Ashiqa Barelvi Posted July 9, 2013 Report Share Posted July 9, 2013 Phir se jo de diya hai ramzan ka maheena Ya Rab i'badaton ka bhi de de phir qareena Sehri ka sehr chhaye, aftar aur 'ashre rehmat ka ,magfirat ka, jannat ka tay ho zeena Har roz rakhkhun roze,qur'aa ki hotilawat Tarveeh aur tahajjud , aabad ho shabeena Geebat,fareb,chugli,buhtan,jhoot,keena In sab galazato se tu saaf karde seena Shaitaan qaid meinhai phirbhi hai khaufmujhko Azaad mera ab tak jo nafs hai kameena Aandhi mein nafs e bad ki beh jaon main kaheen na Aye Gaus! khair se ho ab paar ye safeena Wallah maah e ramzaa ka tab hi hai maza jab Aaqa pe hi ho marna ,un ke liye hi jeena Shiddat se aashiqon ki hai aarzoo dereena Ramzan ka maheena guzre kabhi madeena Aye kaash"Ashiqa" ke a'amaal hon munnawar Aa jaye aasmaan par jab eid ka nageena AZZAWA JALLA,PEACE BE UPOUN HIM,MAY ALLAH BE PLEASED WITH HIM (MAINE UROOZI GALTIYAN DEKH LI HAIN AAP I'LMI GALTIYON KI ISLAH KAREN - "RAMZAAN MUBARAK"! Note :- yahan "taraveeh" ki jagah maine uska wahid "tarveeh" bandha hai take she'r mauzoon rahe) Was salam" Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Eccedentesiast Posted July 9, 2013 Report Share Posted July 9, 2013 yahan "taraveeh" ki jagah maine uska wahid "tarveeh" bandha hai take she'r mauzoon rahe) Was salam" Aap k is Jumlay say mujhay pta chala keh yeh nasar naheen shayiri hay.... Aap nay isay paragraph ki shakal main likha hay , kia istrah pta chalta hay keh kitnay msiray hain, konsa misra kahan say shuroo aor kahan par khatam hota hay? Lihaza meri suggestion hay keh shayi'ri ko shay'ri k andaz main likhain. takeh parhnay main aasani ho... misal k tor par : 'Phir se jo de diya hai ramzan ka maheena Ya Rab i'badaton ka bhi de de phir qareena; kia yeh pta chal rha hay keh yeh nasar hay keh nazm?? Is ko agar is trah likhain to pta chalta hay keh yeh Sh'er hay , 2 misray hain , doosra misa YA RAB say shuroo hota hay. Phir se jo de diya hai ramzan ka maheena Ya Rab i'badaton ka bhi de de phir qareena ......... So i think keh nasar ko nsar ki trah aor nazm ko nazm ki trah likhain to ziada behtar hay.. Shukria Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ashiqa Barelvi Posted July 9, 2013 Author Report Share Posted July 9, 2013 SALAM Bhai, Mere paas p.c nahi hai main mobile se raabta karti hun isi liye ye badnazmi hai agar aap ise urdu rasmulkhat mein likh kar dobara post kar saken to badi meherbani hogi main urdu zuban se bohot muhabbat karti hun magar mere mobile mein urdu font nahi hai hindi aur digar hindustani zubanen hai (ye bhi ek ta'assub hai) was salam! 1 Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ashiqa Barelvi Posted November 7, 2013 Author Report Share Posted November 7, 2013 Phir se jo de diya hai ramzan ka maheena Ya Rab i'badaton ka bhi de de phir qareena Sehri ka sehr chhaye, aftar aur 'ashre rehmat ka ,magfirat ka, jannat ka tay ho zeena Har roz rakhkhun roze,qur'aa ki hotilawat Tarveeh aur tahajjud , aabad ho shabeena Geebat,fareb,chugli,buhtan,jhoot,keena In sab galazato se tu saaf karde seena Shaitaan qaid meinhai phirbhi hai khaufmujhko Azaad mera ab tak jo nafs hai kameena Aandhi mein nafs e bad ki beh jaon main kaheen na Aye Gaus! khair se ho ab paar ye safeena Wallah maah e ramzaa ka tab hi hai maza jab Aaqa pe hi ho marna ,un ke liye hi jeena Shiddat se aashiqon ki hai aarzoo dereena Ramzan ka maheena guzre kabhi madeena Aye kaash"Ashiqa" ke a'amaal hon munnawar Aa jaye aasmaan par jab eid ka nageena AZZAWA JALLA,PEACE BE UPOUN HIM,MAY ALLAH BE PLEASED WITH HIM (MAINE UROOZI GALTIYAN DEKH LI HAIN AAP I'LMI GALTIYON KI ISLAH KAREN - "RAMZAAN MUBARAK"! Note :- yahan "taraveeh" ki jagah maine uska wahid "tarveeh" bandha hai take she'r mauzoon rahe) Was salam" !کیا کھچڑی پکائی ہے میں نے ایڈمنز ، مغل بھائی اسے ڈیلیٹ کر دیں ........اردو میں نے سرے سے لکھ رہی ہوں Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ashiqa Barelvi Posted November 7, 2013 Author Report Share Posted November 7, 2013 (edited) پھر سے جو دے دیا ہے رمضان کا مہینہ یا رب عبادتوں کا بھی دے دے پھر قرینہ سحری کا سحر چھاے ،افطار اور عشرے رحمت کا،مغفرت کا ،جنّت کا طے ہو زینہ ہر روز رکھوں روزے ، قراں کی ہو تلاوت ترویح اور تہجّد ، آباد ہو شبینہ غیبت ، فریب ، چغلی ، بہتان ، جھوٹ ، کینہ ان سب غلاظتوں سے تو صاف کر دے سینہ شیطان قید میں ہے پھر بھی ہے خوف مجھ کو آذاد میرا اب تک جو نفس ہے کمینہ آندھی میں نفس بد کی بہ جاؤں میں کہیں نا یا غوث خیر سے ہو اب پار یہ سفینہ آمین رحمت اللہ علیہ Edited November 7, 2013 by Ashiqa Barelvi 1 Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.