Jump to content

نبی پاک اور حضرت علی سے مدد کیوں مانگیں؟


Muslampak

تجویز کردہ جواب

app jawab to ke kis ayat se aap ko pata laga ke marhomeen se mangna mana hai..... q ke nabi aur imaan wale madad gaar hai, isme koi qaid nahi hai ke zinda ho ya marhomeen, aur hadeeso se sabit hai ke marhomeen se hajat rawayi ka, aur ulmaye kiram muhaddiseen is baat ko mante aye hai....\

 

khamoshi bilkul nahi hai isme....

 

As'salamu alaikum WRB,

 

Theek hai ab aap misalain bhi paish karain Sahaba (ra) ki jis tarha aapnay samjha hai usi tarha unhon nay bhi samjha aur kis tarha ye amal mutawatir balkay ek aadat ban gaya hai Indo-pak main to isi tawatur ko sabit kardain.

 

Towhidi Bhai:

 

Aap nay jo daleel de hai wo Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa sallam) kay liye sabit hai. Masalan:

 

- Aaap nay naabeena sahabi (ra) ko dua sikhai jis may tawassul aur istigasa dono hain

 

- isi dua ko syedna Usman (ra) kay zamany main Usman bi Hunaif (ra) wali riwayat main kiya gaya

 

- Utibi ki riwayat main bhi Bedouin(Baddo) ka Aap (sallal lahu alaihi wa sallam) kay Rauza per aana aur mghfirat ki faryad karna istigasa sabit karta hai

 

- Syedna Umar (ra) kay barish kay liye tawassul say pahlay Malink bin Dinaar (ra) ka Rauza-e-rasool per jaana aur faryad karna bhi istigasa ko sabit karta hai - Halaan kay uskay baad syedna umar (ra) nay raast Rauza-e-rasool per aakar istigasa nahi kiya balkay Namaz istisqa ka ihtimaam kiya aur App (saws) kay chahc(ra) kay saath tawassul kiya. ye aur baat hai kay is say wahhabiya ye sabit karnay ki koshish kartay hai kay marhoomeen say tawassul jayez nahi, jab kay Sunni aap (saws) ko hayat maan tay hain aur aap (saws) kay chacha (ra) ke fazeelat yahi thi kay aap(ra) Aqa (as) kay chacha thay is trah ye Aqa (as) say hi tawassul huwa

 

-Is kay alawa farishtay hamara darood pahonchatay hain to us say bhi ye jawaz nikalta hai kay hamari pukar Aqa (as) tak pahonchti hai. Agar is may hazir wo nazir ko shamil karlain to phir koi bhi masala nahi rahta

 

Main ye jaan'na chaahta hon kay jo fazilat ya khusoosiyat Aqa (as) say mansoob hai usko tamam auliya kay liye kis tarha saabit kiya ja sakta hai

Link to comment
Share on other sites

As'salamu alaikum WRB,

 

Mainay bataur-e-Talib Ilm ye sawal kiya tha. Daleel paish karnay kay bajaye aap shuyukh ki sanad aur aqida paish kar rahay hain. Aap ka ye kahna kay Shah Sahab (ra) per meray ulema ko etemaad hai samajh may nahi aaya. Shayad aap mujhay Deobandi Samajh rahay hain jo Ghalat hai. Main Sirf Sunni hon.

 

Qissa mukhtasar kay auliya ko raast pukarnay ki mujhay koi wazeh daleel nahi mili. Tawassul meray liye kaafi hai. Istigasa main nahi karta aur na hi mujhay itna tahqeeq ka shauq ya waqt hai kay main istigasa karnay walon per koi kalam karon. Maujuda daur main Ihtiyaat ka paholoo hi behtar hai. Jab Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa Sallam) say tawassul sabit ho, due-e-tawassul sikhlai gayee ho tu phir auliya say istigasa ka kiya matlab?

Link to comment
Share on other sites

@ toheedi bahi post 57

میں نے پوسٹ نمبر 49 میں شاہ صاحب کے حوالے سے کچھ عرض کیا تھا غالبا آپ کی نظر سے نہیں گزرا یا آپ نے اسے جواب کے قابل نہیں سمجھا ۔ میں اس کو دوبارہ یہاں پیسٹ کر دیتا ہوں اور آپ سے اس پر اظہار خیال کی امید رکھتا ہوں۔

 

آپ نے شاہ عبدالعزیز رح کی جو عبارات پیش کی ہیں ان سے تو کہیں سے ثابت نہیں ہو رہا کہ بعد از وفات اولیا،کرام کو ہر جگہ سے مدد کے لئے پکارا جا سکتا ہے۔

عند القبر تو کسی ولی سے دعا کی درخواست کی جا سکتی ہےجو کہ قائلین سماع الموتی میں متنازع فیہ نہیں ہے۔اور شاہ عبدالعزیز علیہ الرحمہ کی عبارات سے بھی اسی قسم کی امداد اور نفع کی بات ہو رہی ہے ۔ وہ خود فرماتے ہیں کہ

اہل قبور سے استمداد دعا کے طور پر ہوتی ہے بایں طور کہ وہ اللہ سے عرض کریں وہ ہمارا مطلب پورا فرما دے۔ فتاوی عزیزی ج1

 

اور تفسیر عزیزی ج 1 میں باطل عقائد کو ذکر کرتے ہوئے یہ بھی ذکر کرتے ہیں کہ

یا آئمہ اور اولیا، کو انبیا، و مرسلین کے رتبہ کے برابر کر دے اور حضرات انبیا، و مرسلین کے لئے لوازم الوہیت مثلا علم غیب اورہر ایک کی ہر جگہ سے فریاد سننا۔

Link to comment
Share on other sites

As'salamu alaikum WRB, Aap ka pehla refrence to murdon ko jalanay kay bajaye dafnanay ki hikmat kay baray main hai. Us main Shah Sahab nay Jis nafa dainay aur lainay ki baat likhi hai wo kis tarha ayat kay Siyaq wo sabaq say sabit ho sakti hai. Kiya unka aisa likhna aqida ban sakta hai? Doosara hawala bhi daikh lain. Kis tarha unhon nay ye aqida ya nateeja akhaz kiya hai samajh main nahi aaya. Bina kisis dalel kay likh diya kay auliya ko baad wafaat tasarruf ka ikhtiyaar diya jaata hai. Mujhay is ki wazeh daleel chahiye. Wazahat kar dain. Agar unka aqida taayeedan ikhtiyar kartay hai tu wazahat bhi kar dain Is kay alawa ye batadain kay agar akabir kay kisi aqiday ya fatway ki daleel na milay to usko kis tarha ikhtiyaar kiya ja sakta hai. Aap ko pata hai main kiya jaan'nay ki koshish kar raha hon,

post-5170-0-37927200-1356521119.gif

post-5170-0-76812000-1356521129.gif

Edited by hanafi-hanafi
Link to comment
Share on other sites

AL QURAAN> "Beshak Tumhara" Madadgar ALLAH Hai Or Us ka "RASOOL" or MOMINEEN Hein" (Surat Maida#55)

 

As'salamu alaikum WRB,

 

Is ayat-e-Mubaraka main Jahan Momineen ka Zikar hai unsay muraad kis traha marhoom Auliya ho saktay hai.? Is ki wazahat kardain. Quran Majeed main is ka zikar hai kay Allah (swt) nay Musalmano ki madad farishton say ki. Kiya Lafz mominka ka un per itlaq nahi ho sakta. Farishtay bhi imaan walon main shamil hain aur unki madad ka Zikr bhi.

 

Ek aur hadees shareef hai Ibadullah Madad ki. Is main bhi ye nahi kaha gaya kay Allah (swt) marhoomeen ko logon ki madad kay liye muqarrir karta hai.

 

Sufiyoun ki istliahaat jaisay kay Qutb, Ghouse, Abdaal waghaira ye bhi Shayad hayat logon kay liye istimaal hoti hain warna unkay guzarnay aur dosron ki unki jaga lainay ka zkr nahi hota

Link to comment
Share on other sites

is ayat se apna qayas aur apni raye se ye bata dia ke ye ayat marhomeen ke liye nahi hai(halanke isme zinda ya marhomeen ka zikr nahi),

aur jab ek alim apne ilm se marhomeen ka batata hai wo nahi mante, kya apni raye zyada achchi lagti hai, ek ilm wale ki raye se? iska jawab de...

 

As'salamualaikum WRB,

 

Ayat main diyegaye momin ka itlaaq kis kis per hota hai wo daikh lain. Auliya per bhi hoga magar yahan masla unki madad ka hai. Agar farishton ko momineen main shamil kar lain to unki madad ka suboot maujood hai jab kay aisa suboot auliya kay liye darkaar hai.

 

Aalim ki baat bina daleel kis tarha maantay hain? Akhar unkay ilm ka makhaz kiya hai. Kiya ye jaan'na theek nahi? aur Is kaa khayal karain kay mainay raye nahi di hai main sawal pooch raha hon. Aalim bhi apni baat kisi ilmi nukta per kartay hongay. aap wahi samjha dain.

 

Masla ye hai kay ulema nay jo likh hai agar wo unki samajh hai to wo awam ko kiyoun samjhna pasand nahi kartay. Baat samjhanay kay bajaye mukhalif camp say daleel paish kartay hain. Misaal kay taur per aap Guldasta-e-Tawheed wo Risalat Volume 2 daikh lain (page 189 say aagay), Is main shaikh Siyalvi nay Shah Waliullah (r a) kay qaul say ye sabit kiya hai kay Momineen bhi baad wafat Malaika main shamil hojatain hain. Shah Sahab ka ye kahna Syedna Jafar bin Tayyar (ra) kay Jannat main farishton ki tarha peron say udnay wali hadees shareef say sabit kiya hai. Agay ki tamaam behas main Sirf ulema kay aqwaal say fareeq-e-mikhalif ko haranay ki sayee ki hai na kay koi wazeh daleel. Khas ko aam krnay wali batain hain.

 

Kiyoun kay mera iraada sirf jaan'na hai is liey mainay ye hawala diya hai taakay aap mujhay kuch samjha sakain ya apnay mauqaf ka difa karsakain.

Edited by hanafi-hanafi
Link to comment
Share on other sites

As'salamu alaikum WRB,

 

Towheedi Bhai aap yehi poochtay rahain aur dohratay rahain. Jab kay main dalail mang raha hon na kay ashqas ka aqida. Dalail kay bajaye agar ashqas hi ko paish karna hai to phir unko masoom bhi samajhna hoga aur unko wahi ya ilhaam say bhi nawazna hoga kay unka jo aqida hai wo ghalat nahi.

 

Aap mujhay Shah Sahab (r a) aur Aala Hazrat (r a) dono kay aqiday say yehi sabit karna chahtay hai kay agar Barelvi aqida ye hai to Deobandi bhi yehi hai is tarha baat khatam - yani ek ghalat is liye nahi kay dosra bhi ghalat hai, kiyoun kay ek hi waqt main dono ghalat nahi to sob sahi. yehi aap ka kulya hai

 

Aqida kisi ka bhi paish karain unka makhaz bhi paish kardain, warna aap jo kahtay ya poochtay hai us say aagay bat kabhi nahi bad'hay gi

 

Ap ki sahulat kay liye ek tajweez hai: Agar yehi sawal aap say koi nau-muslim karay tu aap kiya karain'gay? Dalail daingay ya akaabir ka aqida bayan karaingay?

Edited by hanafi-hanafi
Link to comment
Share on other sites

 

 

Ap ki sahulat kay liye ek tajweez hai: Agar yehi sawal aap say koi nau-muslim karay tu aap kiya karain'gay? Dalail daingay ya akaabir ka aqida bayan karaingay?

 

Nou muslim k sawal ki aap ko tension nai honi chaiy un ko deal kerna bhe ata hy aap fiker kio kerty hn

 

aap sy jo poocha jata hy us ka jawab dain ager aap bhe nou muslim hn to bta dain k aap ny kub islam qbool kia our kaisy aap tak islam pooncha phir aap ko usi taraz mai jawab mily ga

Link to comment
Share on other sites

As'salamu alaikum WRB,

 

Mainay sirf aap ko ilm wala samajh kar ye sawal kiya hai magar aap mujh say fatwa maang rahay hain.

 

Kabhi aap mujhay shikanjay main kasnay ki baat kartay hai, kabhi Deobandi samjhtay hain aur kabhi kisi qaum walon jaisa qarar daitay hain.

 

Chalain aap hi batadain kay aisa aqida dalail ki ghair maujoodgi main kaisa hoga

 

Kiyoun kay aap ilqaab dainay main mahir hain to mujhay ek nau muslim samjh lain jo aap kay aqiday ka suboot mang raha hai Ya kuch aur bhi samajh lain jis say aap ko itni tashaffi zaroor ho kay aap sanjeeda jawab dainay per aamaada hojayen.

 

Warna aap ka forum hai jitni baar jo likhna hai likhtay rahain.

Link to comment
Share on other sites

Sirf aap meray sawal ka jawaab dain aur mauzu say na hatain aur na hi kisi sahab ka aqida bayan karain aur na hi mujh say fatwa maangay. Mujhay kisi kay aqiday say koi dilchaspi nahi. Aap ka aqida hai to is ka difa karain ya wazahat karain. Warn aap ki majboori mujhay pata nahi meri majboori sirf ye hai kay main sirf pooch raha hon suboot ya dalail ki bunyad per. dalail nahi tab mujhay is amal say koi matlba nahi. Main kisi ko mushrik Ya kafir tahraanay kay jhagday may nahi padna chaahta.

Link to comment
Share on other sites

جناب حنفی حنفی صاحب

توحیدی بھائی آپ سے بار بار ایک سوال پوچھ رہے ہیں لیکن آپ ہٹ دھرمی پر اسی طرح قائم ہیں۔اگر آپ نے اپنی اگلی پوسٹ میں جواب نہ دیا تو یہ ٹاپک لاک کر دیا جائے گا۔فقیر پہلے بھی ایک لنک دے چکا ہے کہ اس کا مطالعہ کریں لیکن آپ ٹس سے مس نہیں ہو رہے۔

یہ فورم سوال برائے سوال کے لئے نہیں ہے۔اس لئے آپ کو وارننگ دی جاتی ہے۔شکریہ

Link to comment
Share on other sites

جناب حنفی حنفی صاحب

توحیدی بھائی آپ سے بار بار ایک سوال پوچھ رہے ہیں لیکن آپ ہٹ دھرمی پر اسی طرح قائم ہیں۔اگر آپ نے اپنی اگلی پوسٹ میں جواب نہ دیا تو یہ ٹاپک لاک کر دیا جائے گا۔فقیر پہلے بھی ایک لنک دے چکا ہے کہ اس کا مطالعہ کریں لیکن آپ ٹس سے مس نہیں ہو رہے۔

یہ فورم سوال برائے سوال کے لئے نہیں ہے۔اس لئے آپ کو وارننگ دی جاتی ہے۔شکریہ

 

جناب حنفی صاحب بھی تو سوال ہی پوچھ رہے ہیں اس کا جواب بھی تو توحیدی صاحب نہیں دے رہے۔

حنفی صاحب کا سوال بڑا ویلڈ ہے کہ آپ کے عقیدے کا ماخذ کیا ہے، بنیاد کیا ہے؟

کیا یہ ضروری ہے کہ پہلے کسی کو مشرک یا مسلم ضرور قرار دیا جائے اور پھر آگے بڑھا جائے۔

میرا بھی یہی موقف ہے اور حنفی صاحب کا بھی کہ شخصیات کے جھگڑے میں پڑنے کی بجائے صرف دلائل پر بات کی جائے۔

Link to comment
Share on other sites

As'salamu alaikum WRB,

 

Kiyoun kay aap dalail nahi dai saktay is liye is topic say jo chahay karain. Dalail ki ghair maujoodgi main meray nazdeek ye bay bunyaad aqida hai. Na Jaanay kiyoun tawassul ko badha kar istimdaad main badal diya gaya hai jab kay auliya ka hamari baat sun'kar Allah (swt) say dua karnay ki koi daleel nahi. Ummat kay Aamal per Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa Sallam) ka khush hona aur dua karna sabit hai magar kisi wali ko ye muqaam ataa karna khush aqeedagi ki intihaa hai jis ki bunyaad kiya hai is ka jawab nahi mila abhi tak.

 

Momineen Musalamano kay madagaar hai is ka matlab fautshuda auliya ko kis tarha maana jata hai pata nahi. Agar aisa hai to is ki koi daleel nahi mili. Is kay alawaa ayat-e-Mubarak main momineen ka zikar hai kiyoun mohsineen ka nahi. Kiya auliya sirf momin hi thay mohsin nahi aur ihsaan kay muqaam say mahroom rahay? Kiya kuch auliya sirf momin thay mohsin nahi? Ghouse, Qutb, Autaad, Abdaal ki jo istilahain wo zinda per ya fautshuda auliya per bhi lagoo hain? Agar Zinda per to phir momineen ka itlaq in per ho sakta hai. Farishtay momin hain aur unki madad ka Quran-e-hakeem main zikar bhi hai.

 

Is kay alawaa mainay Jis tarha namazon kay fidya rozon kay fidye jaisa adaa kiya jata hai heela ya asqaat kay naam per us tarha ki koi misaal bhi maangi thee.

 

Is say ziyada aur kuch nahi kaha Ja sakta kiyoun kay is aqida ki bunyaad kashf per maloom hoti hai jaisay kay Fatwa Razviya main zikar hai. Fatawa say Istimdad per kuch iqtisabat paish hain. Is main bhi akabir ulema ka zikar hai magar Quran aur hadees say nahi.

post-5170-0-05113500-1357018836.gif

post-5170-0-69131100-1357018861.gif

post-5170-0-03224900-1357018877.gif

post-5170-0-87567500-1357018890.gif

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...