Jump to content

Small Small Islamic Question Post here

Madani Munna

تجویز کردہ جواب

(salam) Main Yahan Yeah EK Topic Start Kar raha Hoon Jis Main Koi B Question poochay Par Ek Ka Ans Mil Jay tab

Aor Baqi Try Karain Us Ka Ans Denay Ki

my q. Is

What Is The Meaning Of Muslim?

Musalman Ka Kiya Matlab Hota Hai?

In Roman

JazakAllah (azw)

Link to comment
Share on other sites

  • جوابات 50
  • Created
  • Last Reply

!مدنی منّے

ماشآء اللہ۔۔ ثواب ِ جاریہ کے حصول کے لئے آپ کی یہ کوشش بہت ہی اچھی ہے۔۔ اللہ عزوجل آپ کو اس کا ُستھرا اجر عطاء فرمائے۔۔

What Is The Meaning Of Muslim?

لفظ ُمسلِم۔۔ فاعل کا صیغہ ہے۔۔

جس کا مصدر

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Bhai Farz-e-Kifaya us farz ko kahty hain k jo k agar kisssi Area (town, billage wagherah) k kissi aik aadmi ne b adda kya to us Area k sab aadmi us farz se bari ho gaye, Lakin agar kissi ne b adda nahin kya to sab gunahgaar.

Aur ta'adaad to nahin patta, albatta itna patta hay k "Namaz-e-Janaza" b farz-e-kifaya hay.

Kissi aur bhai ko aata hay to yahaan par achhi tarah se samjhaye.

(azw)(ja).

Link to comment
Share on other sites

(salam)

jahan tak mujhey ilm hai Sunnat-e-Mokaida kay barey mein tou woh aesi Sunnatein hai jin ko aghar tarq kiya tou gunahh milta hai, Asal mein Sunnat do tarekoon ki hoti hai sunnat-e-Mokada or Sunnat-e-ghair mokadda aghar sunnat mokkad chori tou gunah milta hai kyun k yeh sunnah kabi AQA-E-do jahan (saw) nay nahi chori tarawee bi sunnat-e-mokkada hai, aghar sunnat-e-ghair-e-mokadda chori tou gunah nahi lakin aghar ada ki tou sawab milta hai jaisay Asar ki namaz ki 4 rakkat sunnat aghar parhi tou sawab hai lakin nahi parhi tou gunah nahi hai lakin haan yeh zaroor hai tarqey sunaat ko apni addat nahi banani chaye yani yeh nahi k hum humesha hi asr ki sunnah chor dein

mujhey word to word yeh qissa nahi yaad haan mafhoom bayan kar rahi hoon aghar ghalti ho tou Allah Azzawajal maaf farmaye "Aik bhut mashoor shair hain Mehr-e-Ali (ra) aik dafa unhoo ney asr ki 4 rakat sunnah chori or phir un ki ank lag gaye Meray Methay Methay AQA Muhammad-e-Mustufa (saw) un kay kahwab mein aye or farmaya Mehr Ali kya hum say naraz ho jo ajj humari sunnat chori tou us k baad App (ra) bhut roye" aghra ghalti hoo tou islah farmayein baraye Madina

fi-aman:

G sister aap ne bilkul theek kaha.

Aur sister aap ne ye kaha k "Mehr Ali " sha'ir hain, nahin.

Ye Aik buhat bary Aamil, Wali-e-Kaamil hain, Un ka poora Naam Hadrat Peer Syed Mehar Ali Shah Golirwee (ra) hay. Jis tarah Aala Hadart (ra) ne Deobandiyat ne deobandiyat ki dhajiyaan uraee theen, to aise hee Hadrat Peer Mehar Ali Shah (ra) ne Qadyaniyat k khilaaf jihaad kya thaa, Aur jitna aap (ra) ne Qadyaniyat k khilaaf kaam kya hay, itnaa kisssi ne b nahin kyaa.

Aap ne y waaqi'aa likha hay, ye b kuchh had tak theek hay, lakin Aap (ra) ko Aaqa (saw) ki ziyarat khuwaab men nahin, balike zaahiri aankhon se huee thee.

Mein abhi poora waaqi'aa nahin likh sakta (Kiyoun k aftaar ka time ho raha hay) Insha Allah (azw) raat aap ki zindagi par aik mazmoon likh kar yahaan par post kardoon ga.

Aur aakhiri baat, aap (ra) ka jo ye shair hay:

SubhanAllah Ma ajmalak, Ma Ahsanak, Ma Akmalak

Kithy Mehar Ali (ra), kithy teri Sana, Mushtaq akhyan kithy jaa ariyan

Ye aap (ra) ne us waqt hee likhi thi, jis waqt aap ne AAQA (saw) ki ziyarat ki thee, zaahiri aankhon se.

Bilkul aise hee jis tarah Aala Hadrat (ra) ne "Wo soye Lala Zaar" likhi thee, AAQA (saw) ki zaahiri aankhon se ziyarat karne se pahile.

Ooper waly shair men, mein ne "Mushtaq" word use kya hay, Lakin Aap (ra) ne yahaan par apny liye "Gustaakh" ka lafz use kya thaa, lakin hum aisaa nahin kar sakty. Aur haqeeqat b yahee hay k un ki aankhen mushtaq hee theen, na k gustaakh, jabhi to AAQA (saw) ki ziyarat ki (wo b zaahiri aankhon se)

Aur aaj kal k jaahil aur gandy log, aksar is shair ko busses, Autos, trucks k peechy lkhty hain, aur ishq-e-majazi k liye aksar is ko parhty hain, un JAHILON ko aankhen kholni chahyen k ye shair kin k liye kaha gaya hay, aur kis ne kaha hay, aur kab kaha tha.

W'ssalam.

Edited by Sag-e-Attar
lanat kerna kafir per bhi mana kiya gaya hai. yeh jahalat ki wajah sey ishqe majazi per yeh shair istimal kertey hain.
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

g plz zaroor shair karye ga App (ra) ki hayat ka barey mein zaroor islaha karnay ka bhai bhut bhut shukiyaaa thnx for shring ths n yah i wan 2 know abt the Syed Peer Mehr Ali shah (ra) k barey mein jo ghalti hoye ho ALLAH (azw) AQA (saw) k sadqey maaf karye Ameen

fi-aman:

Edited by nazia
Link to comment
Share on other sites

(salam) sab ko sab k jawab milay hain lakin main nay jo sawal kia mujay mara jawab nahi mila :( kia kisi ko is k baray main nahi pata?khar hai ok Allah hafiz fi-aman: Edited by ya mohmmadah
Link to comment
Share on other sites

(salam) mara sawal ye hai k waqat or haal main kia faraq hai?plz is ka jawab dain or 1 wali k liay iss ke kia ahmeat hai (wasalam)fi-aman:

(salam)

Aap ka ye question meri samajh shareef men to aaya hee nahin hay, lakin phir b koshish kartta hoon. lol

Kiyoun k ye koee specific question to hay hee nahin, ye to aik general question hay, is k kaee answers ho sakty hain.

Waqt to koee b ho sakta hay, jaise Past (maazi) , Present (haal) aur future (mustaqbil). Aur haal jo abhi jo waqt chal raha hay. m i rite ?

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Hadrat Peer Mehar Ali Shah Sahab (ra) 14th April 1859 A.D bimutabiq 1st Ramdan 1275 A.H men monday k din paida huye thy. Aap (ra) ka silsila-e-nasb 25 waston se Huzoor Ghous-e-A'azam (ra) aur 36 Waaston se Imam Hassan-e-Mujtaba (ra) se jaa milta hay.

Wo waaqi'aa aisy hay k Aap (ra) khud farmaaty hain k

"Jab 1307 Hijari men aap Hijaaz-e-Muqadas men thy, to Doran-e-Safar-e-Madina men waadi-e-ahmer k maqam par jab daku'on k hamly k paish-e-nazar majbooran isha ki sunaten mujh se rah gaeen.

(Ye daku wohi hain jo aaj kal saudi hukmiran hain. Ye Pahily daku thy, jo k madina-e-muanara jaany waly logon ko loota karty thy. Isssi baat ka izhaar Syedi Aala Hadrat (ra) ne Safar-e-Madeena k doran Likhi huee naat men b kiya hay "Lut'ty hain, maary jaaty hain, youn hee suna kiye. Har baar di wo amun k gairat hzar ki hay." Ya'any hum ne to yahee sunna hay k aksar is raah men jo b safar karty hain, un ko daaku loot lety hain, balike maar b daalty hain; Lakin hum par Aaqa (saw) ne har baar aisaa amun dya k lagta hee nahin thaa k hum kisssi safar men hain. Koee khauf nahin hotta tha. Hadrat Peer Mehar Ali shah Sahab (ra) ne isha ki namaaz jaldi jaldi adda kar li thee, aur 4 rak'at sunnat-e-gair mokida chhor nahin parheen theenk kaheen daku hamla na karden. "Mudasir Yaseen")

Aagy Hadrat Peer Mehar Ali Shah (ra) farmaaty hain k " Aik madrisy (Madrisa Solaita) k talb-ul-ilm (Molvi Muhammed Ghazi) ta'aleem-o-tadrees chhor kar husun-e-zan ki bina'a par bigharz-e-khidmat is muqadas safar men mery saath sharek huye thy. Un rufaqa ki ma'iyat men, mein qaafily k aik taraf so gayya thaa."

" Kya dekhta hoon k Sarwar-e-Aalam (saw) Arabi jubba zeb tan farmaa'iye tashreef la kar, apny husun-e-ba kamal se mujhy naee zindagi atta farmaaty hain. Aisaa ma'aloom hotta. aisaa ma'aloom huwa k mein aik masjid men zihaalat-e-muraqiba do zanu betha hoon."

" Aap (saw) ne ne qareeb tashreef la kar irshaad farmaya k Aal-e-Rasool (saw) ko sunnat tark nahin karni chahiye. Mein ne is haalat men AAp (saw) ki donon pindliyon ko (jo k resham se b ziyadah latef theeen) apny haathon se mazboot pakar kar nala-o-faghan karty huye "asslatu Wa'ssalam Alaik Ya Rasool-ul-Allah (saw) " kahna shuru kar diya, aur Aalam-e-mad hoshi men roty huye arz kya k Huzoor Aap kon hain ? Aap (saw) ne yahee farmaya k Aal-e-Rasool (saw) ko sunnat tark nahin karni chahiye. 3 baar issi tarah sawaal-o-jawaab huye to mein samajh gayya k Aap khud Huzoor-e-Pur noor (saw) hain. Agar koee aur buzrig hoty laazmi tor par mujhy is kalma ki ada'igi se zaroor manna farmaaty."

Ye hay wo waaqi'aa. Abhi mery pass itna time nahin hay, warna mein zaoor Aap (ra) ki zindagi par buhat kuchh likhta.

Duaoon ka talabgaar.

W'ssalam.

Edited by Mudasir Yaseen
Link to comment
Share on other sites

JazakAllah (azw)

Mudasir Bhai Wesay Waqiya Hai Too Bohat Zabardast Mujay Aata B Hai

Lekin Ap Is Ko Beyan Karain Gay Too Ziyada Ltuf Aaye Ga

JazakAllah (azw)

G Bhai waaqi'aa to buhat hee zabardast hay. Aur aap ko yaqeenan aana b chaahiye kiyoun k aap Hadart Peer Mehar Ali Shah (ra) k saaya-e-Rehamat men jo rahty hain. Aur mujh se ziyadah achha bayaan aap hee kar sakty hain, kiyoun k hum tak ye puhicha hay through books, Par aap ko to ye waaqi'aat apny Ami Abu, Dada Dadi se suniny ko mile hongy. Kiyoun k Hadrat Peer Aap (ra) ne 29th Safar-ul-muzafar 1354 A.H Bimutabiq 11th May 1937 A.D men wafaat farmaayee thee, aur aap k Dada Jaan wagherah ko to un se yaqeenan mulaqat ka sharaf b haasil huwa hoga ? Mein ne theek kaha ya nahin ?

W'ssalam.

Link to comment
Share on other sites

(salam) mashaAllah bohut hi zaberdast mera aik sawal hai kay mein nay geo t.v pay suna kay aik sunni alim they unhon nay kaha kay hathi(elephant) jo kay pehlay aik zani murd tha tu us ko badua ki wajah say hathi bana diya gaya aur rabbit aik aurat thi donkey bhi aik insaan tha aur lizard nay jab hazrat ibrahik alahis salam ko aag mien dala gaya tu lizard blow phoonk par rahi thi kay aag jaldi say lag jai aur frog pani lakur dal raha tha kay jaldi say aag khatum ho jai yee kaha tak theek hai baray-e- madina zaroor batain aur mujh ko jitnay aur janwar kay baray mein jis ko bhi ilm hoo zaroor batain
Link to comment
Share on other sites

(salam) sab ko sab k jawab milay hain lakin main nay jo sawal kia mujay mara jawab nahi mila :( kia kisi ko is k baray main nahi pata?khair hai ok Allah hafiz fi-aman:

Madeena aap ko jawaab issi liye nahin milla k aap ne abhi tak kisssi aur k sawaal ka jawaab hee nahin diya. :)

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

(salam) mashaAllah bohut hi zaberdast mera aik sawal hai kay mein nay geo t.v pay suna kay aik sunni alim they unhon nay kaha kay hathi(elephant) jo kay pehlay aik zani murd tha tu us ko badua ki wajah say hathi bana diya gaya aur rabbit aik aurat thi donkey bhi aik insaan tha aur lizard nay jab hazrat ibrahik alahis salam ko aag mien dala gaya tu lizard blow phoonk par rahi thi kay aag jaldi say lag jai aur frog pani lakur dal raha tha kay jaldi say aag khatum ho jai yee kaha tak theek hai baray-e- madina zaroor batain aur mujh ko jitnay aur janwar kay baray mein jis ko bhi ilm hoo zaroor batain

Sister Hadrat Ibraheem (as) wala waaqi'aa to bilkul theek hay. Lakin mein ne aisaa sunna hay k phoonk magar machh de raha tha, aur paani koee parinda daal raha thaa.

Aur doosiri baaten b bilkul theek hain k "Pichhli ummaton men jab koee b insaan gunaah karta thaa, to un ki sooraten maskh ho jaati theen. Koee bandar ho jatta thaa, to koee pig. Lakin Ummat-e-Muhammdiya (saw) par ye aik ahsaan hay k Hum kitny b gunaah karty hain to phir b hamari shaklen tabdel nahin hoteen. Kiyoun k Hum Aaqa (saw) ki ummat hain.

Lakin hadith shareef men ye b aaya hay k: Aap (saw) ne aik martaba sahaba kiraam se farmaya k "Meri ummat k aakhiri dor men logon ki shaklen tabdeel ho jaayen gi." To Sahaba-e-kiraam (ra) ne arz kiya k "AAqa (saw), kya wo musalimaan nahin hongy kya?" To aap (saw0 ne farmaya k "Kiyoun nahin ? Wo to namaaz, roza, zakaat aur haj sab ki pabandi karen gy, Lakin un men ye buraee aam ho jaaye gi k wo gaany baaje, Sharaab aur aurat k munh se gana sunine gy. Aur poori raat wo gaana sunty aur sharaab peety rahen gy, lakin jab subah ko uthen gy to un ki sooraten mas'kh ho chuki hoongi. Koee bandar to koee pig ban gaya hogga."

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Aap ka ye question meri samajh shareef men to aaya hee nahin hay, lakin phir b koshish kartta hoon. lol

Kiyoun k ye koee specific question to hay hee nahin, ye to aik general question hay, is k kaee answers ho sakty hain.

Waqt to koee b ho sakta hay, jaise Past (maazi) , Present (haal) aur future (mustaqbil). Aur haal jo abhi jo waqt chal raha hay. m i rite ?

W'ssalam

(salam) masalah jazkallah thanks fo ans to ham is ko iss tarah nahi kah saktay k jo jesam hai wo waqat hai or rooh hai jo wo hall hai main nay b is question ka answer kisi say pocha tha to unow nay ye jawab dia..jo main nay oper bian kia. (wasalam)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

PLz Word Allah Ka 1st Word Cap Main Likha Karain jazakAllah (azw)

(salam) jazkallah lakin bai ham is ko urdu main kasay ALLAH lafaz bara dalain gay ?plz is ka b answer dain k likhna to ham nay ALLAH he hota hai urdu main likahin ya eng main?baray madina tahmal say answer dijay ga plz agar maree bat buri lagy to muafi.... (wasalam)

Link to comment
Share on other sites

(salam) jazkallah lakin bai ham is ko urdu main kasay ALLAH lafaz bara dalain gay ?plz is ka b answer dain k likhna to ham nay ALLAH he hota hai urdu main likahin ya eng main?baray madina tahmal say answer dijay ga plz agar maree bat buri lagy to muafi.... (wasalam)

Madina

Actually english men har shakhs ka naam Capital letter se start kya jatta hay, jaise Aap ne nick hay "Attaria786". To hum agar kissi person ka naam capital letter se start kar rahy hain, to Allah (azw) k naam ki ta'azeem to is se ziyadah karni chahiye na, na k is se kam. Is liye ALLAH (azw) hameshah capital letters men hee likhen.

Baaqi aap ne kaha k kaha k urdu men capital kaise likhen gy, to is ka jawaab ye hay k "URDU" men letter "Alif" hameshah capital hee hotta hay, wo samall men ho hee nahin sakta.

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...