Jump to content

Wuzu Say Gunah Jhartay Hain


Bismillah

تجویز کردہ جواب

Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou

 

wuzu karnay say gunah jhartay hain yaqeenan hadeeson say sabit hai, agar wuzu bina niyat kay kiya jaey to wuzu to ho hi jata hai lekin kya iss say bhi gunah jhartay hain ya uss wuzu say guanh jhartay hain jiss ko karnay say pehlay niyat ki gai ho?

bohat shukrya!

Link to comment
Share on other sites

 

 

On 1/17/2011 at 7:40 AM, Bismillah said:

Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou

wuzu karnay say gunah jhartay hain yaqeenan hadeeson say sabit hai, agar wuzu bina niyat kay kiya jaey to wuzu to ho hi jata hai lekin kya iss say bhi gunah jhartay hain ya uss wuzu say guanh jhartay hain jiss ko karnay say pehlay niyat ki gai ho?
bohat shukrya!

 


(wasalam)

Aamal ka daromadar niyyaton par hay , lihaza niyat krain ge tab hi gunah jharahain ge aor swab bhi milay ga.

http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=28483

aor niyyat naam hay dil kay iraday ka.

 

Link to comment
Share on other sites

bin niyat kay wuzu ho jata hai lekin SAWAB nahi milta yeh baat samjh main aati hai,

agar aap ghaur farmaein keh kahin bhi Hadees main yeh nahi likha keh niyat karo gay to gunah jharay gai warna sirf wuzu hi hoga, saaf saaf likha hai keh wuzu say gunah jhartay hain. niyat ka tualaq to sawab say hai, SAWAB ek cheez hai aur GUANAH aur cheez, bina niyat kay sawab nahi milta samjh main ata hai lekin GUNAH bhi niyat kay bina nahi jhartay yeh samjh main nahi aata, meray khial say agar aissi baat hoti to yaqeenan jab ulma-e-karaam wuzu ki yeh wali fazeelat bayan kartay hain to wo yaqeenan yeh bhi kehtay keh niyat karo gai to gunah jharay gai warna nahi, baqi ALLAH hi behtar janay.

Link to comment
Share on other sites

حضرت شارح بخاری علامہ شریف الحق امجدی علیہ الرحمۃ نزہۃ القاری شرح صحیح البخاری جلد اول صفحہ نمبر 171 میں فرماتے ہیں ۔ اگر کسی نے بغیر نیت وضو کیا تو یہ وضو صحیح اگرچہ عبادت نہ ہوگا اس پر ثواب نہ ملے گا ۔

Link to comment
Share on other sites

شرعی حکم تو آپ کو معلوم ہوگیا ہوگا ، لیکن جہاں تک آپ کے اعتراض کا تعلق ہے تو یہ عقلی ہے ۔ اس کی مثال یوں سمجھ لیجئے جس طرح بارش میں کسی بندے کے سارے بدن پر پانی گذر جائے تو اس کا غسل تو ہوجائےگا سوائے کلی اور ناک میں پانی ڈالنا رہ جائے گا جس کو بعد میں وہ خود کرلے۔ لیکن اس کی نیت غسل کی نہ ہو ۔ اسی طرح کوئی بندہ کافر سے اپنی ذاتی دشمنی کی وجہ سے لڑے تو کیا اس کو بھی اللہ کی راہ میں جہاد کرنا کہا جائے گا ۔۔۔

کیونکہ نیت کرنے سے تفریق ہوجاتی ہے کہ امر خالص اللہ تعالیٰ کی عبادت کے لئے کیا جارہا ہے ۔ ورنہ تو ایسے ہی ہاتھ پائوں دھونا ہو گا ۔

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou!

 

Pehli baat to yeh hai keh main koi ma'z Allah koi aiteraaz nahi kar raha, main to sirf shari masla jananay ki baat kar raha hoon, meri samjh main yeh baat nahi a rahi hai, kyon kay meray khial say Sawab aur cheez hai aur Gunah ka mitna aur cheez, sawab say insaan kay darjaat buland hotay hain yaqeenan aur gunah kay mitnay say insaan kay gunahon main kami hoti hai, jab wuzu bina niyat kay wajood main ata hai aur namaz pari ja sakti hai to yaqeenan gunah bhi to mitay gai na agarchay sawab nahi mil raha. kyon keh sawab ka milna aur cheez hai aur gunah ka mitna aur.

agar ho sakay to aap apnay kissi alim-e-deen say poochain shaed wo koi nai baat bata dain aur meri confusion door ho jaey.

umeed hai keh aap meri confusion samjh rahay hongai, likhnay ya samjanay main koi galti, kotahi ho gai ho main ALLAH azwajal ki bargah main tauba karta hoon.

 

Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou!

Edited by Bismillah
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...