Jump to content

Mirzaiat ki Buniad


Talinenoor

تجویز کردہ جواب

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Aap sab ka bohat bohat shukriya k aap ne itne tafseeli jawab die. Mager meri post ka buniadi nuqta abhi bhi wahin per hai k Mirza buniadi tor per kis se mutasir hua tha? Woh alag baat hai k uss ne baad main mazeed khabasat ka muzahira kia. Hazrat Ayesha wagera se jo baat Durr-e-Mansoor k hawale se pesh ki gai hai woh hergiz unn se sabit nahin. Lahaza iss zimmen main unn ka naam lena sahih nahin. IBN-e_ARABI k siref yehi abarat nahin bal k aur bhi kai kufri abaraat uss ki kitabon main mojood hain.

 

Baqi Ahlehadees Ulma ne jab tak uss ki Ibaraat ka kufer nahin jana usse kafir nahin kaha issi tarah doosre Ulma ne bhi. Aisi abaaraat pesh kerna jin main pata nahin chalta k kab ki hain sahih nahin...? Mirza ki apni abaraten iss baat per shahid hain k usse Ahlehadees se kitni nafrat thi.

 

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Oh Janab Talib e Noor sahib mirza to wahabi tha, lol :lol:

 

usne namaz kesi pari etc???

 

me aapko yahan likh ke hawaloun ke saath uske baitay ki kitab Seerat ul Mehdi waghera se dikhadoun ga,

Mirza goh ko halal samajta tha,

Rafayaden bhi karta tha,

hanfiyoun se to usko bugz tha,

khalful imam ka qail tha,

ameen bil jahar ka qail tha,

mouzoun per mase ka qail tha,

2 jamaats aik time karne kha qail tha

 

yeh sab aap wahabiyoun ke kaarname hain,

 

mirza ki kitaboun ki tareef to aap ke muhammad hussain batalvi ne ki thi, yeh to uska great grandson mirza masroor khabees mta tv per keh raha tha main nay khud suna aur usne kaha ke battalvi ne kaha ke aisi kitab to koi likh hi nahin sakta isayoun ke rad per,

 

doosri taraf alahazrat ney 5 books aur kai fataawa qadiyanioun ke khilaaf likay hain, Peer Mehr Ali Shah ki beyshumar kutab hain !

Link to comment
Share on other sites

(ja) Rana Sahib... Buhut Hi Khoooob...

 

Aap Ney Bilkul Hi Darust Fermaya Key Talinenoor Sahib Na Manein Tu Hum Kiya Ker Saktey Hain..

 

Aur Ager Koi Ghair Janibdaar Shakhs Yeh Topic Dekh Ley Tu Us Per Haqeeqat Ayaan Ho Jaye Gi Keh Jhoota Kon Hai Aur Sucha Kon...

 

Talinenoor Sahib Aik Shair Zehn Mein Aaya Hai.. Khalil Rana Sahib Aur Mujtaba Bhayi Ki Taraf Sey Aapki Nazer...

 

Na Tum Sadmey Humein Detey .. Na Hum Faryaad Yoon Kertey

Na Khultey Raaz-e-Sir Basta .. Na Yoon Ruswaiyaan Hoteen

Link to comment
Share on other sites

Oh Janab Talib e Noor sahib mirza to wahabi tha, lol :lol:

 

usne namaz kesi pari etc???

 

me aapko yahan likh ke hawaloun ke saath uske baitay ki kitab Seerat ul Mehdi waghera se dikhadoun ga,

Mirza goh ko halal samajta tha,

Rafayaden bhi karta tha,

hanfiyoun se to usko bugz tha,

khalful imam ka qail tha,

ameen bil jahar ka qail tha,

mouzoun per mase ka qail tha,

2 jamaats aik time karne kha qail tha

 

yeh sab aap wahabiyoun ke kaarname hain,

 

mirza ki kitaboun ki tareef to aap ke muhammad hussain batalvi ne ki thi, yeh to uska great grandson mirza masroor khabees mta tv per keh raha tha main nay khud suna aur usne kaha ke battalvi ne kaha ke aisi kitab to koi likh hi nahin sakta isayoun ke rad per,

 

doosri taraf alahazrat ney 5 books aur kai fataawa qadiyanioun ke khilaaf likay hain, Peer Mehr Ali Shah ki beyshumar kutab hain !

 

Asslamoalaikum 2 all muslims,

 

Janab Hafiz Sahib

Aap ne likha:

"Mirza goh ko halal samajta tha,

Rafayaden bhi karta tha,

hanfiyoun se to usko bugz tha,

khalful imam ka qail tha,

ameen bil jahar ka qail tha,

mouzoun per mase ka qail tha,

2 jamaats aik time karne kha qail tha

 

yeh sab aap wahabiyoun ke kaarname hain,"

 

siref wahabi hi nahin Imam Shafai bhi goh ko halal samajhte hain. Rafayaden ka mirza mukhalif tha. Khud hanafi tha Ahlehadees se usko bugaz tha iss per uss ki kitaben shahid hain.

 

chand chezon ke ikhtilaaf se koi garaq nahin ho parrta. kai cheezon main to Imam Abu-Hanifa ke shagirdon ne bhi unn se ikhtilaaf kia hai. Molana Abdul-Hayi Lakhanvi ne bhi hanfiet se chand maamlaat main ikhtilaaf kia hai to kia woh bhi wahabi the...?

 

Doosra yeh k jab mirza khud aur uss ki jamaat bhi khud ko hanafi fiqa ka paband kehti hai to iss baat main dhoka dena koi maani nahin rakhta. chand masael main ikhtilaaf se koi faraq nahin parrta jab woh khud apni jamaat ko hanafiet ka paaband chor ker gaya hai. Doosra yeh k woh sahih-ul-Aqeeda sunni tha main ooper hawala de chukka hoon

 

Baaqi jis tarah k hawale Ahlehadees k khilaaf pesh kie gaye hain unn se hergiz kuch saabit nahin hota. Asal cheez yehi hai k woh kinn baaton ki buniad per itna jarri hua k Nabi hone ka dawa ker dia aur yeh cheezain Khawabon per apne aqaed rakhne walon main hi pai jaati hain

 

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(salam) to all Muslims

 

Jazak ALLAH khalil Sahib aap nay buhat acha reply kiyya aur hamain buhat say saboot bhi fraham kiyye.

 

 

Main Sajjad bhai ki baat say ittefaq karta hoon keh Mukhalifeen bhi yunh saboot ka torr par original book say ref diyya karain.

 

Laikin yeh bhi atall haqeeqat hay keh unn main say aksariyyat nay tau kabhi woh book Khwab main bhi nahi diakhi hoti. ref daina tau buhat dour ki baat hay....

 

 

 

Talib-e-Naar Neechay bhi parh laina keh aap kay Ghair Muqallid Molvi Abdullah Ma'maar Amirtasarri nay Sheikh Muhyuddin Ibne Arabi(ra) aur Mujadid Alaf Saani Sheikh Ahmed Sarhandi(ra) ko Rehmatullah Alaih likha hay

 

Iss main uss nay inn Sufiyya ka Aqeeda Hayaat-e-Maseeh Alaih Sallam ka zikr kiyya hay.

 

 

Abb yeh zaroor bataana keh jo KAAFIR KO REHMATULLAH ALAIH likhay woh kaya hota hay??? Muslman ya kafir???

 

jaisa keh tum nay likha

 

IBN-e_ARABI k siref yehi abarat nahin bal k aur bhi kai kufri abaraat uss ki kitabon main mojood hain.

 

 

abb tau Talib-e-Naar ko yeh misra parhna chahiye........

ع__میں الزام ان کو دیتا تھا ، قصور اپنا نکل آیا

 

 

post-367-1196889938.jpg

post-367-1196890278.jpg

post-367-1196890321.jpg

post-367-1196890341.jpg

post-367-1196890352.jpg

Link to comment
Share on other sites

Baqi Ahlehadees Ulma ne jab tak uss ki Ibaraat ka kufer nahin jana usse kafir nahin kaha issi tarah doosre Ulma ne bhi. Aisi abaaraat pesh kerna jin main pata nahin chalta k kab ki hain sahih nahin...?

 

wah wah wah... kya kehne... hum agar yahi bat apne ulema ke bare main kahain tu phir aapke kya tasraat honge... ise kehte hain bhengi taqleed...

 

Baaqi jis tarah k hawale Ahlehadees k khilaaf pesh kie gaye hain unn se hergiz kuch saabit nahin hota.

 

mujtaba bhai apko pata tu hai na wahabion ka kawa safaid hai... bilkul safaid.. or chonke ye ghair muqalid kehlatey hain (halanke andhi nahi bhengi taqled karte hain) is lye saboot bhi main dikha raha hon.. kahen telenor ye na kahain baghair dalel kawe ko safaid keh dya.. :)

 

WAHABION KA SAFAID KAWA[/b]

6x843ll.jpg

Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...

یہ ٹاپک اصل میں میرے مضمون "بریلویت، اپنی کتابوں کے آئینے میں" کا ایک حصہ ہے۔ پورا مضمون اکٹھا پوسٹ کرنے کی اجازت تو انتظامیہ کی جانب سے نہیں مل رہی کیونکہ لگتاہے وہ پہلے ہی اپنے کفریہ و شرکیہ اور گستاخانہ عقائد سے آگاہ ہیں۔ اس لیےاس حصہ کو الگ سے پیش کیا جا رہا ہے تا کہ عوام بریلویت کے اصلی روپ سے آگاہ ہو سکے۔ "دیوبندیت،اپنی کتابوں کے آئینے میں" اس فورم پر پہلے ہی پیش کیا جا چکا ہے۔ والسلام

 

post-1317-12602689056324.gif

post-1317-12602689148563.gif

post-1317-12602689219764.gif

post-1317-12602689367818.jpg

post-1317-12602689559248.jpg

post-1317-12602689741445.jpg

Link to comment
Share on other sites

Salam to All Muslims,

Asif Bhayi Ney Bilkul Sahi Kaha Hai. AIk Jaga Sey Maar Kha Ker Theek 2 Saal Key Baad Wohi Same Topic New Name Sey Banaya.. Jis Mein Sirf Chand Naye Aetrazat Add Ker Diye Fawaid-e-Fareediya Sey Jinka Beesiyon Bar Issi Forum Per Talinenoor aur Deger Wahabiyon Ko Jawab Diya Ja Chuka Hai Key Yeh Shateehat Hain aur Haliya Munazirey Mein Inkey Talib ur Rehman ko Buri Terha Maar Peri Mufti Hanif Qureshi Sahib Sey Inhi Ibaraat Per.. Mager Yeh Aqal-wa-Deen Sey Jo Farigh Hain.. Is Liye Inka Qalam Hamesha Un Key Khilaf Chalta Hai Jin Sey Shariyat Ney Qalam Utha Liya.

 

Yeh Topic Ussi Mein Merge Kiya Ja Raha Hai.. Kiyon Key Same Wohi Topic aur Wohi Mawad Hai. Sirf Ibn e Arabi aur Mujadid Alf e Saani Alehrahma Waghera ko Bech Mein Sey Nikal Liya Werna Pata tha Key Ghar Sey Maar Per Jaye Gi Phir Sey..

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...