Jump to content

Islami Bhai Aur Islami Behnein Ek Sath Ek He Jaga Post Kr Ry Hen Aur Apas Mn Gufto Shaneed Bhe..


M.Muddasir Attari

تجویز کردہ جواب

Assalam-o-alikum wa Rahmatullahe Wa Barakatuh...

Admin Kaisay hein aap?

 

me is forum pe new member hun...facebook chor kr yhan aya hn ta k Na-mehram aur bayparda larkio ki photos etc aur fahash tasveeron se bach sakun...

 

 

Bhai mera ye swal hai k me ne is forum pe boh c Islami behno aur Islami bhaion ko dekha hai jo apas mn baat kr rhay hen(Naam mention nahi krna chahta)...jab k mere ilm k mutabik Na-mehram se baat krna haraam hai...kya is k liye koi rule nahi ban sakta?mera matlab hai k Islami behno ka section he alag kr dia jaye ya unhen ek section tak mehdood kr dia jaye ta k wo Islami bhaio ki posts daikh saken lekin wahan comment na kr sken...

Dili iltijaa hai,ghaor farmaiye ga...

**App sab ko Ameer-e-Ahlesunnat ki wiladat ka din boht boht mubarik ho**

**Murshidi ATTAR par Noor ki barsaat ho**

Wasalam,

 

 

Sag-e-Attar

 

Muddasir Attair..

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Islami Mehfil jahan Tak Meri maloomat hain wahid sunni Forum hay Jahan islami Bhai Or behnen Apas men aik doosray se betakallufi k sath baat cheet nahi kertay bht saray members k ilm men ghaliban ye baat hogi hi nahi k yahan islami bhai islami behnon ko or islami behnen islami bhaiyon ko personal message nahi kersaktay hamary admin bhai ne aisi tarkeeb banai hoi hay k aik group members 2sray group member ko pm nahi kersaktay ab reh jati hay main forum per apas men baat cheet kerna to agr koi bht ziada posts check karay tab ba asani jan sakta hay k hamaray forum ki sisters sirf sisters only section men active hain agr koi sister kabhi kisi brother ki post pr main forum per reply ker bhi day to agr kisi ko us men koi sharai garift nazer aye to members ko chahiye k fori tor per report kerden team members us per action laingay.

PS:::: main ne sirf team member honay ki hasiyat se yahan reply kiya hay

Wassalam

Link to comment
Share on other sites

(salam) Sunni defender bhai...Muhammad Muddasir Attari mera he id hai...pehlay ye id open nahi ho raha tha jis ki wjha se woh id bnana para...

 

me koi etraaz nahi kr rha bhai...me to just ye poochna chahta tha k kya kisi Islami behan ya Islami bhai ko kisi na-mehram ki post par ye kehnay ki ijazat hai ""apki post pasand ai,ap fulaan kaam yun kr den vaghera"" ya kisi badmazhab se behas kren vghera.

 

Debates section mn me ne kuch esi post dekhi thi,me sirf iski sharai hesiat jan'na chahta hn...agar apko bura laga to us k liye muaafi chahta hn...ALLAH k liye mjhe muaaf ferma dijiye agar mujhse kisi ki dil azari hui hai to... (ja)

 

 

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Islami Mehfil jahan Tak Meri maloomat hain wahid sunni Forum hay Jahan islami Bhai Or behnen Apas men aik doosray se betakallufi k sath baat cheet nahi kertay bht saray members k ilm men ghaliban ye baat hogi hi nahi k yahan islami bhai islami behnon ko or islami behnen islami bhaiyon ko personal message nahi kersaktay hamary admin bhai ne aisi tarkeeb banai hoi hay k aik group members 2sray group member ko pm nahi kersaktay ab reh jati hay main forum per apas men baat cheet kerna to agr koi bht ziada posts check karay tab ba asani jan sakta hay k hamaray forum ki sisters sirf sisters only section men active hain agr koi sister kabhi kisi brother ki post pr main forum per reply ker bhi day to agr kisi ko us men koi sharai garift nazer aye to members ko chahiye k fori tor per report kerden team members us per action laingay.

PS:::: main ne sirf team member honay ki hasiyat se yahan reply kiya hay

Wassalam

 

(bis) kya mujhe shariat is baat ki ijazat deti hai keh me apki is post ka reply krun?me yehi poochna chahta tha is topic k zriye..rahnumai ferma dijiye (ja)

Link to comment
Share on other sites

baat krne se meri muraad Ma'AzALLAH chatting ya gupshup bilkul nahi tha...post ka reply krne k baray mn poochna chah rha tha...

 

 

chating ya gup shup ki to bilkul islam mai ijazat nai hy

ye ftwa mulahiza fermain

 

post-1269-1188819559.gif

 

 

 

آپ کا جو اصل سوال تھا اس کا جواب مفتی صاحب سے سنیے شکریہ

 

http://mufti.faizane...wer.php?Q=15517

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...