Bismillah Posted March 10, 2014 Report Share Posted March 10, 2014 Asalamou Alekum ! Baaz auqat main raat ko jab sota hoon, to mera chehra asman ki taraf hojata hai ya jan bhooj kay bhi agar main asman ki taraf chehra kar kay sau jaaon to mujhay bohat darawanay khawab atay hain. Aur jab ankh khulti hai to main kuch deer kay liey apna jism paralysed mehsoos karta hoon. Halki si Ankh to khuli hoti hai lekin haath ki ungli tak hilana bhi mumkin nahi hota. Yahan tak kay main apna chehra bhi hila nahi sakta. Aissa lagta hai jaissay kay ander say mukamal meray jism pe kaboo pa liya ho. Aur main itna gabra jata hoon keh aissa lagta hai keh maut ho jaey gi. Yani keh bohat zayada khauff hota hai. . Yeh kabi kabar hi hota hai jaissay keh mahenay do maheenay main 1 bar. Aissa kyon hota hai? Asman ki taraf chehra kar kay kyon nahi sona chahiey? Main to aksar apna chehra right side par karkay hi sota hoon lekin raat ko need main chehra asman ki taraf to hi jata hain na. neend main to pata nahi chalta na keh chehra kiss taraf hai. Jawab kay liey shukrya! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Saad Qadri Posted March 11, 2014 Report Share Posted March 11, 2014 Aasman ki taraf mun kar k q nahi sona chahiye? Daleel kia hai iski? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Bismillah Posted March 11, 2014 Author Report Share Posted March 11, 2014 shukah hai kissi nay to reply kya! main yeh nahi kehta keh asman ki taraf munh kar kay sona guna hai, lekin aissa mujhay kuch yaad parta hai keh kahin mainey suna tha keh asman ki taraf munh kar kay nahi sona chahiey, pata nahi kahan aur kiss say, agar ap kisi mufti saab ko jantay hai to kya aap mera sawal print karkay unko dekha saktay hai? kyon keh faizan-e-attar pe askimam departement temporarly close hai. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mustafaye Posted March 13, 2014 Report Share Posted March 13, 2014 وعلیکم السلام .آسمان کی طرف منہ کر کے سونا منع نہیں دارالافتاء اہلسنت آپ اپنے سوالات اس ای میل پر بھی پوچھ سکتے ہیں [email protected] Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.