Jump to content

Sawal: Ilm E Ghayb.


MuhammedAli

تجویز کردہ جواب

Salam alayqum,

Agar kohi likhay kay Surah Jinn ki ayaat 26 mein Allah nay apnay Qull ilm ka zikr keeya heh, yehni Allah apna Qull ghayb kissi ko ... Aur kehta heh kay Allah nay agay kohi takhsees nahin kee baaz ilm ki, aur farma deeya kay, atah nahin karta siwa-hay chunay huway Rasool kay, yehni alim ul ghayb apna QULL ghayb atah nahin karta siwahay chunnay huway Rasool , jistera yeh engrezi meh likhta heh:

 

"We have seen this prove many times but we never notice that this evidence proves that Rasul صلی اللہ علیھ وآلھ وسلم posses complete knowledge of Unseen, now we'll see from this angle: ... Surah Jin: ... Now just tell me here in this verse Allah is talking about less or incomplete knowledge, or Complete all knowledge? Allah said in this verse He is the knower of Unseen, so does this means He knows less incomplete (Maz-Allah) or Complete ? I hope ur answer will be complete becz there is nothing Hidden from Allah, He Knows All complete knowledge of Unseen. Now without changing this condition without any type of Modification in the quantity of knowledge that is discussed in verse number 26, without any change in quantity Allah Directly said in very next verse that is Verse number 27: ... So dear reader it is now 100% clear that Allah discussed complete knowledge of Unseen in verse 26 and without modifying without changing its quantity without using any word like partial limited incomplete etc Allah directly said and made it clear that He has also blessed this knowledge (whose quantity is mention in previous verse) to  none except His most beloved and dearest Prophet ..."

Yehni yeh nazria rakhta heh kay Allah nay apna QULL ilm e Ghayb RasoolAllah ko ata farma deeya, yehni quantity mein farq nahin donoon zaatoon kay ilm meh, sirf Zaati aur Atahi ka farq heh, aur yeh us'see ki takhsees heh, jis ki ibarat quote nahin kee. Aur apnay nazriyeh ki tafseel meh likhta heh:

"Ab ager koi nadaan Rasul صلی اللہ علیھ وآلھ وسلم kay ilm mai kami keray tou yaad rakhay wo Rasul صلی اللہ علیھ وآلھ وسلم kay ilm mai kami nahi ker raha wo Allah kay knowledge mai kami ker raha hai (Astagfirullah) kay Allah pehlay ye yakeen delata hai kay Zaati tour per wohi kul ilm ka malik hai na kisi ki majal kay usay kuch ata keray na kisi ki jurrat kay Us say lay sakay, mager Allah jisay chahay usay apnay Zaati ghaib say ataa kerday Apna zaati ghaib zahir kerday Ye Allah ki shaan hain or Us nay aisaa kiya tou apnay Habib-e-Mukaram Rasul-e-Do-Alam Huzur (صلی اللہ علیھ وآلھ وسلم.) kay liye kiya. Yani Allah ka jitna zaati Ghaib hai Allah nay Apnay Habib صلی اللہ علیھ وآلھ وسلم ko us say agaah ferma diya. Jab khud Rab na chupa Huzur صلی اللہ علیھ وآلھ وسلم say tou kia koi baat wo chupata rahay ga?"

Agar kohi yeh aqeedah rakhay, kay Allah ka jitna bi Zaati ghayb thah Allah nay Nabi e kareem ko atah kar deeya toh sawal heh, ke esay banday nay Shirki aqeedah apnaya ya tawheed wala?

Forum kay Ahle Ilm Hazrat including, Allama Saeedi sahib aur Maulana Khalil Rana sahib zeroor rehnumahi farmahen. Baqi Sunni baee apna nazria bi batahen.Mein apna mowaqif ussay bata chuka hoon aur samja chooka hoon aur Sayyidi Taajush Shariah ka Fatwah bi bata chuka hoon magar banda man-nay par nahin tiyar. Mera kia nazria heh aur Sayyidi Taajush Sharia ka Fatwah kia thah batana nahin chahta taqay aap logoon ko influence nah kar sakoon. Mujjay yaqeen heh kay woh manay ga phir bi nahin magar us kay khilaf ek hujjat qaim ho jahay gi.

 

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

bhai ap Imam-ul-Hind Ahmad Raza Khan qadri  (ra) ka ilm-e-ghaib pe ye risala read kar lain..

 
الدولة المكية بالمادة الغيبية

Ad-Dawlatu’l Makkiyah bi’l Māddati’l Ghaybiyyah

علم غیب پر لاجواب دلائل سے بھرپور کتاب جس نے منکرین کے منہ بند کر دئیے.یہ کتاب اعلی حضرت نے مکہ ء مکرمہ میں صرف .
آٹھ گھنٹے میں بغیر مراجعت کتب تصنیف فرمائی

http://www.alahazratnetwork.org/modules/TDMDownloads/singlefile.php?cid=1&lid=294

Link to comment
Share on other sites

ye Dusri kitab bhi hy isi Mozu pe urdu mein..Imam-ul-Hind Ahmad Raza Khan qadri   (ra) ki..

 

 

 
Izākhatu’l Áyb bi Sayfi’l Ghayb

إزاخة العيب بسيف الغيب

عیب کو دور کرنا غیب کی تلوار سے
 

http://www.alahazratnetwork.org/modules/TDMDownloads/singlefile.php?cid=1&lid=258

Link to comment
Share on other sites

منکرین علم مصطفےٰ ﷺ اپنی گمراہی کی وجہ سے یہ سمجھتے ہیں کہ


اللہ تعالیٰ عزوجل کا علم ماکن ومایکون ہی  میں منحصر ہے یعنی متناہی ہے۔


لیکن جو کچھ ہوسکتا تھا اور نہیں ہوا، یہ بھی تو اللہ تعالیٰ کے علم میں ہے، یعنی اللہ تعالیٰ کا علم غیر متناہی ہے۔،


علم الٰہی کے بارے میں ان کا عقیدہ یہ بھی ہے کہ اللہ تعالیٰ کو پہلے علم نہیں ہوتا


غیب کا دریافت کرنا اپنے اختیار میں ہو کہ جب چاہے کیجئے یہ اللہ صاحب ہی کی شان ہے۔تقویۃ الایمان


اور


انسان خود مختار ہے ،اچھے کام کریں یا نہ کریں،اور اللہ کو پہلے اس سے کوئی علم بھی نہیں کہ 


کیا کریں گے بلکہ اللہ کو ان کے کرنے بعد معلوم ہوگا۔بلغۃ الحیران


Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Salam alayqum,

Hazrat, yeh kohi munkir e ilm e ghayb nahin, balkay yeh ek ghali 'Sunni' heh. Us ka nazria heh kay Allah aur RasoolAllah kay ilm kee miqdar mein kohi farq nahin, yehni Allah aur RasoolAllah ka ilm ghayr muntahi honay mein barabar heh, kehta heh kay farq sirf yeh heh kay Allah ka ilm Zaati heh aur RasoolAllah ka Atahi.

Sawal yeh heh kay: Jis banday nay Allah aur RasoolAllah kay ilm ki quantity/miqdar mein masawat qaim ki woh Mushrik heh ya Muwahid?

Khadam nay us kay nazriyeh ko Shirk aur ussay Mushrik tehraya aur Sayyidi Taajush Shariah nay us kay aqeedeh par Kufr ka hokam jaari keeya. Keun kay us banday ko Sayyidi Taajush Shariah say nafrat heh aur keun kay mein fareek e mukhalif hoon is waja say woh mannay par tiyar nahin aur apnay aqeedeh ki islah nahin kar raha. Is waja say yeh masla aap hazraat ko pesh keeya keun kay aap ba-hasiyat e ghair janab-dar ho kar fesla denh. Is iraday say kay shahid woh islah kar leh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

حضرت میں نے اوپر بتا تو دیا کہ علم الٰہی عزوجل غیر متناہی ہے یعنی اس علم کی انتہا نہیں،کیونکہ ممکنات کا علم اللہ تعالیٰ ہی کو ہے،


اور حضور نبی کریم ﷺ کا علم متناہی ہے یعنی جو کچھ ہوا اور جو ہونے والا ہے،یہ آپ ﷺ کو بتلادیا۔


اور جو کچھ ممکن ہوسکتا تھا اور نہیں ہوا ،یہ علم تو اللہ ہی کو ہے، کیونکہ ممکنات کاعلم تو غیر متناہی ہے ،اس کی تو انتہا نہیں۔


تو متناہی اور غیر متناہی کیسے برابر ہوسکتے ہیں؟


Edited by Khalil Rana
Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

Salam, Ali Bhai

Jo shakhs esa aqeeda rakhe ke Jitnta ilm Allah azo wajal KO hai utna hi Rasool Allah KO to esa aqeeda rkhana shirkiya hai.

Iske Talluq se aap,Mufti AKMAL madani ki AL Furaqn serires ke program No.18,ke aage se sun sakte hain or aap Ye video Bhi dekh,sakte hain iske ilawa Bhi mufti,AKMAL ke or bayan Bhi hain is per

 

 

 

Niche main MUFTI AKMAL,sb ka bayan likh raha hun

 

 

MOZOO:SHIRK OR BID’AT

BISMILLAH HIR REHMAAN NIR RAHEEM

 

“SAHIH MUSLIM KI RIVAYAT HAI ALLAH KE RASOOL FARMAATE HAIN AGER KISI NE MUSALMAAN KO KAFIR KAHA OR VO KAFIR NAA HO TO YE KUFR KHUD KEHNE VAALE PE LOT AATA HAI OR KEHNA VAALA KHUD KARIF HO JAATA HAI”

Awam main aaj kal SHIRK se mutalliq badi becheni payin jaati hai vajah kya hai ki baz waqat kuch galt fahmiyon ki bina per ek SHIRK ki top kayam kar di jaati hai or us se shirk ke golon ki salami hoti rehti hai SHIRK SHIRK SHIRK ? or lagta hai ki duniya main koi mushriq bina hoye rahega hi nahi aaj lagta hai her ek mushriq hai J J J J her cheez shirk ?

ESA NAHI HAI

MAIN AAPKO SHIRK KA MUANA/MAFHOOM SAMJHATA bade hi asaan andaaz main

SHIRK ka lugvi/dictionary matlab hota hai shareek karna shareek thehraana or SHARAYI MATALAB hota hi ki ALLA KI ZAAT YA USKI SIFAAT/KHUBIYAN KE SAATH KISI GAIR KO SHAREEK KARNA

JO zaat ke saath shirkat hogi use SHIRK FI ZAAT kaha jaata hai or ager koi sifaat main shirkat kar de to use SHIRK FI SIF’AAT kaha jaata hai.

Shirk fi zaat main minimum 3 surten banti hain

1)Jese Allah hamesha se hai vesa kisi or ko manna.( Allah ki zaat kadeem hai) ye shirk hoga.

2)Allah ke siwa kisi bhi makhlook ko laik e ibadat samajhna ( jese but parast,aatash parast) ye bhi shik fi zaat hai.

3)Allah ke liye aulaad/beta/beti ka tasaw wur rakhna ye bhi shirk fi zaat hai (jese christian)

SHIRK FI SIF’AT

Allah azo wajal ki jitni bhi sifaat hain wo JIN KHUBIYON SE MUTASIF HAIN ya un sifaat main jo KHUBIYAAN PAYI JAATI HAIN unhi sifaat ko kisi makhooq ke liye unhi KHUBIYON KE SAATH maan lena ye SHIRK FI SIF’AT KEHLATA HAI.

Allah ki saf’at ,main kam se kam 4 khubiyan zaroor hongi

KUBIYAN 1) ALLAH ki har sif’aat KADEEM HAI/hamesha se hain or hamesha rahegi.

2)Allah ki tamam sif’at ZATI HAIN. (kise ne ata nahi kiya)

3)Tamam sif’aat LA MAHDOOD HAIN, (jis ki koi had hi nahi hai)

4)Tamam sif’aat GAIR E FAANI (KOI bhi sif’at per kabhi fana nahi hai/kabhi khatam nahi hogi)

Ab ager koi MAKHOOQ ke ander in 4 main se 1 bhi KHUBIYON KO MAAN LEGA VO MUSHRIQ HO JAYEGA

Jese 1)ager koi kahe ki falan wali ka ilm KADEEM hai vo mushriq ho jayga.

2) Makhlooq ki jitni sif’aten hain vo tamam Allah ne ata ki hai or atayi hai.( ager koi kahe ki allah ka wali madad kar sakta hai bina allah ki ata ke to phoran mushrik ho jayega, kyunki bina allah ki ata ke bina koi ek tinka bhi nahi de sakta)

3)Ager koi kahe ki makhlooq ki sif’at ki koi had nahi/la mahdood kahe to phorun mushriq ho jayega

[NOTE: ek hai makhooq ki sif’at ko la mahdood manna or ek hai makhlooq ki sif’at ki had kya hai ye nahi pata donon alag baten hain. Jess Allah ke rasool ka ilm kitna hai ye ham nahi bata sakte lekin ye zaroor manna padega ki nabi ka ilm ki had hai/mahdood hai ye shirk nahi hoga.lekin kitni had he ye ham nahi bata sakte]

4) Makhlooq ki sif’at fana/khatam ho sakti hai.

[NOTE:ye zaroori nahi ki faani ho to fana bhi ho jaye, jese Hamare nabi ke sif’at jo allah ne nabi ko ata farmaya us per ab fana MUMKIN hogi nahi lekin faani hai.kyunki Qur’an main aata hai SURAH AD DHUHA

AAYA NO.-4 “INDEED THE LATTER IS BETTER FOR YOU THAN THE FORMER”]

Ager koi uper ke 4 ko na maane to kaynaat main koi shirk se bach hi nahi sakta

Misaal ke tor per aap ne jo kapde pehen rakhen hain uska maalik kon hai ya aapka ghar ka malik kon hai to aap kahenge ki aap khud hai Lekin qur’an main hai ki JO KUCH ZAMEEN MAIN HAI OR JO KUCH AASMANON MAIN HAI USKA MAALIK SIRF ALLAH HI HAI ab batayiye aap mushirq ho gaye ya nahi allah keh raha hai ki main malik or aap keh rahe hain ki main maalik ab batayiye milkiyat main SHIRKAT AA GAYI YA NAHI. AAP kese SHIRK ke ilzaam se bari honge to ab JAWAB UPER KI KHOOBIYON SE AAYEG. Aap kahenge ki allah ka malik hona kadeem hamara gair e kadeem, uska zaati mera atayi, uska gair faani mera faani, uska la-mahdood mera mahdood.

SHIRK KHATAM HO GAYA

EK or misaal lijiye Allah bhi dekh raha hai or aap bhi ye shirkat hui ya nahi to aap kahenge ki nahi kyunki allah ka zaati,gaire faani, la-mahdood,kadeem hain or hamara iska opposite.

Ab aaten 1)ILM E GAIB KI TARAF

ALLAH KE LIYE ILM E GAIB SABIT HAI main kehta hun ki nabi ki liye bhi sabit hai, ab aap kahege ki ye to shirk ho gaya main kahoonga nahi,Allah ka ILM E GAIB KADEEM, LA-MAHDOOD, GAIR E FAANI, ZAATI. OR NABI KA GAIR E KADEEM, MADOOD, FAANI{lekin fana mumkin hai lekin hogi nahi daleel uper di gayi thi},OR A NABI KA ATAYI.

Jab aap uper in 4 daleelon ko dekar shirk se bach gaye to nabi ka ILM E GAIB kese shirk ho sakta hai.

2) Milaad e mustafa ko kuch log kehte hain ki shirk hai LAHOLA WALA KUVAT jitna milad e mustafa shirk ko KHATAM karti hai utna koi nahi karta,daleel ki Milaad paidayish se hai or ALLAH KO KISI NE PAIDA NAHI KIYA, BANDA HI PAIDA HOTA HAI ALLAH NAHI YAHAN ye pata chala ki ye shirk nahi hai ab khuk batayiye ke bachkaana baat hai ya nahi.

3){ya rasool allah kehna}Nabi ko door se pukarna shirk hai kuch log kehte hain or in logon ki daleel ye hoti hai ki sirf allah door ki aavaz sunta hai to nabi nahi sun sakte. ZARA GAUR SE PADIYE GA AAGE ye ilzaam sara sar be buniyaad hai kyunki HAMARA RAB TO DOOR KI AWAAZ SUNTA HI NAHI HAI ,aap kahenge ki ye aap kya bol rahe hain, main kahoonga ki main bilkul sahi keh raha hun KYUNKI PEHLE US CHEEZ KA NAAM BATAYIYE JIS AALA TA’ALA DOOR HAI. Kyunki qur’an main aata hai ki allah to tumhari shah rag se bhi zyada kareeb hai to yahan se pata chala ki door ki awaaz sunna to nabi ka hi khassa ho sakta hai, shirkat kahan se ho jayegi

4) isi tarah kisi makhooq se mangna shirk nahi hoga kynki Allah ka dena kadeem,zaati,gair e faani,la mahdood or kis makhlooq ka dena gair e kadeem,allah ki ata se, faani, mahdood.

Dusri daleel qur’aan main aata hai ki E MOMINO NAMAZ OR SABAR SE MADAD TALAB KARO(ab batyiye ye to gair ullah hai jab aapki namaz jiska pata bhi nahi ki kabool ho gi ya nahi us se madad jayez to jo ALLAH KE NABI JO BESHAK ALLAH KI BARGAAH MAIN MAKBOOL HAIN unse madad mangna kese shirk ho sakta hai)

UPER SE PATA CHALA KI BINA ALLAH KI ATA KE NABI BHI EK PAANI KA KATRA BHI NAHI DE SAKTE LEKIN ALLAH KI ATA SE BAHUT KUCH DE SAKTEN HAIN OR NABI YA WALI SE MADAD JAYEZ HUI.

YE ZAHAN MAIN ZAROOR RAKHEN KI ALLAH TA’ALA SE MADAD TALAB KARNA AFZAL WA AALA HAI,BE shak allah hi madad karne waala hai uski hi dast e kudrat main ham sab ki jaan hai .

Note karne waali baat ye hai ki allah jab bhi deta hai to waseel se hi deta hai.Daleel mujhe ek esi cheez bata den jo barahe raste aapko direct allah ki taraf se mil gayi ho,her cheez ke liye ek dusri cheez ka waseela ban rahi hai, aap kaynaat main aaye maan-baap waseela ban gaye, aap ki parwarish hui maan ka doodh waseela bana,phir roti khana waseela ban gaya,har cheez ke liye allah ne ek waseel kayam kiya hai, TO ALLAH KISI WASEEL E KA MOHTAAJ NAHI LEKIN YE USKI AADAT E KAREEMA HAI KI WASEELA KAYAM FARMAATA HAI, TO VO GAIR E MOHTAAJ HOKAR WASEELA KAYAM KARE OR HAM TO KHUD MOHTAAJ HAIN AGER HAM SUNNAT E ILAHIYE SE WASEELA TALAB KAREN TO YE KESE GALAT HO SAKTA HAI.

ISLIYE YE AQEEDAH HONA chahiye ki dene waali jaat allah ki hai aur tamam nabi, auliya allah, sahaba e ikraam us allah ta’ala ki raah main ek waseela hain or vo hamain ata farma rahe hain

Ab main aap se puchta hun ki batayiy angoothe choomna shirk hai nahi to aap sochne ke baad kahenge ki ye kese shirk ho sakta hai na ye allah ke liye khas na isme shirk fi zaat, hai nah shirk fi sif’at hai.Nabi ke naam ko sun kar ager koi anghut chum raha hai to kya vo nabi ko maabood samajh raha hai ,kadeem samajh raha hai, khaliq samajh raha hai, NAHI NAA to phir shirk kese hua.

Ye bilkul bachkaana baat hai ki anghute chumna shirk hai. Ye itna aasan nahi ki jita ham sab ko shirk keh dete hain or mushriq bana dete hain.Alhamdolillah ham MUSALMAAN hai hamen shirk se SHADEED NAFRAT HAI MUSHRIK BILKUL JAHANNAMI HAI YE HAM MANTE HAIN lekin wakayi mushrik ho ye nahi ki hum musalmaan ko mushirk bol bethen

YAAD RAKHIYE KI AGER KISI MUSALMAAN KO MUSHRIK KEH DIYA TO “SAHIH MUSLIM KI RIVAYAT HAI ALLAH KE RASOOL FARMAATE HAIN AGER KISI NE MUSALMAAN KO KAFIR KAHA OR VO KAFIR NAA HO TO YE KUFR KHUD KEHNE VAALE PE LOT AATA HAI OR KEHNA VAALA KHUD KARIF HO JAATA HAI”

AB BATAYI LOG KUCH LOG KEHTE HAIN KI AJMER KI DARGAAH YA PAKISTAAN MAIN DATA SAHAB KA MAZAAR SHIRK ADDA HAI OR SHIRK HO RAHA HAI,log sajde kar rahe hain vagerah vagerah MAIN ek nafees baat kehta hun zara si tawajjo se padiye ga apni SABIKA zindagi pe nazar daalen or dayanat daari ke saath sochiye aap ne apni zindagi main kisi ko SAJDA E IBADAT KARTE DEKHA HAI (yahan per sajda e ibadat likha hai naaki sajda e taziimi) beshaq aap ne nahi dekha hoga.AAP khud sochiye ki jahil se jahil bhi sahib e mazar ko maabood samajh kar sajda karega aap kahenge nahi bilkul nahi to aap kon hote hain shirk ka fatwa lagane waale Or haan ager aap kisi ko sajda e taazimi bhi karte dekhen to usse vo kafir ya mushriq nahi hoga aap usko samjhaye bhai ye galat or ye haram hai. Ab yaad kariye vahi muslim ki rivayat ager aap ne us sajde per use kafir ya mushrid keh diya to aap jo takwe ke pekar bane hue hain or tawheed ka theka le rakha hai aap khud ba khud kafir ho jayenge.

Ager aap is daleel ko sahi na samjhe to ruhe zameen per her insaan mushriq ho jayega jese

Masjid main ek aadmi khada ho gaya or kehne laga ki tamam namazi mushrik ho gaye to namazi kehne lage kese to aadmi kehta hai ki main dekha ki imaam sahab deewar ko sajda kar rahe the 1 saf imam sahab ko 2 saf pehle saf ko sajda kar rahi the is liye aap sab mushrik ho gaye to ab sab kalma pado to kya sab namazi kalma padna shuru kar denge har giz nahi vo us aadami ko kalma padvaayeng e or kahenge HAM LOG BA ZAHIR EK DUSRE KE SAMNE JHUKE HUE THE LEKIN HAMARI NIYAT ASAL MAIN ALLAH KO SAJDA KARNE KI THI. MALOOM HUA ki niyat ka aitbaar hai jhukne ka nahi. Ager jhukne ka aitbaar hota to aap jhoote dhundh ne ke liye niche jhukte or mushrik ho jaate J J J J

Ab batayiy ager koi sahib e mazar ke aage jhuka hua hai to uski niyat aap kese pata lagaynge.

Nabi ke liye to aap deewar ki phiche ka ilm bhi naa mane or is aadmi ke andar aap is ke dil ki niyat ka pata laga kar fatwa de deven ye to badi ajeeb baat hai.INTIHAYI GALAT CHEEZ HAI.

Mera akhri sawal ager ab bhi aap kahen ki nabi ka ilm e gaib manne waala mushirq hai to ye batayen phir jis imaam ke peeche namaz padten or vo ye ilm e gaib manta ho to uske peeche aapka namaz padna kesa. Ager mushik samajh kar namaz pad rahe hain to mushrik ke peeche namaz padna KUFR HAI. Or ager musalmaan samajh kar pad rahe hain to MUSHRIK KO MUSALMAAN SAMJHNA WAPAS SE KUFR donon surton main koi nahi bach sakta.

Hakikat main ye baaten jaali ulema ki suni vi hoti hain or in ki koi asal nahi hoti, inhe zaban se ada kar diya jaata hai, Aur jab is ki haqiqat per gor kiya jaata hai to Parde khulte chale jaate hain KI HAM AAPAS MAIN BAHUT ZYADA GALAT PHEMIYON KA SHIKAAR HAIN. MUSALMAAN MUSHRIK NAHI HAI. YE SAMAJH NE KI ZAROORAT HAI HAAN JO GALAT HAI VO GALAT HAI USE KABHI KOI SAHI NAHI KAHEGA MAIN NAHI KAHUNGA KI MAZAR PAR HONE WAALI HAR CHEEZE SAHI HAI URSON KE ANDER HONE WAALI HAR CHEEZ SAHI HAI

DOL TAASHE, NAACHNA GAANA, AURTON MARDON KA MILNA YE GANDI HARKAAT HAMARE BUZURGAAN E DEEN NE BILKUL NAHI KI IN KO MANA FARMAAYA.

LEKIN AGER KOI AMAL JISKA DIFA/MANAHI QUR’AN WA HADEES SE SABIT NAHI TO USKO GALAT NA KAHIYE. SOCHE SAMJHE BINA AGER AAP KAHENGE TO AAP KHUD BHI NAHI BACH SAKENGE

BUS akhri masla main or ek le leta hun ki log kehte hain ki milad bid’at hai, gyarvhi bid’at hai.

WHAT IS BID’AT?

Bid’at kehte hain nai cheez ko, jo bhi naya kaam deen va duniya main aaya ro vo nabi e kareem ke dor main na than use Bid’at kehte hain. OR HAR BID’AT BURI NAHI HOTI.

Ager koi kaam nabi e kareem ke dor ke baad ijaad hua or qur’an wa hadees ke khilaaf hai to use BID’AT E SAYYIAH/BURI BID’AT KAHA JAYEGA or ye jahannnam main hai[NOTE: jo sarkaar ne farmaaya har bid’at gumrahi hai usse muraad ye waali bid’at hai]

OR ager koi nabi e kareem ke baad ijaad hua or vo kaam deen k liye faydemand hai or qur’an or hadees ke khilaaf nahi hain ise bid’at ko BID’AT E HASNA/ACHI BID’AT .

Or ager koi kaam naa faydemand hai or nahi qur’a n or hadees ke khilaaf hai to is ko BID’AT E MUBAH kahte hain.

Jese masjidon per minaar or gumband kis ne banaye, asal main is ko banane ki ijazat ulema e ikraam ne di kyunki aaj ke dor main makaan pakke ho gaye to musafir pata chal ki masjid konsi hai or ghar konse. AB batayiye ye bid’at hai or ye aap ko har firqe ya jam’at ki masjid per nazar aayenge vahan jaake bid’at ka fatwa kyun dam tod deta hai. MEHRAAB nabi e kareem ke dor main nahi the sirf sidhi deewar hua karti thi, mehraab to taba tabyin ke dor main jaake banna shuru hui.

NAMAZ ki jamaat ke liye time fix karna , fajr itne baje hogi, isha itne baje.NA NABI E KAREEM NE FIX KIYA NA SAHABA E KIRAAM NE, jab jama ho gaye namaz pada di koi time fix nahi hota tha aaj her maktaba e fikr ke masjid main namaz ka time fix hai. AB ye bid’at nazar kyu nazar nahi aati to maaloom hua ki her bid’at buri nahi hai. AB qur’aan ko hi aap dekh len airaab(zabar, zer, pesh) SAHABA E IKRAAM KE DOR MAIN QUR’AN PER NUKTE TAK NAHI THE.

Hajaz bin yusuf jo ki ek zaalim baadshah tha us ne qur’an pe airaab lagvvaye, kya ye bid’at nahi hai ager hai to yahan per bid’at ki bandook ki goli kyun khatam ho jaati hai.

Hazrat e AAYESHA siddiqa umme haatul momineen farmaatin hain ki nabi e kareem ke dor main jo sab se pehle bid’at zahir hui vo pet bher ke khana hai.

TALIB E DUA

typing kuch galti ho to muaaf kar dijiyega.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...