Jump to content

Shia Kafir Nahi. Hamza Ali Qadri


Smart Ali

تجویز کردہ جواب

salam

 

Hazrat shia bohat shor macha rahey hien kay Sunni alim Hamza Ali Qadri nay Shia ko kafir nhi kaha.

is baray may jawab anayat ferma dien

Video ka link neechay mojood hay.

 

https://www.facebook.com/photo.php?v=184538191721724

 

Rehnumai fermadien

 

(ja)

 

Baee har Shia kafir nahin heh. Rafzi Shia kafir. Shia aur Rafziyoon meh farq heh. Magar yeh hazrat joh be hen in ko wazahat kerni chahyeh thee achi tera. Ek Aalim kee responsibility heh kay woh apni envoriment say waqif aur envoriment kay mutabiq jawab deh. Misaal kay tor per, ek banda thah us kay bakri bemari thee us nay apnay parosi say poocha; array baee jab tumari bakri bemar huwi toh kia dawa istimal kee thee. Parosi nay jawab deeya; matti ka telh, parosi gaya aur us nay be apni bakri ko matti ka telh pilaya. Phir us nay apnay parosi say kaha array baee meri bakri toh matti ka telh pee ker mar gahi heh,  parsohi nay jawab deeya mar toh meri be gahi thee. Matlab yeh kay sawal ka jawab sirf itni detail meh nahin dena chahyeh jis say nuqsaan ho. Ikhlaaqi farz banta heh kay tafseel say jawab deeya jahay esay nazuk masail meh takay joh beguna hen woh bach saken aur joh mujrim hen woh pechanay ja saken.

 

Ek Tv program dekha jis meh Shia aalim say ek presenter sawal ker raha heh, kia aap Hazrat Abu Bakr ko kafir kehtay hen. Shia nay jawab deeya joh kissi Sahabi ko kaffir janay woh bila shak o shuba kafir heh. Nateeja kia nikla, Shia toh Hazrat Abu Bakr ko Sahabi manta hee nahin balkay woh toh munafiq aur kafir honay kay qail hen aur Sunni Hazrat Abu Bakr ko Sahabi mantay hen. Abh Shia kay jawab ko sun ker joh jis ka apna aqeedah heh kay Hazrat Abu Bakr Sahabi hen woh Shia kay jawab ka mafoom leh ga kay joh banda Hazrat Abu Bakr ko kafir kahay khud kafir heh. Aur haqiqat yeh heh kay us banday nay Hazrat Abu Bakr ko Shiyoon kay aqeedeh kay mutabiq  Sahabiat say kharij jana aur jaan booj ker esay ilfaaz istimal keeyeh jis say us ko Hazrat Abu Bakr ko musalman kehna nah peray aur dosra faida huwa kay directly kaffir nah kaha is say joh Shia kay baray meh mashoor heh kay woh Sahabah kee toheen kertay hen us ka be rad ho gaya. Aur Shia ko toh maloom hee hota heh kay un ka maulvi kia keh raha heh keun kay in kay saray maulvi isharatan Sahabah kee shaan meh gustakhi kertay hen apnay bayanaat meh. Misaal kay tor per yeh Shaytaan Aamir Liaqat, yeh Shia majlis meh gaya aur Hazrat Abu Bakr kay mutaliq yeh kaha: "... kahan gahay betiyan denay walay ..." aur context meh Hazrat Abu Bakr per tanz ker raha thah.

 

 

Link to comment
Share on other sites

ya hazrat  wo hien jin ko Quaid Ahle Sunnat Shah Tarub ul haq Qadri sahib nay apni Jaga Quaid Namzud kiya hay.

 

Shia or rafzi may kiya ferk hay?

 

kiya amir liaquat sunni brailveeh nahi hay??? is kay mutaliq ulmah ahle sunnat kiya kehtay hien?

Syed Turab Ul Haq al Qadri Allah tallah un per keroon rehmateh behjay jayyid Aalim e deen hen. Unoon nay kabi bee apnay bayanat meh esa tareeka nahin apnaya joh in hazrat nay apnaya heh. Khadam, Syed Turab ul Haq qadri sahib ko, Maulana Saeed Assad, Maulana Ashraf Sehalvi (rahimullah), Allama Abdul Ghafoor Hazarvi (rahimullah), Allama Syed Saeed Ahmad Qazmi (rahimullah), Maulana Kokab Noorani, Maulana Shah Ahmad Noorani (rahimullah),  Maulana Madni Miyan, Maulana Hashmi Mian, aur Sayyidi Ala Hazrat alayhi rehma aur joh un say munsalik Ulamah hen unoon nay tareekay aur saleekay say jin masail me kuffr heh samjaya heh baghair comprimise kay. Aur esa hee hona chahyeh.

 

Aamir Liaqat kafi arsa pehlay yeh Shiyoon kee mehfil meh gaya thah us meh biyan kay doran is say Sahabah kee shan meh gustakhi kee thee. Phir aap ko is kay kirdar kay baray meh maloom hoga. Yeh Televanglist type banda heh. jis nay pesay deeyeh hoon us ko kush kernay kay leyeh bilqul wohi kuch kahay ga.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

HAzrat ya jo Shah Tarab ul huq qadri nay jin ko qaim makam ameer banaya hay. in say wazahat talub honi chahiya kay aisa bayan kiun diya hay? ya jo hazrat hien in ka naam HAmza ali Qadri hay, in kay bayan say bohat maslay ho gayee hien. jaisay hum logoon nay tariq jamil kay views shiaoon kay baray may thay, tanqeed ka nishana banaya ab hum tanqeed ka nishana bun rahey hien.

barai madinah is ka bhi jawab inayat ferma dien kay ager koi bud mazhab in allama ki video dhika ker jawab talub karey to hamay kiya jawab dayna chahiya???

Link to comment
Share on other sites

HAzrat ya jo Shah Tarab ul huq qadri nay jin ko qaim makam ameer banaya hay. in say wazahat talub honi chahiya kay aisa bayan kiun diya hay? ya jo hazrat hien in ka naam HAmza ali Qadri hay, in kay bayan say bohat maslay ho gayee hien. jaisay hum logoon nay tariq jamil kay views shiaoon kay baray may thay, tanqeed ka nishana banaya ab hum tanqeed ka nishana bun rahey hien.

barai madinah is ka bhi jawab inayat ferma dien kay ager koi bud mazhab in allama ki video dhika ker jawab talub karey to hamay kiya jawab dayna chahiya???

Pehli baat toh yeh heh kay Deobandiat kay uqabir Ulamah kay aqahid o nazriat per tanqeed kerni chahyeh. Dosri baat deobandiat meh joh majority opinion heh ussee ko jammat ka opinion lena chahyeh aur agar kohi is kay khialf jata heh toh ussay fringe eliment samja jahay. Aur fringe eliment ko jammat say mansoob kerna ya fringe eliment kay nazriyeh ko puri deobandiat ka nazria bana ker pesh kerna kabi darust nahin. Aur jab kohi Sunni esa kerta heh kay fringe kay aqahid ko mainstream firqa kay nazriat batata heh ya anjanay meh esa tassur deta heh kay yeh mainstream firqa kay aqahid hen toh joh logh mainstream firqa say talluq rakhtay hen woh aap kay mowaqif kee teen lines perh ker sunni ko LIAR declare ker denh gay. Un meh mashoor kia heh, Barelwi bila waja jhoot boltay hen, jhootay ilzam lagatay hen hamaray ulamah per aur jab kohi Sunni fringe kay aqeedeh ko mainstream ka aqeedah batata heh ya essay andaaz meh likhta heh jis say fringe ka aqeedah mainstream ka aqeeda maloom ho toh pernay wala mainstream firqa deobandiat say talluq rakhnay wala aap ko jhoota karar deh ga aur joh us nay suna heh barelwi jhoot gar gar ker deobandiat kay khilaf likhtay hen woh us kay leyeh sabat ho jahay ga. Asoolan yeh hona chahyeh kay fringe eliment ko mainstream say mansoob nahin kerna chahyeh aur fringe eliment kee bunyad per mainstream per chot nahin kerni chahyeh. Balkay criticism ka nishana woh banda hona chahyeh jis nay essi wesi baat kee aur us kay hawariyoon. Aur us say bee behtr yeh kay saath likh deeya jahay kay likhnay walay ko ilm heh kay yeh Deobandi jammat ka nazria nahin magar is per khamoshi jurm heh, ya kuch be case banaya gaya ho magar ilaan zeroori heh taqay joh mainstream opinion walay hen kam say kam aap kee ek point ko toh sarahen gay. Thora husn e zann peda hoga, aur yeh samaj leh thora sa husn e zan peda hona esa heh jesay pathar par pani ka qatra. Agar qatray girtay rahen toh pathar toot jata heh issee tera agar husn e zann barta rahay toh banda maslak qabool ker leta heh. Khadam kay saath kuch esa hee huwa. Mujjay bataya gaya thah Barelwi RasoolAllah ko bashr nahin mantay, meh nay kaha meh barelwi thah toh manta thah, jawab mila kay woh is waja say kay tum per Ahle Sunnat ka asr thah warna asli nahin mantay. meh nay maan leeya is ko. Is'see tera har maslay meh taqriban jhoot bola gaya. Magar jab Sayyidi Ala Hazrat kay maslak pera to asal maloom huwi. Aista aista husn e zan barta gaya; yar yeh ahmad khan brelwi wohi toh heh jis ko quran ka tarjuma be sahih kerna naseeb nahin huwa aur yeh kehta heh maklooq ko sajda jaiz nahin. kehta he RasoolAllah (salalahu alayhi was'sallam) bashr hen, waghera ... is nay toh itni kitabeh likhi hen, fatawa razaviya is ka heh meh samajta thah is nay kabi kohi hadith nahin peri hogi yeh kia.  Is per Deobandi mauvliyoon kay jhoot, Quran meh ilm e ghayb ka kohi saboot nahin, hadhir nadhir kee kohi daleel nahin, Noor honay kee kohi daleel nahin, tehqeeq kee toh is kay khilaaf paya aur husn e zan barta gaya aur aakhir meh jab gustakhana ibaraat ka pata chala meh nay Deobandiat ko khair baad kaha. Magar bunyaad choti choti batoon say husn e zan peda honay say huwi. Allama iqbal kehtay hen joh baat shikwa meh joh baat dil say nikalti heh taqat e parwaz rakhti heh, aur wohi likhi janay kay qabil heh joh dil say ho.

 

Mowaqif yahi hona chayeh kay joh kaha ghalat kaha.

Link to comment
Share on other sites

  • 11 months later...

HAzrat ya jo Shah Tarab ul huq qadri nay jin ko qaim makam ameer banaya hay. in say wazahat talub honi chahiya kay aisa bayan kiun diya hay? ya jo hazrat hien in ka naam HAmza ali Qadri hay, in kay bayan say bohat maslay ho gayee hien. jaisay hum logoon nay tariq jamil kay views shiaoon kay baray may thay, tanqeed ka nishana banaya ab hum tanqeed ka nishana bun rahey hien.

barai madinah is ka bhi jawab inayat ferma dien kay ager koi bud mazhab in allama ki video dhika ker jawab talub karey to hamay kiya jawab dayna chahiya???

Ap kay pass Shah Turab ul Qadri sahab ke koe tehreer ya taqreer hai jis mai unhu nai Hamza Ali Qadri ko qaim mukam banaya hai.

 

Kya Mureed ke bad aqeedgi/gumrah kun baat ke jawab dehi Peer ka zimi hoti hai???

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...