Jump to content

Fatwa Needed


Abdul Mustafa

تجویز کردہ جواب

(bis)

 

(salam)

 

Mujhy 2 topics par Ulama-e-Ahlesunnat ke fatawa chahiyen:

 

1-Zaid falahi kaam krne ka boht zehan rkhta hai,zaid chahta hai keh woh ek aisi tanzeem bnaye jo ilaqa mn safai rkhay kyun keh safai ko "Nisf" Emaan kaha gaya hai.lekin jab zaid se kaha gaya keh apni zaat par tawajjo do aur naiki ka raasta apnao aur buray kaamon se bacho,Namaz wuzoo ghusal aur deegar farayz uloom seekho,namaz ki pabandi kro wa'ghairaha lekin zaid ne kaha ke ALLAH bakhshnay wala hai jab woh ek fahasha aurat ko sirf pyaasay kuttay ko paani pilanay ki wajha se bakhsh sakta hai to mujhe bhe bakhsh dega,lihaza zaid is riwayt ko daleel bna kr mehaz falah ke kaam krta hai lekin Islam se duur hai.is daleel ki sharai hesiat kya hai aur shariat aisay shakhs ke baray kya kehti hai?

 

2-umooman dekha gaya hai keh log Milaad krwatay hen huzoor (saw) se mohabbat ke daway krty hen lekin Islam se duur hain aur bay'amli ki zindagi guzaar rhy hen. jab unhen naiki ki dawat di jati hai to kehtay hen keh hum to ALLAH aur us ke Habib S.A.W se mohabbat karty hen,yehi mohabbat humein jannat mn lay jaygi. apni is baat ko woh is hadees se sabit krne ki koshish krty hen keh Mafhoom: "jab ek Sahabi ne huzoor se poocha keh qayamat kab aygi to AQA S.A.W ne un se poocha keh kya tum ne qayamat ki tyari kr li hai? un Sahabi ne arz ki ni bas ALLAH aur us ke Rasool se Mohabbat krta hn..."(yeh hadees thek se yaad ni mjhe,agar ghalat likhi to ghalati ki nishandahi ferma dijiye).

 

(ja)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...