Jump to content

janab e sayyida ki kahani


Umm-e-Anwaar Raza

تجویز کردہ جواب

(salam)

(ja) ...

janab-e-sayyida ki kahani key barey mein koi bata sakta hai? kiya bayan kya jata hay? main ney pehli bar suna hai...

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

aray ap logon ne kia waqai janab e sayyida ki kahani ka nahi suna?

actually hamaray yahan khawateen main hi ziada aisi ghalat batain hoti hain :( ,may be isi waja se ap k ilm main na ho.

Baharhal janab e sayyida se murad khatoon e jannat sayyidatuna fatimatuz zahra radi ALLAHU taala anha hain

ye kahani shion ki murattab ki hoi hay jo hamaray yahan badqismati se sunnion main bhi parhi jaati hay

is kitab main unhon ne dil khol ker sayyida radi ALLAHU taala anha ki or mola ali karram ALLAHU taala waj ha hul kareem hatta k pyaray aqa (saw) ki shan e pak main gustakhian ki gai hain

or bazahir ye mash hoor hay k is kahani ki mannat mani jaye phir mannat poori honay per sari oratain jama hoker ye kahani sunti hain aik koi sunati hay

isi kahani k baray main mufti akmal ne itna tafseeli fatwa likha tha jo k ab kitabi soorat main agaya us kitab ka naam sach ya jhoot hay

us kitab main mufti sahib ne aik aik gustakhi ki nishandahi ki hay .

isi tara sola sayyidon ki kahani bhi hay jis ka zikr is fatway main hay .ALLAH TAALA apnay habeeb e kareem alaihissalato wassalam k sadqay main sari musalman behnon ko sayyida fatima tuz zahra k naqsh e qadam per chalnay ki madani sa adat ata farmaye aameen bijahinnabiyyil ameen (saw)

janab e sayyida ka taqwa

ye ameereahlesunnat ne aik madani muzakray main farmaya tha is kahani k baray main(ab ALLAH karay link chal jaye )

Link to comment
Share on other sites

(ja) sister... buhut achi info batayi hain aap ney...

waqayi aaj aisi buhut si ghalat batein musalmano aur khasosan khawateen mein zayada aam hain...

 

aik new masla aapko main bhi suna doun... yeh bhi khawateen mein aam hai... key jis aurat ka husband fout ho jaye tu us ka asar ya maghrib sey pehlay pehlay ghar sey qadam nikalwatey hain.. key ager na nikala tu is ko Idat pori kerney per jaye gi.. aur qadam jo nikal leti hain woh Idat sey bari.. naoz billah

 

halankey Hukm-e-Qurani ki sareeh khilaaf warzi hai... is per Dar ul Ifta ka fatwa bhi mojod hai.. ager mujhay milta hai tu inshaAllah (jallah) post keron ga...

 

ps: link kam ker raha hai.. : )

Link to comment
Share on other sites

ji ye to aik do batain hain jo yahan discuss hoin werna ager khawateen ki aisi batain jo khilaf e shara hain or mahaz ghalat aitqadat per mushtamil hain ager ham usay ginnay baithain to aik bohaaaaaaaaaat lambi list tayyar hosakti hay

 

ye to maqam e shuker hay k ALLAH (azw) ne apnay habeeb (saw) ki ummat per karam farmaya k hamain ameer e ahle sunnat jesi pyari naimat ata farmadi jinhon ne apnay bayanat or madani muzakron k zariye ghar ghar main dakhil hoker hamaray muashray se in buraiyon ka kafi had tak khatima kerdiya or hamain apni or sari dunya k logon ki islah ki koshish kernay ka zehan diya ALHAMDULILLAH

ALLAH (jallah) hamain murshid e kareem madda zillu hul ali ki taleemat per kama haqquhu amal kernay ki tofeeq ata farmaye aaameeeeeen bijahinnabiyyil ameen (saw)

wassalam

Link to comment
Share on other sites

sahi kaha aap ney...

 

suna hai aik 10 bebiyon wali kahani bhi hai... kiya woh yahi hai ya woh koi aur hai? kisi ko is barey mein kuch malom hai?

Link to comment
Share on other sites

  • 6 years later...

Ye tamam batain khandan-e-Nabi kareem (saww) or ahlebait karam say bughz o enaad mehsoos horahi hai Khatoon-e-Jannat, Dukhtar aqdas BiBi Fatima ki zaat-e-mubarika is say kahin barh kar hai aisay waqiyat jinko yahan bina tehqeeq k man gharat bataya jaraha hai Koon o Makan K Aqa Kareem (saw) ki dukhtar say baeed nahi k aisay waqia roonuma ho kio k wo Fatima jis ki dehleez pak par farishtay jhuk kar salam kartay ho us zaat shareef k liyai ye sub itna mushkil nahi Mjhay is topic par aisi post daikh kar hairat horahi hai kum az kum barailvi aisi bay aqeedi ka muzahira nahi kartay thay magar aj kal inmay bhi wahabiyat o najdiyat ka gunda beej bo diya gaya hai.......

kisi paak o muqaddas hasti k mojizaat par eman o aqeeda ain deen hai ye tamam mojzaat Allah ki taraf say kuch khas hastio ko miltay hain aisay waqiyat par aqeeda rukhna aur iskay tufail apni murad mangna kia jurm hai? ya barkat ka baais hai?

Janab syeda ki kahani ko shio ka likha kehna kia iski haqqaniyat ki nafi karti hai jab k sunniyat may bhi iska riwaj hai yani murad o mannat ka hum tou is dunia k aam logo ko bhi wali bana kar unsay aqeedat rukhtay hain jab k humain unki qabar ka haaal bhi nahi pata hota

phir baghair tehqeeq k fatway ki toop chalana kaisa hai?

 

yahan may sunnio ki tehreer karda janab syeda ki kahani ki picture post kr raha ho apni andhi bani ankhain khool kar daikho

 

post-15566-0-03928300-1396482600_thumb.jpgpost-15566-0-12547000-1396482609_thumb.jpgpost-15566-0-85334900-1396482613_thumb.jpg

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

kaisay ek shaks aisi batain karsukta hai jo peeran-e-peer ghoos ul azam dastgeer say aqeedat rukhta hai or unki karamat k waqiyat batata hai mjhay batao peeran-e-peer kon thay? kia Quran may hai? Hadith may hai? koi aisi mustanad kitab hai jismay peeran-e-peer ki karamat milti ho? tou ye ghos ul azam ki karamat k qisay man gharat hain? ghus ul azam k baray may bayan karda tamam qisay khud unkay apnay thereer kiyai howay hain kisi nay nahi likha phir koi kaisay yaqeen karay??

Link to comment
Share on other sites

kaisay ek shaks aisi batain karsukta hai jo peeran-e-peer ghoos ul azam dastgeer say aqeedat rukhta hai or unki karamat k waqiyat batata hai mjhay batao peeran-e-peer kon thay? kia Quran may hai? Hadith may hai? koi aisi mustanad kitab hai jismay peeran-e-peer ki karamat milti ho? tou ye ghos ul azam ki karamat k qisay man gharat hain? ghus ul azam k baray may bayan karda tamam qisay khud unkay apnay thereer kiyai howay hain kisi nay nahi likha phir koi kaisay yaqeen karay??

 

anees ahmed noori kaun hay? Noor muhammad noor kaun hai? Ye kahani kahan se muratab ki gayi hay? Koi mutabar hawala mustanad ulema e ahle sunnat se do phir is pr mazeed behs ki ja sakti hay.

 

Huzoor Ghous e Pak ki hum woh karamaat mante hain jo hamare nazdeek musatanad ulema ne apni kutub men bayan fermayi hain. Bilkul aise hi hum Khatoon e Jannat radi allah anha aur deger ahle bait athaar wa sahaba  (raa)  ki karamaat ke qail hain.

 

Is topic men Khatoon e Jannat radi allah anha ki shan men kami nhi ki ja rahi balke haqaiq bataye ja rahe hain jo unki mubarak zaat ki taraf ghalat mansoob hay. ab koi aqal ka andha ghalat matlab le tu hum kya ker sakte hain? Bilkul aise waqyaat Sarkar madina (saw) ki taraf bhi mansoob hain.. jinko mozoo yani jhooti aahadith kaha jata hay. woh bhi kutub men likhe howe hain or ulema ne chaant beent ker ke doodh ka doodh or paani ka paani kya hay.

 

Huzoor ghous e pak ki taraf bhi aise kayi batain jahilon ne ghalat likhi hain. Is forum per topics men unka zikr mil jaye ga. Hum shiyon ki terha her likhi bat ko baghair tasdeeq ke qabol nhi kerte. Jahliyat ka rona kahin or ja ker roye.

 

Ager ap sunni hanafi hain jesay mazhab select kya hay tu mustanad ulema e ahlesunnat se rabta kejye. woh apko mazeed dalail ke sath masle se aagah keren ge. Ager taqya kya hay tu hamari kutub se iske sahi hone ka hawala do.

 

Kahani se mutaliq mazeed tafseel or hukm is topic men dekho. http://www.islamimehfil.com/topic/1718-janab-e-sayeda-radi-allah-anha-se-mansoob-farzi-kahani/  Such or haqaiq ko manne wale ke lye ye topic kafi hoga. (ia)

Edited by Kilk-e-Raza
Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

apni jan ye keh kar na chorao..............

 

"Huzoor Ghous e Pak ki hum woh karamaat mante hain jo hamare nazdeek musatanad ulema ne apni kutub men bayan fermayi hain. "

 

konsay ulma nai likhay hain? wo ulma us dour k thay ya baad k? aik bhi karamat aisi dikha do jis ki kari khood ghoos ul azam ki apni tereero sai na li gaee ho. phir un waqiyat ko tou itni ehmiyat? jiski koi riwayat mustanid nahi r huzoor pur noor (saw) ki dukhtar pur noor anwar sai itna ikhtilaf? saaf zahir hora ha hai najdiyat r deobandiyat kis hud tak tum mai saraiyat kar chuki hai

Link to comment
Share on other sites

anees ahmed noori kaun hay? Noor muhammad noor kaun hai?

daleelo k khojio zara ghor sai daikho madarsai ka address bhi hai 

 

koi sunni aalim kahani tehreer karai tu usko pehchano mat r aisay kitnay qissay kahania tumharay mazhab mai mojod hai uska difa ye keh kr karo k ulma nai likha hai.............. mai pochta ho kaunsay ulma nai likha hai mjhay naam batao ya ghoos ul azam ki haqaniyat sai inkar kardo munfiqana policy na chalo

Link to comment
Share on other sites

  • 5 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...