Jump to content

Mere Liye Allah Kaafi Hai!


annas

تجویز کردہ جواب

Mere liye Allah kaafi hai!!!!!

 

is k woh maa'ne hargiz nahi hain jo shaitan aam karna chahta hai k musalmaano ko taazeem e Mustafa Sallallahu alaihi wasallam se door karde aulia Allah ki karaamato ka munkir karde aur taa'sur yeh de k Allah kaafi hai ab tum buhat Allah waale hogaye ho hargiz Allah kaafi hai k yeh maa'ne nahi hain

 

Mere Liye Allah kaafi hai k maa'ne yeh hain k insaan jhoot se, najaaiz len den se, sood se apni jaan chhura le mat parwah kare k dunia kya kahe gi us ka aitemaad aur bharosa Allah ki zaat per hai jo khaaliq o Maalik o Razzak o Parwardigar hai

 

Sahaaba Karaam alaihim Ridwaan k zamaane mei aik giroh tha jo kasrat se Quran Pak ki tilawat karta tha lekin shirk ki haqeeqat na samajhne ki waja se unhoon ne sahaaba karaam per shirk ka ilzam laga dia Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllah anha is qaum ko samjhaane k liye tashreef le gaye Quran parh ker sunaya magar is girah k akser afraad ne aap ki baat samajhne se inkaar kardia akhir kyun???? is topic ki detail dekhni ho to kitaab "Quran e kareem aur mayaaar e hidayat" ka mutalla karen jo jama Masjid Bahaar e Shariat bahadurabad karachi se mil jaye gi is kitaab ko online parhne k liye

 

http://tafseerequran.net/books.html

 

Yaad rakhen Allah waalon se madad talab karna dar haqeeqat unko waseela hi banana hai kyun k Allah waale hain jo Allah se mila dete hain

 

Quran pak mei Buton ki muzammat ki gayi hai kayi maqaamat per "Woh na haajat rawa hain aur na hi mushkil kusha hain"

 

Quran pak mei hi irshad hai "Sualeh momineeen madadgar hain"-Para 28 Surah Tehreem ayat 4

 

Shirk ki 3 qism hain

 

Shirk fiz zaat: yeh hai k Allah k siwa kisi aur ko ilah ya khuda mana jaye

 

Shirk fil ibadat: yeh hai k Allah k siwa kissi aur ko ibadat k laaiq mana jaye

 

Shirk fis sifaat: yeh hai k jaisi sifat Allah ki hain waisi sifaten kissi aur k liye maani jayen

 

shirk fis sifaat hi ko samajhna buhat zaroori hai is k liye kitaab mayaar e hidayat ka zaroor mutalla karen

 

Ilm e Mustafa Sallallahu alaihi wa'alaihi wasallam ki wus'aten

 

Huzoor Sallallahu alaihi wa'alihi wasallam ne farmaya

 

# Aik zamana aye ga k masaajid mei dunia ki baaten hongi.....................(behiqi)

 

#(meri ummat) apne aamaal mei dikhlawa (riyakaari) kare gi....................(Masnad ahmed)

 

#Allah ki qasam! beshak mere baad meri ummat shirk mei mubtila nahi hogi.....(Bukhari jild 2 page 975)

 

Khushbakht aur sa'adatmand woh hain jo Farmaan e Mustafa Sallallahu alaihi wa'alihi wasallam per sar tasleem kham karte hue shaitaani waswason se nijaat haasil karta hai aur musalmaano ko Mushrik(kaafir) nahi samajhta hai

 

Shirk ka taa'luq zinda, wafaatshuda, kareeb aur door se nahi shirk ka taa'luq aqeede se hai kyun k agar door se pukarna hi shirk hota to kya kisi buth ko qareeb se pukarna shirk na hoga? isi tarah jo fir'aun ko ilah(khuda) samajhte the woh bhi mushrik yaani kafir hi the agarche firaun zinda aur qareeb tha shirk ka ta'luq aqeede se hai jisko pukarta hai Allah k siwa usko ilah maabood khuda yaqeen karta hai to shirk hai chahe door se pukare ya qareeb se zinda ko pukare ya murda ko

 

Quran Pak mei irshad hai "kissi ko Allah taa'la k saath khuda samajh k mat pukaro" (Sura Qasas 88 para 20)

 

Shirk ki haqeeqat mazeed janne k liye CD ya Cassette Shirk ki haqeeqat zaroor samaa'at karen jo jama Masjid Bahaar e Shariat bahadurabad karachi se mil jaye ga is ko online sunne k liye

 

http://tafseerequran.net/anmol-khazana.html

 

Tauheed ki haqeeqat samajhne k liye Doctor Muhammad Asif Ashraf Jalali (Lahore) ka ehem tareen bayan sunne k liye CD ya Cassette Shirk ki haqeeqat zaroor samaa'at karen jo jama Masjid Bahaar e Shariat bahadurabad karachi se mil jaye ga is ko online sunne k liye

 

http://tafseerequran.net/events.html

 

Khud bhi sunen aur doosre musalmaano k aqeede ka khayal karte hue un ko CD Cassette tohfe k tor per den ya online sunne k liye amaada karen kya pata kis k imaan ki hifazat hojaye aur Allah us se kya khidmat le le aur humaare liye zariya nijaat aur sawaab e jaaria ban jaye

 

Jazak Allah khair

Link to comment
Share on other sites

"Allah is enough for me"

 

The meaning of these words isn't actually what Shaitan wants to spread e.g The meaning that takes us away from out beloved Prophet (Sallallaho alaihe wa'aalihi waslam) and make us denier of the KARAMAT's of friends of Allah (Awliya)

 

Allah is enough for me mean that we don't lie,don't do illegle bussines and don't do interest and only believe in Allah and don't pay too much importance to this Duniya.

 

In the time of shahabas (Ridwanullahi Ajmneen) some people who used to recite the Quran but because of not understanding the meaning of shirk, they put allegation of SHIRK on some Sahabas (Ridwanullahi Ajmneen). Hazarat Abdullah bin Abbas (RadiAllah anha ) then tried to explain these people with the tafseer of QURAN but most of these people rejected them. Why?

To understand this topic please refer to "Quran e kareem aur mayaaar e hidayat", you can buy this from Jama'a

 

Masjid Bahaar e Shariat bahadurabad karachi or online at http://tafseerequran.net/books.htm.

 

Remeber to ask help from Awliya is in essence making intercession because Awliya Allah are closer to Allah and thus they will make us closer to Allah as well.

 

Quran Pak has rejectedthe role of the idols of mushrikeen in various places e.g "Woh na haajat rawa hain aur na hi mushkil kusha hain"

 

Allah azwajal says in Quran"Sualeh momineeen madadgar hain"-Para 28 Surah Tehreem ayat 4"

 

----------

Shrik of three types

 

Shrik Fiz Zaat: This is where one believe in some else other than Allah

 

Shirk fil ibadat: This is where one worship other than Allah.

 

Shirk fis sifaat: This is where some attribute(SIFAT) of Allah are given to some else other than Allah.

 

To understand Shirk Fis Sifaat is very important, Please read "Kitaab Mayaar-e-Hidayat" to understand more.

 

Boundries of Ilm of Mustafa Sallallahu alaihi wa'alaihi wasallam

 

Huzoor Sallallahu alaihi wa'alihi wasallam Said:

 

# There will be time when poeple will talk about Duniya in Masjid.hongi.....................(behiqi)

# My Umma will show off thier good deeds....................(Masnad ahmed)

#Wallahe: Indeed after me my Umma will not indulge in Shirk.....(Bukhari jild 2 page 975)

 

The lucky people are those, who accept the saying of Mustafa Sallallahu alaihi wa'alihi wasallam and don't buy into the tricks of Shitan.

 

Shirk doesn't mean someone being alive,dead,near or far BUT basically its belong to faith. Because if calling someone from far is a shirk then calling "Idols" from close won't be a shirk.

Just like calling Fir'aun a GOD was shirk when he is alive, and it will be a shirk today as well if someone calls him GOD even though he is dead. So the faith is acutally your belive in Allah. whenever you ask help and you believe that person is actually GOD than it is SHIRK, doesn't matter if he's near or far away.

 

Allah says in Quran"kissi ko Allah taa'la k saath khuda samajh k mat pukaro" (Sura Qasas 88 para 20)

 

To learn further the reality of shirk, please listen to CD or Cassette "Shirk ki Haqeeqat" which you can buy at jama Masjid Bahaar e Shariat bahadurabad karachi or you can also buy online at:

http://tafseerequran.net/anmol-khazana.html

To learn the principle of Tauheed, please listen to Doctor Muhammad Asif Ashraf Jalali (Lahore) at

http://tafseerequran.net/events.html

 

You should listen yourself and make other listen as well.

Jazak Allah khair

Edited by annas
Link to comment
Share on other sites

To learn further the reality of shirk, please listen to CD or Cassette "Shirk ki Haqeeqat" which you can buy at jama Masjid Bahaar e Shariat bahadurabad karachi or you can also buy online at:

http://tafseerequran.net/anmol-khazana.html

 

To learn the principle of Tauheed, please listen to Doctor Muhammad Asif Ashraf Jalali (Lahore) at

http://tafseerequran.net/events.html

 

You should listen yourself and make other listen as well.

Jazak Allah khair

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...