Jump to content

Musalman Aur Shaitan Ka Munazra Topic "milad Un Nabi ﷺ "


Najam Mirani

تجویز کردہ جواب

Shaitano ka Sawal aur Musalman Ka jawab:: Shaitan ka izhare afsos. (pls. parh ke khub share kare)
Shaitan bola: bhai Milad Manana tou shirk hai!! aisa na kare ...
Musalman bola: kya koi ALLAH ki paidaesh par jashan manata hai??
Shaitan bola: nahi, ALLAH tou hamesha se hai.
Musalman bola: Milad ka matlab hota hai paidaesh, jab koi ALLAH ki paidaesh par jashn nahi par RASOOL ki paidaesh par jashn hai tou barabari nahi huwi, agar ALLAH or RASOOL me barabari karte tou shirk hota.!!
Shaitan bola: hmm bhai maan lo ki shirk nahi par biddah tou zaroor hai!!
Musalman bola: Achchi Bid’at aur Buri Bid’at:: Hazrate Jarer bin Abdullah رضي الله عنه se riwayat hai ki RASOOLALLAH صلى الله تعالى عليه واله وسلم ne farmaya Jo Shaksh Islam mein achchi (achchi bid’at) baat nikale phir log iskey baad us par Amal karey to usko itna sawab hoga jitna sab Amal karney walo ko hoga, aur Amal karney walon ke sawab mein kuch kami na hogi aur Jo islam mein buri (yani gumrahi wali baat ya buri bid’at) baat nikale log uskey baad us par amal karey to tamam Amal karney walo ke barabar Gunaah us par likha jayega aur Amal karney walo ka Gunaah kuch kam na hoga. [sahih Muslim, 6800] [Jamia Tirmidhi, Vol 2, Baab ul Uloom, Haidth 570] agar agar tumhare nazdik milad ke din koi achcha kaam yani naat parhna, huzoor ki tarif khub karna, ya sajawat karna, logo ko khana khilana, mehfile milad aur mehfile shane rasool ye sab kaam karna biddat hai tou bhi kaam tou achcha hi hai.. isme koi burai nahi.
Shaitan bola: magar phir bhi biddat hai, subut do hadees se.
Musalman Bola: Biddat tou tab ho jab koi amal nabi se ya ALLAH ki janib se sabit na ho, magar milad ke din har amal sabit hai!!
Shaitan bola: nahi bhai tum log jande lagate ho ye tou sabit nahi??
Musalman bola: Hazrate Aamena Radiyallahu anha farmati hai ki maine dekha ki teen jhande nasab kiye gaye ek mashrik me, dusra maghrib me, teesra kaabe ki chhat par aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki wiladat ho gai. [Khasaesul Kubra, Jild 1, Page no. 82] ye jhande tou ALLAH ki janib se sabit huwe tou ye sunnate ilahi hai, use biddat nahi kehte.
Shaitan bola: chalo jhande lagana maan lete hai, par julus nikalna kaha se sabit hai??
Musalman bola: Sabse Pehla Juloos e Muhammadi صلى الله تعالى عليه واله وسلم Imam Muslim ki Riwayat ke Mutabik jab Sarkar صلى الله تعالى عليه واله وسلم Makka se Madina Hijarat karke Tashrif le gaye tou Ahle Madina ke Tamam Mard aur Aurat apni apni chhatto par charh gaye, Bachche aur khadim rasto par bikhar gaye aur woh sab ye nare laga rahe the, YA MUHAMMAD !! YA RASOOLALLAH !! YA MUHAMMAD !! YA RASOOLALLAH !!, (Aur is tarha Madine ki Galiyo aur kuncho me ek juloos ki shakal tayyar ho gai.) [sahih Muslim, Kitab ul Jehad, Hadith No. 2009] Nabi e Paak hamare liye hidayat ka hukam le kar aaye, aap ne jaha par galat dekha waha par mana farmaya aur sahi dekha waha par ya tarif ki ya tou kuch na farmaya. Agar ye juloos wali shakal galat hoti tou AAP usi waqt ahle madina ko mana farma dete ki ye galat hai, magar AAP ne aisa koi hukam na farmaya.
Shaitan bola: bhai par baad me kisi ne aisa juloos na nikala??
Musalman bola: jab huzoor ke samne jho amal huwa use mana na farmaya gaya! tou usay baad me chahe uske ek saal baad kare ye 100 saal baad woh biddat nahi hota.
Shaitan bola: Nabi e Paak ne kabhi iski khushi ko izhar kiya hai??
Musalman bola: jhande lagana sabit ho gaya, julus nikalna sabit ho gaya, ab huzoor ki khushi dekho Hazrate Abu Katada رضي الله عنه bayan farmate hai ki Bargahe Risalat me Arz ki gai, YA RASOOLALLAH صلى الله تعالى عليه واله وسلم aap Pir (somwar) ka roza kyun rakhte hai!! AAP ne farmaya us din Me Paida huwa aur usi din mujh par wahi ki gai. [sahih Muslim, 2/819, Hadith No. 1162] [imam Baihaki Lissunanul Kubra 4/286, Hadith No. 8182]
Shaitan bola: kya khulfa e rashidin ne bhi ye din manaya??
Musalman bola: jab hum koi kaam kare tou uska subut khufa e rashedin se mangte ho, aur khulfa e rashidin kare tou sahaba se mangte ho aur sahaba kare tou nabi se subut mangte ho. Abe Iblees laeen jo khushi ALLAH ne jhande laga kar aur mere Rasool ne karli ab tujhe khulfa se subut kyun chahiye? khulfa ka martaba bada ya ALLAH o NABI ka??
Shaitan bola: ek bhi subut dedo koi sahabi se jisne naate parhi ho us din?
Musalman bola: Jalil ul Qadr sahabi Hazrate Hassan bin sabit رضي الله عنه bargahe risalat me Qasida e Burdah sharif parh kar jashne wiladat manaya karte the, aur AAP ne kabhi unhe mana na farmaya. Sarkar صلى الله تعالى عليه واله وسلم Hazrate Hassaan ke liye Mimber rakha karte the, taki woh us par charh kar Sarkar ki tarif me fakhre ash’ar parhe, phir AAP Hazrate Hassaan ke liye is tarah dua karte, Aey ALLAH Ruhul Quddus (Jibrail) ke zariye Hassaan ki madad farma. [bukhari Sharif, Jild 4, Hadees No. 3897]
Shaitan bola: magar ye kaam pehle zyada nahi huwa karte the, ab kyun itne zyada ho rahe hai?? Musalman bola: isme bhi ek hikmat hai, jab nabi sallallahu alaihi wasallam ne sahaba se pucha ki batao ki tum me se sabse zyada pyare log muje kaun hai? tou sahaba ne arz ki beshak ya Rasoolallah hum hain? tab Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya meri ummat me mujhe sabse zyada pyare log woh honge jo baad me aayenge. jho apne maal aur ghar walo ke badle mera didar karna pasand karenge. [sahih Muslim : Vol 3 : Hadees 2648] aur huzoor ka charcha isliye ho raha hai zyada kyunki pehle musalmano ki ta'adad aaj ke mukable bahot kam thi, tou pehle jashan bhi kam tha, pehle Ram Pur me musalman na the tou jashan na tha, ab waha musalman hai tou jashan hoga hi!! aur dusri wajah quran ki ye aayat hai aur humne tumhare liye (Aey Mehboob) tumhare zikr ko buland kar diya وَ رَفَعْنَا لَکَ ذِکْرَکَ [sura e Sharah-94, Aayat No. 4 - Kanzool Iman] aur ek wajah! Aur hum ne tumhe na bheja magar rehmat sare jahan ke liye. [sura e Ambiya-21, Para No. 17, Aayat No. 107 – Kanzul Iman] Aur apne RAB ki ne'amat ka khub charcha karo. [surat ud Dua, Aayat No. 11 - Tarjuma: Kanzul Iman] so musalman ab zyada hai tou charcha bhi zyada hoga. Shaitan bola: magar phir bhi ye sab mere gale me nahi utar raha
Musalman bola: Jo bina Ishqe Rasool parhte hai bukhari Aata hai unhe Bukhari par aati nahi Bukhari aur waise bhi tumhari aur tuhmare chelo ke bare me hadees me hai ki HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ke paas ek Gustakh aya jiski Darhi Ghani, sar munda (takla), Tehband TAKHNO SE (kuch zayada he) UNCHA or AANKHO K DRMYAN SAJDAY K NISHAN the, AAP ne Farmaya ke, "sirzameen-e-Najd se Iski Nasal se aik Qaom niklegi k Tum Apni Namazon Or Rozon ko unki Namazon or Rozon k Aagy Haqir Jano ge, Quran Tumse Acha Parhenge Lekin unke Halaq se niche nahi Utrega, Deen se Aise Nikal Jaenge Jese Teer Kaman se nikal jata hai, ye log nikalte he rahenge yanha tak ki Inka akhri giroh Dajjal K sath nikle ga". (yani jab dazzal niklega tab uske saath ho jayenge] [bukhari Sharif, Jild 2, Page 624] [Tirmizi Musnad, Jild 4,Page 424] is hadees ke mutabik quran ya hadees ki daleele tumhare galay se nahi utregi.
Musalman bola: ab koi sawal hai??
Shaitan Chup!!
Musalman bola: ye bata tujhe Jashane wiladat se kyun itni chid hai?
Shaitan bola: meri ASAL HAQEEQAT TO BUKHARI MAIN HAI..!! Jab NABI Alaihissalaam Ki Duniya Mai Aamad Huwi To Shaitan Pe Aasman Se Aag K Gole Barsaye Gaye [bukhari sharif, Hadees No. 4921] SHAITAN KA IZHAR E AFSOS: Shaitan kehta hai ki me barso jannat me raha, Farishto ka sardar ban gaya, magar jab ye AADAM (nabi) paida huwa - mere liye badi musibat paida ho gai, yaha tak ki mujhe jannat se bhi nikal diya gaya!!! phir jab jab koi NABI paida hota woh gumraho ko sahi raah dikha kar jannat me le jata aur tab tak ki meri sari mehnat mitti me mil jati. **aur akhir me jab akhiri NABI MUHAMMAD paida huwa tab tou me itna roya jitna pelhe jannat se nikalne par roya tha,** aur usne meri tamam mehnat par pani pher diya. **[Hafidh Ibn-Kathir in Al-Bidayah wal Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166]** isiliye mujhe nabiyo ki paidaesh se aur un dino se bahot badi chid hai, isi din sach aur jhoot ka parda hat jata hai. isiliye me apne chelo se kehta hu aey mere chelo sara wabal is paidaesh ka hai, jab jab tum suno ki ye nabi ki paidaesh ka din aa raha hai, meri sunnat ke mutabik khub matam karo, khub rowo, aur logo ko is din jashn se roko, shirk na hote huwe bhi shirk kaho, Milad ki hadiso ko zaef kaho, bhale hi tum kitni biddat karte ho magar iss kaam ko badi aur buri biddat kaho, us din jitne log us nabi ka nara lagate hai mere kano me hathode bajte hain.
Musalman bola: iska matlab me tuje chahe kitni bhi daleel dun tu nahi sudhrega, kyunki tujhe daleel se wasta nahi par tu tou dushmani nikal raha hai!! tujhe daleel de kar khamakha mera waqt barbad huwa... La hawla wala kuwwata illa billa hil aliyyil azeem... Nara e Takbir ALLAH o akbar, nara e risalat ya Rasoolallah... phir kya huwa ye nara sun kar shaitan bhaga... isi liye milad ke dushmano ko bas laat maro. ye sudhrenge nai. (pls. parh ke khub share kare)
post-13595-0-33137800-1360693392.jpg

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...