Jump to content

Ghair Ullah Sey Madad [Part 1]


Attari26

تجویز کردہ جواب

(bis)

(salam)

Janab Toheedi sahib

"Allah Taala Apni Zaat se Nazool farma kar bandye ke liye bamanzila A'laat ho jata hai"

Kia aap is jumlye ki taweel karna pasand famyengye???????????????????????????????

Kahi aap Aqeedatan Allah ko us ki shahn e Alwohiyat se gira to nahin rahye.....

 

 

Taweel ka intizar rahye ga

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Edited by Abdulsalam
Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

Janab Toheedi sahib

"Allah Taala Apni Zaat se Nazool farma kar bandye ke liye bamanzila A'laat ho jata hai"

Kia aap is jumlye ki taweel karna pasand famyengye???????????????????????????????

Kahi aap Aqeedatan Allah ko us ki shahn e Alwohiyat se gira to nahin rahye.....

 

 

Taweel ka intizar rahye ga

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

 

Assalam Alikum Abdul Salam bhai,

 

ap humarey signaure mian diey link per click karey or issi thread mian humari ki hoi wazahaton ko dekhain

or mulahiza farmaey k humari Wazahaton ka kissi ney abhi tak koi jawab nahi dia

 

Haan Albbata ye hazrat humari pichhli wazahaton ka jawab deyney k bajey har dafa new Dalil Pesh kar deytey hain

 

or dekhain k hum ney is page par bhai Toheedi bhai ko kia jawab dia

 

lekin Toheedi bhai ney humarey Dalail ka jawab deyney k bajey apni post repet kardi

 

Abdul Salam bhai jab koi banda Zid per utar jaey

 

to mery bhai Zid ka koi jawab nahi hota

 

 

Allah Taala hum sab ko Deen ki sahi Samajh or Amal ki toufeeq ata farmaey.Ameen

 

Nasir Noman

Link to comment
Share on other sites

 

(bis)

(salam)

Janab Toheedi sahib

I'm sorry to say but i've to that

 

Hadeeth-e-muslim hai ke

Hafas bin Aasim (RAH) se riwayat hai ke kafi hai aadmi ke jhoota honye ke liye ye baat ke jo sunye usko aagye bayan kardye.

or is ka matlab ye ke aap ke shahrah ko dekh kar is baat ko yahan pesh ker diya hai lakin aap ne is ki taa'weel pesh nahin ki ya phir is per koi tehqeeq nahin ki?

 

jab ke ye agar aap ke kisi aalim se wabista hoti ya phir aap ke khilaf hoti to taaweelon ke ambaar lag jatye.....

Jawab bahar hal nahin mil saka mujhye..

 

Ab aap sochian ke Aap gholo main Apnye buzurg ko nahin barha rahye hain bulkye is se bara gunah kar rahye hain ke Allah ko us ki shaan-o-muqam se gira kar ma'bood ke darjye se abdiyat ke darjye per la rahye hain..............

 

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(bis)

(salam)

Janab Ghalat baat koi bhi quote karey humesha ghalat hi rahye gi

Aap sirf is ka maana urdue main likh dain, (Jab ke main is ka mafhoom de chuka hon)

Dossri taraf "Aalat Insan ke marzi ke mohtaj hain, to kia is tarha aap Allah ko bhi Insan ki marzi ka mohtaj bana rahye hain) (Naooz-o-Billah min zalik)

 

Jawab ka hanooz intizar hai

 

Is ke ilawa main bhi aap logon ki tarha ab aik hi baat per arr raha hon ke pehlye Allah ke Nabi (saw) ka jang-e-Jamal or Safeen main is tarha ki madad sabit karain phir hi Awoliya Allah (ra) se is ka ta'luq sabit krnye ki himmat kijiyega

 

Ghalat bolnye wala koi bhi ho woh ghalat hi hoga (is ko la'ilmi, ghalati, sahv per to mahwal kia jasakta hai lakin is se istadlal nahin kia jaasakta)

 

 

Abdul Salam

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam)

 

Aik taraf to Alalh ki Shan ghatai ja rahi hai lakin aap ko is ka darad nahin hai lakin agar ulama per aitiraz ho to is qadar darad ke bas kia kehnye.

Main apnye ilm ki baat kia kahon main bilkul in logon ke samnye kuch bhi hasiyat nahin rakhta lakin ghalat baat jo ke ghalat hi lagye to us per atiraz karna zaroori hai. or rahi baat is ki ke mujh se pehlye doosrye logon ne is baat per aitiraz kion na kia to is ka jawab merye khayal main ye hi munasib hai ke is se pehlye kisi ne is qol se aap wala aqeedah sabit karnye ki koshish nahin ko hogi or na hi is se aap wala mafhoom liya gaya hoga or na hi is qol ko hujjat bana kar Allah ka Insan main halool hona sabit kia hoga (ilawa Ghair ullah se madad ke qayel hazra)

 

"Aap ke pehs karda ibarat hai ke "Allah apni shan se nazool farma kar Insan ke liye Bamanzila-e-Aalaat ban jata hai"

 

Ab aap aik doosri riwayat pesh kar rahye hain ke jis main Insan ko Allah ki marzi ka tabe' kaha gaya hai ke woh Allah ki marzi se dekhta, sunta, chalta or pakarta hai, jab ke aap ke pehlie tahreer batati hai ke Insan jo chahta hai woh Allah us ke liye karta hai (Naooz-o-Billah)

Lehaza aap se darkhowast hai ke aap apnye buzargon ke qol se is Tehreer ka matlab jis ki woh taa'weel kis tarha ki kartye hai zahir karain

 

Meri koshish hoti ahi ke kisi ka bhi qol main uske ma-qabl per or Phir Quran-Sunnat per pesh kar ke parakhnye ki koshish karta hon or agar mukhailf paon to ma'loom karnye ki koshish karta hon lehaza aap se guzarish hai ke aap is ke meaning authenticity ke saath marhamat farmayen. doosri soorat main aap ye maan len ke Hazoor-e-Akram (saw) or Shuhda ki hayat humarye shaoor ke bahir hai or rooh ke barye main Allah or us ke Rasoor (saw) ne behas se mana kia hai.

 

Aik Riwayat ke mutabiq (Mafhoom) Hazrat (Musa ya Esa) (as) (Ghaliban Eesa (as) ) se Allah un ki qom ki babat poochyengye (Batayngye) ke un ki qom shirk main mubtala ho gai hai to Nabi (as) farmayengye ke Aye Allah main jab tak in ke darmiyan mojood tha in ko seedhye rastye ki taraf bulata raha, lakin jab main in main nahin raha to mujhye nahin ilm ke inhon ne kia kiya? AB aap soochayen ke Agar Ambiya (as) matlaq gaib ka ilm hai to phir is riwayat ka kiya kahyengye aap???????

 

Isi se munsalik Bukhari ki Riwayat hai ke (Mafhoom) Hazoor-e-Akram (saw) aik shadi walye ghar main tashreef farma thye, kuch bachiyon ne Ashar parhye ke "Humarye darmiyan aik aysa nabi (saw) hai jo ghiab/kal ki baat ko jantye hain" jis per Hazoor-e-Akram (saw) ne farmaya ke is ko choro woh parho jo pehlye parh rahi thin..

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(bis)

(salam)

Wahi Muqalledeen (Jamid or Shakhsi) wali harkat or talab.......

Yahan per Allah ki kitab or Ahadeeth ki wazeh farman per amal pera nahin hona bulke Ulama se likhwanye per shiddat..??

 

Wahi kahonga ke Apnye Aaqibat na bigaryen bulkye Quran or Hadit ki wazeh ahkamat or aqayed per amal pera ho kar is ke khilaf likhnye, bolnye walon ke khilaf likhyen na ke haq main koshish karyen

 

Jawab to bahar hal aap ke paas nahin hai tabhi ab aap ka zor Ulama se likhwa kar lanye per shoro ho gaya hai or phir is ki kia garanty hai ke ulama se likhwanye ke baad aap is ko maan lengye (jesa ke aap ne likha hai ke is se aap ka jamati mouqaf samnye aa ajayega)

 

Humarey liye Qurani Mouqaf zaroori hai kisi jamati or shakhsi nahin

 

Jawab to bahar haal aap ne nahin diya na hi is ki koi or taa'weel pesh ki or is per bhi yahi khuwahish ke aap ke maslak o manhaj ko sahi mana jaye???????? jo amal or aqeedah aap Quran se saf lafzon main bataen or us ko hum na manyen to phir kahen ke hum Islam ke mukhalif hain (kion ke Allah khud farmata hai ke hum ne Quran Arabi main nazil kia ta ke tum samajh sako, or aik or jagha irshad hai ke hum ne Quran main Khol Khol kar bayan kia hai) baraye mahar bani ye zaroor sochyen ke Quran per seedha tarha amal karna bahar hal ghalat nahin hoga lakin Qoran ki apni tojeeh karkye is se batini mana nikal ker us per amal karnye se gumrahi ka andesha zaroor hai to isi liye ishtabah se bachnye ka hukm Qoran or Hadth donon main hai

 

Jawab to mujhye yaqeen hai ke aap nahin dengye lakin sochnye ki dawat zaroor deta hon aap ko.

 

fi-aman:

(salam)

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(bis)

(salam)

Yar i've been fateup with your arguments nothing but to save your believes, Afsoos sad Afsoos

Jesa ke main ne pehlye bhi kha tha ke Agar dard mehsoos karna hi hai to Allah ki shan main gustakhi per karain na ke ksi or ki

 

Aap se ye to ho nahin raha ke is ka jawab deain (jesa ke aap ka khud ke galye main atak gai hai ye ibarat) na jawab detye banti hai na chorye

 

Humye Muhaddetheen ke Aqeedah per filhal koi etirazat nahin hain lakin tehreer per hai or is ke liye mujhye kisi doosrye se poochnye ki zaroorat nahin hai..... agar aap ke paas koi jawab hai to den na ke liptye rahyen apnye khud sakhta mutalbye se

 

Agar koi jawab ho to den, warna rehnye dain................ agar aap is aik Qoul-e-Muhaddith se Ghair Allah ke Maddad ka jawaz sabit karna chahtye hain to phir ayesa deen aap ko Mubarak ho mujhye koi zaroorat nahin ke main khud ko halkan karlon

Kion ke is ki mukhalifat main doosrye bohat si ayaat or Ahadeeth or Aqwal-e-Sahab (ra) mojood hai aap ka un se istadlal kion nahin hai is madad se jan choranye ke liye?????????

 

or Usool ke mutabiq us hadeeth ki sehat per kia Eitiraz lagayengye aap jo ke sahi, Aadil, Siqa ravion se mansoob ho lakin sarihan Quran ke Mukhalif ho ya phir kisi doosri sahi Hadeeth ki mukhalifat main ho, agar usool per nazar dalen to yaqeenan meri baat dil per lagye gi

 

Allah aap ko Sirat-e-Mustaqeem per chalnye ki tofeeq ata farmaye

 

Abdul Salam

fi-aman:

(salam)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Wahabi aor Zidd = Behan Bhai :D

 

wahabi sirf zidd kare ga aor behas baraye behas kare ga ... aor khud ko sab se bada muhadith samjhe ga aor baday baday muhaditheen ki baat ko (1888 main register hone wale firqe ko bachane k leye) radd kare ga .

 

Allah musalmanoo ko Wahabi/Najdi/tameemi/Kharji Fitne se bachaye .. Ameeen .

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

 

Janab Sag-e-Attar sahib

Aap ne jo kuch bhi kaha us ke silsilye main koi khas reply karnye ke bajaye main sirf aik baat araz karonga ke, Lets see ke aap kis had tak is silsilye main insaf se kaam letye hain.

 

Ab yahan per main woh hi post pesh kar raha hon or wazeh rahey ke mujhye jawab nahin chahiye.

 

 

Asslam-o-Alekum

(salam)

 

Aap ye batayen ke agar woh sab kuch ikhtiyarat jin ko aap Hazoor-e-Akram (saw) ke saath or phir apnye doosrye buzargon ke ssath makhsoos or bil-umoom batatye hain, un ko agar Hazoor-e-Akram (saw) ke sath na mana jaye or sirf un Allah ka mahboob, Nabi, Rasool, Akhri Nabi Banda, muqarrib mana jaye to kia humarye eman (Belief) main koi kami aa jayegi ya phir koi khas asar ke jis se momin o mushrik ya momin o munafiq honye ka parye ga……..?

 

Agar nahin ke un sab muamlat jo ke Allah ne Quran main apnye Nabi (saw) ki shaan main bayan farmaye hain ko hi mana jaye to kafi hai to kia ye kafi nahin.?

 

Abhi do teen din pehlye “Madani Chanel” per aik mukalima mulahiza kia, jis main farishton/ nabiyon/ buzargon ke tassarruf o ikhtiyar takveeni umoor main sabit ki gai thi.

 

Yaqeenan jin logon ko ilm nahin ikhtiyar, tassarruf, ki taareef ya zimye darion ke barye main ilm na ho who is ko yaqeenan aalimana tehqeeq kah kar dil-o-jan se is ko man lengyen or is per amal shoroo kar dayngye. Bahar hal main kuch koshish karta hon at least is forum per mojood logon ko samjhanye ki.

 

Channel per mojood sahib farmatye hain ke Allah ne apnye farishton ko kuch kam zime kar diye hain (jin se kisi bhi momin ko koi ikhtlaf nahin hai) lakin kia aap is zime-edari ko jo ke Allah ne Apnye farishton ke dee hain un ko aap Farishton ka tassarruf karyengye, kuch mazeed aasani ke liye is tarha samjhyen ke aap aik nokar/ghulam rakhtye hain, us ka kam khana pakana, bahir ka kam karna, ghar ki safai rakhna waghera hai to kia aap us nokar ke is kaam ko is ka kulli ikhtiyar kahyengye? Ke ab to us ko jo kaam diye gaye hain ya jo zimmye lagaye gaye hain, se jis ko chahye khana paka kar dye, jis ka chaye bahir ka kam karye, jis tarha chahye karye or jesa chahye karye or jin ke bhi saath chahye karye apni marzi se???? yaqeenan nahin aap kahengye ke nahin aisa to bilkul bhi nahin hai bulkye who to sirf woh kam karye ga or us tarha or un ke saath karyega jis ka maailk us ko hukm dega ,to phir aap isi muamlye ki Farishton ke saath kartye hoye kion tassarruf main tabdeel kardetye hain, Farishye sirf woh kam kartye hain jin ka Allah ne humk dia, jis tarha diya us tarha, jin ke saath diya un ke saath kartye hain. Wagarna log farishton ko pukarna shoroo kardyengye ke jab muamlaat ke hal karnye walye woh hain to phir direct un ko hi kion na pukaryen (Mushrekeen –e-Makka ki tarha). Is soorat main aap ke kehna hoga ke woh Allah ke hukm se hi ye sab maumlaat kartye hain to sawal ye peda hota hai ke direct Allah se mangye main phir kia harj hai ke asal hukm denye wala, apnye hukm per amal karwanye wala Allah hi ki zaat hai to phir Allah hi kion nahin…… jab aap logon ko ye yaqeen ho jata hai ke muamlaat ke hal karnye walye farishtye hi hain to phir un ko khush karnye ke liye hi un ke saath woh muamlaat kiye jatye hain jis se un ki khoti aqal ke mutabiq farishtye khush hotye hain ya hongye or un ke kaam ya dua jal porye ho jaengye or in muamlaat main woh sab kaam aa jatye hain jin se un ko khush karnye ki koshish ki jati hai yani ke, un ke naam per charhawa dena, unke naam per qurbani dena, un se mansoob ashiya ki izzat karna un ke liye roza rakhna waghera waghera (sirf un ko khush karnye ke liye) to phir shirk ko pehli seerhi sabit hoa kufr ki taraf barhnye ke liye??????????

 

Hum woh kaam kion nahin kartye jis ke humara Qadir-e-Matlaq khush ho, woh kion karnye ki koshish kartye hain jin se farishtye / Ambiya (as) / buzurgan-e-deen (RAH) khush hon?

 

Agar aap mantye hain ke farishton ka roh phonknye ka muamla, barish barsanye ka muamla, anaj uganye ka muamla, agar tassarruf hai to woh kion nahin apni marzi se ye sarye kam kartye hain, yani jis me chahye rooh phonk dain, jahan chahyen barish barsa dayen, jahan chahyen qehat peda kardyen ya jahan chahyen anaj ka ambar (Pile) laga dyen? Lakin woh ye sab nahin karsaktye kion ke woh sab Allah ke hukm se bandhye hoye hain, to phir to woh beikhtiyar hoye na yani woh sirf apni zimye darian puri kar rahye hain to aap ka bhi farz banta hai ke aap bhi apna farz pura karayn.

 

Agar aap logon ki baat maan li jaye, yani ke, aik buzurg zinda akrnye or murda karnye per qadir (Abdul Qadir Jeelani (RAH)), Aik buzurg Taqdeer ke faislye tabdeel karnye per qadir (Abdul Qadir Jeelani (RAH)), tamam buzurg door-o-Qareeb se sunnye per qadir, koi beta denye per qadir, koi jannat or dozakh denye per qadir, koi slhiyaten deenye or cheenye per qadir, aik farishta barish per tassarruf rakhta hain, aik farishta rooh phoonknye per tassarruf or bohat se hikayaton ke mutabiq har buzurg khud main khuda hai….. ye to bilkul Unani devi devtaon (Greece mythology) ki tarha ka muamla ho gaya , lakin whahn to aik devi ya devta sirf aik kam per qadir hotye thye, lakin musalmanon ke devi devta to tamam kamon per qadir hain……………. Phir Aik Allah ki kiya zaroorat (Naooz-o-Billah min zalik or Lahool Wala Qouata Illah Billah) sirf un farishton ko, buzargon ko jinnat ko khush karnyen yani charhawa dain, un ki qabron ki or rihayeshgah ki ziyarat karyen, un ke naam per roza rakhyen, un ke naam per apnye bachon ke naam rakhyen, un ke naam per qurbani dain to phir ye sab ibadat nahin to phir or kia hai

 

 

  • Allah ke naam per charhawa do yani sadqa/fitr/kheyraat do

 

  • Allah ke ghar ki ziyarat karon yani ke Kaaba ka tawaf karo

 

  • Allah ke nam per qurbani karo yani ke Eid-ul-Azha main qurbani karo

 

  • Allah ke nam per roza rakho yani ke ramzan main

 

  • Allah ke naam per apnye bachon ka naam rakho yani Abdullah, Abdul Raheem, waghera

To Allah bhi khush hoga or woh aap ki hajjat ko pura karyega

 

 

 

Phir un sahib ne Hadeeth e Bukhari ka hawala diya ke Hadeeth e Qudsi hai ke (Mafhoom) Banda Farz namzon se Allah ka muqarrib ban jata hai or phir nafil ibadat ke zariyeAllah se itna qareeb hojata hai ke Allah us bandye ka haat banjaa hai, us ka kaan ban jaata hai, us ki aankh ban jata hai………………………….or phir is ki sharah ke mutaliq farmatye hain ke “is ke sharah bohat taweel hail akin aakhir main likha hai ke woh Allah se jo mangta hai Allah woh us ko deta hai, or us ki tamam hajjat puri fermata hai” to janab zara ghor karyen jab woh banda apnye liye dua bhi Allah se mang raha hai or Allah ke kehna bhi hai ke who jo mangta hai main ata karta hon to janab ye batayen ke kia who banda koi kaam Allah ki marzi ke khilaf (Tassarruf ki bunyad per) kisi ko bhi kuch bhi de sakta hai???????? Yahan bhi aap kahyen gye je who Allah ki marzi ka tabye hai,,,,,,,, yani ke humye to ye karna chahiye ke hum bhi who position hasil karyen jo ke us bandy eke paas hai, ya phir direct us Allah se mangyen jis se woh Aabid(Ibadat Guzar) maangraha hai. Lakin shayed hum short cut ki talash main ye sab taaweelyen kar rahye hai ke jo fayeda baghair ibadat ke haasil ho sakta hai to phir ibaad kis liye ki jaye????To yaqeenan aap logon ko Zimmye darion, Tassarruf main farq ka ilm ho gaya hoga

 

Baraye meharbni ghor karyen ke ghor karne se ilm main izafa hota hai

 

Asslam-e-Alekum

 

fi-aman:

 

Abdul Salam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...