Jump to content

Kiya Dr Tahir Kay Mutabiq Qadiyani Bhi Believers Hain?


hanafi-hanafi

تجویز کردہ جواب

As'salamu alaikum,

 

Dr Tahir kay khilaaf fatway per Minhajians nay believers ki tareef bayan ki hai jis kay mutabiq Christians aur Jews bhi believers hain. Is tarha Qadiyani bhi Minhajians kay believers wali category may aajaatay hain. Kiyoun kay aqida ki bina per Qadiyani Christains aur jews say kuch behtar hain kay Rasool Allah (saw) ki nabuwwat aur risalat ko to maantay hain jab kay yahood aur Nassara is kay munkar hain? Aqida per ek nazar:

 

Yahood:

-Sayedna Uzair (as) ko khuda ka beta maantay hai

-Tawrait kay haamil magar is kay muharrif bhi

-Nabi Paak ((saw)) ki nabuwwat kay munkar

-Quran kay munkar

 

Nassara:

-Sayedna Eisa (as) ko khuda ka beta maantay hai

-Injeel kay haamil magar is kay muharrif bhi

-Nabi Paak ((saw)) ki nabuwwat kay munkar

-Quran kay munkar

 

 

Qadiyani:

-Sayedna Uzair (as) Ya Sayedna Eisa (as) ko khuda ka beta nahi maantay hai

-Nabi Paak (saws) ki nabuwwat ka Iqrar

-Quran ka Iqrar

-Mirza Qadiyani ko Nabi, Mahdi Aur Masih mantay hain

 

Agar Ilhami or Ghair Ilhami ki tareef per inhisaar karain to Qadiyani Yahoo aur Nassara say kuch behtar lagtay Hain (?) Munkir-e-Khatm -e- Nabuwwat to Munkir Nabi-e- Islam say thoda behtar darjay may nazar aataa hai.

 

Is kay alawa Minhajians nay jo Shaikh Sialwi kay fatway ka jawab diya hai is may Saara zoar Yahood aur Nassara ki aurton kay ooper hai. Agar is per israar karain to agla Christams sirf Christian aurton kay saath hi manaya jayega kiyoun kay Munkahat ki daleel ki bina per unki aurtay mard hazraat say thoda ziyada believers ho jaati hain :rolleyes:

 

To hamain hairat na honi chahiye agar kuch din baad hum daikhain kay Dr. Tahir Qadiyanis kay saath koi Jashan mana rahay hain.

Edited by hanafi-hanafi
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...