Jump to content

aik naik ki mout ya burey ki naik mout


Malang

تجویز کردہ جواب

Asalam U ALikum

hamarey ilaqye ma aik shakhs ney subah subah apna bistara wagera masjid ma rakh dia k ma itekaf ma bethon ga kiun k bad ma jaga nai milti or wese bi pakistan ma to masjidain bhar jati hain or wo bechara dopehr ko apni hamshera ko leney chala gaya rastey ma motorbike ka accident ho gaya or wo bechara wafat pa gaya

us k janazey ma kafi loogon ney shirkat ki or loog heran they k itney loog kahan sey arahey hain to barey qari sahab jo k sheakh al hadith bhi hain unho ney janaza parhaney k baad bataya k itney loog nai they jitney farishtey they

ye wakia sacha ha

wo larka tableegi jamat k sath 3 din bhi lagata rehta tha

to ma ye jan na chahta hon k brelvi hazrat k han to deobandi kafroon jese hain

to un ka iss wakey par kia soch ho gi

Link to comment
Share on other sites

(salam) madani bhai baat yee hai kay hum log na tu koi aalim hian aur naa mufti kay koi bhi baat ka fatwa dain sakain aur Allah (azw) jab aik tawaif ko aik kuttay ka bacha jo kay barish mein bheeg raha tha us ko barish say us tawaif nay bachaya tu Allah (azw) nay us ki naikee ko sab pay sabqat di tu in sahab nay jaisa kay aap nay bataya kay farishtay they tu najanay apni zindagi mein kon si naikee ki hogi jis ka yee ajir mila aur Allah (azw) tu bohut reman hai aur jahan tak baat mannay ya naa mannay ki ki aap nay tu aik sahiba jo kay apni zaban aur aadaat say yahan sab ko tang aur aajiz kur chuki hai jab wo kehti hain kay mein khanay kaba gaee tu wo hath aya aur mujh ko aik book di tu jab hum us ki sunalitay hain tu bhai aap ki bhi baat sun hi rahay hain coz naik naikee badee kon janay kis ki kya cheez barghah -e- elahee mein maqbool hoo
Link to comment
Share on other sites

Malang baat hai sachey aqeedey kee...

tum ne aik misaaal di hai jo keh sirf tumharey baqol tumharey sheikh ul hadith kee

zabani hai. aur koi saboot nahi.. Alhamdulillah Ahlesunnat (barelvi) jammat key imaan

afroz moaut aur bad al mout paish aaaney waley hazaron waqiyat hai jo keh ghair

janib daar zaraye se prove bhi hain... main sirf aik waqia batata hoon ... Shaheed Abdul waheed attari ka jin ka jisam hatta keh kafan tak dafan ke kafi arsey baad taro

taja nikla tha.. issi islami mehfil per picture mojood hai... iss se ziyada kiya khulla saboot ho ga.. ahlesunnat ke haq honey ka...

Link to comment
Share on other sites

Malnang shaib waisay barri baat hay keh aap kay sheikh ul hadees shaib ko farishtay nazar aatay hain.

 

kaheen aap kay sheikh ul hadees shaib yeh tau nahi kehna chhtay thay keh farishtay insanon say 2 guna ziada thay. kiun keh har insan kay sath 2 farishtay tau hotay hee hain.

 

aur unhon nay yehi baat kahi hau aur tum logg doosri taraf lay gaye ho.

 

waisay hamaray ilaqay main aik larka 1 saal kay liye gaya tha tableeji jamat kay sath. laikin buhat jaldi wapis aa gaya. wapis aanay kay baad ab uss kay saath kay deobundi tableeji kehtay hain yeh paagal hay aur fullan hay fullan hay.

 

jab kuch loggon nay poocha tau kehnay laggay yeh itna arsa hamaray sath raha hay laikin phir bi hamaray saath ka nahin ban saka

yeh aksar raaton ko uth jata tha aur kehta tha keh tum log itni namazian aur qauran parhnay aur tableej karnay kay bawajood jahannum amin jao gay tumharay yeh amal kissi kaam nahi aain gay. yeh saub fazool hay tum jahannum main jao gay. aur kasar auqat woh normal baat cheet kartay huway bhi yeh kehnay lag jaata tha.

 

abb mujhay yeh tau nahi pata keh woh unn ko kiun kehta tha. laikin abb woh unn kay sath nahi hay.ALLAH nay uss ko hidayat day dee hay

 

yeh waqea bhi sacha hay.

Link to comment
Share on other sites

  • 5 weeks later...

gumrah hain mager jinhe Allah hidayat de dey. aksar bechare tablegh ke naam per dhoka main agaye unko ye bhi nahi malom ke rasheed gangohi sahib kon hai or qasim nanotavi kon? jab ye nahi malom tu kahan kufrya ebarat..

 

aisay log jo kufrya ebarat se agah nahi. bas la ilmi main tableghyon ki hathe charh gaye un ke bachne ki umed hai. kyon ke bachay ga woh nahi jis ne kufr kya.

 

aur rad ul mohtar wa deger fiqah hanafi ki kutub main hai ke kafir ke kufr par agah ho kar bhi usay kafir na kehne wala khud kafir ho jaye ga.

 

pas woh deobandi tableghi tu so e naar ki taraf rawan dawan hain jo apne baron ki ebarat jante hain mager phir bhi kufrya ebarat ki be ja tawelon par khush hain. or pata nahi unko jahanam ka konsa tabqa mile ga jo kufryat ki tawelen likhte hain.

 

chalo tumhain kufryat ki tawel ki aik misal doun.

 

latefa4.GIF

page-nid10.gif

page-nid11.gif

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...