Jump to content

Muhammad Ali ko Challange


hanfigroup

تجویز کردہ جواب

untitled1.JPG.97ded6fa6c218aba54fd5d2ee8dea930.JPG

@HanafiGroup

Hifz ul-Iman ki ibarat kufria par aap ko tafseeli jawab deeya ja chooka heh aur aap jawab nahin deh saktay. Koshish mein ho keh agay peechay mozoo ko gaseeta jahay.

Hifz ul-Iman ki asal ibarat jis par gustakhi ka ilzam aur khasoosiat e ilm ghayb ki nafi ka inqar ka hokam jari huwa: “Phir yeh kay aap ki zaat muqaddisa par ilm ghayb ka hokam keeya jana  agar ba-qawl Zaid sahih ho to phir daryaft talb yeh amr heh keh is Ghayb say murad baaz ghayb heh ya kull ghayb agar baaz uloom ghaybiyah muraad hen toh is mein hazoor hi ki kia takhsees heh aisa ilm ghayb toh Zaid wa Umar balkeh har sabbi wa majnoon balkeh jami hawanaat wa bahim kay leyeh bi hasil heh.[Hifz ul-Iman.] HanafiGroup ki ibarat: “Phir yeh kay Hazrat ki zaat muqaddas par ilm ghayb agar ba-qawl Zaid (sahil) sahih ho to ham us say daryaft kartay hen keh is ghayb say murad kia heh yehni ghayb ka har fard ya baaz ghayb hee keun nah ho pas agar baaz ghayb murad heh toh aap (saw) ki takhsees nah rahi keun keh baaz ghayb ka ilm Zaid wa Umar balkeh har bachay aur deewana balkeh hawayannat ko bi hasil heh. [Ref: HanafiGroup – Ki Manh Pasand.] Donoon ibaraat kay ilfaaz mein kafi farq heh magr mein sirf joh bunyad ikhtilaf heh us ki taraf tawajjoh dalahoon ga. Asal ibarat Hifz ul-Iman mein lafz aisa ko HanafiGroup nay hifz kar deeya aur aisa ki zameer ki jaga lafz baaz mutabadil kar deeya. Yehni asal ibarat mein ilfaaz “… aisa ilm ghayb …” kay thay magr janab nay tehreef kartay huway ussay “… baaz ilm ghayb …” kar deeya. Janab yeh dawa keren kay aisa ki zameer baaz ilm ghayb ki taraf lot’ti heh toh phir aisa karna tashreef huwa tahreef nah. Tashreeh tab hoti jab aisa ki zameer ko hifz nah keeya jata. Asal ibarat mein lafz aisa aik khaas mana deta heh jis ko hifz tahreef heh tashreeh keh tor mein Hanafi group agar aisa ki zameer saath baaz ka izafa kar letay toh tahreef kay ilzaam ka jawaz nah hota. Yehni agar HanafiGroup Sahib apni is ibarat ko “… baaz ilm ghayb …” is tera pesh kartay “… aisa (baaz) ilm ghayb …” to tahreef kay ilzaam say bari hotay.  Zameer aisa kay mutabadil baaz ko lana darust nahin. Dekhyeh khud HanafiGroup sahib nay meri baat ki ta’eed aik aur jaga ki aur voh bi is’see ibarat mein. “… ilm ghayb agar ba-qawl Zaid (sahil) sahih ho to ham …” Is jaga par HanafiGroup Sahib nay Zaid ki tashreeh Sahil say ki magr Zaid ko hifz nahin keeya balkay brackets mein lafz Sahil ka izafa keeya joh tashreeh banta heh. Magr janab nay asal ibarat mein lafz aisa jis par kitaben likhi gaheen aur munazray huway us ko hifz kar deeya.

i) Kehta heh kay asool munazra mutabiq pehlay apna ihtiraaz pesh kiya jata heh joh HanafiGroup nay asaan ilfaaz mein likh deeya. Haqiqat yeh keh HanafiGroup Sahib nay ihtiraaz pesh nahin keeya balkay Hifz ul-Iman kay jaisi aik ibarat pesh kee heh. Magr yeh ibarat ko ihtiraaz kay tor pesh kar rahay hen. ii) Hanafi group nay kaha: “Asool munazra mutabiq pehlay apna ihtiraaz pesh kiya jata heh jo mein nay asaan ilfaaz mein likh deeya.” Asool e Munazra mein dawah aur ihtiraaz meray zumidari heh aur aap ka jawab dawah aur ihtiraaz ko uthana. Aap ko Hifz ul-Iman par kab itiraaz huwa joh aap ihtiraaz ko pesh kar rahay hen? Ihtiraaz Ahle Islam ko ho aur pesh Ahle Kufr say HanafiGroup kar raha heh. Hamara ihtiraaz kia heh voh toh alhamdulillah mein pesh karon ga. iii) Agay likhta heh: “Muhammed Ali tumara ihtiraz is’see aqeedeh pay hay joh mein nay upar pesh keeya heh?” Hamara ihtiraaz Hifz ul-Iman ki ibarat aur us mein joh Kufriat hen un par heh. Voh kia hen us ki tafseel aynda ahay gi. Magr mukhtasar Ahle Islam ka nazria heh keh RasoolAllah sallallahua layhi wa aalihi was’sallam ko baaz ilm al-ghayb hasil heh. Baaz ilm ghayb kay is aqeedeh par ahle Islam ko kohi ihtiraaz nahin.

Thanvi Sahib ki ibaraat jis ki waja say ikhtilaf o hokum kufr jari huwa: “Phir yeh kay aap ki zaat muqaddisa par ilm ghayb ka hokam keeya jana  agar ba-qawl Zaid sahih ho to phir daryaft talb yeh amr heh keh is Ghayb say murad baaz ghayb heh ya kull ghayb agar baaz uloom ghaybiyah muraad hen toh is mein hazoor hi ki kia takhsees heh aisa ilm ghayb toh Zaid wa Umar balkeh har sabbi wa majnoon balkeh jami hawanaat wa bahim kay leyeh bi hasil heh.[Hifz ul-Iman, here] Ahle Islam kay Ahle Kufr ki ibaraat par do wujuhaat ki bina par ihtiraaz heh: i) RasoolAllah sallallahua layhi wa aalihi was’sallam kay ilm ghayb  ki takhsees/khasoosiat ka inqaar keeya aur is waja say Kufr sar’ri mein para. ii) Thanvi Sahib nay Hifz ul-Iman mein RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ko janwaroon, pagaloon, bachoon say tashbeeh deh kar ghaali di aur towheen kar kay Kafiroon say huwa.

Takhsees buyadi tor par chaar tor say sabat heh: i) Allah kay Nabi (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ka ilm Ghayb qatti aur kamil darja yaqeeni heh jis mein shak o shuba nahin aur Sahihah mein shak karnay wala gumrah aur mutawatira mein shak karnay wala Kafir agar toba baghayr maray toh. Aur RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilawah tamam insanoon janwaroon ko joh ilm ghayb hasil ho voh zanni aur shak shuba kay saath heh. Is sirf bunyad kar agar malhooz rakha jahay toh kia baaz ilm Ghayb qatti ko baaz ilm Ghayb zanni par khasoosiat  hasil nahin? Sirf is’see bunyad par say RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ki khasoosiat/takhsees sabat ho chuki. ii) Mazeed takhsees wasteh miqdar uloom e ghaybiyyah ko hee leeya jahay toh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’allam) ka uloom e Ghabiyyah ki miqdar is Hadith say maloom ho jati heh jis mein awal qaynaat say ta qayamat kay ahwal kay bayan ka zikr heh. Jab yeh uloom e Ghaybiyyah ki miqdar RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’allam) wasteh sabat heh toh Thanvi Sahib kon say kuttay billay khanzir behal gadday bachay pagal ko jantay hen jin ko itna ilm hasil heh? Agar nahin toh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ghayb ki wasilah miqdar say takhsees sabat huwi. iii) Qaynat kay awal say qayamat din sab kuch bata deeya wali Hadith ki tarf aik dafa phir motowajjoh hoon. Is Hadith say nah sirf miqdaar ki tadad sabat huwi balkay yeh bi sabat hota heh kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) nay joh waqiat bayan keeyeh un ka talluq zamana maazi, zamana haal, aur zamana mustaqbil say thah. Jin pagaloon, janwaroon, bachoon ki bunyad par RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ki khasoosiat ka radd aur inqaar keeya un mein say kon hen jinoon nay zamana maazi, haal, mustaqbil kay Ilm e Ghayb ki voh tafseel batahi joh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) chukay hen? Agar kohi nahin toh phir maanh lenh kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ghayb ki takhsees sabat ho chuki. iv) RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay Ilm Ghayb mein maazi haal mustaqbil ka mushayda ghayb, sama ghayb waghyra sabat heh … misaal tor par jannat mein Sahabi kay qadmoon ki awaaz ko sun lena … aur jannat/dozakh musalla namaz par kharay ho kar dekhna … Thanvi Sahib aur un ki aal e Deoband aik aisa gadday, pagal, bachay keeray makoray ka bata denh jin mein yeh khaboobi sabat huwi ho. Agar kohi heh aisa aap kay ilm mein toh; lakh lanat hi us’si taraf mar aur us’see ka kalmah parh. Aur agar nahin aur yaqeenan qattan kohi nahin toh phir maanh lenh kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ghayb ki khasoosiat sabat huwi. v) RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay Ilm Ghayb ki khasoosiat ka munkir nah tadad uloom mein khasoosiat, qatti ilm mein khasoosiat, aur Ghayb ki kismoon mein khasoosiat, aur teenoon zamanoon kay ghuyub jan-nay mein khaoosiat ka imaan rakhta heh aur is’see waja say khasoosiat/takhsees ka inqaar karta heh. In chaar bunyadi nuqtoon say sabat huwa kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay Ilm Ghayb ki Takhsees/khasoosiat sabat heh. Aur joh is khasoosiat/takhsees ka munkir heh ya toh voh parlay darjjay ka jahil heh aur agar aalim bazahir heh toh phir bila shak o shuba pakka aur sacha aur sucha Kafir nahin toh murtad zeroor heh. Aur is hukum Kufr ki bunyaden doh hen: i) murtad nay khasoosiat e RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ka radd karnay wasteh janwaroon, pagloon, bachoon ko RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ki khasoosiat mein shamal keeya. ii) Aur yeh lehaz nah keeya kay aisoon ko shamil karnay say RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ko pagloon, janwaroon bachoon say tashbeeh deeh aur shaan mein kami or towheen ki.

Tashbeeh Hifz ul-Iman Doh Tarika Say Sabat Huwi: i) Tashbeeh Isharatan: Ahadith say sabat heh kay aik Sahabi nay Um ul-Momineen Aisha (radiallah ta’ala anha) kay samnay bayan keeya kay kutta gadda aurat agar namazi say guzray toh namaz toot jaati heh … toh un-noon nay farmaya kay aap nay auratoon ko kuttoon gaddoon say tashbeeh deh kar mila deeya … aur Hadith say sabat heh kay Sahabi nay ilfaaz tashbeeh kay nah keeyeh thay balkay sirf zikr mein auratoon ko kuttoon gaddoon mein shamil keeya … misaal tor par … “Kutta, Fir’aun, Thanvi, khanzir jandar hen.”  Tashbeeh wasteh aisa, waisa, jaisa, istimal nahin huway sirf gina to towheen sabat huwi … abh readers khud hi faisla kar lenh kay kuttay, khanzir kay zikr saath Thanvi aur Firawn ki tauheen huwi ya Thanvi  Wa Firaun kay zikr mein kuttay aur Khanzir ki towheen huwi. Hasal kalam keh Tashbeeh wasteh ilfaaz tashbeeh ka zikr zeroori nahin sirf  paleedoon kafiroon mein gina janay say towheen ho jaati heh. Thanvi Sahib kay lafz ko agar bilkul hi hifz kar denh ya taweel itna is-qadr aur yeh bi keren toh kuch farq nahin parta keun kay phir tashbeeh isharatan sabat huwi joh asool Um ul-Momineen say sabat heh. ii) Tasbeeh Wazia: Ibarat Hifz ul-Iman mein wazia lafz aisa likha heh: “… agar baaz uloom ghaybiyah muraad hen toh is mein hazoor hi ki kia takhsees heh aisa ilm ghayb toh Zaid wa Umar balkeh har sabbi wa majnoon balkeh jami hawanaat wa bahim kay leyeh bi hasil heh. Aisa tashbeeh wasteh istimal hota heh. Agar aisa ko zaat e RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ghayb taraf lotaya jahay toh phir mana huwa; joh ilm ghayb RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ko hasil heh aisa ilm ghayb bi janwaroon pagloon bachoon ko hasil heh to phir takhsees nah rahi. Aur agar aisa ko baaz ki taraf lotaya jahay toh tashbeeh ka rasta badalta heh tashbeeh khatam nahin hoti. Ibarat ka mana hoga … ilm ghayb joh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ko hasil heh aisa baaz zaid Umar, Sabi majnoon hawanat ko hasil heh toh takhsees ki waja nah rahi.

Hifz ul-Iman ki tashbeeh do wujuhat ki bina par Kufr huwi: i) Agar Thanvi RasoolAllah ka ilm ghayb ko qatti yaqeeni kamil akmal la rayb wala manta heh toh janwaroon pagaloon  bachoon say tashbeeh deh kar pagloon bachoon janwaroon kay ilm ghayb ko bi qatti yaqeeni kamil akmal tehraya. Jis waja say Allamah Umar Ucharvi (rahimullah) nay ibarat Hifz ul-Iman kay radd mein likha kay phir agar in sab ka ilm qatti yaqeeni heh toh phir RasoolAllah (sallallahua alyhi wa aalihi was’sallam) par keun imaan laya jah udhar kuttoon ki taraf mar aur un par imaan lah. ii) Dosra mana yeh bi nikalta heh kay agar janwaroon ka ilm qatti/yaqeeni Thanvi nah manay balkay Ahle Islam ki tara zanni shak shuba wala manay toh phir aisoon kay ilm ghayb say tashbeeh deh kar us nay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) kay ilm ko bi zanni shak o shuba wala tehra deeya. Jis mein towheen e RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) bi huwi aur un kay ilm ki khasoosiat ka inqaar bi aur mutawatira say sabat qatti yaqeeni ilm ka darja gira kar shak o shuba wala tehraya aur Nabuwat e RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) aur Wahi e Illahi joh milti thi us mein shak o shuba dala aur yeh bi Kufr heh.

Shahid Ahle Kufr kahen keh kay aisa mana itna, is-qadr, yeh mein istimal huwa heh jaisay Manzoor Naumani nay Taweelat keenh. Aur in mana mein aisa Tashbeeh wasteh nahin. Awal toh janab kay gar say hi Hussain Ahmad Madani ki gawahi mojood heh kay lafz aisa hifz ul-Iman mein tashbeeh wasteh istimal huwa heh. Chalen choren Hussain Ahmad Madani pagal thah bhonk gaya ham Deobandi toh nah maneh gay. Aayeh sabat keren kay lafz aisa yahan par sirf Tashbeeh wasteh hi ho sakta heh aur agar mana is-qadr, itna, yeh mein bi ho toh phir bi Tashbeeh wasteh hee hen. Dekhyeh asool musallam heh kay kissi aik ki kissi dosray par fazeelat ya barabari ya khami sabat karni ho toh taqabuli muwazna lazam heh yehni comparision/tashbeeh. Zaid ki agar Amr par Takhsees sabat karni ho ya takhsees ka radd toh donoon ki khoobiyoon ka comparision yehni Zaid aur Amr mein tashbeeh/comparision lazam heh. Warna ba-ghayr comparision aik ki dosray par bartari sabat nahin hoti. Thanvi Sahib ki ibarat Hifz ul-Iman mein taqabuli jaiza leeya gaya, tashbeeh dee gahi, aur nateejan kaha gaya kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was’sallam) ko ilm ghayb kay jannay ki waja say janwaroon, pagaloon bachoon par kohi takhsees hasil nahin. Is waja say ibarat mein taqabul subut Tashbeeh heh. Aur yeh bi musallam heh kay Tashbeeh taqabuli bi hoti heh. Misaal tor par lion bhot bahadur aur taqatwar heh aur aisay hi Ali (radiallah ta’ala anhu) Allah kay lion hen. Abh aap itna ko is-qadr, itna, yeh, aisa ba-mana baaz, aisa ba-mana ilm ghayb Nabi, jisteraf bi lotahen ibarat ki bunyad mein taqabuli jaiza heh jis waja say har aik harf mutabadil mein tashbeeh hi pahi jahay gi.

Abh Umm ul-Momineen kay asool Tashbeeh Isharatan kay asool ko mad e nazr rakh kar HanafiGroup ki ibarat ki taraf atay hen. HanafiGroup Sahib ki ibarat yeh heh: “Phir yeh kay Hazrat ki zaat muqaddas par ilm ghayb agar ba-qawl Zaid (sahil) sahih ho to ham us say daryaft kartay hen keh is ghayb say murad kia heh yehni ghayb ka har fard ya baaz ghayb hee keun nah ho pas agar baaz ghayb murad heh toh aap (saw) ki takhsees nah rahi keun keh baaz ghayb ka ilm Zaid wa Umar balkeh har bachay aur deewana balkeh hawayannat ko bi hasil heh. [Ref: HanafiGroup – Ki Manh Pasand.] Janab nay koshish ki kay aisa ko nikaal kar tashbeeh ko hifz kar deeya jahay. Magr kufr jahl say Islam ka haq kabi chup nahin paya. Agar aisa ko bilkul hifz keeya jahay toh tab bi tashbeeh sabat huwi Umm ul-Momineen kay asool say, aur takhsees ka inqaar toh janab ki ibarat mein mojood heh. Jis ki explanation aur waja, i.e. ibarat hifz ul-Iman mein taqabuli jaiza, heh. Aur hukum kufr waja tashbeeh aur takhsees ka inqaar heh. Aur Thanvi aur HanafiGroup ki ibarat mein takhsees aur tashbeeh mojood heh. Farq sirf yeh kay Thanvi ki ibarat mein aisa bazahir mojood heh aur HanafiGroup ki manpasand ibarat (joh asal mein al-Muhannad ki ibarat ki naqal heh) mein tashbeeh implied/isharatan heh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

untitled2.JPG.f9e739ef82352a5fe86c06894b69e56d.JPG

@HanafiGroup

HanafiGroup Sawal 1: Kia tumaray nazdeek aap (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko kulli ilm ghayb hasil heh?

Jawab: RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko ma kana wama yakoon ... i.e. jo kuch ho chuka aur jo kuch hoga ... ka ilm hasil heh. Is mahdood aur takhsees ko kull ilm kaha jata heh. Yehni kull ilm ma kana wama yakoon ... magr tafseel ko bar bar doranay kay bajahay sirf kull kay ikhtisar ko bayan keeya jata heh. Yeh ilm mahdood heh aur ba muqabila e Allah (subhanahu wa ta'ala) baaz banta heh.

HanafiGroup Sawal 2: Kia jis kissi ko juzwi ilm ghayb hasil ho to kia us ko aalim ul-ghayb kaha ja sakta heh?

Jawab: Pehli baat Aalim ul-Ghayb kay ilfaaz khaas Allah (subhanahu wa ta'ala) wasteh istimal huway hen aur in ka ghayr wasteh istimal jaiz nahin. Dosri baat aap ka sawal aap ki ilmi yateemi ka subut heh keun keh ilqab/title/khitaab ka talluq juzwi ya qulli say nahin. Allah (subhanahu wa ta'ala) Rauf ar-Raheem heh (Quran: 16:7). Aur Allah (subhanahu wa ta'ala) ko Rauf ar-Raheem kay ilqaab bi ata keeyeh (Quran 9:128). Ilqabaat juzzi aur qulli tor par kissi khoobi ya ilm kay ata honay say nahin deeyeh jatay.
Aik aur misaal leh lenh. Allah (subhanahu wa ta'ala) nay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko rahmatal lil alameen farmaya. Sawal heh kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki rahmat nay Allah (subhanahu wa ta'ala) ki tamam Rahmat e la-mahdood ko paa leeya aur phir khitaab mila ya juzwi rahmat ki bina par khitaab mila? Zahir heh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) rahmat mahdood aur juzwi heh. Aur aap ka asool toh yahi heh nah kay joh kamil darja sift/khoobi/ilm par ho ya pa leh to phir khitab/title kay layk hota heh. Kissa mukhtasar khitab ka ata hona darja akmaliat par honay ki waja say nahin balkay Allah (subhanahu wa ta'ala) ki atah heh juzwi par bi ata kar deh. Jistera RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay title rahmatal lil alameen ko Allah (subhanahu wa ta'ala) kay wasteh istimal nahin keeya ja sakta is'see tera aalim ul-ghayb ko RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh istimal nahin keeya ja sakta. Aur aik kay khitab ko dosray wasteh nah bolnay ka ki waja juzwi ya la-mahdood nahin ... keun kay rahmat e illahi la-mahdood heh aur agar is bina par khitab ka itlaq hota to phir Allah (subhanahu wa ta'ala) hi rahmatal lil alameen kay layk heh ... magr Allah (subhanahu wa ta'ala) nay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko ata keeya.

HanafiGroup Sawal 3: Kia janwar parinda kay pass bi kohi ghayb ki khabr ho sakti heh?

Jawab: HanafiGroup Sahib ko yeh bi pata nahin kay sawal kesay karoon aur kia sawal karoon. Kissi bi Musalman ka yeh nazria nahin kay janwar/parindeh ko Ghayb ki khabr hoti heh. Ghayb ki khabr Nabi/Rasool ko Allah (subhanahu wa ta'ala) ki taraf say deeh jaati heh.

Note: Keun kay janab ko yeh bi pata nahin kay sawal kesay karoon aur kia karoon is leyeh mein khud hi HanafiGroup ki taraf say sawal pooch leta hoon aur jawab bi deh deta hoon. Sawal: Kia janwar aur parinda ko bi ilm ghayb ho sakta heh? Jawab: Musalman sirf janwaroon wasteh ilm ghayb say mushayda ghayb aur sama ghayb kay qail hen. Aur woh bi sirf kutta aur gadda wasteh keun kay Hadith mein is ka subut heh. Hadith mein aya heh kay kutta bhonkta aur gadda awaaz nikalta heh keun kay woh ghayb dekhtay hen:
"Narrated Jabir ibn Abdullah: The Prophet said: When you hear the barking of dogs and the braying of asses at night, seek refuge in Allah, for they see which you do not see." [Ref: Abu Dawood, B42, H5084, here.]
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


untitled3.JPG.ed95430aea1ed704b0472e20174640d7.JPG

Aap nay kaha kay Thanvi sahib ilm ghayb ko nahin mantay balkay sawal jawab kar rahay hen taqay agay walay ko qail keren. Kia chawal baazi mari heh aap nay bi. Abdul Shakoor lakhnavi nay yeh chawal sab say pehlay mari thi kay Thanvi Ilm ghayb nah RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh manta heh aur nah kissi aur wasteh. Magr is kay bar-khilaaf Manzoor Naumani nay apni kitab bawariq ul ghayb aur Ashraf Ali Thanvi nay apni kitab Bawadir al-Nawadir mein RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh ilm ghayb mana heh. Magr us ki taraf baad mein tawajoh karoon ga.

 Pehlay gustakhi kay pehloo ko letay hen. Misaal tor par, mein nahin manta aap HanafiGrou kissi kanjri kay bachay hen aur nah hi manta hoon kay aap khalis asal haram zaday hen, abh mein aap HanafiGroup nay mutaliq yeh donoon nah mantay huway bi kahoon ... HanafiGroup haram zaday kissi kanjri kay bachay ... aap batahen yeh aap ko gaali hogi kay nahin? Gaali aur towheen huwi nah! Bilfarz Ashraf Ali Thanv ilm ghayb RasoolAllah wasteh nah mantay huway ... sawal jawab karta heh ... baaz ghayb thah ya kull ghayb ... aur nah hi Thanvi janwaroon (i.e. gaddeh/kutteh) wasteh ilm ghayb nahin manta ... woh sirf aalim ul-ghayb kay itlaq kay radd karnay kay chakkar mein yeh sawal jawab karta heh ...  toh kia aisa kehna gustakhi nahin: “Phir yeh kay aap ki zaat muqaddisa par ilm ghayb ka hokam keeya jana  agar ba-qawl Zaid sahih ho to phir daryaft talb yeh amr heh keh is Ghayb say murad baaz ghayb heh ya kull ghayb agar baaz uloom ghaybiyah muraad hen toh is mein hazoor hi ki kia takhsees heh aisa ilm ghayb toh Zaid wa Umar balkeh har sabbi wa majnoon balkeh jami hawanaat wa bahim kay leyeh bi hasil heh.[Hifz ul-Iman, here] Nah mantay huway bi gustakhi banti heh. Mein nay pehlay Hadhrat Aysha (radiallah ta'ala anha) ka waqia bataya thah ... here, here, ... Kia Hadhrat Aysha (radiallah ta'ala anha) ya baqi Sahabah auratoon ko gaddoon/kuttoon barabar jantay thay? Nahin jantay thay nah! Phir bi towheen ho gahi. Sirf paleed janwaroon kafiroon tawaifoon ki list mein gina jana hee towheen ka asar deta heh aur jahan tashbeeh aur takhsees Nabi (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki takhsees/khasoosiat ka hi inqaar keeya jahay wahan par gustakhi kesay nah ho. Note keren ... Thanvi Sahib nay ilm mein khasoosiat nah honay ki waja say RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki joh takhsees janwaroon, pagaloon bachoon par thi us ka inqaar kar deeya ... ibarat ghor say parh lenh: "... agar baaz uloom ghaybiyah muraad hen toh is mein hazoor hi ki kia takhsees heh aisa ilm ghayb toh Zaid wa Umar balkeh har sabbi wa majnoon balkeh jami hawanaat wa bahim kay leyeh bi hasil heh.” Bilfarz janwaroon, parindoon, pagaloon, bachoon ka ilm Ghayb RasoolAllah jaisa hota toh kia phir RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko in par takhsees/khasoosiat hasil nahin. Nabi ko makhlooq par khasoosiat nahin? Thanvi Sahib nay mutlaqan Nabi (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki ...yehni tamam khasoosiatoon ka inqaar kar deeya ... kia aqil ki pagal par takhsees sabat nahin? Kia insaan ko janwar par khasoosiat hasil nahin? kia Nabi ko in tamam jin ka Thanvi nay zikr keeya in sab par takhsees baghayr ilm ghayb hasil nahin? Jab heh toh phir takhsees sabat honay kay bavjood inqaar karna aur aisa kay lafz say RasoolAllah  (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko pagaloon janwaroon bachoon say tashbeeh dena Towheen/gaali wasteh hee banta heh. RasoolAllah ki khasoosiat ka inqar kar kay pagaloon janwaroon jaisa sabat karna towheen nahin toh aur kia heh? Aakhir mein arz heh kay gustakhi baghayr aqeedah rakhay bi ho jati heh.

Abh atay hen aap kay jhoot ki taraf kay Ashraf Ali Thanvi Ilm Ghayb ko nahin mantay thay.  Yeh lenh aap kay jhoot ka parda faash hota heh:
“A Shar’ri example of this would be it is jaiz (i.e. permissible) to say that Allah (subhanahu wa ta’ala) has granted limited knowledge of Ghayb to Prophets but it is not permissible to say they are Aalim ul-Ghayb.” [Ref: Bawadir al-Nawadir, Page; 532, by; Shaykh Ashraf Ali Thanvi, here.] Urdu asal ibarat aap khud parh lenh neechay paste karta hoon:

bawadir.JPG.6abcf5c5f3f47158e74dd09c295589af.JPG

Jab yeh sabat huwa kay Thanvi Sahib RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh baaz ilm ghayb ko jaiz mantay hen aur ayn mutabiq Shariah batatay hen toh phir Hifz ul-Iman mein,"... agar baaz uloom ghaybiyah muraad hen toh is mein hazoor hi ki kia takhsees heh aisa ilm ghayb toh Zaid wa Umar balkeh har sabbi wa majnoon balkeh jami hawanaat wa bahim kay leyeh bi hasil heh.” , joh baaz ilm ghayb ko tajweez kia aur tashbeeh aur tashreeh kee apnay aqeedeh kay mutabiq hi ki.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Link to comment
Share on other sites

6 hours ago, hanfigroup said:

Mughal sb.

Es ko pagal khany chor k ajao.

Ye jahal baat b nahe parta aur bonkna start kar dyta hy.    Jawab Urdu main dyna hy. Aur to the point.  

Mughal es jahal ka tumhary pass elaj hy k nahe?

میرے پاس تو آپ کا بھی علاج نہیں ہے 

آپ پوائنٹ اکھٹے کر دو جواب میں لکھ دوں گا اردو میں 

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

47 minutes ago, Mughal... said:

میرے پاس تو آپ کا بھی علاج نہیں ہے 

آپ پوائنٹ اکھٹے کر دو جواب میں لکھ دوں گا اردو میں 

Roman Urdu mein yeh sab kuch par sakta heh. Urdu rasm ul-khat mein likha talb is leeyeh kar raha heh keun kay is nay likhay huway material ko kissi ko dena heh ta-kay woh jawab likh deh aur woh romanised Urdu parh nahin sakta.

Link to comment
Share on other sites

3 hours ago, hanfigroup said:

Mughal

Kitni dafA post karni hy. Kam az kam Mari post he par lo.  Jawab miljay ga.  Roman urdu main nahe urdu main jawab dou

Jitni dafa tum apni jawal-baazi ko dobara paste karnay aur meri tamam posts ka ba-qaida jawab nahin detay. Ya phir kalmah paro aur Musalman ho jaho aur mein dobara paste karna chor doon ga.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Besharam razakhani bidati jab Islam dil main n.a. ho aur bidat damagh main ho tb tk kuch samaj nahe ata.

Bar bar akar kun bonkty ho.  Mairi sharat puri karo Mairi post ka jawab Urdu aur to the point dou.

Magar ahamd raza ................(see barelvi books)  pahly huway hyn unka kam .......... hy  bus

Edited by Mughal...
تمیز سے بات کریں
Link to comment
Share on other sites

2 hours ago, hanfigroup said:

Besharam razakhani bidati jab Islam dil main n.a. ho aur bidat damagh main ho tb tk kuch samaj nahe ata.

Bar bar akar kun bonkty ho.  Mairi sharat puri karo Mairi post ka jawab Urdu aur to the point dou.

Magar ahamd raza ................(see barelvi books)  pahly huway hyn unka kam .......... hy  bus

Warning Hanfi Deobandi Sahib achay Alfaz ka istaymal krean ager koi baat krni ha tow scane page laga kr kia krean .....

اس ٹاپک کو لاک کیا کیا جارہا ہے حنفی گروپ صاحب اپنے تمام پوائنٹ کو اکھٹا ایک جگہ کر کے

مجھے میسیج کردیں میں ٹاپک کھول دوں گااور اس کا جواب بھی اردو رسم الخت میں پوسٹ لر دوں گاں

  • Like 1
Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...