Jump to content

Agar Koi Musalman Aurath Ko Zulum Se Utha Le Jata Hai To Is Ke Liye Kya Hukum Hai?


Allahbakash

تجویز کردہ جواب

Agar koyi musalman koyi musalman aurath ko zulum se uta le ja tha hai tho is ke liye kya hukum hai? Us aurath ka koyi galati nahi tho.

Joh musalman aurat ko cherta heh us kay khilaaf qatal kee wa'eed (threat) Quran meh aur joh aghwa kar leh jahay musalman aurat ko qayasan keh raha hoon, esay ko qaazi kee taraf say mawt ki sazza hogi.

Link to comment
Share on other sites

muhammad ali bhai fiqah hanafi ki roo se hawala post ker den.

Qayas keeya thah, fiqah ki kohi kitab nahin pari, sirf bunyadi ilm heh. Aaj say kohi 10 saal pehlay Fatwah Razaviwiyyah ki chand jilden pareen theen. Sar'ri tor par Quran o Hadith meh aghva ki kohi sazza nahin aahi sirf implicit dalahil ki bunyad par sazza mawt lazam aati heh. Musalman kee kohi cheez chori karo toh haath qata jata heh ... aurat ki aghvahi jissay aap chori keh lenh toh kohi harj nahin hoga. Aurat ki chori yeh kissi ka mobile chori honay say kitnay darja bara jurm heh aap andaza kar lenh. Quran meh zulm kee sazza ka zikr bari sakht honay ka zikr heh: "And fear a trial which will not strike those who have wronged among you exclusively, and know that Allah is severe in penalty." [Ref:8:25] Allah (subhanahu wa ta'ala) nay ek aur ayaat meh farmaya heh: The recompense of those who wage war against Allaah and His Messenger and do mischief in the land is only that they shall be killed or crucified or their hands and their feet be cut off from opposite sides, or be exiled from the land. That is their disgrace in this world, and a great torment is theirs in the Hereafter” [Ref: 5:33] Fasad fil ard meh dakazani be aati heh, agar dakazani ki sazza jis meh sirf maal loota jata heh toh is meh mawt ki sazza ka hokam jaiz huwa toh phir kissi ki behan/beti ko aghwa karna ba darja bura heh aur is ki sazza sakht hogi. Kissi ki izzat par haath dalna maal o matal lootnay say ziyada bura heh jab chotay jurm ki sazza mawt haath pahoon qatna aur saleeb par charwana heh toh phir joh is say ba-darja bura heh us ki sazza mawt hogi.

 

 

Link to comment
Share on other sites

bhai ap apni aqal ke mutabiq qayas ya quran ki aayat se apni merze ke masail akhz kr rahe hain jabke yahan open forum pr aik masle ka hal aisa nhi hona chahye. apko sahi daleel ulema e ahlesunnat ke fatawa, sahi aahadith or fiqah ki roo se deni hogi. ager her kisi ko qayas or masail akhz kerne ki ijazat ho tu phir tu kulya hi khair hay or dosra hum muqallid kis bat ke hain? yahi kam tu ghair muqallid kr rahe hain. ap ne dars e nizami or phir mufti course kya hay? or agr kya bhi hay tu aik new masla bayan kerne se pehle ap ne dosre muftiyan e karam se mashwara kya or unki tasdeq li, ho sakta hai unko aahadith ya fiqah ki roo se masle ka sahi hal maloom ho? kya fatwa dena or masail ka hal batana itna aasan hay ke ap aik aayat quote kr den or likh den ke qatal saza hogi?

 

Ulema e karam aik aayat ya hadees ke kayi maani or kayi masail akhaz kerte hain or phir beesyon chezen dekhni hoti hain ke is aayat ka shan e nazool kya hay. "war" or "mischeif" se yahan kaun se awamil muraad hain jinki saza itni shadeed yani qatal or exiled hay.

 

chor ki saza hath kaatna hay, is se ye akhaz kerna ke aghwa ki saza mout hogi (gender or age ka taaluq nhi hona chahye) yeh tu qazi ka kam hay jo quran o hadith or masail se pori tarha aagah ho or phir dono taraf ke dalail sune or aghwa ka zulm sabit ho jaye tu shariat ke ahkam ke mutabiq saza de. qasas tu tab banta hay jab aghwa shuda ko qatal kr dya gaya ho. ager aurat ke sath zinna howa hay tu uski saza 80 kore hain  or ager ziyadti bhi nahi hoyi or aurath aghwa ke bad bilkul sahi salamat bagahir kisi jinsi ya jismani takleef ke mili ho tu mout ki saza kese hogi?

 

ap ne jo aayat pesh ki hain ager un men "wronged", "war" or "mischeif" ka ye matlab lya jaye tu phir tu her dosre jurm pr mout ki saza hogi. islam men baz sakht sazain zaror hain ke jurm dobara na ho mager itna bhi sakht na banain ke her dosri bat pr death penality lag jaye. or woh bhi apne qayas se. meri baton ka bura na manaye ga mager mojoda muftiyan e karam bhi naqil hain. masla ke sath hawala likhen ge or apne qayyas se koi jadeed masla bayan keren ge tu apne waqt ke naamwar ulema se tasdeeq len ge. or yeh masla koi jadeed masla nhi hay. iski saza zaror fiqah ki kutub men mojod hogi.

Link to comment
Share on other sites

...

Allah ta'ala aap ko jaza e khair deh, ameen. Aap agar zeroori samjen toh muftiyan e kiraam say rujooh kar lenh joh jawab denh mujjay bi ba khabr kar denh. Ayaat 5:33 kay mutaliq Tafsir Jalalayn paren us meh kuch zikr heh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...