Jump to content

Ilm-E-Sahaba


Recommended Posts

⏩ILM-E-SAHABA

OR

WAHABIYON KI TAHREEF⏪

 

Wahabiyon k Bahut Hi Motabar Imam

 

Hafiz Ibn Kasir Ne Apni Tafsir Ibn Kasir Me Surah Anfal Ki Ayat

 

أُولَٰئِكَ هُمُ الْمُؤْمِنُونَ حَقًّا

 

Ki Tafsir Karte Huwe Ek Hadees Naqal Ki Hai k

 

Hazrat Haris Bin Malik Ansari رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain k Main NABI-E-KARIM ﷺ Ki Bargah-e-Aqdas Me Hazir Huwa To

 

NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya Aye Haris Tum Ne Subah Kis Hal Me Ki...???

 

Main Ne Arz Kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ Main Ne Ek Sachche Or Haqiqi Momin Ki Hasiyat Se Subah Ki

 

NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya Gaur Kar Lo Kiya Kah Rahe Ho, Har Cheez Ki Ek Haqiqat Hoti Hai Batao Tumhare Iman Ki Haqiqat Kya Hai...???

 

Main Arzguzar Huwa YA RASOOL ALLAH ﷺ

Main Ne Duniya Se Tark-e-Ta'luq Kar Liya,

Raat Ko Jag Kar Ibadat Karta Hoon

Or

Din Ko Roza Rakh Kar Pyas Bardasht Karta Hoon

 

Main Apne RAB k Arsh Ko Numaya Taur Per Dekh Raha Hoon

Goya k Main Ahle Jannat Ko Ek Dusre Se Molaqatein Karte Dekh Raha Hoon

Or

Ahle Naar Ko Jahannam Me Bilbilate Huwe Dekh Raha Hoon

 

NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya Aye Haris Tum Ne Haqiqat-e-Iman Ko Pa Liya Is Per Karband Rahna.

Is Alfaz Ko 3 Martaba Farmaya.

➡ TAFSIR IBN KASIR, JILD 4, SAFA 12-13.

 

NABI-E-KARIM ﷺ k ILm Per Tanz Karne Walo Is Hadees Se To SAHABI-E-RASOOL Ka ILm-e-Gaib Sabit Ho Raha Hai

Woh Bhi Aisa ILm k Zameen Per Baithe Huwe Arsh Ko Dekh Rahe Hain

Or To Or Jannati Abhi Jannat Me Gaye Nahi Hain Magar Advance Me Hi Jannati Ko Jannat Me Tahalte Firte Or Apas Me Molaqatein Karte Huwe Dekh Rahe Hain Or Jahannami Ko Bhi Jahannam Me Chikhte Chillate Huwe Dekh Rahe Hain

Ise Bayan Bhi NABI-E-KARIM ﷺ k Samne Kar Rahe Hain Or NABI-E-KARIM ﷺ Ne Bhi Hazrat Haris Bin Malik Ansari رضي الله تعالٰی عنه Ki Is Baat Ko Yeh Farma Kar Tasdiq Farma Di k Aye Haris Tum Ne Haqiqat-e-Iman Ko Pa Liya.

 

Is Hadees Se SAHABI-E-RASOOL Ka ILm-e-Gaib Sabit Hota Hai Is Liye Wahabiyon Ne Tafsir Ibn Kasir Ko English Me Translate Karte Huwe Is Hadees Ko Hi Nikal Diya

 

Kyun k Yeh Hadees In Iman k Looteron Or Hadees k Choron k Aqeedey k Khelaf Hai

Or Agar Yeh Is Hadees Ka English Version Me Tarjama Karte To Inhe SAHABI-E-RASOOL k ILm-e-Gaib Ko Tasleem Karna Padta

Isi Liye Ahle Iblees Ne Tafsir Ibn Kasir k English Version Me Tahreef Kar Di.

post-15808-0-14323200-1441534892_thumb.png

post-15808-0-21818300-1441535171_thumb.png

post-15808-0-56568100-1441535200_thumb.png

post-15808-0-52702500-1441535230_thumb.png

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...