Jump to content

Tajdeed E Eman & Tajdeed E Nikah ?


AbuAhmad

تجویز کردہ جواب

Kae baar kutab ,news article & mukhtalif discussions mai ulma kisi Islam ke mukhalif baat/aqeeday kay baray mai kehtay hai kay is kay murtqib ko "Tajdeed e Imaan" & Tajdeed e Nikah  karna ho ga.

 

Is ka matlab kya hay & yeh kaisay keya jata hai?

Edited by AbuAhmad
Link to comment
Share on other sites

aik aadmee nay keh dia  #allah maira kia kar sakta hay, jahanam main daal day ga,daal day# ya kufria baat hay.  log is tarah kee baatain baaz dafa kissi behas mubahsaa main kar dia karty hain.  

 

ya baat kehnay say wo admi kafar ho jaata hay.  jab kafar ho gia to us kee b .v us k nikah say nikal gaee. ab agar us nay mehfil main baat kee thee to mehfil main Allah Taa!la say sub k saamnay touba karay. agar akilay aisi baat ke to akailay touba karay aur gunah kee maafi maangay aur KALMA parh kar apnay imaan ke tajdeed karay.  yaanee doubara imaan laa ay. kalma parhnay say us ka emaan tajdeed ho gia,

 

ab wo to kufria baat karnay say kafir ho chuka tha to us kee B V to muslimaan thee. wo us kay nikah say nikal gaee thee.  ab do no ka ikatha rehna mushkil tha.  ab jab wo kalma parh kar muslimaan ho gia to un do noon ka dobaara nikah ho ga.  do no amnay saamnay baith kar,ghar k 2 baligh afraad gawah  ko saamnay bitha kar husband kahay main nay tumhaaray sath   2500 (ya raqam aaj kay hisaab say theek hay)rupee haq mehar par gawahoon k saamnay nikah kia. zooja bolay main nay qabool kia.  to ya nikah to ho gia. agar khutaba e nikah parh lain to swaab ho ga. warna nikah ho chuka. haq mehar laazmi daina ho ga.

 

is ko kehtay hain  tajdeed e NIKAH.  nikah form/ molvi sahib kee zaroorat naheen. nikah  ejaabo qabool kaa naam hay,2 gawahoon k saamnay with haq mehar.

Link to comment
Share on other sites

bhaee abu ahmad, aik kitab SUNNI BAHISHTEE ZAIWAR miltee hay jo Khalil Ahmad Barkaati sahib hyderabad Pakistan waloon ke likhee hu e hay, bazar main assani say mil jaati hay. Us main aik subject hay 4/5 page ka  # KUFRIAAN BAATAIN#  wo app parh lain aur aziz o aqarab/dostoon is kee tableegh karain.  Ya roz marra kee baatain hain jo ham bole jaatay hain. kufar ho chuka hota hay magar hamain pata he nahheen hota .

 

Buzarg farmaatay hain k rozana sotay waqat touba aur tajdeed e emaan k liee ay Kalma parh kar sona chah heeya.

 

Mustafyee bhaee nay achaa page attache kia hay. 

Link to comment
Share on other sites

  • 3 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...