Jump to content

Kya Ya Waqiya Sucha Hai Musa (As) Aur Faqir


rehman alvi

تجویز کردہ جواب

Moosa (a.s.) k zamane ka waqia hai, jab hazrat moosa khuda se baten karne pahaad par jaate the..1 aurat jiski koi aulad nahi thi usne musa se kaha ki a moosa khuda se puchna ki mujhe aulad kab hogi. Musa (a.s.) ne kaha thik hai puchh lunga. Jab wo pahadh par pahunche to unhone allah se pucha ki ya allah woh aurat ne mujhse puchha hai ki use aulad kab hogi.. Ispar allah ne farmaya ki use aulad kabhi nahi hogi, uske naseeb me aulad nahi hai. Musa ne yahi baat akar us aurat se kah di. Us aurat ka dil toot gaya or o dil masos k rahgai...

Fir kuch dino k baad us aurat k ghar 1 faqir aaya or khane ke liye kuch rotiyan mangne laga, us aurat ne jakar faqir ko 1 roti de diya. Woh faqir ne dua kiya ki uske yahan aulaad hojaye.. Aur usi saal us aurat k yahan aulad ho gai. Woh bahot khush hui...

Jab musa (a.s.) us aurat k ghar k samne se gujare to uske ghar me jashn dekhkar hairan rah gaye. usne us aurat se pucha ki yah jashn kaisa? to us aurat ne kaha ki uske ghar aulad hui hai, aur usne yah v kaha ki a musa tuto bada nabi bane phirta hai ! Tune to kaha tha mere ghar aulad kabhi nahi hogi magar dekh 1 faqir ki dua se mujhe aulad ho gai... Jab musa yah sunte hain to fauran Allah ki bargah me jaate hain aur kahte hai ya Allah yah kya maajra hai..tune to kaha tha k use aulad nahi hogi to kaise ho gai.? Allah is par musa se kahta hai ki a musa pahle tu jaker mere liye 1 halal gost ka tukda le aa fir mein tere swaal ka jawab dunga...Musa a.s. bahot dhondhte hain magar unhe kahin v halal gosht ka tukda nai milta hai akhir me harkar woh allah k paas wapis aa jaate hain or kahte hain ya Allah mujhe koi halal gosht ka tukda nahi mila. to is par Allah kahta hai jakar kisi insaan k gosht ka tukda le aa.! Moosa (a.s) sochte hain ki yah to or mushkil kaam hai..magar Allah ka hukm sunkar nikal padate hain..kafi jagah bhatakte hain magar unhe Insaan k gosht ka tukda bhi nahi milta...phir 1 jungle me pahonchte hain jahan wohi faqir baitha hota hai...jab wo faqir moosa ko dekhta hai to kahta hai kyon Moosa kahan ghoom rahe ho itne pareshan kyon dikh rahe ho...Moosa ali salam kahte hain ki Allah ne kisi insaan k gosht ka tuqda mangaaya hai ab mein kahan se laaun...is par woh fakir kahta hai bas sirf gosht ka tukda mangaya hai, tere pas kuch chhuri_chaku hai kaatne k liye! Musa kahte hain mein to lekar ghoom raha hun kabse! Woh faqir kahta hai laa mujhe de... musa (a.s) se churi lekar woh apne jangh ka 1 tukda gosh nikaal kar moosa ko de deta hai, .aur kahta hai yah gosht ka tukda le jaa...musa bahot khush hote hain aur jaane lagte hain. Ispar faqir unko rokta hai aur kahta hai ki ruko .pata nahi Allah ne kaun se hisse ka tuqda mangaaya hai, mai tujhe har hisse ka 1 tukda de deta hun.. woh apne haath se 1 tukda nikaalta hai, apne kandhe, pith, gaalon se, har jagah se 1_1_ chhota_chhota tukda kaat kar musa ko de deta hai... Musa khushi_khushi Allah ki bargah me aate hain aur kahte hain ya Allah mein Gosh ke tukde le aaya... Allah ne pucha kiske Gosh k tukde hain, Musa ne farmaya falan jangle me 1 faqir tha usi ke jism k tukde hain! To Allah ne farmaya ki a musa tere kahne par usne mere liye apne jism ke tukde tak katkar de diye, to kya mein uske kahne par us aurat ko 1 aulad nahi de sakta?, gosh to tere jism me bhi tha, aur us aurat k liye dua tu bhi to kar sakta tha magar tune nahi ki.. Us faqir ne sache dil se dua ki aur maine use kabool kiya.

 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...