Jump to content

Ilm E Gaib Pr Itraz


Hanfi-Barelvi

تجویز کردہ جواب

hazor (saw) pr kuch din tk wahi na aye galban chalees din thay. ap (saw) bohat preshan thay k khien allah naraz na ho gye hon. ap (saw) ko kafi dino bad wahi aye lekin ghar say bahir or sirf itni k ap ki charpaye k nechay yani app k ghar kuttay ka bacha hay or chon k jhan kutta ho whan frishtay nhy atay lehaza jibrael nhy a rhay. ap (saw) nay us ko foran nikalwaya to wahi ka silsala shuru hua. ab mjhay btaen agar ap ko malom hota to k wahi keon nhy a rhi to ap kuttay ko na nikal ditay??

 

Jawab Jald az jalld dy dein..

Edited by Mughal...
janab DArood pak pura likha karen
Link to comment
Share on other sites

Bohat khoob toheedi bhai  .....

Toheedi Bhai    wo hadees b bta dien jis ka mafhoom yeh ha .

 

  Jb bacha maa k pait mein hota ha ,Tu Allah 2 Farishtay maqarar kr deta ha aur farishtay hr waqt Allah ko un ki halat sy agha krtay rehtain hain.

JazakAllah Toheedi Bhai meri discussion chal rae ha , ap ki madad sy aur Ja ALhaq ki madad sy mein Bohat asani hoe ha Ahlehadith k sawalat k jawabat denay mein..

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

Mudalil Jawab chaiye .//...Toheedi bhai , saeedi

 

لیکن جب نبی الصلوۃ ولسلام کو 70 صحابہ کی شہادت کا علم ہوا تھا تب آپ ﷺ غمغین ہو گے تھے نہ تب غمغین ہوئے جب ان 70 صحابہ کو علم حا صل کرنے کے لیے بیجھا۔۔ ثابت ہو ا نبی ﷺ کو کوئی ایسا وصف حا صل نہیں ہوتا کہ وہ کسی کا ادراک پہلے سے ہی کر لیں ۔

Link to comment
Share on other sites

Mudalil Jawab chaiye .//...Toheedi bhai , saeedi

 

لیکن جب نبی الصلوۃ ولسلام کو 70 صحابہ کی شہادت کا علم ہوا تھا تب آپ ﷺ غمغین ہو گے تھے نہ تب غمغین ہوئے جب ان 70 صحابہ کو علم حا صل کرنے کے لیے بیجھا۔۔ ثابت ہو ا نبی ﷺ کو کوئی ایسا وصف حا صل نہیں ہوتا کہ وہ کسی کا ادراک پہلے سے ہی کر لیں ۔

 

 

awaal to 70 sahaba ikram ko ilm hasil karne nahin bheja tha balki quran ka ilm sikhane bheja tha....najadi sahaba ikram rizwanaullahetala ajmaeen ko yeh bahana bana kar le gaye thy ki humy kuch ashaab de dijye ki wo quran ka ilm hum logo ko sikhayein...huzur (saw) ko inki dhoke baziyon ka pata tha jis ka izhaar huzur (saw) ne in sahaba ko bhejty waqt hi kar diya tha....

 

 

70 sahaba shaeed.jpg

 

courtesy by Janab Saeedi Sahab

 

70 sahaba shaheed.GIF

from Jaa-al-Haq

 

70 Sahaba Shaheed & Ilm E ghyb.mp3

courtesy by Janab Syed Muzaffar Husain Shah Sahab

Link to comment
Share on other sites

Hazoor saww ko ilam ghaib utna hay jitnma ALLAH TAALA nay dia attaaee hay zaati naheen.ALLAH TAALA ka ilam zaati aur la mehdood hay.HAZOOR SAWW ka attaee aur mehdood hay. Aala hazrat farmaatay hain agar sumandar kay panai say aik qata paani ka lay kar us kay crore hissay karain aur karoor wain hissay ke nisbat bana kar bhee kahain kay HAZOOR saww ka ilam is hisay jitna aur ALLAH TAALA ka ilam sumandar kay total paani jitna to phir bhee ham nisbat kaim naheen kar saktay kion k ALLAH TAALA k ilam kee ko e had nahee.

 

bahut saree cheezoon main ALLAH TAALA ke hikmat hoti hay,bahut saari cheezain ummat ko sikhaanay kay liee a hotee hain .  Dunya say parda farmaanay kay baad bhee HAZOOR SAWW ko UMATEEOON kay baaray ilam ghaib hay.  doosri nashishat main bian karoon ga. INSHA ALLAH kisi kay pass jawab naheen ho ga. intizaar karain.

Link to comment
Share on other sites

Shahzad@

Janab aap ko masla samjanay kee khatar.

Janab mujjay bilqul ilm e ghayb qatti yaqeeni hasil heh kay aap ainda forum per kuch nahin likhen gay. Magar keun kay mujjay pata thah kay aap esa hona heh is leyeh meh nay yeh likh deeya kay aap zeroor is forum per jawab likhen gay. Yeh heh meray jesay banday kay ilm e ghayb jannay kee daleel, aap kay pass nafi ki kia daleel heh?

Link to comment
Share on other sites

jo ilam ghaib naheen maantay un ka istadlaal kia hay.1. wo  ilam e ghaib kay munkar hain  2. wo zati elam e ghaib  naheen maantay,mehdood maantay hain aur atta e. agar naheen maantay to is ka ko e hal kissi k pass maujood naheen. agar doosray point ko maantay hain to phir jhagra khatam.Ahle sunnat w jamat (brailvee maslak) ka bhee yahee aqeeda hay.  magar ya kehna kay falan waqat aisa kion naheen hua falan waqat aisa hu aa. har kaam main ALLAH  TAALA ke hikmat hoti hay.jis tarah is waqat qibla awwal par yahoodion ka qabza hay,to kia ALLAH TAALA qabza naheen churaa sakta. wo malik do jhan hay,aik lamhay main qabza khatam ho sakta hay. magar aisa naheen ho raha kion k hamaray aamaal kharab ho chukay hain. ham imtehaan main hain.

 

ab asal subject kee taraf aatay hain.

 

APP SAWW nay farmaya"nabi apni qabroon main zinda hain aur rizk dee ay jaatay hain.ALLAH TAALA nay zameen par haram kar dia hay k un kay jismoon ko kha ay"     mairaj main aap daikh chukay hain  kay tamaam anbyeea karam nay jismani halat main HAZOOR SAWW kay peechay baitul maqdass main namaz parhi.

 

APP SAWW nay farmaya "jis nay  mujhey khawb main daikha,us nay mujhey he daikha,kion k shaitaan mairee shakal naheen bana sakta.  aur jis nay mujhey daikha un qreeb mujhey baidari kee halat main bhee daikhay ga" o kama kaal.    ab jo daikh chuka hay us ko mubarak ho.  wo bara khushnaseeb hay. unqareeb us ko ziarat honay wali hay. ho sakta hjay hamarah zaraf itna naheen k baidari main ziarat ho sakay aur han bardhasat na kar sakain aur maut aanay say pehlay akhri lamha ziarat ho ja ay.

 

khanewal main 15 saal pehlay master fayyz kay sath aisa ho chuka hay 'Akhri lamhay wo bistar say uth kar baith gay aur kehnay lagay kay peechay hat ja o HAZOOR SAWW tashreef lay aa ay hain. aur dam day dia.  ya sub kuch un kay aziz o aqarab k saamnay hu aa.

 

buzarg yahee farmaatay hain k ham jaisoon gunahgaaroon ko ba waqtay intiqal hee ziarat ho ti hay,

 

ab faraz kartay hain in teen dinoon main is tarah khuch khush naseeb ko is tarah ziarat hu e.(daily logoon par karam ho raha hay)

 

uk   2 person,

pakistan 2

india    4

 

africa 3

 

japan 1

 

 

 

 

austrailia  2

 

indoneshia  1

 

ab in logoon ko lazmi ziarat honee hay hadees sharif k mutabik.  aur in ko maut naheen aa a gee jab tak baidari main ziarat na kar lain.

 

ab APP SAWW ko pata hay in logoon kee umar kitni hay,ya kahan rehtay hain,in ko kab ziarat karwani hay(ALLAH TAALA ke d hu e taqat say) 

 

aur agar in loogoon kee maut aik he time par likhee hay to in sub ko aik he waqat main ziarat ho gee. lakhoon meel kay faslay say 15 loog har city main reh rahay hain. un ko pehchantay hain. har aik ke marnay kee jagah ka patta hay. ziarat to hu e australia main magar us nay dafan hona hay ya us kee maut pakistan main likhee hay to us ka bhee AAP SAWW ko patta hay. aik kee maut 5.15 am  australia main aur doosray kee maut 5.16 par amrica main to APP WAWW aik minute baad amrica jalwa gar hoon gay. kissi kee maut hawaee jahaz main kissi kee ship main,kissi kee bister par,kissi kee acccident main,gharzay kay,aap ko sub ka patta hay.  agar maut say pehlay ziarat naheen,aur zindgee main he hay to us ka bhee APP SAWW ko pata hay kis ko kab ziarat karwaani hay.  agar zindgee main nahee,to ya to tay shuda hay k wo naheen maray ga jab tak wo ziarat na kar lay.

 

yahan log jhagar rahay hain kay falan cheez ka ilam naheen tha.deewaar kay peechay ka ilam nahee.

 

 

umeed hay ab har baat waazah ho ja gee.

 

main nay kaheen parah that k"jis sakhas ko HAZOOR SAWW kee khawb main ziarat ho chuki ho,us kee mayyat ko bhee zameen naheen khaati"

agar kissi kay pass aisi ko e hadees ho to quote kar dain , thank you,

 

agar ko aisa reader jo minhajul quraan say wabasta ho,wo ya mazmoon qadri sb ko send kar day taak wo apnay anndaaz main biaan kar dain. ya mazmoon main nay aaj tak kissi book main naheen parah jo main nay biaan kia hay.  ya to parah hay kay falan falan ko baidari main ziarat ho chuki hay, maslan jalaluddin sayooti ra.

 

thanks to all readers 

Link to comment
Share on other sites

sir,Muhammad Ali /baghdadi member sb,main to HAZOOR SAWW kay ilam e ghaib ka qail  hoon,negative naheen,

 

quraan sharif,aur ya rasool ilam e ghaib batanay main bakheel naheen

 

Allah Taala chun laoita hay apnay rasooloon maoin say ilam e ghaib k liee.

 

main to saada alfaaz main apni baat kehnay ka aadi hoon taak sub ko samjah aa ja a.

Link to comment
Share on other sites

deobandi/ghair mukalad,    hamara ahle sunnat w jammat ka aqeeda hay kay ALLAH TAALA ka ilam zaati aur la mehdood hay. HAZOOR SAWW ka ilam kitna hay us ka ko e paimana naheen,jo bhee ALLAH TAALA nay dia wo jaanta hay.magar mehdood hay. zaati naheen attaaee hay. ALLAH TAALA kay ilam say HAZOOR SAWW kay ilam ke ko e bhee nisbat naheen ho sakti k ALLAH TAALA ka itna hay aur HAZOOR SAWW ka itna.  magar un ko ilam e ghaib tha.

 

ab is roshnee main aap khud faisla kar lain kaun haq par hay.  aap ka kia aqeeda is waqat hay, us par ghaur karain.  ya  kia aqeeda hona chah eey ay apnay ulma say mundarja baala bian karda roshnee  k mutabiq sawal kar lain k ah lesunnat wa jamat ka ya aqeeda hay.wo aap ko guide karain aur apnay dil o dimagh ko saaf karain.

Link to comment
Share on other sites

sir,Muhammad Ali /baghdadi member sb,main to HAZOOR SAWW kay ilam e ghaib ka qail  hoon,negative naheen,

quraan sharif,aur ya rasool ilam e ghaib batanay main bakheel naheen

Allah Taala chun laoita hay apnay rasooloon maoin say ilam e ghaib k liee.

main to saada alfaaz main apni baat kehnay ka aadi hoon taak sub ko samjah aa ja a.

Janab agar aap kee aqal saleem huwi toh samajen gay kay kissi kay ghayb jannay kee daleel yeh heh kay waqiat ka hona. Agar nah hoon toh jannay kee daleel nahin. Misaal kay tor per jistera meh nay ilm e ghayb jannay ka dawa keeya aur saath likh deeya kay app[ nay jawab nahin dena thah magar keun kay meh ilm e ghayb janta thah is leyeh meh nay taqdir ko badal deeya. Ahle feham samaj jahen gay kay ghayb ka ilm honay kay leyeh un waqiat ka wajood meh ana zeroori heh agar woh waqiat jin ko meh jannay ka dawa keroon aur nah hoon toh phir meh jhoota hota hoon. Abh agar meh kissi waqia kay honay ka dawa keroon aur us kay bar khilaf ho aur meh kahoon kay keun kay meh ghayb janta thah is leyeh meh nay esa honay say rok deeya. Toh aqal mand banda hee kahay ga kay janab agar aap ko waqia hee ghayb ka pata thah toh phir aap woh peshan gohi kertay jis nay hona heh aur hogi toh aap ka ilm e ghayb sabat hoga.

 

Joh andaaz e ihtiraaz aap ka heh us say Mirza Ghulam Ahmad Qadiyani kafi faida uthata agar ussay maloom hota. Kehta kal esa hoga, maulvi ketay nahin huwa, woh kehta keun kay mujjay pata thah kay esa hoga aur mujjay yeh gawara nah huwa is leyeh meh nay taqdir ko badal deeya aur is leyeh nah huwa. Maqsad sirf yeh heh kay yeh kazzaboon ka tariqa heh kay kissi waqia kee peshan goi keray aur jab ho nah toh kahay mujjay pata thah is leyeh taqdir badal deeh. Agar hamaray Nabi e kareem sallallahu alayhi was'sallam esa kertay toh aap kia kehtay? Sachay Nabi thay ya un kee nabuwat aur ilm e ghayb ka dawa jhoota thah. Matlab yeh heh kay yeh Nabi e kareem sallallahu alayhi was'sallam kee shaan nahin kay jantay huway waqiat ko badlay. Misaal kay tor per kissi waqia kay jannay ka RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam ko ilm ho kay esa hoga, magar woh esa ho nah, aur Allah tallah us waqia ko badal ker kuch aur kar deh toh kia aap batahen RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam ka ilm sacha huwa ya jhoota? Allah subhanahu wa ta'ala har ghayb janta heh magar kia Allah kissi waqia kay honay ko an-hona kerta heh? Aap shahid kahen jee kerta heh toh janab tawajoh keren. Agar Allah ko ilm e Ghayb ho kay esay waqia ko hona heh aur bad meh Allah us waqia ko badal deh toh lazam ata heh kay Allah kay pehlay walay ilm meh nuqs thah. Keun kay agar haqiqi ilm e ghayb hota toh phir pehlay hee pata hota kay esa hona hee nahin.  Alhasil ilm honay kee daleel yeh heh kay waqiat hoon agar nah hoon toh phir ilm meh nuqs sabat hota heh. Aur joh philosophy Allah aur us kay Rasool kay ilm meh nuqs nikaal leh aur dar haqiqat un kee zaatoon meh nuqs sabat keray, Muhammed Ali Razavi us per lanat behijta heh aur joh essi philosophy ko istimal ker kay RasoolAllah kay ilm meh nuqs keray Muhammad Ali Razavi us per be lanat behijta heh. Aqal kay horses ko lagam denh warna musalman kee maut naseeb nahin hogi.

 

Woh baat keren jis kee wazia daleel Quran aur Hadith say millay, agar, magar aur qiyaas e shaytaani kay saath Quran o Hadith kay bunyadi aqahid kay khilaaf philosophiyan mat banahen. Agar qiyas kee bunyad per Ilm e Ghayb ka rad hota toh meh kab ka Allah kay ilm e ghayb ka rad ker chuka hota, joh cheeze dekhi suni jahay ghayb nahin, Allah har cheez dekhta sunta heh, is leyeh Allah ko ilm e ghayb nahin.Gaya nah mantaq o philosophy o qayas say Allah kay ilm ghayb ka aqeedah ya nahin? Kia aap mantaq aur philosophy ko Quran aur hadith per tarjeeh denh gay ya qiyas o philosophy ki yeh baqwasat? Jistera aap meri agar magar,qiyas aur philosophy ko qabool nahin keren gay aur Allah kay ilm e ghayb kee nafi nahin keren gay toh aap musalman say kesay tawaqoh ker saktay hen kay agar magar qiyas aur philosophy kee bunyad per ham bunyadi aqahid kee nafi ker denh. Mera advice yahi heh kay wohi baat keren joh Quran aur hadith meh likhi ho aur qiyasaat aur philosophy kee bunyad per nafi e aqahid e Qurania chor den. Warna aap shahid mujjay jantay nahin meh tehroon kay saath ziayada tehra ho jata hoon, yehni ghali bandoon ki hidayat kay wastay meh teen darjay aur ghaali ho jata hoon. Misaal kay tor per, agar Allah ko ilm e ghayb thah toh Allah ta'ala nay abhi pura Quran nazil nahin huwa thah toh farmaya zalikal kitabu la raiba fi is kitab meh kohi shak nahin, abh meri philosophy perh lenh, agar Allah ko ilm e ghayb hota toh phir pata hota kay abhi Quran pura nazil hee nahin huwa, aday Quran ko kitab farma deeya is say sabat huwa kay Allah ko ilm e ghayb nahn pata thah agar hota toh Allah kehta kay jitna nazil keeya heh us meh shak nahin.

 

Agar meh nay apni aqal ko Quran aur hadith ka paband nah keeya hota aur Allah aur Rasool ko mana nah hota toh phir aap bethay wazahateh kertay kay Allah ko kesay ilm e ghayb heh, kulli heh ya baaz heh, haal ka ilm hota heh ya nahin. Apnay aap ko Quran aur ahadith ka paband keren, joh wazia likha ho us ko kahen aur joh nah likha ho us ko qiyas say akhaz nah keren. Warna aap say baray baray aqal walay banday hen joh Allah kay ilm e ghayb meh nuqs nikalnay meh aur qiyas o philosophy kay saath radd kernay meh mint nah lagahen.

 

Meh be yahi ihtirazat keeya kerta thah ilm e ghayb e RasoolAllah sallalahu alayhi was'sallam per, agar ghayb thah toh .... agar ghayb hota toh ... agar ghayb jantay toh ... agar ghayb ka ilm hota toh esa ... meh be sara din yahi socha kerta thaH 'BARELWI MUSHRIKOON', 'QABAR PARASTOON'  kay rad kay leyeh. Magar Allah ka karam heh aaj sahib e imaan hoon. Esay maslay aap ko samjahay nahin ja saktay, aap ko khud suljanay hoon gay. Jab meh nay yeh philosophy, qiyas, agar magar ka logic samaj leeya kay yeh toh Islam ko be ghalt sabat ker sakta heh, Allahkay ilm e ghayb kee nafi ker sakta heh toh khadam nay yeh ahadith say qiyaas ker ker kay nuqtay nikalna, agar, magar kay saath philosophy bana ker ilm e ghayb e RasoolAllah ka rad kerna chor deeya.  Joh Qurania ilm e ghayb e illahi ko ghalt sabat ker sakta heh woh Quran kay kissi aur pehloo ko be ghalat bana sakta heh, maslan ilm e ghayb e rasoolallah sallallahu alayhi was'sallam. Is leyeh yeh methodology ghalat sabat huwi aur meh nay chor deeh, aap bee apnay upper ihsaan keren aur apni jaan per reham keren aur is qiyas wali agar magar, philosophy ko bhoola denh, aur wohi tarz apnahen joh Qurani o hadith wali ho, yehni dalahil e burhan say baat keren, agar magar aur qiyaas kee bunyad per rad kerna chor den.

Link to comment
Share on other sites

pata naheen aap kia kehna cahtay hain,aap ka aqeeda kia hay,aap ilam e ghaib (HAZOOR SAWW)ka mantay hain ya naheen, mujh say kion naraz ho rahay hain,kion mujhey dhamkeeaan day rahay hain,main nay aik baat kee hay,aap ko naheen pasand to dhamkiaan kis baat kee/agar barailvee hain to malfoozat e aala hazrat/ahkam e shariat parh lain. agar deobandi/ghair muqalad hain to jo main nay likha us ko parh lain.  dhamkee kis baat kee. last reply kar raha hoon.  maira khial tha is mehfil main log educated/baat aram say samjhnay walay/acha jawab dainay walay magar yahhan to aawa he aawa bigra hu aa hay.

 

aap nay jo kaha w khud aik falsafa hay.  me very dishearted due to member of like you,

 

main perhaps is mehfil ko attend karna he chor doon.aap ke waja say

Link to comment
Share on other sites

janab rizvi sb,agar aap brailee shareef akhtar raza khan sb k mureed hain to aap nay bhee aala hazrat ko parah hee naheen jo kuch main  ilam e ghaib kay baray likha wo aala hazarat ahmad raza khan sb ka he kaha huaa hay k ALLAH TAALA say HAZOOR SAWW kay ilam e ghaib ke ko e nisbat naheen ho sakti.  jo kuch likha tha us par kisi brailvee  alam say fatwa lay lain.  agar de o bandi hain to phir jo kuch aap nay likha hay sahee likha ho ga.       

 

 

janab ali rizvi sb

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Mudalil Jawab chaiye .//...Toheedi bhai , saeedi

 

لیکن جب نبی الصلوۃ ولسلام کو 70 صحابہ کی شہادت کا علم ہوا تھا تب آپ ﷺ غمغین ہو گے تھے نہ تب غمغین ہوئے جب ان 70 صحابہ کو علم حا صل کرنے کے لیے بیجھا۔۔ ثابت ہو ا نبی ﷺ کو کوئی ایسا وصف حا صل نہیں ہوتا کہ وہ کسی کا ادراک پہلے سے ہی کر لیں ۔

 

ILZAMI  Jawab ...................

 

 

ap keh rahay hain k gam hazor ko tab howa jb Sahaba ko shaheed kiya gya , yani k ap Salat o Salam ko agr ilm hota tu shahadat sy phelay b gam hona chaiye tha .....

Mein pochna chahta hn Hazoor Salat o Salam ko Hazrat Umer R.A , Hazrat Ali R.A Aur Hazrat Usman R.A ki sahadat ka b ilm tha jo k Ahadees e Kaseera sy sabit ha aur kiya is ilm k bad hazoor ka gam na krnay sy ilm ki nafi tu nae hogae...

 

aur ap ny sahadat sy phelay gam kiyu na kiya jb k Ap salat o salam ko pta tha k Hazrat Umar , Hazrat Ali , Hazrat Usman ko shaheed kiya jaye ga??????

 

yeh tu hm sb ko b pta ha k hm ny ak na ak din marna ha , tu hamara kush rahna la ilmi ki daleel ha ???......

 

aur yeh b pochna chahta hn k kiya shaheedon ka gam krna jaiz ha aur wo b sahadat sy phelay ..........???

 

agr ap 70 sahaba ki sahadat wali hadees sy ilm e gaib ki nafi kr saktay hain , tu mein b un tamman hadees sy ilm e gaib ka saboot paish ke sakta hn , jis mein hazoor ny qayamat tak k sb waqiat bataye ...

post-13191-0-59119500-1383504171_thumb.jpg

Edited by Hanfi-Barelvi
Link to comment
Share on other sites

janab rizvi sb,agar aap brailee shareef akhtar raza khan sb k mureed hain to aap nay bhee aala hazrat ko parah hee naheen jo kuch main  ilam e ghaib kay baray likha wo aala hazarat ahmad raza khan sb ka he kaha huaa hay k ALLAH TAALA say HAZOOR SAWW kay ilam e ghaib ke ko e nisbat naheen ho sakti.  jo kuch likha tha us par kisi brailvee  alam say fatwa lay lain.  agar de o bandi hain to phir jo kuch aap nay likha hay sahee likha ho ga.       

 

 

janab ali rizvi sb

Janab meh Sayyidi Taajush Sharia Mufti Akhtar Raza ka mureed hoon. Aur alhamdulillah Sayyidi Ala Hazrat kay maslak aur talimaat ko pera heh aur phir Sunni huwa hoon. Ala Hazrat nay joh likha kay Allah suhanahu wa ta'ala aur RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay ilm kay darmiyan kohi muqabila nisbad mawazna nahin woh is context meh likha heh kay Allah subhanahu wa ta'ala kay ilm kee quantity aur RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay ilm e ghayb kee quantity meh kohi mawazna muqabila nahin. RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay ilm e ghayb kee quantity ba muqabila e illahi, la muntahi sumundar ka ek qatra bataya. Is meh quantity waghera meh kohi nisbat o ilaqa nahin. Joh meh nay aap ko ooper tanbeeh kee heh us ko peren aur ghor keren. Aur agar aap ko khatra lahak ho gaya heh kay aap ka imaan yahan rehnay say kharab hoga keun kay yahan per meh Allah subhanahu wa ta'ala kay ilm e ghayb ka radd ker raha hoon. Toh janab gabrahen mat maslay kee wazahat ker doon ga agar aap talb keren gay toh. Wesay zeroorat nahin samajta keun kay yahan per Sunni hen aur ahle ilm hazraat hen sab jantay hen kay meri baat mantaqi tor per be ghalat heh.

 

Aap nay likha kay agar meh Deobandi hoon toh theek hee likha hoga aur Sunni likhay toh ghalat hee hoga. Banday yeh miyaar e haq nahin. Haq Deobandi kay likhnay say haq nahin hota, aur batal Sunni kay likhnay say batal nahin hota, batal aur haq joh be likhay wohi hoga joh biz'zaat heh. Yeh joh aap nay baat likhi is say maloom hota heh kay janab aap ko ilm nahin aur aap is qabil nahin kay haq aur batal meh fesla ker saken, aap ka miyaar e haq yeh heh kayDeobandi likhay toh haq hee hoga keun kay deobandi haq per heh. Aur Sunni joh likhay woh batal hee hoga keun kay un kay aqahid batal hen. Yeh aap ka haq o batal ko pehchannay ka asool heh. Aur yehd rust nahin, aap ko maloom hona chahyeh.

 

Ilm hasil keren, sayyidi ala Hazrat ki kitabeh peren aur Ulamah e Ahle Sunnat kee kitaben peren. Ilm hasil keren munazra, behas chor denh.Yaqeen ker lenh is say aap ko nuqsaan hoga aur dil meh joh piyar muhabbat narmi aur imaan ko pehchannan kee qualities khatam ho jahen gee. Meh is dowr say guzr chuka hoon, is leyeh aap ko advice deh raha hoon kay esa nah keren baaqi aap kee marzi Allah ta'ala ham sab ka imaan salamat rakhay, ameen.

 

Agar kohi Bahi post 14 ko Urdu meh likh ker kissi section meh post ker deh toh yeh un tamam AGAR MAGAR QIYAAS PHILOSOPHY wali arguments ka bunyadi tor per ghalat honay sabat kerti heh.

Link to comment
Share on other sites

الحمد لللہ عزوجل محمّد بھائی بلکل سنی قادری رضوی اختری ہیں جناب 

Salam alayqum wr wb,

 

Baee, mujjay Ali kay naam say mukhatab keejeeyeh. Bachpan say bataya gaya thah kay agar kissi ka nam Muhammad ho toh ya us ka poora naam bulaya jahay ya phir dosra naam. Kohi daleel toh nahin deh sakta aur nah kabi kissi aalim say yeh suna heh sirf is leyeh kehta hoon kay kissi ko Muhammad say mukhatab kerna adaab e risalat kay khilaaf heh. Hamaray nabi e kareem sallallahu alayhi was'sallam jesa kohi aur nah thah nah heh aur nah hoga is leyeh kissi ghair ko Muhammad kay naam say mukhatab kerna bulnad marta maqam of Nabi sallallahu alayhi was'sallam meh kissi ko shareek kerna heh. Hamaray buzurg mana keeya kertay thay joh Allah ko piyaray ho chookay hen, magar walden waghaira say kabi nahin suna. Kabi kissi aalim say be esa mana kerna nahin suna sirf grandfather say, aur joh un kay ham umar buzurg thay un say ... dobara Sunni honay kay bad gradually Allah ta'ala nay masail ko samajnay kee towfeeq deeh. Aur waja bee khud khaseeda heh kay keun istimal nah keeya jahay, shahid Ulamah nay kuch aur batahi ho. magar joh kuch be heh khadam is ko adab ka masla samajta heh. Daleel denay say ajiz hoon.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

janab rizvi,qadri,akhtari sb, maira jawab yahee hay k main ko e jawab naheen daina cahta. main aik student hon aap shaid alam hain.  siraf itna kehna cahta hoon k main apnay father,grand father say sunni brailvee hoon. aala hazrat r.a kee bahut saari books parh chuka hoon,bahut sari books ghar par rakhee hain.  ham to shadi bhee brailvee kay ilaava kissi say naheen kartay. aap ko shaid ghalat fehmi hay hay k main brailvee nahee./ so ilam e ghaib topic  par no sawal jawab. thank you again

Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum wr wb,

 

Baee, mujjay Ali kay naam say mukhatab keejeeyeh. Bachpan say bataya gaya thah kay agar kissi ka nam Muhammad ho toh ya us ka poora naam bulaya jahay ya phir dosra naam. Kohi daleel toh nahin deh sakta aur nah kabi kissi aalim say yeh suna heh sirf is leyeh kehta hoon kay kissi ko Muhammad say mukhatab kerna adaab e risalat kay khilaaf heh. Hamaray nabi e kareem sallallahu alayhi was'sallam jesa kohi aur nah thah nah heh aur nah hoga is leyeh kissi ghair ko Muhammad kay naam say mukhatab kerna bulnad marta maqam of Nabi sallallahu alayhi was'sallam meh kissi ko shareek kerna heh. Hamaray buzurg mana keeya kertay thay joh Allah ko piyaray ho chookay hen, magar walden waghaira say kabi nahin suna. Kabi kissi aalim say be esa mana kerna nahin suna sirf grandfather say, aur joh un kay ham umar buzurg thay un say ... dobara Sunni honay kay bad gradually Allah ta'ala nay masail ko samajnay kee towfeeq deeh. Aur waja bee khud khaseeda heh kay keun istimal nah keeya jahay, shahid Ulamah nay kuch aur batahi ho. magar joh kuch be heh khadam is ko adab ka masla samajta heh. Daleel denay say ajiz hoon.

و علیکم السلام و رحمت اللہ  و برکاتہ  

پیارے بھائی آپ کو دلیل دینے کی ضرورت بھی نہیں 

ہم عشق کے بندے ہیں کیوں بات بڑھی ہے 

.................؟ہے ناں 

ایک چھوٹی سے بات اپنے ہم مسلک کی بھی ماں لیں اور وہ یہ کہ سلام پورا پورا لکھا کریں 

kindly use smilies and do not write wawrwb...etc......plzzzzzzzzzzzzzzzz

Link to comment
Share on other sites

و علیکم السلام و رحمت اللہ  و برکاتہ  

پیارے بھائی آپ کو دلیل دینے کی ضرورت بھی نہیں 

ہم عشق کے بندے ہیں کیوں بات بڑھی ہے 

.................؟ہے ناں 

ایک چھوٹی سے بات اپنے ہم مسلک کی بھی ماں لیں اور وہ یہ کہ سلام پورا پورا لکھا کریں 

kindly use smilies and do not write wawrwb...etc......plzzzzzzzzzzzzzzzz

Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat,

 

Jee meray baee aynda kabi  wr wb nah likhoon ga. :)  Wesay abh aap nay smilies ka kaha heh toh sawal pooch loon. Joh kuch meh Urdu meh likhta hoon kia aap ko talkh lagta heh jab peren toh? Ek aur baee thay jinoon nay ihtiraaz keeya thah kay mera andaaz talkh heh. Abh Shahzad baee nay be kuch yahi likha heh. Jab aap mera likha huwa pertay hen toh kia impression letay hen kay narm lehjay meh ya sakht lehjay meh likha gaya heh? Meh nay note keeya heh kay meray likhay huway ko pernay walay jarhana rawayya letay hen halan kay esa kohi niyyat, irada, nahin hota.

 

Allah ta'ala aap ko jaza e khair deh, ameen. :)

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...