain kya unko yah ilm na tha kay is kalam aur eman e abutalib per kutub o fatwa main tasadam ho jaye ga? aur aisa hargiz nahi hai. aalahazrat ka bayan aur amal aik jaisa tha. aur unka koi kalam aur kitab quran o sunnat kay khilaf nahi hai. aur aaj tak najdi wahabi bhi, jo alahazrat ka naam sun ker jal jatay hain. apnay bey tukay fatwo say sabit nahi kar sakay.

25raza.gif

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

TAFSEER OF AYAT NO:28 OF SURAH-E-ALE IMRAAN:

شان نزول: حضرت عباس بن عبد اللّٰہ رضی اللّٰہ عنہ روایت کرتے ہیں کہ حضرت عبادہ ابنِ صامت رضی اللّٰہ عنہ (جو کہ نہایت متقی اور پرھیزگار اور بدری اصحابی تھے) کا مدینہ منورہ کے رہنے والے یہودیوں کے ساتھ وفاداری کا معا ہدہ کیا ہوا تھا (جو شرعآ اس وقت تک منع نہیں تھا) جب سیدِ عالم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلّم جنگ احزاب کے لیے مدینہ منورہ سے باہر نکلے تو حضرت عبادہ ابنِ صامت رضی اللّٰہ عنہ نے عرض کیا کہ یاا رسول اللّٰہ علیہ وآلہ وسلّم میرے ساتھ پانچسو یہودی ہیں جو میرے معا ہدے میں ہیں میری رائے ہے کہ میں دشمن کے مقابل ان سے مدد حاصل کروں اس پر یہ آیت کریمہ نازل ہوئی اور کافروں کو دوست اور مدد گار بنانے کی ممانعت فرمائی گئ

(TAFSEER-E-QURTABEE PAGE NO: 58 , JILD NO: 4)

KAASHI BHAI, AAP YE BATAYEN K ABU TAALIB KAA INTIQAAL HIJRAT SE PAHILE HUWAA THAA, YAA BA'AD MAIN. YAQEENAN TUMHARAA JAWAAB HOGAA K "HIJRAT SE PAHILE". TO PHIR BHAI KAAFIRON K SAATH MAIL JOL RAKHINE KEE MUMAANI'AT HIJRAT K CHOTHE SAAL HUEE HAY (ABU TAALIB KI WAFAAT K TAQREEBAN 6 SAAL BA'D). AAP YE AYAT EMAAN-E-ABU TAALIB K LIYE NAHIN PAISH KAR SAKITE. JAB B AAP SABOOT K LIYE KOEE AYAT DEN, TO KAM IZ KAM PAHILE YE DEKH LIYAA KAREN K IS KAA SHAAN-E-NUZOOL KIYAA HAY, AUR KAB NAAZIL HUEE THEE :lol:

(salam)

Edited by SHAH SHAREER MELE WALA
Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...

Salam Alaikum,

Baradraan-e-azeez maine abhi ye topic dekha, ye masala itna pechida nahi hai jitna isko bana diya hai tamaam muslim hazraat ke paas ek Quraan aur ek Rasool (saw) hain magr maktab-e-fikr kai hain aur sab apne ko haq par batate hain (jo muhaal hai)

Haq par to koi ek hi hoga ?

Ikhtilaf ki wajah bazahir jo nazar aati hai wo ye ki sabne Quraan aur seerat-e-Rasool (saw)ki tashreh apne hisab se ki. natija, jitne munh utni batein,yahan ye baat wazeh karna zaroori hai ki har aire ghaire ko mazhab ke bare me bolne ka haq nahi hai mazhab par baat wahi kar sakte hain jinka tamaam uloom nahi to kam az kam chand uloom par to ehata hona hi chahiye aur aise hazraat har daur me hote hain mai yahan ahl-e-sunnat aalim sheikh-ul-islam janab tahir qadri sb. ka zikr karna chahonga aap hazraat bhi yaqinan unki shakhsiyat aur ilm se bakhoobi waqif hoongay.

unki ek taqreer kay link de raha hoon jo isi mauzoo se mutaliq hai lehaza ta-as-sub ki ainak utar kar allah ki ata ki hui aqal ki roshni me faisla kerein ki Janab-e-Abu Talib kya hain.

link:

http://in.youtube.com/watch?v=Fj_cmxZc9a4

http://in.youtube.com/watch?v=q27dqYuLZI4&...feature=related

http://in.youtube.com/watch?v=nwgiYAuF2Ds&...feature=related

http://in.youtube.com/watch?v=jo4mXR-rJUw&...feature=related

http://in.youtube.com/watch?v=jBvt_hOHe08&...feature=related

http://in.youtube.com/watch?v=q4zXwbiciJ8&...feature=related

http://in.youtube.com/watch?v=eviFcJUAmzE&...feature=related

http://in.youtube.com/watch?v=BEJsTg0AQr0&...feature=related

Link to comment
Share on other sites

PEHLI BAAT JANAB SO AND SO, APP KA NICK MAIN ISS LYE NAHI LIKH RAHA KYON KAH APP NAY NICK KAY MEANING SAHI NAHI, SO PLZZZZZZ 1ST CHANGE UR NICK.

MOHAMMAD LAFZ POORA RAKHAIN YA KUCH OR NICK BANA LAIN. SHAYAD ITNA TO APP KO TAHIR UL ......... NAY BATAYA HOGA. AGAR NAHI BATAYA TO UB APP KO PATA CHAL GAYA. SO PLZZZ GO AND CHANGE UR NICK 1ST.

PEHLAY TO APNA MAZHAB BAYAN KARAIN. PHIR USSI HAWALAY SAY YAHAN BAAT KARAIN. JISS KO APP AHLESUNNAT KA ALIM KEH RAHAY HAIN , HUM AHLESUNNAT WA JAMAAT USSAY APNA ALIM HI NAHI MANTAY, GUMRAH MANTAY HAIN, TO AIK GUMRAH KI BAAT HARAY LYE HUJJAT NAHI, HAAN UN SHIOON KAY LYE HOGI TO USSAY SHEIKH UL ISLAM MANTAY HAIN.

HAMARA AQEEDA KYA HAI EMAN E ABU TALIB KAY HAWALAY SAY TO PEHLAY APNA NICK CHAGE KARAIN, APPNAY APP KO ZAHIR KARAIN. BAAD MAIN ISS TOPIC PER BAAT HOGI

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...