Jump to content

Recommended Posts

السلام علیکم

ہر مسلمان کو اپنا عقیدہ کیا رکھنا چاہیے اس کے متعلق ؟

رسول اللہ(ﷺ) اس وقت بھی نبی تھے جب ابھی حضرت آدم(علیہ السلام) گارے میں تھے

١) یہ نبوت کیسی تھی
صرف نامزدگی ہوئی تھی
یا
جو منصب ہوتا ہے نبوت کا وہ مل گیا تھا ؟

اگر نبوت کا منصب تب ہی مل گیا تھا تو مزید کچھ سوالوں کے جواب عنائت فرما دیں:

۲) کیا رسول اللہ(ﷺ) عالم ارواح سے لیکر زندگی کے چالیس سال تک بغیر وحی کے نبی تھے ؟
اور
وحی کے بغیر بھی نبوت ہوتی ہے ؟

٣) کیا پھر باقی تمام انبیاء کو نبوت رسول اللہ(ﷺ) کے بعد ملی ؟
پھر خاتم النبیین کے کیا معنی ہوں گے ؟

اعلی حضرت کی اس عبارت کا مطلب کیا ہوگا
جب سے رسول اللہ(ﷺ) کو نبوت ملی کسی دوسرے کو نہیں مل سکتی
(فتاوی رضویہ, جلد 15, صفحہ 669)

٤) قاسم نانوتوی نے جو کہا کہ رسول اللہ(ﷺ) کے بعد بھی اگر کسی کو نبوت ملنا مانا  جائے تو خاتم النبیین پر کچھ آنچ نہیں آئے گی تو
یہ کفر کیسے ؟

٥) دنیا میں جب حضرت عیسی(علیہ السلام) تشریف لائیں گے
تب وہ ہوں گے تو نبی, ان سے نبوت چھن نہیں جائے گی
لیکن وہ نئی شریعت کیساتھ نہیں آئیں گے
بطور امتی آئیں گے
تمام انبیاء ہی رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کے امتی ہیں
تو پھر خاتم النبیین کے کیا معنی کیے جائیں گے ؟

قرآن و حدیث اور اقوال علماء اہلسنت کی روشنی میں جواب عنائیت فرمائیں

Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum.
-----------------------
1 - Mawlana Saeed Ahmad Assad nay Noor Bashr kay munazray mein jawab deeya thah ... Nabuwat ka mansub mila magr mansub par kaam aakiri Nabi bana kar behja gaya toh phir shoroon huwa. Jistera police walay ko job Lahore ki millay aur rahay Karachi mein ... position to milli magr duty apnay station par hi ja kar deh sakta heh.

2 - Janab Quran mein aya heh kay shahid ki makhi (i.e. Bee) ko Wahi hoti heh toh kia us ko wahi huwi toh woh Nabi ho gahi? Aur Jibraeel alayhis salaam aah kar us ko kitab ka ilm detay hen? Jab Hadith say wazia huwa kay aap Nabi thay pedaish say pehlay toh phir Nabi kay wastay Wahi kitabi ki shart kesi. Dosri baat aur kia zeroori heh kay Nabi ko Wahi kitabi ho toh Nabi heh Quran say wazia heh kay Wahi ka kitabi hona lazam nahin. Is kay ilawah Alam e Arwah mein kis ko khabr kia kia Wahi huwa arwah e Ambiyah ko. Wahi kitabi ka zeroori hona us waqt heh jab Nabi ilaan e Nabuwat karay aur baseehat e bashr dunya mein behja gaya ho.

3 - Ambiyah say pehlay milli ya baad mein, is behas ki zeroorat nahin keun kay maqam e khatamiat sab kay akhir mein milla aur sab say akhir mein behjay gahay. Misaal kay tor par ... das football player select hoon ... Shahid un mein 7th number par chuna gaya ho ... aur sab say akhir mein behja gaya ho ... aur us kay pitch par ajanay kay baad  kaha jahay kay yeh aakhiri player heh toh ... us ki selection saatwen number par huwi toh kissi ko ihtiraz hoga? RasoolAllah ka khatam honay ka mansub sab kay aakhir mein bhejnay kay baad mila selection say to is ka talluq hi nahin. Selection say mein tab pansen jab Hadith ho mein aakhiri Nabi thah jab Adam alayhis salam is halat mein thay ...

Ala Hadhrat rahimullah ka farman siyaq o sabaq mein parna paray ga.  Jahan taq mujjay pata heh Sayyidi Ala Hadhrat rahimullah bi Nabuwat alam e arwah mein milnay ka nazria rakhtay thay ... kaheen par un say yeh Hadith naqal keeya huwa para heh. Keun kay is ibarat ki doh implications hen; agar sab say pehlay milli toh phir baqi Ambiya ko nabuwat milnay ka inqaar lazam ata heh ... aur agar zameen kay lehaz say dekha jahay toh phir ihtiraz banta heh kay agar pehlay milli thee toh phir Ala Hazrat nay zameen par Nabuwat kay milnay ka likha keun.

Jahan taq Ala Hazrat ki ibarat ka wazia mafoom heh toh unoon nay yeh wazahat ki heh kay dunya mein Nabi behjay janay kay baad aur khatamiat kay ilaan kay baad kissi aur ko Nabuwat nahin mil sakti. Abh yeh ihtiraz huwa kay Ala Hazrat nay dunya par milnay ka bayan keeya heh agar pehlay milli hoti toh yeh nah likhtay. Is ka jawab meray pass nahin, ahle ilm hazrat denh gay. Istera Qasim Nanotavi ki ibarat Kufr huwi.

Isa alayhis salam ki nabuwat khas bani Israel wasteh thee. Aur hamaray Nabi ki tamam insaniat kay wastay. Hamaray Nabi ki Nabuwat nay un ki Nabuwat ko mansookh kar diya keun kay jin kay pass woh bhejay gay thay uneeh kay pass hamaray Nabi bi bhejay gay hen. Un ka title aur maqam e Nabi qaim heh magar Nabuwat khatam ho chuki. Abh woh Ummati hi ban kar ahen gay. Khatam un Nabiyeen ka bazahir mana Nabiyoon ka khatim, akhir,
pechla ... Yeh un Nabiyoon ka aakhiri hona heh joh sahib e Nabuwat thay, yehni Sahib e Nabuwat Nabiyoon kay akhar mein anay wala. Note karyeh ... Rasool/Nabi ka lafzi mana ghayb ki khabr batanay wala nahin. Magar yeh shar'ri mana heh. Is'see tera khatamun nabiyeen ka lafzi mana aur shar'ri  manay mein farq zeroori heh.
 
  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum.
-----------------------
1 - Mawlana Saeed Ahmad Assad nay Noor Bashr kay munazray mein jawab deeya thah ...
 
یہ اعتراضات بھی سعید احمد اسد صاحب کے ایک شاگرد نے اٹھائے ہیں
اُس کیلیے جو عالم ارواح میں نبوت مانتا ہے

وہ شاگرد کہتے ہیں کہ
عالم ارواح میں نبوت نہیں ملی تھی صرف نامزدگی ہوئی تھی

اس سے پہلے بھی سعید احمد اسد صاحب کے ایک شاگرد سے گفتگو ہوئی تھی
وہ شاگرد بھی ایسی ہی گفتگو کر رہے تھے
Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum,

M.Zeeshan Imtiaz bhai mein waqif hoon kay yeh ihtirazaat kahan say ahay. Yeh qabil e lehaz tab hotay jab alam e arwah mein Nabi ko Wahi nah huwi ho. Wahi ka kitabi hona zeroori nahin. Allah farmatay heh kay woh Nabiyoon say farishtoon kay zariyeh baat karta heh toh phir ... jab arwa say sawal huwa mein tumaray aakhir mein Nabi behjoon ga wada kartay ho iman laho gay aur support karo gay toh sab nay iqrar keeya ... yeh kalam bazariya farishtay huwa aur yeh waqia toh Quran mein heh ... abh Wahi toh ho gai. Aur agar Nabi kay leyeh Wahi zeroori ho toh bi sabat ho jaati heh ... sirf kitabi sabat nahin hoti. Kitabi wahi ka sabat hona bi zeroori nahin keun kay alam e arwah mein Ummat kay pass behjay nahin gay thay ... aur wahi joh kitab ki ho ya us say mutalqa ho insaan ki hasiyat say milti heh. Is tera Hadith ka mowaqif bi qaim raha aur nazriat ahle Sunnat bi apni jaga qaim rahay. Aakhar mein, yeh masla fazail say heh, aqahid say nahin, aur jamhoor is par raazi hen is leyeh darust heh. Allamah Saeed Assad Sahib aur un kay ustad e moteram Allamah Ashraf Sialvi Sahib (rahimullah) Ahle Sunnat kay Ulamah mein say hen aur un kay namoon kay saath Maulana, Allamah laganay say aap ko dozakh nahin behja jahay ga. Dosri baat mein yahan par hazaar dafa likh chuka hoon aur phir likhta hoon. Joh ikhtilafat Ulamah e Ahle Sunnat kay apis mein hen, aur agar aap mukhalif ko Sunni bi nah maneh balkay Kafir aur Firawn bi maneh, aur Dajjal akbar say bara Dajjal azam maneh, tab bi agar woh Aalim Ahle Sunnat say mansoob ho aur mashoor ho kay yeh Ahle Sunnat say heh toh un kay ikhtilafat ko public mein discuss nah keren. Ek; yeh masla pehlay ga aur woh logh bi choose karnay par majboor hoon gay jin ka is say talluq nahin aur agar kissi nay ghalat decision banahi toh panga aap ka thah ... best tareeka yeh heh kay joh Ulamah Ahle Sunnat ki jamhoor say ikhtilaf kartay hen un ko ignore kar deeya jahay aur dua karni chayheh ya Allah in ko jaldi utha leh aur jannat mein buland darja dena.

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum,

best tareeka yeh heh kay joh Ulamah Ahle Sunnat ki jamhoor say ikhtilaf kartay hen un ko ignore kar deeya jahay aur dua karni chayheh ya Allah in ko jaldi utha leh aur jannat mein buland darja dena.

وعلیکم السلام

جب ان لوگوں سے اس پر گفتگو کی جاتی ہے تو ان میں سے ہر کوئی ایک بات بڑے ذور سے کہتا ہے کہ

جب تم لوگوں کی کسی قادیانی سے بات ہوگی تو تب کو اپنی جان چھڑانے کیلیے ہمارے نظریہ پر ہی آنا پڑے گا

کیا اس میں کوئی سچائی ہے ؟

کیا علماء اہلسنت اپنے پرانے عقیدے سے ختم نبوت کا دفاع نہیں کرسکتے ؟

--------------------

کیا اس کے علاوہ بھی سعید احمد صاحب جمہور علماء اہلسنت اور اعلی حضرت سے کسی مسئلہ پر اختلاف رکھتے ہیں

یہ جاننا میرے لیے بہت ضروری ہے

تاکہ میں آئیندہ ان کی ایسی باتوں میں نہ آؤں

Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum

Aqeedah e Khatam e Nabuwat par kohi anch nahin aati. Yeh un ki ghalt fehmi heh. Mein nay kahi dafa Qadiyaniyoon say tehreeri behas ki kabi kohi problem nahin huwi aur nah apna aqeedeh mein tarmeem karna pari. Yeh un ko waswasa heh kay Jamhoor e Ahle Sunnat Alam e Arwah mein Nabi maan kar Qadiyani kay khilaf difa nahin kar saktay.

بعثت کا مطلب علماء اہلسنت نے کیا فرمایا ہے
کیا بعثت کا کوئی مطلب اہلسنت نے بیان فرمایا ہے ؟

میں نے بعثت کا مطلب بھیجنا بتایا
تو انہوں نے کہا ایسا علماء اہلسنت نے کہیں بیان نہیں فرمایا

نبی بنانے میں سب سے اول
اور بعثت یعنی بھیجنے میں سب سے آخر

خاتم النبیین کا مطلب بعثت کے لحاظ سے لیا ہے اعلی حضرت نے
5072830c9cebab680fe47ec2c5015716.jpg

اس لیے ثبوت کے ساتھ بتائیں کہ
علماء اہلسنت نے بعثت کے کیا معنی کیے ہیں ؟

Sent from my A1601 using Tapatalk

Link to comment
Share on other sites

فروعی مسئلہ  کی بحث میں پڑنا اپنا وقت ضائع کرنا ہے۔

بھائی کفر کے فتوے لگائے جا رہے ہیں

جو رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کو سب سے پہلے نبوت ملنا سمجھے
اس کا مطلب ہے کہ باقی انبیاء کو نبوت بعد میں ملی
اس پر کفر کے فتوے لگائے جا رہے ہیں
Link to comment
Share on other sites

Woh laga rahay hen laganay denh. Bhoj bi wohi uthahen gay. Yeh masla firohi heh ... aur fazail say ... Hadith Adam alayhis salam say RasoolAllah kay Nabi awal honay ki daleel nahin leeh ja sakti aur nah mein nay kabi para heh. Is Hadith say sirf yeh mana nikalta heh kay jab Adam (alayhis salam) kay jism e mubarak kii takhleeq ho rahi thee RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko mansub Nabi milla huwa thah. Allah ta'ala nay Quran mein Misaqun Nabiyeen ka farmaya heh ... Allah nay Nabiyoon ki Arwah ko jama farmaya ... Adam (alayhis salam) kay jism e aqsad say yeh pehlay ki baat heh toh phir yeh sabat huwa kay Nabiyoon ko Nabuwat pehlay milli huwi thee ... aur Adam alayhis salam ki takhleeq baad mein shoroon huwi. Abh agar Hadith par ghor keeya jahay toh awaliat bahasiyat Nabi sabat nahin hoti. Joh Ulamah [agar kohi hen toh] Nabuwat mein bi awaliat kay qail hen un ka jawaz hoga ... joh is kay munkir hen un ka bi jawaz hoga ... aur donoon jammatoon ki taweelen Kufr say ikhtilaf ko door karteen hen agar kohi is par Takfeer karta heh toh yeh ghulu aur kam fehmi heh. Mein nay Sayyidi Ala Hadhrat ka Kalam para huwa heh ... Muhammad Mazhar e kamil ... is waja say auroon ko be yahi taqeed karta hoon kay peren. Aur is'see waja say mein awaliat e Nabuwat ka qail nahin. Mujjay nahin lagta kay kohi bara masla heh ya Takfir karnay wala masla heh ... ziyada tar yeh ghalt fehmiyan hoon gi ya jis par takfir ki ja rahi heh woh mukhalif ka aqeeda nahin hoga. Agar munazroon ka josh nah hota aur do char hosh kay Mawlvi hazrat beth jatay toh yeh saray ikhtilafat hal ho jata. Behtr yahi heh kay

Link to comment
Share on other sites

جمہور علماء رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کو نبوت میں اول اور بعثت میں آخری مانتے ہیں

اعلی حضرت نے بھی خاتم النبیین کا یہی معنی لیا ہے جو میں نے اوپر دکھایا ہے

رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم کو نبوت ملنے کے بعد باقی انبیاء کو نبوت ملی
اور مفتی اختر رضا خاں صاحب فرماتے ہیں باقی انبیاء کو اس شرط پر نبوت ملی کہ وہ رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کو نبی مانیں اور اگر رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کا ظہور ان کے زمانے میں ہو جائے تو ان کی تائید کریں

Sent from my A1601 using Tapatalk

Link to comment
Share on other sites

Agar Sayyidi Ala Hadhrat aur Jamhoor ka awaliyat e Nabuwat wala nazria heh toh phir mujjay kohi bi ihtiraz nahin. Sirf Sayyidi Ala Hadhrat say hi is ka sabat hona meray leyeh kafi daleel heh. Agar yahi ho toh phir is ka matlab yeh huwa kay ... Qasim Nanotavi wala nazria joh Nabuwat bil zaat ka heh aur Ambiyah ko RasoolAllah say Nabuwat milli darust hoga. Sirf Khatam un Nabiyeen ka mana Nabuwat bil zaat hona darust nah hoga aur ijmah kay khilaf khatam un nabiyeen ka mana nabuwat bil zaat karna kufr hoga. Aur us ki ibaraat Nabi peda ho toh phir bi khatamiat mein farq nah ahay ga ... waghayra kufr hoon gi. Is ki asal Quran ki ek ayat mein banti heh ... Quran ki shaan jawami al kalim bayan huwi heh ... Quran mein Allah subhanahu wa ta'ala nay Nabi e kareem ko Nabiyil ummi farmaya ... Ummi um say heh jis ka mana walida jesay Quran mein Musa alayhis salam kay wastay Ummi ka lafz istimal huwa ... mubalgha mein asal Nabi (i.e. foundational Nabi) ka mana banta heh aur jis say awaliyat sabat ho jati heh. Hasil yahi heh kay Jamhoor ka nazria joh bi heh woh darust heh aur ussi par chalna chahyeh. Takfir kay wasteh kissi kay pass jawaz nahin agar karta heh toh apnay zehni fatoor ko aur ka aqeeda bata kar raha heh. Masla Ijtihadi aur firohi aur fazail ka heh ... Behtreen rah yahi heh kay is maslay ko chor deeya jahay aur donoon giroon ki naik niyyati ko saraha jahay. Joh awaliat ka hami heh woh is mein joh fadheelat ki bina par heh aur joh mukhalif heh woh khatam e nabuwat kay difa mein. Joh bi ho donoon jammatoon mein say kissi ka nazria bi Kufr taq nahin jata.

Link to comment
Share on other sites

قاسم نانوتوی نے بعد زمانہ نبوی کا لفظ بھی استعمال کیا تھا

یہ تو ہم مانتے ہیں کہ رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کے زمانہ میں یا ظاہری زمانہ کے بعد بھی اب کوئی نبی نہیں بن سکتا

اور
اس سے قاسم نانوتوی کا کفر ثابت ہوتا ہے
---------------
آپ مے پہلے میرے والے نظریہ کی حمایت کی
اور یہ بھی بتایا کہ اسی نظریہ کیساتھ ہی آپ نے قادیانیوں سے بھی کافی دفعہ گفتگو کی ہے

اب آپ اچانک اپنے نظریہ سے پھِر کیوں رہے ہیں ؟

Sent from my A1601 using Tapatalk

نبوت بالزات کا کیا مطلب ہے ؟

Sent from my A1601 using Tapatalk

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...

مفتی اختر رضا خاں صاحب بھی

عالم ارواح میں نبوت بالفیل کے قائل ہیں

Link to comment
Share on other sites

On 12/10/2017 at 7:51 PM, mzeeshanimtiaz said:

قاسم نانوتوی نے بعد زمانہ نبوی کا لفظ بھی استعمال کیا تھا
یہ تو ہم مانتے ہیں کہ رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کے زمانہ میں یا ظاہری زمانہ کے بعد بھی اب کوئی نبی نہیں بن سکتا
اور
اس سے قاسم نانوتوی کا کفر ثابت ہوتا ہے
---------------
آپ مے پہلے میرے والے نظریہ کی حمایت کی
اور یہ بھی بتایا کہ اسی نظریہ کیساتھ ہی آپ نے قادیانیوں سے بھی کافی دفعہ گفتگو کی ہے
اب آپ اچانک اپنے نظریہ سے پھِر کیوں رہے ہیں ؟
Sent from my A1601 using Tapatalk

نبوت بالزات کا کیا مطلب ہے ؟
Sent from my A1601 using Tapatalk
 
Pehlay walay nazriyeh say phir kon raha heh? Kahan par aisi baat likhi jis say tumari khopri mein yeh baat aahi kay mein apnay nazriyeh say phir raha hoon. Pehlay achi tara samaj loh joh mein nay kia likha heh aur samajnay kay bad zara ussay hazam kar loh phir akhaz karna kay kia nateeja nikla heh.

Link to comment
Share on other sites

Mein nay Masla Nabuwat aur Allamah Ashraf Sialvi rahimullah kay mowaqif par thori tehqeeq ki heh. Asal ikhtilaf yeh nahin kay kia RasoolAllah sab say awal Nabi thay. Is nazria kay toh Allamah Ashraf Sialvi rahimullah qail hen. Woh khud kehtay hen kay awal Nabi RasoolAllah thay magr aakhiri Nabi behjay janay aur jism kay lehaz say hen. Asal ikhtilaf is baat par heh kay pedaish say Nabuwat kay ilan taq kia RasoolAllah Nabi thay ya nahin ... Allamah Sialvi rahimullah ka nazria thah kay woh nahin thay chalees saal ki umar mein Nabuwat ata huwi. Jab Wahi nazil huwi toh phir maloom huwa ... Agar Allamah Sahib rahimullah ki baat mani jahay toh nateeja yeh nikalta heh kay alam e arwah mein Nabi thay magr jab dunya mein peda huway toh Nabuwat salb kar leeh aur phir chalees saal ki Umar mein wapis ata kar deeh. Is baat ki bilqul tuq nahin banti. Aur in kay aur Allamah Saeed Ahmad Assad hafizaullah kay jitnay bi ihtirazaat hen us ka hall sirf aik hi point kar deta heh kay aap pedaish say leh kar chalees saal ki umar taq bi Nabi thay ... magr is doran RasoolAllah ko is ka ilm nahin thah kay woh Nabi hen. Aur hamara nazria bi yahi heh kay ilm barta gaya aur kamil huwa ... Yeh kohi masla takfeer wala nahin. Mein toh is ko Ahle Sunnat say kharij karna wala bi masla nahin samajta Islam say Kharij karnay wala toh door ki baat heh.
 
یہ کیسے ممکن ہے کہ نبی کو اس کے نبی ہونے کا ہی علم نہ ہو
اشرف آصف جلالی صاحب کا اس پر ایک بیان ہے وہ مکمل سماعت فرمائیں
بیشک رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کو اُن کے نبی ہونے کا علم تھا لیکن ابھی اظہار کرنے کا حکم نہیں آیا تھا
====
سعید احمد اسد صاحب عالم ارواح اور چالیس سال تک نبوت بالفیل کے قائل نہیں، اُن کے ایک شاگرد سے بات ہوئی تھی

اُن کے شاگرد تو رسول اللہ(صلی اللہ علیہ وسلم) کو عالم ارواح میں نبوت بالفیل ماننے والوں کو ختم نبوت کے منکر سمجھتے ہیں اور اس وجہ سے دائرہ اسلام سے خارج
اور اسی وجہ سے وہ شاگرد مجھ سء بحث کررہا تھا کہ کسی بھی سنی عالم کا نبوت بالفیل والا نظریہ نہیں
لیکن وہ جھوٹ بول رہا تھا
اہلسنت کی اکثریت تو نبوت بالفیل ہی مانتی ہے
Link to comment
Share on other sites

Yeh farq Hadith ki tabeer ka heh ... yehni jab RasoolAllah kay pass Jibrael e ameen tashreef farma huway toh aap par khauf tari huwa ... agar pehlay hi pata thah Nabi hen toh khauf toh phir drama huwa ... yeh aik itraz heh Allamah Saeed Ahmad Assad sahib ka joh maqool heh ... us ki islah mein likha thah kay agar la-ilmi wala nazria rakh leeya jata toh alam e arwah mein Nabi bi mantay aur pedaish say chalees saal ki umar taq bi Nabi man letay ... nabuwat kay salb honay ka nazria nah rakhtay aur is buray nazriyeh say bach jatay. Rahi baat Nabi ko ilm honay ki toh Nabi ko pedaish say hi pata hota heh kay woh Nabi heh ... Isa alayhis salam ka farmana mujjay Allah nay Rasool banaya heh aur kitab deeh heh aur woh bi abhi chand dinoon ki pedaish kay baad ... halan kay haqiqat mein unneh Nabuwat ka ilaan karnay ka hukum aur Injeel 30 saal ki umar mein huwa ... magr izhar pehlay kar deeya aur ilm pehlay say hi thah ... Asal mein joh itrazat in hazrat kay hen ... in ki tabeer Ahadith ghalat heh. Yehni RasoolAllah par khauf tari ho gaya jab Wahi nazil huwi. Halan kay iqra bismi rabbi kallazi ... pehli ayaat nazil huwi. Kia Allah nay taruf bi nahin karwaya ... police walay bi atay hen aur batatay hen ham police walay hen aur tooh chor heh is leyeh pakr rahay hen. Allah nay Jibraeel ameen ko beja jah Wahi deh aah ... aur jissay wahi deni heh ussay khabr bi nahin kay woh Nabi heh. Yeh esay heh jesa sari zindgi aik banda school teacher ho aur phir us ko wafad beja jahay aur kaha jahay bachoon ko science-dan bana ... istera kohi nahin karta ... kam say kam banda taruf toh kartwata heh ... Allah joh sab hikmatoon wala us nay taruf bi nahin karaya kay aye Muhammad tum kon ho ... pehlay hi iqra bismi rabbi kallazi ... Mera Rabb aisi bey-hikmati say paak heh ... agar pehlay nah hota toh hikmatoon wala Rabb pehlay ayaat nazil farmata ... Allah nay aap ko Rasool chun leeya aur da'ee e ilahi banaya aur khushkhabri denay wala aur darnay wala aur Shahid. Keun kay pehlay hi maloom thah kay Nabi hoon is leyeh Allah (subhanahu wa ta'ala) nay iqra bismi rabbi kallazi nazil keeh. Aur joh aap nay bayan ki heh wohi baat mein upar biyan kar aya hoon kay sirf ilaan aur tableegh ka hukum jari nahin huwa thah.

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You can post now and register later. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...