Jump to content

Ahem Scen Darkar H


ABD E MUSTAFA

تجویز کردہ جواب

GUSTAAKH E RASOOL ki Saza

 

 

1) ULAMA E AEHNAAF (RehmatULLAH Aleh) ka Fatawa:

 

Tarjuma: " Anmbiya E Karaam (Aleh Salaam) main se kisi bhi NABI (ALEH SALAAM) ko Gaali denay k sabab se Kaafir honey waalry ko Qatal kiya jae ga, aur is ki Toba kisi bhi tarah Qabool nahin ki jae gi, aur agar is ne ALLAH Azzawajal ko Gaali di hoti (Aur Toba karta to) Qabool kar li jaati, is liye k yeh ALLAH TA'ALA ka Haq hai, (Jo Toba se Maaf hojaata hai) aur Pehli Baat (k kisi NABI ko Gaali dena) Haq Ul Abad hai (Yaani Bager Banday k Maaf kiye HAQ UL ABAD maaf na hoga) aur jo is k (Yaani Gaali denay Waaley k) Kufar aur Azaab main Shak kare woh khud kaafir hai"..

(Allama Alawuddeen haskafi, " Dar E Mukhtaar ", jild#3, PAge#400, Matboo'a Marba'a Usmaniya, Istambol)

 

2) Ulama E Maalikiya (RehmatULLAH Aleh) ka Fatawa:

 

Tarjuma: " Syedina Muhammad Bin Sehnoon (RehmatULLAH Aleh) ne Tehreer Farmaya, k Ulama E Karaam (RehmatULLAH) ka Ijmaa hai k NABI (Aleh Salaam) ko Gaali denay Waala, tauheen karney waala Kaafir hai, aur us par ALLAH Azzawajal k azaab ki Wa'eed jaari hai, aur us ki Saza tamaam Ummat k nazdeek Qatal hai, aur jo us k Kufar aur Azaab main Shak karey woh khud Kaafir hai "

(Allama Ayaaz Bin Sanhoon Moosa indalsi Maaliki, " As Shifa " Jild#2, Page#190, Matboo'a Abdul Tawwaab Acedmy, Multan)..

 

3) Ulama E Shawafey (RehmatULLAH Aleh) ka Fatawa:

 

Tarjuma: " Aur Syedina Ibn-E-Manzar (RehmatULLAH Aleh) ne Naqal kiya hai, k is par Ittefaaq hai k jis ne HUZOOR (ALEH SALAAM) ko khulley Alfaaz main Gaali di, usey Qatal karna Waajib hai, aur Shafiya k ek Imaam Syeduna Abu Bakar (RehmatULLAH Aleh) ne " Kitaab Ul Ijmaa " main Naqal Farmaya, k jis ne Khulley alfaaz main HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Gaali di, to us k Kufar par Ulama E Karaam (RehmatULLAH Aleh) ka Ittefaaq hai, agar Toba karey to phir bhi Qatal us par Saaqit na hoga (Yaaani Qatal kiya jae ga) is liye k NABI (ALEH SALAAM) par Tauhmat ki saza Qatal hai, aur Tauhmat ki saza toba se Saaqit nahin hogi "

(Fatah Ul Baari, Jild#12, Page#281, Daar Ul Nashar Ul Kutub Ul Islaamiya, Lahore)

 

4) Ulama E Hanaabla (RehmatULLAH Aleh) ka Fatawa:

 

TArjuma: " Aur jis ne ALLAH Azzawajal ko Gaali di, woh Kaafir hai, khuwah Gaali Mazaak main di ho, aur isi tarah jis ne ALLAH Azzawajal ka MAzaak Uraaya, ya us ki Aayaton ka, ya us k RASOOL (ALEH SALAM) ka ya us ki kitaabon ka, jesa k ALLAH Azzawajal ka Farmaan un munaaafiqon k Baarey main hai, jinhon ne HUZOOR (ALEH SALAAM) k Muqaddas ILM k Baarey main Mazaak Uraya " Aur Agar tum un se pucho ge, k unhon ne kiya Kufar Baka, to yeh zarur kahenge, hum to Mehaz Mazaaak kar rahey the, tum farmao k! ALLAH Azzawajal aur un ki Aayaton aur us k RASOOL ka Mazaak uraa rahey the ?? Bahaaney main banao, tum yakeenan Eemaan Laaney k baad Kaafir ho chukay ho " ..

(Al Mugin, Jild#9, Page#33, Daaar Ul Fiqar beroot)

 

Ibn-E-Temiyah ki Gawahi:

 

Yahaan tak to Ulama E Islam (RehmatULLAH) k Fatawa aap ne parhey, ab Wahabiya k shiekh Kabeer Ibn E Temiyah ki Gawahi bhi Mulaahiza Farmaen..

 

Tarjuma: " Muhammad Bin Sanhoon (RehmatULLAH Aleh) ne Farmaya, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko gAali deney waala aur tauheen karney waala Kaafir hai, aur is PAr Azaab-e-Ilaahi Azzawajal ki Wa'eed aai hai, aur is mas'alay main tehkeek yeh hai k agar Gaali denay waala Musalmaan hai to Bil ittefaaq Kaafir Qaraar diya jae, aur Qatal kiya jae, aur yahi 4 (Chaaron) Aaemaah wagera (RehmatULLAH) ka Mazhab hai..

(Page#4, AlSaaram Al Maslool, Matboo'a Nashar Us Sunnah, Multan)

 

Umeed karta hun k Tamaam Musalmaan in Fatawon pe Ittefaaq karnege, jis ko in Fatawon pe Ittefaaq nahin, woh bhi bata de, aur agar main Galat hun to meri Istalaah kar den.. JazakALLAH

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...