Jump to content

اہل تشیع دین اسلام کا حصہ ہیں - تاریخ ساز فتویٰ

Umar Usman

تجویز کردہ جواب

اہلسنت و الجماعت کی قدیم ترین اور سب سے بڑی دینی درسگاہ جامعہ الازہر، مصر کے سابق امام اکبر شیخ محمود شلتوت کا 1959 میں جاری کیا گیا تاریخ ساز فتویٰ جس میں انہوں نے واضح کیا کہ اہل تشیع مسلمان ہیں اور فقہ جعفریہ دین اسلام کا حصہ ہے۔
 
shia1 (1).png

shia2 (1).png

Edited by Umar Usman
Link to comment
Share on other sites

Bakwas heh ... doh baten. Aaj kay dawr mein tehreeri Fatwah joh Ahle Sunnat kay mashoor nazria kay khilaf jata ho us ko dar guzr kar denh. Doh wujuhat ki bunyad par. Awal aaj kay dawr mein Fatweh garh kar Ulamah say mansoob karna aik rawayat ban gahi heh. Joh bad-mazhab hen woh idhar udhar yeh harkaten kartay rehtay hen. Dosri baat agar kissi nay aqeeqi tor par aisa fatwah deeya heh toh woh qabil e qubul nahin chahay woh sahih bi ho. Dr Tahir Ul-Qadri Sahib nay Yahood aur Nasara ko BELIEVER bataya heh toh kia aap ya kohi aur in ko BELIEVER man leh ga aur kia man'na chahyeh? Aakhiri baat kay yeh question Fiqha kay mutaliq thah ... Fiqha Jafria aqahid kay mutaliq nahin ... English mein joh likha us say Fiqha Jafria ko follow karna ka likha heh ... Fiqha ka masla yahi heh joh Shia Jafria Fiqha heh jahan taq woh darust heh toh woh darust heh. Chand mashoor masail mein woh ghalat hen ... gadda/go'ra halal samaj kar khana aur Muttah aur masla teen talaq ka aik hona ... aur bi hoon gay ... magr jahan taq un ki namaz kay zahiri harkatoon ka talluq heh toh woh Maliki Fiqh kay mutabiq hen. Namaz mein partay kia hen Allah hi behtr janay. Balkay kuch toh namaz mein bi Aliyun Wali Allah khalifatul bil fasl partay hen ... yeh biddat heh ... Fiqhi ikhtilafat mein ziyada shiddat nahin honi chahyeh bilkhasoos un masail baray mein joh Ijtihadi tor par akhaz keeyeh gay hen aur wazia Quran o Sunnat mein un ko nahin paya gaya. Joh Shia ka  nazriat Sunnat e RasoolAllah kay khilaf hen un ka radd karna chahyeh. Aakhiri baat Aalim Fatwah ilm aur haqaiq par dena chahyeh. Misaal kay tor par yeh joh namaz mein Aliyun wali Allah partay hen ... kohi bi Sunni Aalim is par raazi nahin hoga ... aur fatwah denay walay ko shahid is ka ilm bi nah ho. Ya yeh ho sakta heh jahan par yeh fatwah deeya gaya ho wahan yeh nah keeya jata ho. Ya jis dawr mein yeh amal jari huwa woh baad ka ho aur Fatwah pehlay ka ... aur bandeh is ko is harkat kee taeed mein bi pesh keren. Masla yeh heh kay esay fatwoon ki achi tara tehqeeq karni chayeh ... balkay joh Ahadith aap kay amal kay khilaaf hoon un ki bi achi tara tehqeeq karni chahyeh aur agar phir amal ko Hadith kay khilaaf paya jahay toh chorna chahyeh ... Zahiri tor par aik fatweh ko leh kar us ko har zamanay par fit karna aur har ilaqay kay Shia par fit karna aqalmandi nahin. Aap aur baqi Sunniyoon ko meri advice yahi heh kay apnay ilaqay kay Ulamah say rabta rakhen. Arab mumalik mein kon kia heh kia nazria rakhta heh aur keun ... hamaray leyeh janna mushkil hota heh ... jistera hamaray Pakistan mein Sunniyoon ki bi mukhtalif branches hen ... aik branch woh heh joh WESTERNISATION kay injection laga rahi heh Islam ko taqay Islam Western values kay mutabiq ho aur West walay raazi ho jahen ... aik Dawat e Islami heh joh puranay zamanay aur Sunnat ki taraf bula rahi heh ... ham ko pata heh kon si jammat ki kia bunyad heh aur kon say Ulamah hamaray suttoon hen (yehni Ala Hadrhat rahimullah) jin ki bunyad par ham apnay Pakistani Hindustan kay logoon ko janch saktay hen ... Muritania, Africa ... ARabia, Malaysia ... ka ham ko kia pata koi kia heh ... Shaykh Mahmud Shaltut ka Fatwah is waja say ho sakta heh kay Jamal Abdul Nasir (joh Shia thah) us nay in ko hakumati taraf say Al-Azhar mein psoition deeh thee ... aur zahir heh jis ka khao us ka gao toh hoga ... yeh dekh lenh yeh mera tajziya nahin balkay kissi aur ka bi heh: https://en.wikipedia.org/wiki/Al-Azhar_Shia_Fatwa

Link to comment
Share on other sites

1 hour ago, MuhammedAli said:

بلکل درست فرمایا آپنے۔

جزاک اللہ خیراً۔

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...