Jump to content

Ala Hazrat Or Shia Mazhab Say Talluq Ka Jawab


NoorieQadri

تجویز کردہ جواب

As Salaam o Alaikum

Kuch Log Ala HAdrat Imam Ahmed Raza Khan RadiALLAHU Anhu Par Gair Muqalidin Ne Ilzaam Lagaye The, Fitnah Na Phelne Ki Wajah Se Humne Iha Post Nahi kiya Moderator Se Pucha Tha Unhone Kaha Fitna Nahi Phelege Aap Post Karo ISliye Main Iha Kuch Ilzaam Post Kar Raha Hoon.

 

 

AHMAD RAZA KHAN AUR UNKA SHIA MAZHAB SE TALLUQ (UPDATED)

bismillahirrehmanirraheem

 

 

Janab ahmad raza ki family ke baare me sirf itna hi pata chala hai ki unke baap daada ki ginti hanafi ulama me hoti hai, albatta janab barelwi sahab ke dushmano(deobandi,wahabi) ki taraf se ilzaam hai ki unka relation shia family se tha. Unhone saari umar taqiya kiye rakha (chupaye rakha) aur apni asliyat ka pata na chalne diya taaki we ahle sunnat ke beech shia aqeedon ko riwaaj de saken. Inke virodhi is baat ke saboot ke liye jin tareeqon ko pesh kiya karte hain unme se kuch ya yahan bayan kiya jaa raha hai-

 

1-Janab ahmad raza ke baap dada ke naam shia naamon se milte julte hain unka shajar-e-nasab hai -Ahmad raza bin naqi ali bin raza ali bin kaazim ali

 

(HAYAT AALA HAZRAT-2)

 

 

2- Barelwion ke aala hazrat ne ummul momineen hz ayesha(ra) ke khilaaf bahut hi ghatiya word istemal kiya hai. Aqeeda ahle sunnat se juda koi insaan iske baare me soch bhi nahi sakta. Apne kaseede Me unhone likha hai-

 

TANG WA CHUST UNKA LIBAAS AUR WAH JOBAN KA UBHAAR,

 

MASLI JAATI HAI QABA SAR SE KAMAR TAK LEKAR

 

YAH FATA PADTA HAI JOBAN MERE DIL KI SURAT KI HUE JAATE HAI JAMA SE BARON SEENA WA BARR,

 

 

(HADAIQH BAKSHISH 3-23)

 

NAUZUBILLAH

 

(aiy allah mujhe maaf karna..lekin ala hazrat ke kartoot logon tak pahunchana bahut zaroori tha)

 

 

3- Unhone musalmano me shia mazhab se liye gaye aqeedon ki dawat dene me bharpoor role ada kiya, koi asli shia apne is maqsad me itna qaamyaab na hota jitni qaamyaabi ahmad raza sahab ko is silsile me taqayya ke lubaade se mili. Unhone apne shia hone par parda daalne ke liye kuch aise risaale bhi likhe jinme dikhawe ko shia mazhab ka virodh aur ahle sunnat ki himayat paayi jaati hai. Shia taqayye ka yah bhaav hai jiska taqaaza unhone poori tarah ada kiya

 

(fatawa barelwi 14)

 

 

4- Janab ahmad khan sahab ne apni kitaabon me aisi riwayaton ko likha hai jo khaalis Shia riwayatein hain aur unka aqeeda ahle sunnat se door ka bhi waasta nahi hai, jaise ki-

 

"Hz ali (ra) qiyamat ke din jahannum ki ticket baatenge"

 

(al aman wal oola-58)

 

"hz fatima (ra) ka naam fatima isliye rakha gaya ki allah ne unko aur unki aulaad ko jahannum se azaad kar diya hai"

 

(khatm nubuwwat 98)

 

" Shia imamon ko taqdees ka darja dene ke liye unhone yah aqeeda gada ki agwaas( qaus ka plural matlab logon ki fariyaad sunkar poori karne waale) hz ali (ra) se hote hue hasan askari tak pahuncte hain is silsile me unhone wahi serial no. Rakha hai jo shia imamon ka hai"

 

(malfoozat 115)

 

 

Janab ahmad raza ne baaki sahaba e kiraam ko chhodkar hz ali (ra) ko mushkil kusha karaar diya aur kaha-

 

" Jo insaan mashoor saifi( jo shia aqeede ki tarjumani karti hai) padhe uski mushkile hal ho jaati hain"

 

dua e saifi ye hai-

 

" Hz ali ko pukaaro jinse ajeeb kaam hote hain tum unko madadgaar paoge, aiy ali Aapki wilayat ke tufail tamam pareshaaniya door ho jaati hain"

 

(al aman wal oola-12-13)

 

isi tarah unhone panjatan paak ko aam kiya aur is sher ko riwaaj diya-

 

" paanch hastiyan aisi hai jo apni barqat se har bimari ko door karti hain, muhammad, ali, hasan, hussain aur fatima (ra)"

 

(rizwiya 2-187)

 

 

Unhone shia aqeede ki tarjumani karne wali cheez "zaafar" ko batate hue apni kitaab khaalisul etiqaad me likha hai-

 

"Zafar chamde(leather) ki ek aisi kitaab hai jo imam zaafar saadiq ne ahle bait ke liye likhi. Isme hz ki saari cheezen darj kar di hain. Isi tarah isme qiyamat tak hone waale waqyon ka bhi zikr kar diya gaya hai"

 

(khalisul etiqaad-48)

 

Janab barelwi ne ek aur shia riwayat ko apni kitaab me darj kiya hai ki-

 

" Imam raza shia ke 8we imam se kaha gaya ki koi aisi dua sikhaayen jo ham ahle bait ki qabron ki ziyarat ke waqt padha karen to unhone jawab diya ki qabr ke paas jaakar 40 baar Allahuakbar kah kar kaho-" assalamu alaikum ya ahlul bait" aiy ahlul bait main apne aur mushkilaat ke hal ke liye aapko khuda ke saamne sifarishi banakar pesh karta hun aur aale muhammad (sws) ke dushmano se apne ko alag karta hun"

 

(hayatul mawaat, fatawa rizwiya 4-299)

 

 

Yani shia ke imamon ko musalmaanon ke nazdeek muqaddas aur sahaba kiram (ra) aur ahle sunnat ke imamon se uncha qaraar dene ke liye unhone is tarah ki riwayatein aam ki jabki ahle shha ke imamon ke serial no. Aur is tarah ke aqeedon ka aqeeda ahle sunnat se koi talluq nahi hai.

 

 

Janab ahmad raza shia taajiye ko ahle sunnat me banane ke liye apni ek kitaab me likhte hain-

 

" Tabarruk ke liye hz hussain ra ke maqbare ka namoona banakar ghar ke andar rakhne me koi harz nahi"

 

(risala badrul anwaar-57)

 

Is tarah ki bahut si riwayatein aur masail unki kitabon me paya jaata hai.

 

Pls Iska Reply Kare

jajkALLAH Roman Urdu Mein Ho To Behtar Hain

Link to comment
Share on other sites

2- Barelwion ke aala hazrat ne ummul momineen hz ayesha(ra) ke khilaaf bahut hi ghatiya word istemal kiya hai. Aqeeda ahle sunnat se juda koi insaan iske baare me soch bhi nahi sakta. Apne kaseede Me unhone likha hai-

 

TANG WA CHUST UNKA LIBAAS AUR WAH JOBAN KA UBHAAR,

 

MASLI JAATI HAI QABA SAR SE KAMAR TAK LEKAR

 

YAH FATA PADTA HAI JOBAN MERE DIL KI SURAT KI HUE JAATE HAI JAMA SE BARON SEENA WA BARR,

 

 

(HADAIQH BAKSHISH 3-23)

 

NAUZUBILLAH

 

(aiy allah mujhe maaf karna..lekin ala hazrat ke kartoot logon tak pahunchana bahut zaroori tha)

 

 

Iska Jawaab Mil Gaya

http://www.islamieducation.com/en/refutation/the-truth-a-must.html

Link to comment
Share on other sites

 

 


2- Barelwion ke aala hazrat ne ummul momineen hz ayesha(ra) ke khilaaf bahut hi ghatiya word istemal kiya hai. Aqeeda ahle sunnat se juda koi insaan iske baare me soch bhi nahi sakta. Apne kaseede Me unhone likha hai-

TANG WA CHUST UNKA LIBAAS AUR WAH JOBAN KA UBHAAR,

MASLI JAATI HAI QABA SAR SE KAMAR TAK LEKAR

YAH FATA PADTA HAI JOBAN MERE DIL KI SURAT KI HUE JAATE HAI JAMA SE BARON SEENA WA BARR,


(HADAIQH BAKSHISH 3-23)

NAUZUBILLAH

(aiy allah mujhe maaf karna..lekin ala hazrat ke kartoot logon tak pahunchana bahut zaroori tha)






Urdu Main Jwab:

http://www.ja-alhaq.com/imam-ahmad-raza-aur-hadaaiq-e-bakhshish-hissa-3/


English Translation:

http://www.ja-alhaq.com/imam-ahmad-raza-and-hadaaiq-e-bakhshish-part-3/


............

Molana Hasan Ali Razawi (m-a) ki aik ,2 kutub say madad lay kar Roman urdu main bhi jwab likha rha hon:


Is Ilzam Kay Mutadid jwab hain :

Awal to yeh keh ''Hadaiq-e-Bakhshish'' hissa 3 Na Alahazrat ki apni tasneef hay na aapki Hayat-e-Mubarika main shaya hui na aapkay sahibzadgaan Hujjat-Ul-Islam Hazrat Molana Shah Muhammad Hamid Raza Khan Sahib ya Mufti-e-Azam Molana Shah Mustafa Raza Khan sahib main say kisi kay zair-e-ihtemam Chapi na yeh Ash'aar Alahazrat kay Ash'aar Na Alahazrat-o-Shezadgaan-O-Ulama-e-Ahl-e-Sunnat par iski zimmadari hay. ''Hadaiq-e-Bakhshish'' kay sirf 2 hissay hain jo Alazharat Ki hayat-e-mubarika main sha'ya huay .


Hissa 3 Molana Mufti Qari Mahboob Ali Khan Sahib Marhoom Khateeb Bombay nay Alahzrat kay 32 saal B'ad idhar udhar say Alahazrat ka Natiya kalam ikatha kar kay is main doosray Shu'ara ka kalam mila kar ghaliban 1372 hijri main Sha'ya kiya tha . inki ghalati yeh hui keh aik wahabi press nabhah steam press nabhah kay malikan say Muamla kiya . unhon nay kitabat ka muamla bhi apnay zimma liya aor is shart par chapnay ka wada kiya. inki ghalati yeh hui keh unhon nay badmazhabon par Taba'at-o-Kitabat kay muamla main etebar kiya , lihaza inki ghalati say yeh Ash'aar Syedah Siddiqah Bint Siddique RadiAllaho Anha ki Madah main bay tarteeb sha'ya ho gaye .


''Hadaiq'' hissa 3 kay ghair zimmadar-o-naqabil-e-etemad honay ki aik daleel yeh bhi hay keh yeh pata hi naheen keh kon si nazam kis ki hay. Aksar mqamat par likha hay Maq'ta dastyab na hua , Mulahiza ho Page 30, 31, 32, 35, 36, 37 Khud is nazam ka bhi Maq'ta naheen jis say sahib-e-kalam ka pta naheen chalta.


Neez ''Hadaiq'' hissa 3 main pehli nazam say number shumar baqaida likha ja raha hay laikin page 36 par nazam ka number 19 hay iskay baad page 37 par jahan yeh nazam hay Surkhi main likha hay ''Elahida'' na iska number shumar hay . is say sabit hua yeh sayedah Siddiqua Radi Allaho Anha kay mutaliq ashaar naheen hain Elahida hain . Press walon nay ghair zimmadarana tor par sayedah Siddiqua Radi Allaho Anha ki madah kay ash'aar kay baad yeh kitabat kara deay aor chap kar shaya ho gaye. Halankeh wahan page 37 par is nazam ki surkhi hay Elahida aor is ka number shumar bhi naheen.


Aor phir deobandion kay to wehm-o-guman main bhi yeh baat naheen thi keh ''Hadaiq-e-Bakhshish'' hissa 3 main yeh Yeh shair hain. Jab hissa 3 shaya hua Khud ahl-e-sunnat hi kay aik aalim khateeb-e-mashriq Molana Allamah Mushtaq Ahmad Nizami Editor ''Paasban'' Alahbad Bharat nay molana Mahboob ALi Khan Sahib ko is ghalati par mutnabah kiya aor unkay khilaf sab say pehlay Molana Mushtaq Ahmad Nizami (Sunni Barelwi) hi nay bombay kay aik haft roza Akhbar ki 9 ZeeQadah 1374 Hijri ki Isha'at main mazmoon diya aor Molana Mahboob Ali Khan Sahib nay qubool-e-haq ki aik misal qaim akrtay huay apna ghair mashroot toba nama shaya farma diya aor mahnama ''Sunni'' Lakhnow kay elawa Akhabr ''Inqelab'' Bombay main bhi yeh toba nama 10 July 1955 ko shaya hua halankeh inki ghalati sirf itni thi keh unhon nay Nabhah press kay wahabion par etmad kiya aor kitabat ki tas'heeh Saheeh taor par na kar sakay, Btaeay AlalElan toba aor akhbarat aor rasail kay zareea Taobah ki isha'at kay baad Molana Mahboob Ali Khan sahib par shar'an kaya ilzam hay? Tajub hay keh Diyabanah aajtak is ''Hadaiq'' hissa 3 ko apnay liay dhokah ka aik zareea bnaye phirtay hain aor deedah danistah awam ko mughaltah detay hain. Yeh Ulama-e-Ahl-e-Sunnat hi thay jinhon nay khud hadaiq-e-bakhshish hissa 3 kay in ash'aar paer etraz kiya aor ghalati par taobah ki misal qaim karnay walay bhi ahl-e-sunnat hi thay warna koi aor hota to nanotwi gangohi thanwi waghera ki tarah zid kar kay baith jata aor is gustakhi ko ain eeman sabait karnay kay chakar chalata. Maolana Mahboob Ali Khan sahib marhoom ki taobah kay Ba'ad aapko Quran-o-Hadees ki roshni main Bari-Uz-Zimmah qarar diya gaya. Hadaiq-e-Bakhshish hissa 3 Na Alahazrat ki tasneef na naqal kardah Ash''r Alahazrat kay , agar hadaiq-e-bakhshish hissa 3 Alazhrat ki tanseef hoti ya naqal kardah ash'aar Alahazrat kay hotay to deobandi munazreen zroor apnay munazron aor kitabon main in gustakhan ash'aar ka hwala detay laikin aesa naheen hua , Ham tmam deobandion ko challeng kartay hain keh apnay akabir Ulama-o-Munazreen ki koi 1372 hijri say pehlay ki chapi hui aesi tahreer dikha day jis say sabit ho keh akbir deoband nay in Ash'ar par etraz kiya tha. Hadaiq-e-Bakhshish hissa 3 ka is waqt wujood hi na tha to koi etraz kesay karta. Deobandion ko to tab maloom hua jab Molana Mahboob Ali Khan Sahib ko Aastan-e-Aalia Razawia aor Editor Pasban Alahbad (Sunni Barelwi) nay is ghalati par tawajuh dilayi aor unhon nay mulk bhar main apna taobah namah shaya kiya.


Bat darasal yeh hay keh deobandi wahabi in Ash'aar ko paish kar kay awam ki tawajuh apni gustakhion say hatana chahtay hain. Halankeh Sayedah Aayishah RadiAllah Anha ki shan main khud inkay Hakeem-Ul-Ummat Molvi Ashraf Ali Thanvi nay sareeh gustakhi ki hay, Mulahiza ho Risalah Al-Imdad Mutabiq Mah Safar 1335 Hijri deobandi hakeem-Ul-Ummat likhtay hain ''Aik Zakir Saleh ko makshoof hua keh ahqar ashraf ali thanvi kay ghar Hazrat Aayeshah aanay wali hain . Unhon nay mujh say kaha Mera (Ashraf Ali Thanvi ka ) zehn Ma'an is taraf muntaqil hua keh kam sin aorat haath aayegi. In munasibat say keh jab Huzoor (saw) nay hazrat Aayeshah say nikah kiya Huzoor ka san shareef pachas say zaid na tha aor Hazrat Aayeshah bahut kam umar thin Wuhi Qissah Yahan Hay''

Syedah Ayeshah RadiAllah Anha kay is gustakhi par pardah dalnay kay leay Deobandi ''Hadaiq-e-Bakhshish'' hissa 3 kay wo Ash'ar paish kartay hain jis par Molana Mahboob Ali Khan sahib Marhoom bar-ha zubani-o-Tahreeri taobah farma chukay hain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...