Jump to content

خارجيت كا دهوكه


Khalil Rana

تجویز کردہ جواب

http://www.islamimehfil.com/topic/20936-waseem-mughal-ki-awliyahallah-per-chispan-kee-janay-wali-ayaat-ki-qurani-tafsir/

Waseem Mughal - walay thread say ayat kee Tafsir Quran o Hadith say pesh e khidmat heh.

Surah Al A'raf (7) Ayat 194:

Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah A'raf (7) Ayat 194]

Ayaat kay nuqaat:

Point 1 - Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen,
Point 2 - phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.”

Aayeh Quran aur Hadith kee roshini say dekhtay hen kay Mushrikeen e Makkah kin ko pukartay thay.

Point 1 - Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen.

- Tafsir 1: Allah (subhanahu wa ta'ala) Quran e qareem meh zamana e Hazrat Nuh (alayhis salam) kay Mushrikeen kee baat naqal kerta heh: “Aur unoon nay bari bari chalen chaleen. Aur unoon nay kaha tum har giz nah chorna apnay khudahoon ko, aur har giz nah chorna Wadd aur nah Suwa aur nah Yaguth aur nah Ya'uq aur na Nasr ko.” [Ref: Surah 71 Ayat 23] Yeh kia thay is kee tafseel Sahabi e RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) Hadhrat Ibn Abbas (radiallah ta'ala anhu) kee zubaan e mubaraka say: “... joh butt Nuh (alayhis salam) ki qom meh poojay jatay thay bad meh wohi Arab meh poojay janay lagay thay. Wadd, Daumat al jandal meh bani Jandal ka butt tha. Suwa bani Hazeel ka thah, Ya'ghuth bani Murad ka thah. Aur Murad kee shaakh bani Ghu'taif ka joh wadi Juff meh qom bani saba kay pass rehtay thay. Ya'uq bani hamdan ka butt thah, Nasr Himyr ka butt thah joh Zhul Al Kala kay aal meh thay.” Yeh butt keun aur kesay Mushrikeen e Arabia kay khuda banay yeh be Hadhrat Ibn Abbas (radiallah ta'ala anhu) kee zubani, pesh e khidmat heh: “... yeh panchoon Nuh (alayhis salam) kee qom kay Saleh [yehni muttaqi, prezgar] logoon kay naam thay. Jab in kee wafat ho gaee toh shaytaan nay un kee qom kay dil meh dala ke apni majlisoon meh jahan voh bethtay thay butt nasb ker lenh. Aur un buttoon kay naam apnay saleh afrad kay naam per rakh lenh. Chuna'chay un logoon nay esa hee keeya, us waqt un butoon kee ibadat nahin huwi leken jab voh log be mar gahay jinoon nay butt nasb keeyeh thay aur asal surat haal ka ilm logoon ko nah raha toh un kee ibadat honay lagi.”[$] [Ref: Bukhari, Kitab Tafsir, Surah Nuh, Hadith 2027] Alhasil jab Nuh (alayhis salam) kee qom kay log jinoon nay yeh butt banahay aur rakhay thay voh faut ho gahay aur future zamanay kay logoon ko asal wajuhat ka ilm nah raha toh baad meh unoon nay in buttoon ko khuda bana ker ibadat sheroon ker deeh. Abh is bunyaad ko mad e nazr rakh ker is ayaat ko samja jahay: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Sawal yeh heh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ayaat meh keun farmaya kay voh jinnay tum pukartay voh banday hen? Is kee waja yeh heh kay joh zamana e RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay Mushrikeen thay un ko be ilm nahin thah kay Wadd, Ya'guth, Ya'uq, Nasr, haqiqatan banday thay. Mushrikeen bi apnay baap dada kay naqsh e qadam per in buttoon ko khuda mantay ahay thay. Aur is la ilmi ko door kernay kay leyeh aur un kay buttoon ko khuda man'nay kay nazriyat kay radd meh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farma deeya kay jinnay tum pukartay ho haqiqatan voh be banday thay na ke butt kay khuda.


Baqi Tafasiroon Kee Bunyad:

Agar kaha jahay; 'Ali sher heh.' toh mafoom kulli tashbih wala nahin leeya jahay ga; kay Ali zaat o sifaat meh sher heh magar sirf juzzi tashbih tor per kissi ek khoobi ya ek say zahid khoobiyoon meh sher jesa tehraya gaya heh. Aur mahawaratan jis ko sher kaha jahay mafoom taqatwar, bahadur hota heh nah ke char tangoon, dumb wala sher. Aayeh juzzi tashbih kee ek misaal is kee Quran say detay hen. Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh farmaya heh kay zameen per chalnay walay aur asmanoon meh urnay walay tum jesi ummateh hen: “Aur nahin kohi zameen meh chalnay wala aur na kohi parinda apnay peroon per urta heh, magar tum jesi ummateh, ham nay is kitab meh say kuch utha'kay nah rakha [yehni har cheez ka zikr kitab meh keeya], phir [log] apnay Rabb kee taraf utha'hay jahen [gay].” [Ref: Surah 6 Ayat 38] Agar is say tashbih qulli murad leeh jahay toh phir mafoom yeh hoga kay charin parind ham jesay insaan hen keun kay in ko ham jesi ummateh farmaya gaya heh. Aur is kay sath, yeh charind parind aur janwar qeeray maqoray shehroon meh rehtay hen, apni family heh, un kay pass be safr kernay kay leyeh goray, gadday, oonth, aur soda salfa khareednay kay leyeh bazaar, aur khanay peenay kay kitchen aur rafa e hajat kay leyeh toilets aur jurm kee rok tham kay leyeh police force heh. Joh ahle aqal samajtay hen kay esa har giz nahin. Jab yeh muhaal heh toh phir yeh sab ham jesi ummateh kesay ho saktay hen? Khuzarish heh kay yahan per tashbih juzzi heh yehni kissi ek sift ya chand siftoon meh sab janwar o charin parind qeeray makoray ham jesay hen aur voh kon si sifteh hen? Un meh say ek sift ka zikr Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ayat meh farma deeya heh: “Aur nahin kohi zameen meh chalnay wala aur na kohi parinda apnay peroon per urta heh, magar tum jesi ummateh, ...” yehni zameen per chalnay walay aur parinday ummateh hen yehni jistera ham agathay rehtay hen is'see tera janwar parindeh waghera be apnay jesoon kay saath ummat ban ker rehtay hen. Misaal kay tor per, tota totoon kay saath, chiryen chiryoon kay saath, chimti chimtiyoon kay saath, yehni har kism ka janwar parinda qeera moqora apni nasl kay saath rehta heh ghair nasal kay saath nahin. Sher bakriyoon kay saath nahin rehta, kutta billiyoon kay saath nahin rehta balkay har janwar apni nasal kay saath rehta heh aur is'see tera insaan be insaanoon kay saath rehta heh. Jistera insaan khata peeta heh, marta aur peda hota heh, sota jagta heh, waghera waghera wohi sifaat janwaroon parindoon meh be hen. Abh jab aap samjay kay Allah (subhanahu wa ta'ala) jab tashbeeh deta heh toh qulli tashbih murad nahin hoti balkay ek ya chand sifaat o khoobiyoon meh tashbih hoti heh toh atay hen ayaat kee taraf jis ko daleel banaya gaya heh Ahle Sunnat kay khilaaf.


- Tafsir 2: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh farmaya: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Note keryeh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay pukaray janeh waloon ko tumaray jesay banday kaha heh. Magar joh Quran say sabat huwa voh yeh heh kay voh butt hen joh zamana e maazi meh Nuh (alayhis salam) kee ummat kay saliheen banday thay magar RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) kay zamanay say pehlay hee butt bana ker un saliheen kay namoon say mansoob keeyeh gahay thay. Khadam arz kerta heh kay Allah (subhanahu wa ta'ala) ka farmana kay voh ham jesay banday hen tashbih qulli nahin magar tashbih juzzi kay mafoom meh farmaya gaya heh. Yehni voh bilqul zaat o sifaat ham jesay nahin magar kissi ek sift meh ya chand siftoon meh ham jesay hen. Note keejeeyeh kay voh butt Nuh (alayhis salam) ki ummatiyoon yehni insaanoon kee shakal o soorat meh banahay gahay thay is leyeh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay un ko tumaray jesay banday farmaya. Magar Allah (subhanahu wa ta'ala) Quran kee agli ayat meh buttoon kay khuda honay aur Mushrikeen aur un kay khudahoon kee zillat kay wastay un kay butt kay khudahoon ka rad kertay huway sawal poochta heh: Kia un kay pahoon hen jin say chalen ya un kay haath jis say garift keren ya un ki ankhen jin say dekh saken aur qaan jin say suneh? Farmaho; apnay shareekoon ko pukaro aur muj per waar chalo aur mujjay molat nah doh.” [Ref: Surah 7 Ayat 195] Aur sawaloon kay doh kay jawab Allah (subhanahu wa ta'ala) khud farmata heh: “Aur agar tum un ko pukaro hidayat kee taraf toh kuch nah suneh gay. Aur [butt ka khuda] dekhtay hen jesay tummeh dekh rahay hen aur voh kuch nahin dekhtay.” [Ref: Surah 7 Ayat 198] Ya Allah voh butt bazahir Mushrikoon jesay banday hen magar haqiqat meh insaan har giz nahin. Mushrik teray banahay huway hen aur butt Mushrikoon kay banahay huway hen; teray bananay meh tera kohi muqabil nahin. Voh butt shakal e insaani meh toh hen magar insaan nahin, haath toh rakhtay hen magar pakr nahin saktay, qaan rakhtay hen magar dekh nahin saktay, aankh rakhtay hen sun nahin saktay, pahoon rakhtay hen chalnay kee quwat nahin rakhtay. balkay jin buttoon ko Mushrikeen pukartay hen voh banahay gahay hen aur yeh butt kuch nahin banatay: Jin ko voh Allah kay siwa pukartay hen kuch nahin banatay magar banahay gahay hen. [Woh] murda, be'jaan aur unneh khabr nahin [logh] kab utha'hay (yub'asoona) jahen gay.[*] [Ref: Surah 16 Ayaat 20/21]

- Tafsir 3: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran e kareem meh farmaya: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh [Mushriko] tumaray jesay banday hen, ...” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Aayeh dekhtay hen kay Mushrik kesay banday thay: “Aur agar tum unneh [sirat e mustaqeem ki] rah kee taraf bulaho toh nah suneh aur tooh unneh dekhay
ke voh teri taraf rahay hen aur unneh kuch be nahin dekhaee deta.
[Ref: Surah 7 Ayat 198] Allah (subhanahu wa ta'ala) nay mushrikeen kay mutaliq mazeed farmaya: Behray, goongay, anday, toh voh lo't anay walay nahin.” [Ref: Surah 2 Ayat 18] “Aur kaffiroon kee misaal is ki see heh, joh pukaray esay ko joh khali cheekh pukar kay siwa kuch nah sunay, behray, goongay, anday, toh unneh kuch samaj nahin.” [Ref: Surah 2 Ayat 171] “Aur ham nay peda keeyeh jahanum kay wastay bot say Jin aur admi. Un kay dil hen un ke un say samajtay nahin, aur ankhen hen magar dekhtay nahin, aur qaan hen un say suntay nahin voh esay hen jesay chopahay hen balkay un say be ziayada be-hidayat, wohi log ghafil hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 179] “Aur kaffiroon kee misaal is ki see heh, joh pukaray esay ko joh sirf cheekh pukar kay siwa kuch nah sunay [yehni chopahay], behray, goongay, anday, toh unneh kuch samaj nahin.” [Ref: Surah 2 Ayat 171] Allah (subhanahu wa ta'ala) Mushrikoon kee sifaat batahi kay voh behray goongay anday banday hen aur jin ko yeh Mushrik pukartay hen yehni butt kay khuda voh bee to Mushrikoon jesay hen toh phir juzzi tashbih kay mutabiq is ka mafoom yeh banta heh kay Mushrikeen kay khuda yehni butt, anday, goongay, behray hen aur jis ka saboot yeh ayaat heh: “... ya un ki ankhen jis say voh dekhen ya qaan hen jis say voh suneh? Farmaho; apnay shareekoon ko pukaro aur muj per waar chalo aur mujjay molat nah doh.” [Ref: Surah 7 Ayat 195] yehni ankhen aur qaan honay kay bavjood dekhtay suntay nahin aur is'see ko wazia tor per ek aur ayaat meh biyaan keeya gaya heh: “[Waqia] mazkoor ker kitab meh Ibrahim ka be'shak voh sacha Nabi thah. Jab kaha apnay baap ko; heh meray baap keun poojtay ho us ko na suneh aur na dekhay aur teray kuch kaam nah ahay.” [Ref: Surah 19 Ayat 41/42]

- Tafsir 4: Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh:Ham nay tummeh peda keeya to keun nahin sach mantay?” [Ref: Surah 56 Ayat 57] aur ek aur ayaat meh Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Heh logo! Apnay Rabb ko poojo jis nay tummeh aur tum say pehloon ko peda keeya yeh umeed kertay huway kay tummeh prezgari millay.” [Ref: Surah 2 Ayat 21] Allah (subhanahu wa ta'ala) aur ayat meh is'see baat ka izhar farmata heh:   Aur Allah nay tummeh peda keeya phir tumari jaan qabz keray ga, aur tum meh kohi sab say naqas umar kee taraf phera jata heh ke jan'nay kay baad kuch nah janay, beshak Allah sab kuch janta heh, sab kuch ker sakta heh.”   [Ref: Surah 16 Ayat 70] Abh agar is siyaaq o sabak ko mad e nazr rakh ker is ayaat ko samja jahay; yehni Mushriko tummeh bananay wala Allah (subhanahu wa ta'ala) heh aur jin ko voh pukartay hen voh Mushrikoon jesay hen:Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh [Mushriko] tumaray jesay banday hen, ...” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Toh phir mafoom yeh nikalta heh kay Mushriko jistera tum ko Allah (subhanahu wa ta'ala) nay tummeh peda keeya us'see tera tum jin buttoon kay khudahoon ko pukartay ho un ko be Allah (subhanahu wa ta'ala) nay banaya heh: “... (butt parast) mutawajoh huway, dortay huway us kee taraf (ahay), us nay farmaya tum [unki] parastash kertay ho joh tum khud tarashtay [tanhitoon] ho. Halan ke Allah nay tummeh peda keeya aur joh tum banatay ho? [Ref: Surah 37 Ayat 91/96]

Allah (subhanahu wa ta'ala) nay Quran meh farmaya kay Allah (subhanahu wa ta'ala) nay har cheez ko peda keeya heh: “Beghair kissi namoona kay asmanoon aur zameen ka bananay wala [Allah heh]. Phir us ka han bacha kahan say ho halan kay us kee aurat nahin? Aur us nay har cheez ko peda keeya heh aur voh sab kuch janta heh. [Ref: Surah 6 Ayat 101] aur yahi mafoom ek aur ayaat meh be heh: “... ho jahen gay anday aur ankhyar? Ya barabar ho jahen gi handeriyan aur ujala? Kia Allah kay leyeh esay shareek tehrahay hen jinoon nay Allah ki tarah kuch nahin banaya? Toh unneh un ka banana aur us ka banana ek sa maloom huwa? Farmaho; Allah har cheeze ka bananay wala heh aur akela sab per ghalib heh.” [Ref: Surah 13 Ayat 16] Aur jab har cheez Allah (subhanahu wa ta'ala) nay peda kee heh toh phir us meh buttoon ka banana be shamil hota heh. Sawal uthaya jahay ga kay kesay ho sakta heh kay insaan kay banahi huwi cheez Allah (subhanahu wa ta'ala) kee banahi huwi cheez tehrahi jahay. Jawab hazir e khidmat heh, dekhyeh Allah (subhanahu wa ta'ala) insaan kee banahi huwi cheez ko apni taraf mansoob kerta heh kay un ko Allah (subhanahu wa ta'ala) nay banaya heh: “Aur Allah nay joh peda keeya us say tumaray leyeh sahay bana-hay, aur tumaray leyeh bana-heen paha-roon meh pana-gahen, aur tumaray leyeh kurtay banahay joh tumaray leyeh garmi say bachaho hen, aur kurtay [Zeeren, armour] joh tumaray leyeh bachaho hen tumari larahi meh, ...” [Ref: Surah 16 Ayat 81] Is'see tera Allah (subhanahu wa ta'ala) kay Nabi Hazrat Ibrahim (alayhis salam) nay buttoon kay bananay ko be Allah (subhanahu wa ta'ala) taraf mansoob keeya heh: “ … phir voh un kay ma'budoon meh chup ker gus gaya, phir kehnay laga; kia tum khatay ho? Tummeh kia huwa tum boltay nahin? phir puri quwat say marta huwa un per ja pera. Phir voh (but parast) mutawajoh huway, dortay huway us kee taraf (ahay), us nay farmaya tum [unki] parastash kertay ho joh tum khud tarashtay [tanhitoon] ho. Halan ke Allah nay tummeh peda keeya aur joh tum banatay ho? [Ref: Surah 37 Ayat 91/96]

Alhasil:

Tafsir e awal meh khadam nay sabat keeya kay voh banday Hazrat Ibrahim (alayhis salam) kay ummati thay jin kay butt banahay gahay thay aur un buttoon ko khuda bana leeya gaya tha. Phir is'see tafsir e awal kee bunyaad ko malhooz rakh ker is ayaat kee deeghir tafasir pesh keen. Tafsir 2; Mushrikeen kay butt un kay khuda insani shakal o soorat meh banahay gahay thay aur voh un mushrikeen jesay insaan lagtay thay magar haqiqat meh un kay pass voh sifaat mojood nahin theen joh Mushrikeen meh mojood theen yehni butt ankhen, qaan, haath, pahoon, honay kay bavjood dekhnay sunnay, pakrnay aur chalnay kee sifat say mehroom thay. Tafsir 3; Mushrikeen kay butt khuda behray goongay anday hen jistera mushrikeen behray goongay aur anday hen. Tafsir 4; Aur aakhiri tafsir meh sabat keeya gaya kay buttoon ko bananay wala Allah (subhanahu wa ta'ala) kee zaat heh aur ban'neh meh Mushrikeen buttoon jesay banday hen, yehni un ko Allah (subhanahu wa tala) nay banaya heh jistera buttoon ko banaya heh.

Point 2 - phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.

- Allah (subhanahu wa ta'ala) farmata heh: “Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro, chahyeh toh yeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Jawab denay kay leyeh sunna lazmi heh aur jab yeh butt kay khuda sawali kay sawal ko sun nahin saktay: “[Waqia] mazkoor ker kitab meh Ibrahim ka be'shak voh sacha Nabi thah. Jab kaha apnay baap ko; heh meray baap keun poojtay ho us ko na suneh aur na dekhay aur teray kuch kaam nah ahay.” [Ref: Surah 19 Ayat 41/42] Ek aur ayat meh button kay mutalik Ibrahim (alayhis salam) ka farman peryeh: “Jab kaha apnay baap ko aur us kee qom ko tum kiss ko poojtay ho? Woh bolay ham poojtay hen buttoon ko aur sara din in'nee kay pass bethay [sath lagay rehtay] hen. Kaha, kuch suntay hen tumara kaha jab tum pukartay ho ya tumara kuch bala ya bura kertay hen?” [Ref: Surah 26 Ayat 71/73] Ibrahim (alayhis salam) kay is sawal ka jawab Allah (subhanahu wa ta'ala) Quran me ek aur jaga anahit farmata heh: Agar tum un ko pukaro toh nahin suneh gay tumari dua [yehni pukar] ... [Ref: Surah 35 Ayat 14] Aur Mushrik toh apnay butt kay khudahoon ko madad kay leyeh pukartay thay: “Aur pakrtay hen Allah kay siwa aur khuda (Aalihatan) ke shahid un kee madad keren; …” [Ref: Surah 36 Ayat 74] Awal toh butt kay khuda suntay hee nahin: “... aur agar [bil farz e muhaal] suneh toh pun-chen nahin tumari madad ko aur qayamat kay din munkir hoon gay [khuda kay] shareek honay kay. Aur kohi nah batlahay ga tuj ko jesay batlahay khabr rakhnay wala.” [Ref: Surah 35 Ayat 14] “... na ker saken gay [yeh butt kay khuda] un kee madad aur yeh [butt parast buttoon ki] foj ho ker pakray ahen gay.” [Ref: Surah 36 Ayat 74] “Aur jin ko tum pukartay ho us kay siwa voh nahin kertay tumari madad aur nah apni zaat kee madad ker saktay hen.” [Ref: Surah 7 Ayat 197] Keun madad nahin ker saktay us ka jawab yeh heh kay buttoon kay qaan toh hen magar suntay nahin, ankhen hen dekhtay nahin, haath hen magar pakr nahin saktay, aur pahoon hen chal nahin saktay is leyeh achay aur buray per kohi qudrat nahin rakhtay is leyeh nah voh apni madad ker saktay hen aur nah auroon kee. Aur is kay saath yeh butt kay khuda apni ya kissi aur kee madad say is leyeh qaasir hen keun kay voh kissi be cheez joh qaynaat e illahi meh mojood heh malik nahin balkay Allah (subhana wa ta'ala) un kee malikiat kee haqiqat biyaan farmata heh: “... yeh Allah heh tumara Rabb ussee kay leyeh mulk [yehni badshahi] aur jin ko tum pukartay ho us kay siwa voh malik nahin khajoor kee gutli kay ek chilka kay.” [Ref: Surah 35 Ayat 13] “... voh malik nahin ek zerra bar kay asmanoon meh aur na zameen meh aur na un [butt kay khudahoon] ka in donoon meh kohi hissa heh aur nah us [yehni Allah] ka kohi madad-gar.” [Ref: Surah 34 Ayat 22] Alhasil buttoon kay pass nah toh zindgi heh jis say voh dekh, sun, chal, pakr saken aur nah voh Allah (subhanahu wa ta'ala) kee qaynaat meh kissi ek zarray kay malik hen kay us per denay per ikhtiyar rakhtay hoon aur nah yeh butt kay khuda Allah kay shareek hen. Allah (subhanahu wa ta'ala) mazeed butt kay khudahoon kay mutaliq aur farmata heh: “Kia tehra-hay hen unoon nay aur khuda (Aalihatan) zameen kay joh dobara utha-hen gay [murdoon ko]?” [Ref: Surah 21 Ayat 21] Is sawal kay jawab kay saath Allah (subhanahu wa ta'ala) butt kay khudahoon kay mutaliq aur be farmata heh:“Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh ke voh kuch nahin banatay, aur khud bana'hay gahay hen, aur voh apnay leyeh achai, burahi aur nah hee voh maut, zindgi aur utha'jay janay per qadir hen.” [Ref: Surah 25 Ayat 3]


Tafsir 5: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ahle imaan ko zinda aur ahle kuffr ko qabroon walay farmaya heh: “Aur barabar nahin jeetay aur nah murday, Allah sunata heh jissay chahay aur too nahin sunanay wala qabroon meh peroon ko.” [Ref: Surah 35 Ayat 22] Aur ayaatoon meh RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko mukhatab farmaya aur kaha ke Mushrikeen behray aur murday hen: “Tum murdoon ko nahin sunatay aur nah behroon ko, pukar nah sunaho jab voh peet pher chalen.” [Ref: Surah 30 Ayat 52] “Tumaray sunahay nahin suntay murday aur nah tumaray suna-hay behray pukar suneh, jab chalen peet pher ker.” [Ref: Surah 27 Ayat 80] Halan kay ayaat hi say sabat heh kay jinneh murda kaha ja raha heh voh ba-hayat hen. Awal, keun kay unneh behra yehni Englishi lafz meh deaf bola ja raha heh aur murda insaan kay leyeh deaf ka lafz bola jana grammar kay lehaz say darust nahin. Deaf, behra, zinda kay leyeh hee bola jata heh. Dosri waja yeh heh kay jinnay murda, behra, farmaya gaya heh un kay leyeh in'nee ayaat meh peet pher ker chalay janay kee sift sabat heh: “... jab voh peet pher chalen.” aur dosri ayaat meh: “... jab chalen peet pher ker.” keun kay agar haqiqi murday hen toh phir un ka peet pher kar jana muhaal heh keun kay yeh sift zindoon kee heh. Aur ayaat toh yeh sabat kerti heh kay voh peet pher jatay hen is leyeh jin kay mutaliq yeh ayaat nazil huween voh zinda hee thay. Tesri waja yeh heh kay Nabi (sallalahu alayhi was'sallam) haqiqi murdoon ko tableegh e deen nahin keeya kertay thay magar ba-hayat mushrikeen ko Islam kee taraf bulatay thay aur ratti-bar ilm o aqal o feham o firasat wala is per ba-khabr ga.[^] Siway us kay jis kay dil per Allah (subhanahu wa ta'ala) nay kuffr kee mohar laga deeh heh. Alhasil Allah (subhanahu wa ta'ala) nay zinda murshrikoon ko deaf yehni behray, murda aur qabr walay farmaya heh. Aur is kee waja yeh thee kay Mushrikeen meh bey'shahoor murdoon jesi sifaat pahi jati theen jistera pathar aur zameen murda hen[?] Aur qabr walay is leyeh farmaya gaya keun kay jin Mushrikeen kay wastay yeh ayaat nazil huween un kay mutaliq Allah (subhanahu wa ta'ala) ka attal fesla ho chuka thah kay voh be-iman maren gay. Yehni un meh murda zameen jesi sifaat theen is leyeh voh dawat e Islam ko qabool nahin ker rahay thay aur un kay leyeh attal fesla ho chuka thah kay voh be-iman maren gay. Kissa mukhtasar, Allah (subhanahu wa ta'ala) ka farmana: Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah A'raf (7) Ayat 194] aur phir RasoolAllah (sallalahu alayhi was'sallam) ko mukhatab ker kay Mushrikoon kay mutaliq farmana: Tum murdoon ko nahin sunatay aur nah behroon ko, pukar nah sunaho jab voh peet pher chalen.” [Ref: Surah 30 Ayat 52] Tumaray sunahay nahin suntay murday aur nah tumaray suna-hay behray pukar suneh, jab chalen peet pher ker.” [Ref: Surah 27 Ayat 80] yeh baat sabat kerta heh kay Mushrik murda, behray, deaf hen aur jin ko Mushrikeen Allah kay siwa pukartay hen voh be Mushrikoon jesay banday hen. Yehni jistera Mushrik murda aur behray, deaf hen is'see tera jin ko voh Allah (subhanahu wa ta'ala) kay siwa pukartay hen un jesay murda aur behray, deaf hen: “Jin ko voh Allah kay siwa pukartay hen kuch nahin banatay magar banahay gahay hen. [Woh] murda, be'jaan aur unneh khabr nahin [logh] kab utha'hay (yub'asoona) jahen gay.” [Ref: Surah 16 Ayaat 20/21] Aur voh kia hen joh be-jaan murda hen aur nah voh khabr rakhtay hen kay qayamat kay din kay leyeh log kab dobara utha-hay jahen gay aur joh nah kuch banatay hen aur khud banahay gahay hen? Is ka jawab Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ek aur ayaat meh deeya heh: “Aur logoon nay us kay siwa aur khuda (Aalihatan) tehra leeyeh hen, voh kuch nahin banatay, magar khud banahay gahay hen; ...” [Ref: Surah 25 Ayat 3] Alhasil, Mushrik murda, behray, deaf hen aur un kay khuda yehni un kay butt un jesay murda aur behray, deaf hen.

Tafsir 6: Allah (subhanahu wa ta'ala) nay farmaya heh: “Bey shak tum jinnay pukartay ho Allah kay siwa, voh tumaray jesay banday hen, phir unnay pukaro toh chahyeh ke voh tummeh jawab den agar tum sachay ho.” [Ref: Surah 7 Ayat 194] Keun kay ayaat Mushrikoon kay wastay nazil huwi thee is leyeh khitab Mushrikoon ko heh aur Mushrik kesay banday hen aa'yeh Quran say maloom kertay hen: “Heh imaan walo! Mushrik to najs (paleed) hen so is saal kay bad masjid Harram kay nazdeeq na anay pahen aur agar tum tangdasti say dartay ho ...” [Ref: 9:28] Alhasil Mushirk najs, paleed, paleet, unclean, hen aur jin ko Mushrik pukartay hen toh unneh be Mushrikoon jesa kaha gaya heh toh matlab yeh nikla kay jin buttoon ko Mushrik pukartay thay voh be paleed, najs, paleet, unclean hen. Aur is tafseer kee tasdeeq Quran kee ek aur ayaat say jis meh Allah (subahanahu wa ta'ala) nay butoon ko najs, paleet, unclean, paleet farmaya heh: “Ye hamara hokam heh jo shakhs jin adab kee cheezoon ko khuda nay muqarar keeya heh, azmat rakhay to yeh khuda kay nazdeeq us kay haq meh behtr heh. Aur tumaray leye mawa-shee halal ker deeyeh gai hen siwai un kay joh tumeh par kar batahay jatay hen, to buttoon kee paleedi say bacho aur jhooti baat say parez kero.” [Ref: 22:30]

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...