Jump to content

Kya Itekaf Mein Sona Jaiz Hai? Aur Kya Itekaf K Doran Islami Kitaben Hadees Perh Skte Hain?


Jia Khan

تجویز کردہ جواب

Assalam.u.Alaikum mera sawal hai k kya itekaf mein sona jaiz hai aur agr jaiz hai toh kitni dair tak r hadees m ata hai k Quran ko 3 di se pehly nehi khatam krna chahiye toh kya itekaf ka bhi yehi hukam hai plzz jaldi ans den

 

Aur kya itekaf k doran islami kitaben hadees prhen ja skti hain ya nehi aur agr party party ankh lg gai aur dair se khuli toh iska kya hukam hai

 

Plzz mere questions ka ans den jaldi

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

Etikaf men sona bilkul jaiz hai or sone ke time per pabandi nahi.. Sirf yeh khayal keren ke aise waqt na soyen ke farz namaz jati rahe.. Baqi ap jitni zyada Allah ki ibadat keren tu behter hay ke etakaf ka asal maqsad yahi hay. Allah ki bargah men dharna dena or bakhshish ka suwal kerna.

 

Shabeena perhna ahlesunnat ke nazdeek bilkul jaiz hay, chahey aik raat men ho ya 3 raton men.. mazeed tafseel yahan dekhen.. 

http://www.islamieducation.com/shabina-parhana-sawab-hai/

http://www.islamieducation.com/performing-shabeena-and-it-being-a-means-of-reward/

 

baqi quran e kareem ko aise perhen ke talafuz or her chez sahi ho. ager itni jaldi ki ke talafuz sahi na rahe tu phir sahi nahi balke gunahgar honge.

 

Etakaf men bilkul islami kitaben perhi ja sakti hain.. balke zyada se zyada ulema e ahlesunnat ki likhi hoyi islami kitaben perhen take ilm e deen men izafa ho.. or ilm e deen hasil kerna sab se behter amal hay... ager perhte perhte aankh lag jaye tu koi khas hukm nahi. namaz ke faraiz, wajibaat or sunnaton ilawah baqi tamam amoor mustahab hain.. albata ye koshish keren ke agr islami kitab perhte howe aankh lage tu kitab ki bey adabi na ho.. ba adab ba naseeb, bey adab bey naseeb.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...