Jump to content

Ahlehadees


Talinenoor

تجویز کردہ جواب

  • جوابات 54
  • Created
  • Last Reply

Dear its Quran by ALLAH subhan wa tallah

 

mujhe kia molvi jo marzi kahtay rahain

 

unless k woh mujhe koi reference na dain Quran se ya authentic hadith se

 

molviyo ka kia hai batain kartay rahtay hain

 

main ne unhain apna rabb thora hi banaya hai as referenced by verse 31 of Surah Tauba with its tafseer in sahi bukhari vol 6 which is written above ...

Edited by Sarfaraz
Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Jahan tak taluq hai Angrezon se Ahlehadees naam ka ijraa to iss main kon si burri baat hai. Jo hamara haq tha ham ne hasil kia. Aaj ager India main Babri Masjid ka faisla Musalmanon k haq main aa jaata hai to kia yeh kaha jae ga k Babri Masjid hindu logon se hasil ki gai hai. Zahir hai Babri masjid musalmanon ki hi hai. Issi tarah ahlehadees naam pehle bhi istimaal kia jaata tha, mager jab iss ko wahabi ke naam se pukara jane laga to asal baat tasleem kerwai gai k ham Ahlehadees hain, Al-Hamdulillah

Kam se Kam ya-Muhammadah ki yeh galat-fehmi to door ho k Ahlehadees banana na-mumkin aur jhoot hai.

wasalam

 

 

Miya ye aap ka haqq nahi aap ke libada hai jisay oorh kar sunniyo ko behkana ka mission shuru kya gaya. Warna awaam tu aap ko Wahabi ke naam se pukarti thi aur iss ka saboot khud aap Ghair'muqallideen ke jayyad ulema ki kitabo se sabit hai. Raha aap ke ye dawa ke "Ahle'Hadith" ki nisbat pehlay bhi istimaal ki jati thi tu uss ka saboot tu paish karna aap ke zimmay. Balkay yaha tu zaroor 2 batoo ka saboot dene ki hogi. Awwal tu ye ke ba'qaida officially "Ahle'Hadith" ke naam se koi jamaat mojoud thi, aur agar aisi koi jamaat thi tu kya uss ke aqaid wohi thay jo aaj ki mojoudah naam'nihad Ahle'Hadiths jamat ke hain?

 

Waisay yaha aik baat samajh nahi aati. Ye jo Istiaanat ke mouzo per Wahabi bawlay shirk biddat ke fatwo ki firing kartay phirtay hain, yehi fatwa inhay apnay akabir per maartay itni sharam kyu aati hai? Matlab Wahabi ke naam se pukaray janay per khud ko "Ahle'Hadith" kehalwaya bhi tu British government se! Usooli tour per tu chahiye tha ke khullay asmaan ke neechay Allah se dua kartay kartay iss naam ko khud ke liye alott kartay. Khair baat niklay gi tu phir door talak jaye gi... Filhaal tu aap ye saboot paish kijiye ke Britishers ki paida karda Ahle'Hadith se pehlay bhi koi jamaat baaqaida tour per Ahle'Hadith ke naam se jani jati thi.

Link to comment
Share on other sites

Dear its Quran by ALLAH subhan wa tallah

 

mujhe kia molvi jo marzi kahtay rahain

 

unless k woh mujhe koi reference na dain Quran se ya authentic hadith se

 

molviyo ka kia hai batain kartay rahtay hain

 

main ne unhain apna rabb thora hi banaya hai as referenced by verse 31 of Surah Tauba with its tafseer in sahi bukhari vol 6 which is written above ...

 

Nah! Its not JUST Quran by Allah (jallah) . Quran is what you can see written in Arabic, the rest is its interpretation, which is for sure done by humans and can be wrong! Even if its not wrong its us, the humans who can make severe mistakes in understanding it. So what you've posted is not actually from a divine source or anything like it.

 

Ye jo posts ki hain iss mein tafsir inn Moulviyo ki hi hai! Khair, aap ne Quran-e-Karim se hawalajaat tu paish kar diye ab zara apna maqsad bhi bayan kijiye. Warna paste karnay ko tu mein yaha poora Quran-e-Karim hi paste kardo aur kehdo ke parh lo.. hidayat hi hidayat hai. Agar kisi maamlay per aap apni raye paish karna chahtay hain tu khul kar baat kijiye. Sharmanay ki koi baat nahi. Moulviyo ka sahara tu aap waisay hi lena pasand nahi kartay. Hawala likh kar kuch tabsarra khud hi kar dijiye takay yaha users ko maloom tu ho ke aap kis mamlay per kya kehna chah rahay hain.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...