Jump to content

Jawabal Jawab


Ashiqa Barelvi

تجویز کردہ جواب

Salaam,Gulam e ahmed ke qalame raza "ye qalam hai ke talwar hai" ki islahi kawish hai Gulam ye aap ke liye hai intihai khulus ke saath - ye qalam hai ke talwar hai. jo ugal raha angar hai. ye dua agar hathiyar hai. toh waseela us ki dhar hai. Ye Raza ka kari waar hai. Jo adoo ke dil ke paar hai. Nahi dam ke dam le le adoo. Tere samne lachar hai. Ye fatava razviyyah hai kya? Nahi dushmano ki haar hai. Ise likhte hue achanak hi zehen kahin aur hi chala gaya Ye dosra jawab hai un bhaiyon ke liye jo razakhani naam par aeteraz karte hain ,dil par mat lena. Tumhe shak 'abas hi yaar hai. Ye toh dushmano par vaar hai. Mujhe kya Raza se pyar hai? Ye sawal hi bekar hai. Mere bhaiyo kar lo yaqeen. Mujhe pyar hai harbar hai. Jo kahen Razakhani 'adoo. Unhe tum kaho iqrar hai. Ke Raza hawala hai mera. Nahi iska kuch aazar hai. Jo hain tanz karte najdiya. Woh toh janwar beemar hai. Mera dil bhi hai 'abd e Raza. Ye fuzul ki takrar hai. DIL PAR MAT LENA khush raho Dua go R.k was salam

Link to comment
Share on other sites

یہ قلم ہے کے تلوار ہے


جو اگل رہا نگار ہے


 


یہ دعا اگر ہتھیار ہے 


تو وسیلہ اسکی دھار ہے


 


یہ رضا کی کاری وار ہے


جو عدو کے دل کے پار ہے


 


نہیں دم کے دم لے لے عدو


تیرے سامنے لاچار ہے


 


یہ فتاویٰ رضویہ ہے کیا؟


نہیں دشمنوں کی ہار ہے


 


            .


            .


رضا حوالہ ہے میرا


نہیں اسکا کچھ آزار ہے


 


جو ہیں طنز کرتے نجدیہ


وہ تو جانور بیمار ہیں


 


میرا دل بھی ہے عبد رضا


یہ فضول کی تکرار ہے


Link to comment
Share on other sites

On 7/6/2013 at 1:46 PM, Ashiqa Barelvi said:

jo ugal raha angar hai.

 

Mera khiyal hay keh 'Angaray Ugalna' achay Ma'non main istemal Naheen hota .

 

Angaray ugalna ka matlab hay keh intihayi ghussay main doosray k khilaf kuch bhi kehtay jana..... So yeh misra change kr dain to ziada behtar ho ga...

Link to comment
Share on other sites

Salam, tavajjuh ka shrukriya! Usman bhai,sahih farmaya aapne maine gaur kiya. Pehle sher ke dusre misre mein "jo ugal raha angar hai " ke bajaye "jo adu ke dil par baar hai" kaisa rahega?baar ka matlab hota hai bojh aur Alahazrat ka kalame mubarak un par bojh hi hai! Ya phir dusra khayal dekhen "jo qatal adu har bar hai" ye misr e avval se zyada mail khata hai aaj bhi adu Alahazrat ke qalam se qatl ho raha hai aur har roz har baar jab kalam e mubarak padha jata hai to iski rooh tadapti hai. Mustafaye bhai, mere roman ko urdu mein karne ka shukriya magar aap ise 5 ashar tak rehne den kyonki baqi ke ashar maine khud ko clear karne ke likhe the na ke Sayyidi Alahazrat ke liye mujhe yahan MUKHLIS rehne den mera khayal kahin aur chala gaya tha upar ke 5 ashar hi Alahazrat se mansoob the! WaRahmatullahi Ta'ala Alaih Was salam

Link to comment
Share on other sites

Salam,Nabi e kareem peace be upoun him ne farmaya hazrat Hassan may Allah be pleased with him se "ke mushrikeen ki hiju karo Jibrael tumhare saath hain aur aap ye bhi farmate ke "tum meri taraf se jawab do. Ilahi tu rooh ul quds hai Hassan ki taied farma." Is hadees sharef aur Alahzrat Allah's mercy upoun him ki pairvi mein "DUSHMANE ahmad pe shiddat kijiye Mulhidon ki kya murawwat kijiye .."mein maine kuch likha hai.....1Alahzrat ne sikhaya hai muhabbat karna 2 Dushman e ishq e Muhammad se a'dawat karna 3 Apne maan baap se, aulad, har ik rishte se 4 Sab se badh kar apne Aaqa se hi ulfat karna. Peace Be Upoun Him and Allah's Mercy Upoun Him BAQI KALAM AINDA...

Link to comment
Share on other sites

Salam, chunki mere paas computer nahi hai isiliye mujhe betarteeb andaz mein roman likhna padta hai,iske liye muaf karen ashar ko numbers se alag karne ki koshish ki hai... ye be had dard se likha tha... 1a ishq hai ishq ise shirk ka ilzaam na do 1b ham hain aashiq hame mushrik ka bura naam na do 2a zalimon sharm karo un ka hai meelad ise 2b tum janamdin na kaho naam e kishan shaam na do 3a mustafa jaan hain is deen ki gar woh hi nahi 3b deen e khudsakhta ka naam bhi islam na do 4a woh Muhammad, woh hain Ahmed,ya'ni ta'reef hua 4b unko tauheed ki tum aad mein dushnaam na do 5a jisne Rehman ka,eeman ka irfaan diya 5b kya ye zaiba hai ke tum us ko hi ikraam na do???.....peace be upoun him.

Link to comment
Share on other sites

Salam, 1a-maane na Mustafa ko jo munkir khuda ka hai 1b-Allah hai tera tu agar Mustafa ka hai 2a Allah aur uske habibon ko hai pata 2b-tu jaane kya maqaam Rasool e khuda ka hai 3a-Allah ke hain noor na maane to jaa na maan 3b-nuqsaan ismein kuch bhi na shams uz zuha ka hai 4a-mera saga tabhi hai agar Mustafa ka hai 4b-jo Mustafa ka na ho bhala "Ashiqa" ka hai?? 5a-apne nabi ka jo na hua kya kisi ka ho 5b najdi na apni maan ka ,na beta pita ka hai 6a-mere Raza pe jhoot jo baandhe hai najdiya 6b hairat hai kya?? ye banda hi jhoote khuda ka hai! 7a-hanso ki chaal chal ke bhula baithe apni chaal 7b kawwe ka hai pulao asar ye giza ka hai! 8a-halwe mein sheer o shakr hai, meva hai, daam hai 8b-kawwa hai muft sauda yeh sasta balaa ka hai! ...lol azzawajalla wa peace be upoun him.

Link to comment
Share on other sites

السّلام و علیکم

سب سے پہلے تو اِس بات کے لیئے بیٹی کا بہت ہی مشکور ہوں کہ میری اصلاح کی گئی۔ اگر میرے ٹاپک کا لنک بھی دے دیا جاتا تو مجھے اُسے دوبارہ دیکھنے میں آسانی ہوجاتی۔ خیر،  بھائی کا بھی بے حد مشکور ہوں کہ اُنہوں نے ہماری بیٹی کے اِس ٹاپک کی جانب توجہ دلائی۔

مجھے مرتے دم تک اپنے ہر معاملے میں اصلاح کی ضرورت رہے گی کہ میں پرفیکٹ نہیں ہوں نہ ہوسکتا ہوں۔ آپ سب لوگوں کا جو یہ کام کرتے ہیں، بے حد مشکور ہوں اور دعاگو ہوں کہ اللہ عزّوجل اپنے پیارے حبیب پاک صلّی اللہ علیہ وسلّم کے صدقے آپ سب کے علم، عمر، مال اور خوشیوں میں بے حد برکتیں عطا فرمائے۔ آمین

جزاک اللہ خیراً کثیر

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

Salam,

kya aapne mujhe "beti" kaha ya mere chashme ka no# phir se badhne wala hai? Aapki umr? Khair, bhai, maine ilm e urooz self study se seekha hai ye thoda mushkil hai magar namumkin nahi ye woh ilm hai jo Gause paak ,Alahazrat aur digar auliya aur ulama ne seekha (Allah's mercy on them) aapka lehja bohot teekha hai (meri tarah) jo dushmanon ko jalane aur inki hiju karne ke liye kafi hai agar aap kisi tarah urooz seekh len to maze daar kalam padhne ko milega aapke pehle misre ne hi mujhe chheda aur pura ka pura kalam tarteeb pa gaya, net par urdu prosody ke naam par kitaben ba asani mil jayengi was salam!

Link to comment
Share on other sites

On 7/11/2013 at 2:39 PM, Ghulam.e.Ahmed said:

السّلام و علیکم

سب سے پہلے تو اِس بات کے لیئے بیٹی کا بہت ہی مشکور ہوں کہ میری اصلاح کی گئی۔ اگر میرے ٹاپک کا لنک بھی دے دیا جاتا تو مجھے اُسے دوبارہ دیکھنے میں آسانی ہوجاتی۔ خیر،  بھائی کا بھی بے حد مشکور ہوں کہ اُنہوں نے ہماری بیٹی کے اِس ٹاپک کی جانب توجہ دلائی۔

مجھے مرتے دم تک اپنے ہر معاملے میں اصلاح کی ضرورت رہے گی کہ میں پرفیکٹ نہیں ہوں نہ ہوسکتا ہوں۔ آپ سب لوگوں کا جو یہ کام کرتے ہیں، بے حد مشکور ہوں اور دعاگو ہوں کہ اللہ عزّوجل اپنے پیارے حبیب پاک صلّی اللہ علیہ وسلّم کے صدقے آپ سب کے علم، عمر، مال اور خوشیوں میں بے حد برکتیں عطا فرمائے۔ آمین

جزاک اللہ خیراً کثیر

 

 

 

وعلیکم السلام 

 

 . غالباً عاشقا بریلوی صاحبہ نے غلام احمد اپنے لئے استعمال کیا تھا اور غلام احمد سے انکی مرد آپ نہیں تھے

Link to comment
Share on other sites

On 7/11/2013 at 2:39 PM, Ghulam.e.Ahmed said:

ا اگر میرے ٹاپک کا لنک بھی دے دیا جاتا تو مجھے اُسے دوبارہ دیکھنے میں آسانی ہوجاتی۔

 

 

 

 

 

 

http://www.islamimehfil.com/topic/16260-qalam-e-raza-ki-nazar-aik-shair/

 

 

 

On 7/12/2013 at 3:20 AM, Mustafaye said:

 

 

 . غالباً عاشقا بریلوی صاحبہ نے غلام احمد اپنے لئے استعمال کیا تھا اور غلام احمد سے انکی مرد آپ نہیں تھے

 

 

 

Naheen , Un ki murad Ghulam-e-Ahmad bhai hi thay .. Aor is topic k baray main bat ho rhi hay :

 

http://www.islamimehfil.com/topic/16260-qalam-e-raza-ki-nazar-aik-shair/

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...