Ashiqa Barelvi 41 Posted July 24, 2013 Report Share Posted July 24, 2013 Salam, kya khudkushi har haal mein haraam hai? 1-Agar koi muhlik amraaz ka ilaaj na karwaye to yeh bhi khudkushi hai? 2-Apni ismat bachane ke liye khudkushi ki ja sakti hai? 3-Agar kisi ka shauhar ma'az allahi azzawajal murtid ho jaye ya bad mazhab ho jaye aur aurat ko talaaq na de to aurat zina se bachne ke liye khudkushi kar sakti hai? Was salaam. Quote Link to post Share on other sites
MuhammedAli 155 Posted July 24, 2013 Report Share Posted July 24, 2013 Salam, kya khudkushi har haal mein haraam hai? 1-Agar koi muhlik amraaz ka ilaaj na karwaye to yeh bhi khudkushi hai? 2-Apni ismat bachane ke liye khudkushi ki ja sakti hai? 3-Agar kisi ka shauhar ma'az allahi azzawajal murtid ho jaye ya bad mazhab ho jaye aur aurat ko talaaq na de to aurat zina se bachne ke liye khudkushi kar sakti hai? Was salaam. Khudkhasi bila waja apni jaan ko, niyatan, iradatan, koshishan, apnay hathon say, kuch kha lena, ya unchi building say chalang lagana, ya chalti gari kay agay khara hona, yeh khud khasi heh. Khudkashi har halat meh haram heh. Apni amraaz ka ilaaj nah kerwana khudkashi nahin. Agar niyaat ho kay Allah (subhanahu wa ta'ala) sehat yaab keray ga, aur maut ho jahay toh shaheed kee maut heh. Apni ismat kay bachanay kay leyeh be khudkashi jaiz nahin. Agar khawand murtad ho jahay toh musalman aurat ka nikkah mansookh ho jata heh, talaq denay aur nah lenay kee zeroorat heh. Aurat ko iddat guzarni peray gee. Is kay ilawa aurat per joh be Nikkah meh sharahit rakhi gahi theen un per poora utarna zeroori nahin. Misaal kay tor per nikkah meh shart thee kay agar aurat talaq leh toh ussay mard ka deeya huwa haq mahir aur sona wapis kerna peray ga. Is shart per aurat ko amal kee zeroorat nahin keun kay aurat nay awal talaq nahin leeh mard murtad huwa. Kafir mard aur musalman aurat meh nikkah nahin ho sakta. Chaheh court meh forms fill keeyeh hoon, ya United Nations nay nikkah jaiz kerwaya ho. Quote Link to post Share on other sites
Tanveer Afridi 22 Posted July 24, 2013 Report Share Posted July 24, 2013 (edited) Musalman ko apnay Rab e kareem azzwajal kay fazal o karam say mayoos nahe hona chahay hargiz kisi haal mai har haal mai Allah azzwajal ki rahmat say ummid rakhni chahay aur us ki madad par bharosa chahay kaisi bimari kaisi takleef kaisi uftaad aan pari ho Allah azzwajal kay ata karda asbab ko ikhtiyar karna chahay jaisay elaaj mualja aur apnay ap ko jaan boojh kar halakat mai nahe dalna chahay. Allah azzwajal ham sab ko tamam buraio, bimario , museebato , hadisaat say har burai say mahfooz rakkhay aamin Edited July 24, 2013 by Tanveer Afridi Quote Link to post Share on other sites
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.